Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

637. Woh musaafat jis mein Namaz qasar ki jaa sakti hai!

Woh musaafat jis mein Namaz qasar ki jaa sakti hai!

[Sawaal]

Kitni musaafat ho to musaafir ke liye Farz Namaz qasar karna jaaiz hai?

[Jawab]

Woh musaafat jis mein Namaz qasar karna jaaiz hai hasb-e-zail Irshaad-e-Baari Ta’ala:

وَاِذَا ضَرَبۡتُمۡ فِى الۡاَرۡضِ فَلَيۡسَ عَلَيۡكُمۡ جُنَاحٌ اَنۡ تَقۡصُرُوۡا مِنَ الصَّلٰوةِ ‌ۖ اِنۡ خِفۡتُمۡ اَنۡ يَّفۡتِنَكُمُ الَّذِيۡنَ كَفَرُوۡا‌

(Al-Nisaa 4101)

“Aur jab tum safar ko jaao to tum par kuch gunaah nahi ke Namaz ko kam kar ke padho basharteke tum ko khauf ho ke kaafir log tum ko eza dein ge.”

Mutlaq hai aur is ki koi ta’een nahi ki gai hai ke yeh musaafat-e-taweel ho ya qaseer lehaaza ba’az Ahl-e-ilm ka yeh qawl hai ke har woh musaafat jis se ‘Urf mein safar kaha jaa sakta ho us mein Namaz qasar ki jaa sakti hai kyunke Kitaab-o-Sunnat mein lafz zarb (Zameen mein safar karna) mutlaqan iste’maal hoa hai jab ke Ahl-e-ilm ki ek jama’at ne is ki is tarah hadd-e-bandi bhi ki hai ke jab musaafat darmiyaane darja ke do din ki ho yaane qareeban assi (80) kilometer ho to phir qasar karni chaahiye lekin ziyaada sahih pehla qawl hai ke mu’ayan musaafat ki hadd-e-bandi muqarrar nahi balkeh jis se ‘urfan safar kaha jaae, Us mein Namaz qasar karna jaaiz hai.

__Fatawa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents