Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

493. Sajdah-e-Tilaawat Sunnat hai

Sajdah-e-Tilaawat Sunnat hai

[Sawaal]

Jab mein mimbar par beth kar ya shaagirdon ko padhaate hue ya kisi bhi jagah Aayat-e-sajdah ki tilaawat karoon to Kia sajdah-e-tilaawat karoon ya na karoon? Kia sajdah-e-tilaawat qaari aur saam’e donon ke liye hai?

[Jawab]

Sajdah-e-tilaawat qaari aur saam’e donon ke liye Sunnat hai, Waajib nahi. Saam’e ke liye qaari ki itteb’a ki wajah se hai lehaaza jab qaari sajdah kare ga to saam’a bhi kare ga. Jab aap apne daftar mein ya tadrees ke waqt Aayat-e-sajdah padhen to sajdah karna chaahiye aur talba ko bhi chaahiye ke woh aap ke saath sajdah karen kyunke woh saam’e hain aur agar aap sajdah-e-tilaawat na bhi karen to koi harj nahi.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents