501. Namaz-e-Maghrib se pehle Nafil
Namaz-e-Maghrib se pehle Nafil
[Sawaal]
1:**
Azaan-e-Maghrib ke ba’d aur Namaz se pehle —- jab ke azaan-o-iqaamat ke darmiyaan waqt bohat kam hota hai—-Tahiyyat-ul-Masjid aur Nafil padhne ka Kia hukm hai?
[Sawaal]
2:**
Jo shakhs Namaz-e-Fajir ke ba’d se le kar tul’u-e-Aftaab tak Masjid mein rahe, Kia us ke liye tul’u-e-Aftaab ke waqt Zuha ki do raka’at padhna jaaiz hai? Nez yeh farmaaiye ke Namaz-e-Zuhaa ka masnoon waqt kon sa hai?
[Jawab]
1:**
Tahiyyat-ul-Masjid Sunnat-e-muakkida hai, Jis se tamaam auqaat hatta ke mumaani’at ke auqaat mein bhi ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq adaa kiya jaa sakta hai kyunke Nabi (ﷺ)ke is Irshaad ke ‘umoom ka yehi taqaaza hai ke:
إِذَا دَخَلَ أَحَدُكُمُ الْمَسْجِدَ فَلَا يَجْلِسُ حَتَّى يُصَلِّيَ رَكْعَتين
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Tahajjud, Baab ,. Jaa fi Al-Tataw’u masni masni, H: 1163-o-Sahih Muslim, Kitaab Salaat Al-Musafireen, Baab Istahbab Tahiyyat-ul-Masjid bi Raka’atein, H: 714)
“Jab tum mein se koi jab Masjid mein daakhil ho to woh us waqt tak na bethe jab tak do raka’at na padh le.”
Azaan-e-Maghrib ke ba’d aur iqaamat se pehle Namaz Sunnat hai kyunke Nabi (ﷺ) ka Irshaad hai:
صَلُّوا قَبْلَ الْمَغْرِبِ صَلُّوا قَبْلَ الْمَغْرِبِ، ثُمَّ قَالَ فِي الثَّالِثَةِ لِمَنْ شَاءَ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Tahajjud, Baab Al-Salaat qabl Al-Maghrib, H: 1183, 7368)
“Maghrib se pehle Namaz padho, Maghrib se pehle Namaz padho aur teesri baar aap ne farmaaya ke jo chaahe woh padhe.”
Hazraat Sahaaba Karaam رضي الله عنهم ka ma’amool yeh tha ke jab azaan-e-Maghrib ho jaati’ To woh iqaamat se pehle jald se jald do raka’at padh lete the, Nabi Kareem (ﷺ) unhein dekhte aur mana’ na farmaate balkeh aap ne to is ka hukm bhi diya hai jaisa ke maxkoorah baala Hadees se saabit hai.
[Jawab]
2:**
Zuha ka waqt us waqt shur’u hota hai, Jab sooraj ek neezah ke baraabar buland ho jaae aur us waqt tak rehta hai jab sooraj Zuhr se pehle khada ho jaae (Yaane nasf Al-Nahaar ke waqt jab abhi zawaal shur’u nahi hoa hota)aur afzal waqt woh hai, Jab dhoop garam ho jaae kyunke Nabi (ﷺ) ka Irshaad hai ke:
صَلَاةُ الأَوَّابِينَ حِيْنَ تَرْمَضُ الْفِصَالُ
(Sahih Muslim, Kitaab Salaat Al-Musafireen, Baab Al-Awabeen hain Tarmaz Al-Fasaal, H: 748)
“Allah Ta’ala ki taraf ruj’o karne waalon ki Namaz us waqt hoti hai jab oont ke bachon ke paaon jalte hain.”
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…