Search
600. Nange sar Imaam ki Imaamat ka hukm
Nange sar Imaam ki Imaamat ka hukm
[Sawaal]
Kia yeh jaaiz hai ke Imaam nange sar Namaz padhaae?
[Jawab]
Sar’ Namaz aur ghair Namaz mein mardon ke liye khuwah woh baaligh hon ya nabaaligh satar nahi hai lehaaza us se Namaz aur ghair Namaz ki haalat mein dhaanpna waajib nahi hai lekin hasb-e-‘aadat munaasib libaas ke saath sar ko dhaanpna jab ke us mein shariy’at ki mukhaalifat na ho Zeenat ke qabeel mein se hai lehaaza, hasb-e-zail Irshaad-e-Baari Ta’ala ke mutaabiq Namaz mein sar ko dhaanpna mustahsan ho ga:
يٰبَنِىۡۤ اٰدَمَ خُذُوۡا زِيۡنَتَكُمۡ عِنۡدَ كُلِّ مَسۡجِدٍ
(Al-A’iraaf 731)
“Ae Bani Aadam! Har Namaz ke waqt apne ta’een muzayeen kiya karo”
Imaam ko nisbatan is ka kuch ziyaada hi khayaal rakhna chaahiye.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…