Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

523. Azaan-e-Awwal ke ba’d Namaz-e-Fajr

Azaan-e-Awwal ke ba’d Namaz-e-Fajr

[Sawaal]

Kia azaan-e-Awwal ke ba’d Namaz-e-Fajr adaa karna sahih hai? Dono azaanon ke mabain ke waqt ko Namaz-e-Fajr ka waqt qaraar diya jaa sakta hai? Ya azaan-e-saani ke ba’d ka waqt hi Namaz-e-Fajr ke liye sahih hai?

[Jawab]

Namaz waqt shur’u hone ke ba’d hi sahih ho gi aur Fajr ka waqt tul’u-e-subah ke saath shur’u hota hai. Aur subah se muraad Mashriq mein phelne waali safedi hai lehaaza jo shakhs tul’u-e-subah se pehle Namaz padh le Us ki Namaz sahih na ho gi. Azaan us ke liye shart nahi hai balkeh sehat-e-Namaz ke liye waqt ka shur’u hona shart hai. Agar waqt ho jaae aur azaan na bhi ho to Namaz sahih ho gi. Haan albatta Namaz-e-Fajr ke liye ba’az ‘Ulama ne is baat ki ijaazat di hai ke us ke liye raat ke aakhri hissa mein waqt shur’u hone se pehle bhi azaan di jaa sakti hai lekin waqt shur’u hone se pehle Namaz nahi padhi jaa sakti aur ba’az ‘Ulama ki yeh raae hai ke qabl az waqt sirf Ramzan mein subah ki azaan di jaa sakti hai taake sone waala shakhs sehri ke liye bedaar ho jaae aur Namazi ko yeh ma’loom ho jaae ke sehri ka waqt qareeb hai lekin Namaz , Doosri azaan ke ba’d jo sahi waqt par hoti hai, Adaa ki jaae gi. Wallahu A’lam

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents