Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

495. Namaz mein aisi soorat ka hukm jis ki aakhri Aayat sajdah ho

Namaz mein aisi soorat ka hukm jis ki aakhri Aayat sajdah ho

[Sawaal]

Jab Imaam Namaz mein koi aisi soorat padhe jis ki aakhri Aayat sajdah ho to woh Ruko’ ke saath kis tarah sajdah kare?

[Jawab]

Namaz mein aisi soorat ki qira’at bhi jaaiz hai, Jis ki aakhri Aayat sajdah ho maslan Surah Al-‘Alaq aur Surah Al-Najam. Imaam qira’at mukammal hone par sajdah kare ga. Imaam jab sajdah se uthe to Allahu Akbar kahe Agar kisi aur soorat ki qira’at karna chaahe to woh kar sakta hai. qira’at ke ba’ad Allahu Akbar keh kar Ruko’ mein chala jaae, Agar munfarid hai to woh Allahu Akbar keh kar khada ho jaae aur phir Ruko’ mein jaae khuwah woh mukammal taur par seedha na bhi khada ho.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents