639. Ta’leem ki wajah se Namaazon ko jam’a karna
Ta’leem ki wajah se Namaazon ko jam’a karna
[Sawaal]
Mein akser auqaat ‘Asar aur Maghrib ki Namaazon ko jam’a kar ke padhta hoon aur is ka sabab yeh hai ke mein Bartania mein zer-e-ta’leem hoon aur jis university mein padhta hoon wahan Wuzu aur Namaz ke liye jagah ka intezaam nahi hai, To Kia mere liye yeh jaaiz hai ke ‘Asar ko Maghrib ke saath padh loon ya ‘Asar ko kam az kam dedh ghanta mu’akkhar kar ke adaa karoon?
[Jawab]
Do Namaazon ko kisi ‘uzr ki wajah se hi jam’a kar ke adaa kiya jaa sakta hai maslan yeh ke musla dhaar barish ho, Musalsal safar ho ya shadeed marz ho lekin kisi ‘uzr ke baghair jam’a karna jaaiz nahi aur phir Zuhr-o-‘Asar ko un mein se kisi ek ke waqt mein aur Maghrib-o-‘Ishaa ko un mein se kisi ek ke waqt mein jam’a taqdeem-o-taakheer ki soorat mein adaa kiya jaa sakta hai, Baghair ‘uzr ke Namaz ko us ke waqt-e-muqarrarah se mu’akkhar karna bhi jaaiz nahi aur khusoosan Namaz-e-‘Asar ko to us ke muqararah waqt par adaa karne ka bataur-e-khaas hukm hai ke Hadees mein hai jis ki Namaz-e-Asar Faut ho gai ,Us ka goya Ahl-o-maal tabaah ho gaya. (1) Saa’il ne chunki zikr kiya hai ke university mein Wuzu aur Namaz ke liye jagah ka intezaam nahi hai lehaaza woh joonhi apni class se faarigh ho aur ‘uzr khatam ho jaae, us se ghuroob-e-Aftaab se pehle pehle foran Namaz adaa karni chaahiye. Wallahu Al-Muwaffiq.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
(1) Sunan Abi Dawood’ Kitaab Al-Salaat’ Baab Waqt Al-‘Asar, H: 414-O-Sunan Al-Nisaa’i’ Kitaab Al-Mawaqiyat, Baab Al-Tashdeed fi taakheer Al-‘Asar, H: 513.
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…