670. Tashahhud mein Imaam ke saath milna
Tashahhud mein Imaam ke saath milna
[Sawaal]
Jab mein Masjid mein jaaon aur Imaam Namaz-e-Jumm’a mein haalat-e-tashahhud mein ho to Kia mein Jumm’a ki Namaz padhoon ya Zuhr ki?
[Jawab]
Jab koi shakhs Namaz-e-Jumm’a mein sajdah ya tashahhud mein aakar mile to us se Jumm’a ke bajaae Namaz-e-Zuhr padhni ho gi kyunke Jumm’a ke liye zaroori hai ke kam az kam ek raka’at zaroor paa le kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad hai ke:
مَنْ أَدْرَكَ رَكْعَةً مِنَ الصَّلَاةِ فَقَدْ أَدْرَكَ الصَّلاةَ
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Masaajid, Baab Mati Yaqaum Al-Naas lilsalaat, H: 607)
“Jis ne Namaz ki ek raka’at paa li’ Us ne Namaz ko paa liya.”
Aur Isi tarah Aap (ﷺ) ka ye bhi Irshaad ha kei:
مَنْ أَدْرَكَ رَكْعَةً مِنَ الْجُمُعَةِ فَلْيُضِفْ إِلَيْهَا أُخْرَى وَقَدْ تَمَّتْ صَلَاتُهُ
(Sunan Al-Daarqatni 210,11 ,13)
“Jis ne Jumm’a ki ek raka’at paa li woh us ke saath doosri raka’at bhi mila le Us ki Namaz ho gai.”
In dono Hadeeson se yeh ma’loom hoa ke jo shakhs Jumm’a ki ek rakd’at bhi na paa sakeh us ka Jumm’a Faut ho gaya lehaaza us se Zuhr ki Namaz padhni chaahiye. Wallahu waali Al-Toufeeq.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…