Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

619. Qasar ke baghair jam’a karna

Qasar ke baghair jam’a karna

[Sawaal]

Kia musaafir ke liye yeh jaaiz hai ke woh Namaazon mein qasar to kare lekin jam’a kar ke na padhe ya jama’ to kare lekin qasar na kare?

[Jawab]

Haan yeh jaaiz hai. albatta musaafir ke liye qasar karna poori Namaz padhne se afzal hai kyunke Allah Ta’ala is baat ko pasand farmaata hai ke us ki ‘ataa kardaah rukhsaton ko qubool kar liya jaae, Jis tarah woh is baat ko pasand karta hai ke us ke muqarrar kardaah waajibaat-o-faraa’iz par ‘amal kiya jaae, Isi tarah mazkoora baala sabab ke pesh-e-nazar musaafir ke liye haalat-e-safar mein Namaazon ko jam’a karna afzal hai.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents