502. Woh auqaat jin mein Namaz padhna mana’ hai
Woh auqaat jin mein Namaz padhna mana’ hai
[Sawaal]
Woh kon se auqaat hain, Jin mein Namaz padhna makrooh hai?
[Jawab]
Woh auqaat jin mein Namaz padhne ki mumaani’at hai, Yeh hain:
(1) Tul’u-e-Aftaab ke ba’d se le kar sooraj ke ek neezah ke baqadar buland hone tak.
(2) Sooraj ke aasmaan ke wist mein khada ho jaane ke ba’d se le kar jehet-e-Maghrib zawaal pazeer hone tak.
(3) Namaz-e-‘Asar ke ba’d se le kar ghuroob-e-Aftaab tak.
Yeh hain woh auqaat jin ke baare mein Rasoolullah (ﷺ) ki Ahadees se yeh saabit hai ke un auqaat mein Namaz padhna mana’ hai lekin ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq woh Namaazein mustasna hain, Jo makhsoos asbaab ki wajah se adaa ki jaa rahi hon maslan Namaz-e-tawaaf aur Namaz-e-Kusoof ko ‘Asar-o-Subah ke ba’d bhi adaa kiya jaa sakta hai. Isi tarah Tahiyyat-ul-Masjid ko bhi auqaat-e-mumaani’at mein adaa kiya jaa sakta hai jis tarah Sunnat-e-Fajr ko tul’u-e-Fajr ke ba’d adaa karna mustasna hai aur yeh jaaiz nahi ke do raka’at se ziyaada padhe kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka ma’amool yeh tha ke tul’u-e-Fajr ke ba’d aap sirf do halki phulki raka’at Sunnat-e-Fajr ke taur par adaa farmaate aur agar waqt ki tangi ya deegar asbaab ki wajah se Namaz-e-Fajr se pehle Sunnaton ko na padh sake to ‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq Namaz-e-Fajr ke ba’d unhein padh sakta hai aur agar unhein sooraj tul’u hone ke ba’d padhe to yeh afzal hai. Wallahu waali Al-Toufeeq
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…