591. Kapdon ke maila hone ke bahaane Namaz tark karna
Kapdon ke maila hone ke bahaane Namaz tark karna
[Sawaal]
Mera ek dost motor workshop mein kaam karta hai. Mein us se Namaz padhne ki da’wat deta hoon to woh yeh keh kar meri da’wat ko mustarad kar deta hai ke us ke kapde saaf nahi hain, Us ke liye kapdon ko badalna mushkil hai lehaaza woh ghar wapas jaa kar Namaz padh le ga to us ke is ‘amal ke baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Aap ke mazkoora dost ke liye yeh zaroori hai ke woh Namaz ba jama’at adaa kare, Us ke liye ghar wapas lautne tak Namaz ko muakkhar karna jaaiz nahi hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad hai ke:
مَنْ سَمِعَ النَّدَاءَ فَلَمْ يَأْتِ فَلَا صَلَاةَ لَهُ إِلَّا مِنْ عُذر
(Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab Al-Masaajid-o-Al-Jama’at, Baab Al-Taghleez fi Al-Takhallf ‘an Al-Jama’at, H: 793, Al-Daarqatni 1420, amAl-Hakiam 1245-o- usnadahu ‘Ali shart Muslim)
“Jo shakhs azaan sune aur phir Masjid mein na aae to us ki Namaz nahi hoti illa ke koi (Shar’i) ‘uzr ho.”
Haan albatta kapde agar napaak hon to unhein dhona ya tabdeel kar ke paak kapde pehanna waajib hai. Hum Allah Ta’ala se yeh dua’a karte hain ke woh hum sab ko hidaayat se behrah mand farmaae.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…