524. Kia koi Namaz-e-Faaida bhi hai?
Kia koi Namaz-e-Faaida bhi hai?
[Sawaal]
Log bayaan karte hain ke ek Namaz-e-Faaida hai, Jis ki sau raka’at hain. Ba’az log us ki sirf chaar raka’at bataate hain aur us se Ramzan ke aakhri Jumm’a mein adaa kiya jaata hai. Kia yeh sahih hai ya bidd’at?
[Jawab]
Yeh baat sahih nahi hai. Namaz-e-Faaida naami koi Namaz nahi kyunke tamaam Namaazen hi mabni bar fawaaid hain. Farz Namaz fawaaid ke e’itbaar se sab se badh kar hai kyunke ‘ibaadat jab Farz ho to woh Nafil ‘ibaadat se beherhaal afzal hai, Chunaanche sahih Hadees mein hai ke Allah Ta’ala Irshaad farmaata hai:
مَا تَقَرَّبَ إِلَيَّ عَبْدِي بِشَيْءٍ أَحَبَّ إِلَيَّ مِمَّا افْتَرَضْتُهُ عَلَيْهِ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Raqaq, Baab Al-Tawaz’a, H: 6502)
“Mere bande ne kisi aisi cheez ke saath mera taqarrub haasil nahi kiya jo mujhe us se ziyaada pasand ho jis se main ne apne bande par Farz qaraar diya ho.”
Allah Ta’ala ne jis ‘ibaadat ko waajib qaraar diya hai to yeh bhi is baat ki daleel hai ke Allah Ta’ala ko us se mohabbat hai aur yeh bande ke liye Nafil se ziyaada munfi’at bakhsh hai, Yehi wajah hai ke iss se laazim bhi qaraar diya gaya aur is mein ajar-o-sawaab bhi ziyaada rakha gaya to tamaam Namaazein hi mabni bar barfawaaid hain. Namaz-e-Faaida naami koi khaas Namaz nahi hai balkeh yeh bidd’at aur be asal hai. Aadmi ko aise azkaar aur Namaazon se parhaiz karna chaahiye jo logon mein ‘aam riwaaj paa chuki hain, Lekin Sunnat se un ka koi saboot nahi. Yaad rahe ‘ibaadat mein asal mumaani’at hai Lehaaza kisi ke liye yeh jaaiz nahi ke woh Allah Ta’ala ki ‘ibaadat ke liye koi aisa tareeqa ikhtiyaar kare, Jis se Allah Ta’ala ne apni kitaab mein ya Rasoolullah (ﷺ) ne apni Sunnat mein na bataaya ho. Jab insaan ko kisi cheez ke baare mein yeh shak ho ke yeh am’aal ‘ibaadat se hai ya nahi? To asal baat yeh hai ke woh ‘ibaadat nahi hai hatta ke daleel se saabit ho jaae ke woh ‘ibaadat hai. Wallahu A’lam
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…