487. Jab Imaam ek raka’at ziyaada padha de aur sajdah-e-Sahav na kare
Jab Imaam ek raka’at ziyaada padha de aur sajdah-e-Sahav na kare
[Sawaal]
Hum ne Imaam ke peeche Namaz ba jama’at adaa ki. Imaam ne paanch raka’at padhaane ke ba’d salaam phera aur jab is silsila mein ba’az muqtadiyon ne Imaam ko batay to unhon ne sajdah-e-Sahav bhi na kiya, To Kia hamari Namaz sahih hai ya nahi? Is tarah ke halaat mein waajib-ul-itteb’a cheez Kia hai?
[Jawab]
Jab Imaam ek raka’at ziyaada padha de aur us se is ka ‘ilm bhi ho to us se sajdah-e-Sahav karna laazim hai. Muqtadiyon ne agar is izaafe ke ‘adam-e-‘ilm ki wajah se mutabi’at ki hai to un ki Namaz sahih hai, aur jis ne yeh jaante hue mutabi’at ki ke Imaam zaaid raka’at padha raha hai, Us ki Namaz baatil hai. Janne waale ko chaahiye ke tha ke woh Subhaan Allah keh kar Imaam ko mutanabba karta Agar Imaam apni haalat par israar karta aur wapas nahi lout’ta to yeh us ki itteb’a na karta balkeh beth kar intezaar karta aur jab Imaam salaam pherta to yeh bhi us ke saath salaam pherta. Mazkoora logon ko chunki shar’i hukm ka ‘ilm n tha lehaaza un ki Namaz sahih hai lekin jab ‘ilm ho gaya ke ek raka’at zaaid padhi gai hai to phir unhein sajdah-e-Sahav karna chaahiye tha aur agar unhon ne sajdah-e-Sahav nahi kiya to un ki yeh Namaz baatil hai aur ab waqt taweel hone ki wajah se unhein yeh Namaz dobaraah padhni ho gi.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…