Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

605. Namaz ke ba’d Imaam ka muqtadiyon ki taraf munh karna

Namaz ke ba’d Imaam ka muqtadiyon ki taraf munh karna

[Sawaal]

Main ne ek Masjid mein Namaz padhi , Mein jama’at mein shaamil na ho saka tha lehaaza main ne doosri jama’at ke saath Namaz padhi , Hamara Imaam ghair Sa’udi tha, Namaz ke ba’d woh kuch der tak betha raha aur us ne muqtadiyon ki taraf munh na kiya balkeh woh salaam ke ba’d qibla-e-rukh hi betha raha Mein bhi jaldi mein tha to Kia mere liye yeh sahih tha ke mein Imaam ke hamari taraf munh karne se pehle mein chala jaata ya zaroori tha ke mein intezaar karta?

[Jawab]

Imaam ke liye yeh laazim hai ke woh salaam pherne ke ba’d muqtadiyon ki taraf munh kare aur yeh jaaiz nahi ke salaam pherne ke ba’d muqtadiyon ki taraf munh karne se pehle ziyaada der tak betha rahe. Muqtadiyon ko bhi chaahiye ke woh intezaar karen aur jab tak Imaam un ki taraf munh na kare apni jagah se na haten. Us Imaam ne ghalti ki hai jo salaam ke ba’d ziyaada der tak betha raha hai aur us ne muqtadiyon ki taraf munh nahi kiya lehaaza jab muqtadi ke liye ziyaada intezaar karna garaan ho to woh Imaam ke munh pherne se pehle uth sakta hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents