515. Infiraadi taur par padhne waale ko jahri qira’at ki zaroorat nahi
Infiraadi taur par padhne waale ko jahri qira’at ki zaroorat nahi
[Sawaal]
Mein Witr ki teen raka’at padhta aur aakhri raka’at mein tashahhud ke liye bethta hoon. Pehli raka’at mein Fatiha ke ba’d koi choti soorat’ Doosri mein (قل يا ايها الكفرون) Aur teesri mein (قل هو الله احد) Aur (معوذتین) Padh leta hoon. Kabhi kabhi Witr ki giyarah raka’at padhta aur aakhri raka’at mein tashahhud ke liye bethta hoon aur pehli teen raka’at mein mazkoora baala sooraton ko padhta aur baaqi raka’at mein sirf Surah Fatiha padhta hoon Kia meri yeh Namaz sahih hai aur agar Witr ki teraah raka’at padhna chahun to kis tarah padhoon?
Jab Maghrib ya ‘Isha ya subah ki Namaz Jama’at se na padh sakoon to infiraadi taur par padh leta aur Aayaat ki qira’at siri taur par karta hoon lekin mere chacha jaan ne mujhe bataaya hai ke jahri Namaz mein infiraadi taur par padhne ki soorat mein bhi qira’at jahri karna waajib hai to Kia meri saabiqa Namaazein sahih hain? Is silsila mein mujh par koi kufaarah waghaira to laazim nahi?
[Jawab]
Witr ki teraah ya giyarah raka’at ko is tarah padhna mustaiab hai ke aap har do raka’at ke ba’d salaam pher dein aur Fatiha ke ba’d jis soorat ki chaahein qira’at kar lein. Nau raka’at padhna bhi jaaiz hai ke har do raka’at ke ba’d salaam pher de ya aath raka’at par tashahhud bethen aur phir nawin raka’at padh kar tashahhud karen aur salaam pher dein. Ek salaam ke saath saat aur paanch raka’at padhna bhi jaaiz hai. mustahab yeh hai ke Witr ki raka’at teen se kam na hon aur teesri raka’at mein Surah Ikhlaas padhi jaae. Agar un ke ‘ilaawa deegar sooratein padh le to phir bhi koi harj nahi. Afzal yeh hai ke Witr ki teen raka’at do salaam ke saath padhi jaaein aur agar ek salaam ke saath padh le to phir bhi (In Shaa Allah) jaaiz hai.
Hum kehte hain ke infiraadi taur par Namaz padhne mein qira’at ke jahri karne ki zaroorat nahi hai, jahri qira’at to Imaam raat ki Namaazon mein is liye karta hai taake muqtadiyon ko apni qira’at suna saken aur muqtadiyon ko is se mustafeed hone ka mouq’a mile lekin jo shakhs anfiradi taur par Namaz padhta hai, Woh to apne aap ko sunaata hi hai, Khuwah qira’at siri kare ya jahri is se maqsood haasil ho jaata hai.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…