Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

479. Namaz mein waswase aur shakook

Namaz mein waswase aur shakook

[Sawaal]

Mujhe Namaz ki raka’at ki tadaad mein bohat shak rehta hai halanke mein Namaz buland awaaz se padhti hoon taake jo padha hai us se yaad rakh sakoon lekin phir bhi shak rehta hai aur jab Namaz se faarigh hoti hoon to yoon mehsoos karti hoon jaise koi raka’at ya sajdah ya tashahhud bhool gai hoon halanke mein bohat koshish karti hoon ke shak se bachoon lekin be sood. Umeed hai aap rehnumaai farmaaein ge ke mein shak se kis tarah bach sakti hoon? Kia shak ki wajah se Namaz ko dohraana waajib hai? Kia koi aisi dua’a hai jis se Namaz ke shur’u mein azaala-e-shak ke liye padh liya karoon?

[Jawab]

Waswason ke khilaaf jang karna, Un se bachna aur kasrat se “اعوذ بالله من الشیطن الرجیمPadhna waajib hai ke Irshaad-e-Baari Ta’ala ha :

قُلْ اَعُوْذُ بِرَبِّ النَّاسِ مَلِكِ النَّاسِۙ اِلٰهِ النَّاسِۙ مِنۡ شَرِّ الۡوَسۡوَاسِ الۡخَـنَّاسِ

(Al-Naas 114 1-4)

“Keh dijye (Ae Paighambar!) ke mein logon ke Parwardigaar ki panaah maangta hoon. (Yaane) logon ke haqeeqi baadshah ki. Logon ke ma’bood-e-barhaq ki. Waswasa daalne waale (Shaitaan) ki buraai se (Jo Allah ka naam sun kar) peeche hat jaata hai.”

Nez farmaaya:

وَاِمَّا يَنۡزَغَـنَّكَ مِنَ الشَّيۡطٰنِ نَزۡغٌ فَاسۡتَعِذۡ بِاللّٰهِ‌ؕ اِنَّهٗ سَمِيۡعٌ عَلِيۡمٌ

(Al-A’iraaf 7200)

“Aur agar shaitaan ki taraf se tumhare dil mein kisi tarah ka waswasa paida ho to Allah se panaah maango. Beshak woh sunne waala (Aur) sab kuch jaanne waala hai.”

Jab Namaz ya Wuzu se faarigh hone ke ba’d shak paida ho to us shak ko jhatak dijiye Is se e’iraaz kijiye Us ki taraf iltafaat na kijiye aur e’itmaad kijiye ke Namaz aur Wuzu sahi hai aur agar Namaz ke andar yeh shak ho ke ma’loom nahi aap ne teen raka’at padhi hain ya chaar to unhein teen qaraar de kar Namaz mukammal kar lo aur salaam se qabl Sahav ke do sajde kar lo kyunke jis shakhs ko is tarah ka shak laahaq ho us se Nabi Kareem(ﷺ)ne Isi tarah karne ka hukm diya hai. Allah Ta’ala hamein aur aap ko shaitaan se mehfooz rakhe.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents