Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

587. Namaz ba jama’at adaa karo khuwah Imaam tumhein napasand ho

Namaz ba jama’at adaa karo khuwah Imaam tumhein napasand ho

[Sawaal]

Mein Masjid mein Namaz adaa karne ke liye gaya to dekha ke wahan ek shakhs Imaam hai, Jis ke peeche Namaz padhna mujhe pasand nahi, To is soorat mein mujhe Kia karna chaahiye taake mein jama’at ke ajar-o-sawaab ko haasil kar sakoon?

[Jawab]

Jab aap Masjid mein Namaz ba jama’at adaa karne ke liye jaaein aur logon ko Namaz padhta hue paaein to un ke saath mil kar Namaz adaa karen khuwah Imaam aisa shakhs ho jis ko aap napasand karte hon kyunke Namaz ba jama’at adaa karna waajib hai aur aap ko jab is ka mauq’a mil gaya hai to ab is mein kotaahi karna jaaiz nahi hai.

Ab reh gai yeh baat ke us shakhs ko aap ke napasand karne ka sabab Kia hai? Kia is ka sabab us ke Deen mein khalal hai ya aap dono ke darmiyaan koi zaati dushmani hai? Agar zaati dushmani hai to musalmaan par waajib hai ke woh apne aur apne musalmaan bhai ke darmiyaan keena-o-bughz ko khatam kar ke us se ulfat-o-mohabbat se badal de kyunke Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

اِنَّمَا الۡمُؤۡمِنُوۡنَ اِخۡوَةٌ

(Al-Hujurat 4910)

“Momin to aapas mein bhai bhai hain.”

Aur agar napasandidgi ka sabab Deen mein kharaabi hai, To aap par waajib hai ke us se samjhaayein aur us ke saamne us kharaabi ko waazeh karen taake woh apni islaah kar ke Deen par sahi taur par chale. Deen ki kharaabi ko dekh kar logon ka ek doosre ko chod dena aur dilon mein bughz-o-‘adaawat ko chupaana un momino’n ki shaan ke khilaaf hai, Jin ke baare mein Allah Ta’ala ne farmaaya:

كُنۡتُمۡ خَيۡرَ اُمَّةٍ اُخۡرِجَتۡ لِلنَّاسِ تَاۡمُرُوۡنَ بِالۡمَعۡرُوۡفِ وَتَنۡهَوۡنَ عَنِ الۡمُنۡكَرِ وَتُؤۡمِنُوۡنَ بِاللّٰهِ‌ؕ

(Aal ‘Imraan 3110)

“(Momino!) Jitni Ummatein (Yaane qaumein) logon mein paida huein Tum un sab se behtar ho ke neik kaam karne ko kehte ho aur bure kaamon se mana’ karte ho aur Allah par Imaan rakhte ho.”

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents