Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

468. Sunan-e-Rawaatib aur Farz ke ba’d jahri taur par dua’a karna

Sunan-e-Rawaatib aur Farz ke ba’d jahri taur par dua’a karna

[Sawaal]

Ba’az log Namaz ke ba’d jahri taur par dua’a karte hain aur aksar buland awaaz se bade tarannum ke saath dua’a karte hain aur jo is tarah dua’a na kare us se kaafir qaraar dete hain, Isi tarah Sunan-e-Rawaatib ke ba’d bhi Isi tarah ijtimaa’i taur par hamesha baqaaidgi se dua’a karte aur us se hukm-e-shariy’at qaraar dete hain, Ba’az daf’a haath utha kar dua’aiya-e-kalimaat ko do do Teen teen baar dohraate hain aur is ‘amal ko Ahl-e-Sunnat ke shu’aar mein se qaraar dete hain aur kehte hain ke jo is ki mukhaalifat kare, Woh Ahl-e-Sunnat mein se nahi hai, Baraah-e-Karaam daleel se waazeh farmaaein ke shariy’at-e-beza ka is masla mein Kia hukm hai?

[Jawab]

Namaz-e-panjgaana aur sunnan-e-Rawaatib ke ba’d is tarah ijtimaa’i taur par baqaaidagi ke saath buland awaaz mein dua’a karna biddʿat-e-munkara hai kyunke is tarah dua’a na to Nabi Kareem (ﷺ) se saabit hai aur na hi Hazraat Sahaaba Karaam رضي الله عنهم se is ka saabit hai aur jo shakhs Farz Namaazon ya sunnan-e-Rawaatib ke ba’d ijtimaa’i taur par dua’a kare, Woh Ahl-e-Sunnat-o-Jamaaʿat ka mukhaalif hai aur is ijtimaaʿi dua’a ki mukhaalifat karne waale ya is tarah dua’a na karne waale ko kaafir kehna ya yeh kehna ke yeh Ahl-e-Sunnat-o-Jamaaʿat mein se nahi hai, jahaalat , Zalalat aur haqaaiq ko masah karna hai.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents