Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

533. Tahiyyat-ul-Masjid ya mu’azzin ka jawaab

Tahiyyat-ul-Masjid ya mu’azzin ka jawaab

[Sawaal]

Mu’azzin azaan de raha ho to Tahiyyat-ul-Masjid padhna afzal hai ya Mu:azzin ka jawaab dena aur us ke ba’d Namaz padhna afzal hai?

[Jawab]

Jo shakhs Masjid mein us waqt daakhil ho jab azaan ho rahi ho to afzal yeh hai ke mu’azzin ki azaan ka jawaab diya jaae aur us ke faarigh hone ke ba’d Tahiyyat-ul-Masjid ko adaa kiya jaae lekin Jumm’a ki azaan-e-saani ke waqt afzal yeh hai ke azaan ke waqt Tahiyyat-ul-Masjid ko padh liya jaae taake khutba shur’u hone se pehle aadmi Namaz se faarigh ho jaae aur phir khaamoshi se khutba sun sake.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents