598. Ek hi hafta mein ba’az soorton ke baar baar padhne ka hukm?
Ek hi hafta mein ba’az soorton ke baar baar padhne ka hukm?
[Sawaal]
1**
Mein Riyaaz ke muzاafaat mein ek Masjid mein Imaam hoon. Meri mushkil yeh hai ke mein tajweed-o-qira’at mein kamzor hoon aur padhne mein ghaltiyaan bohat karta hoon. mujhe Qur’an-e-Majeed ke teen paare aur ba’az soorton ki ba’az Aayaat yaad hain lekin mein is zimma daari ke baare mein bohat darta hoon. lehaaza baraah-e-Karaam rehnumaai farmaaiye ke Kia main Imaamat ka silsila jaari rakhoon ya must’afi ho jaaon?
[Sawaal]
2**
Hamari Masjid ke ba’az log Namaz-e-Fajr ke ba jama’at adaa karne mein kotaahi karte hain, Main ne unhein baar baar samjhaaya hai lekin be sood To Kia mein un ki mehakma mein shikaayat kar doon ya naseehat karta rahoon?
[Sawaal]
3**
Kia yeh jaaiz hai ke Qur’an-e-Majeed ki ek hi soorat ko hafta mein do baar ya teen ya is se bhi ziyaada daf’a padha jaae? Baraah-e-Karaam rehnumaai farmaaein. (Jazaakum Allah Khaira)
[Jawab]
1**
Aap ko jis qadar Qur’an-e-Majeed yaad hai us ke hifz-o-tajweed mein khoob mehnat karen aur agar aap ki niyyat neik hoi aur aap ne khoob maqdoor bhar koshish ki to phir aap ko Allah Ta’ala ki taraf se khair-o-barkat ki bashaarat ho! kyunke Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
وَمَنۡ يَّـتَّـقِ اللّٰهَ يَجۡعَلْ لَّهٗ مِنۡ اَمۡرِهٖ یُسْرًا
(Al-Talaaq 654)
“Aur jo Allah se dare ga. Allah us ke kaam mein sahulat paida karde ga.”
Aur Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad hai:
الْجَاهِرُ بِالْقُرْآنِ مَعَ السَّفَرَةِ الْكِرَامِ الْبَرَرَةِ، وَالَّذِي يَقْرَأُ الْقُرْآنَ وَيَتَعْتَعُ فِيْهِ وَهُوَ عَلَيْهِ شَاقٌ لَهُ أَجْرَانِ
(Sahih Muslim, Kitaab Salaat Al-Musafireen, Baab Fazal Al-Maahir baal Qur’an, H: 798, Sunan Ibn Majah, Kitab al-Adab, Bab sawaab Al-Qur’an, H: 3779, Masnad Ahmad 698, 170)
“Qur’an-e-Majeed ke maahir ko mu’azziz aur neiko kaar farishton ka saath naseeb ho ga aur jo Qur’an padhta aur us mein atakta hai aur Qur’an padhna us ke liye bohat mushkil hai to us se do guna sawaab mile ga.”
Hum aap ko yeh mashwara nahi dein ge ke istafa de do balkeh yeh mashwara dein ge ke musalsal mehnat aur sabar-o-koshish se kaam lo hatta ke kitaabullah ke mukammal hifz-o-tajweed mein kaamiyaab ho jaao ya Qur’an-e-Majeed ka jitna hissa Allah Ta’ala hifz karne ki toufeeq ‘ataa farmaae Itna hifz kar lo. Allah Ta’ala aap ko toufeeq bakshey aur asaani farmaae.
[Jawab]
2**
Hum aap ko yeh mashwara dein ge ke un logon ko musalsal samjhate raho aur jama’at ke khaas khaas ahbaab ko saath le kar un ke paas bhi jaao aur bataao ke Namaz ba jama’at adaa na karne ke kis qadar nuqsanaat hain aur sab se badi baat yeh hai ke yeh nifaaq ki nishaani hai. Ho sakta hai ke aap logon ki baat ko qubool kar ke yeh log raah-e-raast par aa jaaein. Sahih Hadees se saabit hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:
(أَثْقَلُ الصَّلَاةِ عَلَى الْمُنَافِقِينَ صَلَاةُ الْعِشَاءِ وَصَلَاةُ الْفَجْرِ، وَلَوْ يَعْلَمُوْنَ مَا فِيهِمَا لأتَوْهُمَا وَلَوْ حَبْوا)
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab Fazal Salaat Al-‘Ishaa fi Al-jama’at, H: 657,-O- Sahih Muslim, Kitaab al-Masaajid, Baab Fazal Salaat Al-jama’at-o-Bayaan Al-Tashdeed . . . , H: 651)
“Munaafiqon par sab se bhaari Namaz-e-‘Ishaa aur subah ki Namaz hai aur agar unhein ma’loom ho ke un Namaazon mein kis qadar ajar-o-sawaab hai, To woh zaroor aaein ge khuwah ghutnon ke bal chal kar.”
Isi tarah Nabi (ﷺ) ka Irshaad hai ke:
مَنْ سَمِعَ النَّدَاءَ فَلَمْ يَأْتِ فَلَا صَلَاةَ لَهُ إِلا مِنْ عُذْرِ
(Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab Al-Masaajid-o-Al jama’at, Baab Al-Taghleez fi Al-Takhaluf ‘an Al-jama’at, H: 793, Al-Daarqatni 1420, Al-Haakim 1245, -O-Asnadahu ‘Ali shart Muslim)
“Jo shakhs azaan sune aur Masjid mein Namaz ke liye na aae to us ki Namaz nahi illa yeh ke koi (Ma’qool shar’i) ‘uzr ho.”
Ek naabina aadmi ne Aap (ﷺ) se ijaazat talab ki ke us ke paas koi ma’awoon nahi jo us se Masjid tak le jaa sake to Kia us ke liye ghar mein Namaz padhne ki ijaazat hai? To aap ne farmaaya:
هَلْ تَسْمَعُ النَّدَاءَ بِالصَّلَاةِ؟ قَالَ نَعَمْ: قَالَ فَأَجِبْ
“Kia tum azaan ki awaaz sunte ho?”
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Masaajid, Baab Yajab Atiyaan Al-Masjid ‘Ali min Sama’a Al-Nidaa, H: 653)
Us ne jawaab diya “Haan” To aap ne farmaaya :
“Phir us ki awaaz par labbaik kaho.”
Ek doosri Hadees mein alfaaz yeh hain ke:
لا أَجِدُ لَكَ رُحْصَةٌ
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Tashdeed fi tark Al-jama’at, H: 552,-O- Masnad Ahmad 3423)
“Mein tumhare liye koi ijaazat nahi paata.”
Hazrat ‘Abdullah-bin-Mas’ood رضى الله عنه jo kabaar-e-Sahaaba Karaam mein shumaar hote hain, farmaate hain:
لَقَدْ رَأَيْتُنَا وَمَا يَتَخَلَّفُ عَنْهَا إِلا مُنَافِقٌ مَعْلُومُ النِّفَاقِ
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Tashdeed fi tark Al-jama’at, H: 550,-O- Sunan Ibn-e-Maaja, Kitaab Al-Masaajid-o-Al jama’at, Baab Al-Mashi illa Al-Salaat, H: 777,-O-Al-Lafz lahu)
“Hum ne dekha hai ke Namaz ba jama’at se sirf wahi shakhs peeche rehta tha jo waazeh taur par munaafiq hota tha.”
Har musalmaan ke liye yeh waajib hai ke woh Namaz ba jama’at ki hifaazat kare aur jama’at se peeche rehne mein ehtiyaat kare, Aimmah-e-Masaajid par bhi waajib hai ke Namaz ba jama’at se peeche rehne waalon ko samjhaate rahen, Unhein naseehat karte rahen aur Allah ke ghazab-o-‘iqaab se daraate rahen aur agar woh wa’az-o-naseehat se bhi ba’az na aaein to waajib hai ke Namaz ba jama’at se peche rehne waalon ke ma’amla ko mehakma ke us daftar mein pesh kiya jaae jo mohalla ki Masjid mein hai taake mehakma un ke baare mein qaanooni karwaai kar sake. Hum Allah Ta’ala se sawaal karte hain ke woh tamaam musalmaanon ko neiki-o-taqwa ikhtiyaar karne aur Allah Ta’ala ke ghazab-o-‘aqaab se bachne ki toufeeq ‘ataa farmaae.
[Jawab]
3**
Is baat ki ijaazat hai ke ek soorat ko hafta mein ya ek hi din mein baar baar padh liya jaae, Is ke liye koi paabandi nahi balkeh yeh bhi jaaiz hai ke ek hi Namaz mein Surah Fatiha ke ba’d dono raka’aton mein ek hi soorat ko padh liya jaae jaisa ke sahih Hadees se saabit hai ke
أَنَّهُ قَرَأَ سُورَة إِذَا زُلْزِلَت فِي الرَّكْعَتَيْنِ الأُولَى وَالثَّانية
(Sunan Abi Dawood, Baab Al-Rajal ba’eed soorat Waahidata fi Al-Raka’aten, H: 816)
“Nabi Kareem (ﷺ) ne pehli aur doosri dono raka’aton mein surah Izaa Zulzilat ki tilaawat farmaai.”
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…