Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

659. Bairoon-e-mulk muqeem shakhs do saal se Jumm’a nahi padh raha

Bairoon-e-mulk muqeem shakhs do saal se Jumm’a nahi padh raha

[Sawaal]

Ek shakhs kehta hai ke woh do saal se Riyaa sat haaye Muttahida mein ta’leem ke liye muqeem hai, Wahan Masjidein nahi hain lehaaza woh do saal se Namaz-e-Jumm’a nahi padh raha to is ke baare mein Kia hukm hai?

[Jawab]

Jo ta’leem ke liye kisi mulk mein bheja gaya ho, Woh muqeem hi ke hukm mein hai aur agar wahan musalmaanon ki ek Jama’at muqeem ho to un ke saath mil kar Jumm’a adaa karna us ke liye laazim hai lehaaza agar tumhari tadaad teen ya is se ziyaada ho to kisi ghar ya baagheecha waghaira mein Jumm’a padh lo Tum mein se koi shakhs azaan de aur jo Qur’an-e-Majeed ziyaada jaanta ho woh khutba-o-Imaamat ke faraaiz anjaam de.

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai

يٰۤاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِذَا نُوۡدِىَ لِلصَّلٰوةِ مِنۡ يَّوۡمِ الۡجُمُعَةِ فَاسۡعَوۡا اِلٰى ذِكۡرِ اللّٰهِ

(Al-Jumm’a 629)

“Momino! Jab Jumm’a ke din Namaz ke liye azaan di jaae to Allah ki yaad (yaane Namaz) ke liye jaldi karo.”

Nabi Kareem (ﷺ) ne to Namaz-e-Jumm’a ke liye kisi ‘adad mu’ayyan ki shart bayaan nahi farmaai lekin aap ki Sunnat aur Ahl-e-ilm ke ijma’a se yeh ma’loom hota hai ke Jumm’a ke liye ek Jama’at ka hona zaroori hai (Aur ta’daad do se ziyaada ho to us se Jama’at kehte hain) Aur phir Iqaamat-e-Jumm’a mein muqeem logon aur ‘aam musalmaanon ke liye bohat si maslihatein bhi hain.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents