Search
480. Jab muqtadi ko yeh shak ho ke us ne Al-Tahiyaat padha hai ya nahi!
Jab muqtadi ko yeh shak ho ke us ne Al-Tahiyaat padha hai ya nahi!
[Sawaal]
Imaam ke salaam pher dene ke ba’d mujhe yeh shak guzra ke main ne Al-Tahiyaat padha hai ya nahi to is haalat mein mujhe Kia karna chaahiye?
[Jawab]
‘Ibaadat ke ba’d laahaq hone waale shaq ka koi e’itbaar nahi kyunke ‘aam taur par insaan Namaz ke waajibaat-o-arkaan ko un ke maqaam par adaa karta hi hai. Jab Namaz ke dauraan shak ho to yaqeen par bana karte hue ‘ibaadat ke liye mohtaat tareeqa ikhtiyaar kiya jaae ga lekin faraaghat ke ba’d laahaq hone waala shak na qaabil-e-iltafaat ho ga.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…