Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

540. Nafil Namaz ya Tawaaf?

Nafil Namaz ya Tawaaf?

[Sawaal]

Ka’aba ke paas tawaaf afzal hai ya Nafil Namaz?

[Jawab]

Beshak Namaz ‘ibaadat aur taqarrub-e-Ilaahi ke husool ka afzal tareen zariy’a hai, Isi tarah Bait-ul-Haraam ka tawaaf bhi Namaz aur dua’a hai aur us ki bhi bohat fazeelat hai lekin raajeh baat yeh hai ke jo shakhs bahar se Makkah mein aaya hai aur us se yahan se jald chale jaana hai to us ke haqq mein mutlaq Nafil Namaz ki nisbat tawaaf behtar hai kyunke tawaaf us se har jagah muyassar na ho ga. lekin woh yahan Namaz bhi na chode balkeh sunan-e-raatiba , Tawaaf ki do raka’at aur jis qadar mumkin ho Namaz bhi padhta rahe. Makkah mein muqeem insaan ke liye Nafil Namaz afzal hai lekin woh baitullah ka tawaaf bhi na chode, Yeh kehte hue ke woh jab chaahe ga tawaaf kar le ga.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents