Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

667. Us shakhs ki Namaz-e-Jumm’a jo musaafir ke hukm mein ho

Us shakhs ki Namaz-e-Jumm’a jo musaafir ke hukm mein ho

[Sawaal]

Kia hamare liye yahan Haspaaniya mein Namaz-e-Jumm’a Farz hai jab ke yahan koi Masjid nahi hai aur hum log yahan ‘ilm haasil karne ke liye aae hain?

[Jawab]

Ahl-e-ilm ne saraahat ki hai ke aap jaise logon ke liye Jumm’a waajib nahi hai balkeh agar aap log Jumm’a padh bhi lein to us ki sehat mEhel-e-nazar hai. Aap ke liye Namaz-e-Zuhr waajib hai kyunke aap ki musaafiron aur baadiya nasheen logon se mushaabihat hai aur Jumm’a to un logon par waajib hai jo kisi ‘ilaaqe ke mustaqil rehne waale hon aur us ki daleel yeh hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne musaafiron aur baadiya nasheen logon ko Jumm’a ka hukm nahi diya aur Nabi (ﷺ) ne apne safaron mein khud bhi Jumm’a ka ehtimaam nahi farmaaya Hazraat Sahaaba Karaam رضى الله عنهم se bhi haalat-e-safar mein Jumm’a padhna saabit nahi. Ahadees-e-sahiha se yeh saabit hai ke Aap (ﷺ) ne hajjat-ul-Wida’ ke mouq’a par ‘Urfa mein Jumm’a nahi padha tha balkeh Jumm’a ke din Namaz-e-Zuhr adaa farmaai thi. Aap ne haajiyon ko bhi Jumm’a padhne ka hukm nahi diya kyunke woh musaafiron ke hukm mein the. Alhamdulillah! Ahl-e-Islam mein is masla mein koi ikhtilaaf nahi hai haan albatta ba’az Tabi’een se jo ikhtilaaf manqool hai to woh shaaz aur naqaabil-e-lifaat hai. Haan albatta aap wahan ke musalmaan muqeem logon ko Jumm’a padhte hue dekhen to phir aap jaise logon ko jo is mulk mein ‘aarzi taur par ta’leem ya tijaarat waghaira ki gharz se muqeem hain, chaahiye ke Jumm’a padhne ke ajar-o-sawaab ke husool ke liye un ke saath mil kar Namaz-e-Jumm’a adaa kar lein.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents