580. Namaz-e-Fajr mein neend ka ghalba
Namaz-e-Fajr mein neend ka ghalba
[Sawaal]
Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَقۡرَبُوا الصَّلٰوةَ وَاَنۡـتُمۡ سُكَارٰى حَتّٰى تَعۡلَمُوۡا مَا تَقُوۡلُوۡنَ
(Al-Nisaa 443)
“Momino! Jab tum nashe ki haalat mein ho to Jab tak (Un alfaaz ko) Jo munh se kaho samajhne (Na) lago Namaz ke paas na jaao.”
Kia is Aayat mein hamare woh bhai bhi daakhil hain, Jo Namaz-e-Fajr ke liye is haalat mein aate hain ke un par neend ka ghalba hota hai? Aap apne un bhaiyon ko Kia naseehat karen ge?
[Jawab]
Mein apne un bhaiyon ko jo Namaz-e-Fajr ke liye neend ke shadeed ghalba ki haalat mein aate hain, Yeh naseehat karoon ga ke woh raat ko jald so jaaya karen kyunke agar woh raat ko jaldi so jaaya karen ge to un ki neend poori ho jaae gi aur neend ka yeh shadeed ghalba khatam ho jaae ga jis ki wajah se unhein yeh ma’loom hi nahi hota ke woh apni Namaz mein Kia keh rahe hain. Is masla ka bas yehi hal hai ke woh raat ko jald so jaaya karen.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…