Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

582. Masjidon ki bajaae sarkaari dafaatir hi mein Namaz padh lena

Masjidon ki bajaae sarkaari dafaatir hi mein Namaz padh lena

[Sawaal]

Kia mulaazimeen ke liye yeh jaaiz hai ke woh apne daftaron hi mein Namaz adaa kar lein halaan ke Masjidein bhi un ke pados mein hoti hain ya un ke liye bhi zaroori hai ke woh Masjid hi mein Namaz adaa karen?

[Jawab]

Rasoolullah(ﷺ) ki f’eli aur qouli Sunnat yeh rahi hai ke Namaz ko Masjid mein ba jama’at adaa kiya jaae aur aap ne un logon ke gharon ko aag laga dene ka iraadah farmaaya jo Namaz ba jama’at adaa karne ke liye Masjid mein nahi aate. Aap ke ba’d khulafaa-e-raashideen’ Hazraat Sahaaba Karaamرضى الله عنهم aur tabi’een رحمة الله ka ma’mool bhi Masjid mein Namaz adaa karna tha. Sahih Hadees se saabit hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:

مَنْ سَمِعَ النَّدَاءَ فَلَمْ يَأْتِ فَلَا صَلَاةَ لَهُ إِلا مِنْ عُذْر

(Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab Al-Masaajid-o-Al-jama’at, Baab Al-Taghleez fi Al-Takhaluf ‘an Al-jama’at, H: 793, Al-Daarqatni 1420, Al-Haakim 1245.-O-Usnadah ‘Ali shart Muslim.)

“Jo shakhs azaan sune aur Masjid mein na aae to us ki Namaz nahi illa yeh ke koi ‘uzr ho.”

Aur yeh bhi sahih Hadees se saabit hai ke ek naabina aadmi ne ‘arz kiya “Ya Rasoolullah! mere paas koi m’aawin nahi, Jo mujhe Masjid mein le jaa sake to Kia mujhe ghar mein Namaz adaa karne ki ijaazat hai?” Aap ne farmaaya:

هَلْ تَسْمَعُ النَّدَاءَ بِالصَّلَاةِ؟ فَقَالَ نَعَمْ : قَالَ فَأَجِبْ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Masaajid, Baab Yajab Atyaan Al-Masjid ‘Ali min Sama’a Al-Nidaa, H: 653).)

“Kia tu Namaz ke liye azaan ki awaaz sunta hai?” Us ne ‘arz kiya “Ji haan”

Aap ne farmaaya :”Phir us ki awaaz par labbaik kaho.”

Ek riwaayat mein alfaaz yeh hain ke aap ne farmaaya:

لا أجد لَكَ رُحْصَةٌ

(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Tashdeed fi Al-tark Al-jama’at,)

H: 552; Masnad Ahmad 3423)

“Nahi tumhein koi ijaazat nahi hai.”

Is se yeh waazeh hoa ke tamaam daftaron waghaira ke mulazimeen ke liye bhi yeh zaroori hai ke woh Namaz-e-Zuhr kisi qareebi Masjid mein adaa karen taake Sunnat ke mutaabiq ‘amal ho, Waajib adaa ho, Masjidon mein Namaz ki adaa’igi se peeche rehne ke heelon bahaanon ka sadbaab ho aur Ahl-e-nafaaq ki mushaabihat se ijtinaab ho.

(وصلى الله على نبينا محمد و آله وصحبه وسلم)

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents