Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

673. Kia Jumm’a ke liye chaalees aadmiyon ka hona shart hai?

Kia Jumm’a ke liye chaalees aadmiyon ka hona shart hai?

[Sawaal]

Main ne ba’az kitaabon mein yeh padha hai ke iqaamat-e-Jumm’a ki sharaait mein se yeh bhi hai ke chaalees aise aadmi hon jin par Namaz waajib ho lekin “Al-da’wat” mein Samaahat-ul-Shaikh ka yeh fatwa shay’a hoa hai ke Imaam ke saath agar do aadmi bhi hon to Jumm’a qaaim kiya jaae ga. To in donon baaton mein tatbeeq kis tarah ho gi?

[Jawab]

Ahl-e-ilm ki ek jama’at ka yeh qawl hai ke iqaamat-e-Jumm’a ke liye chaalees aadmiyon ka hona shart hai. Hazrat Imaam Ahmad-bin-Hanbal رحمة الله ka bhi yehi qawl hai lekin raajeh qawl yeh hai ke chaalees aadmiyon se kam ke saath bhi Jumm’a padhna jaaiz hai aur kam az kam tadaad teen hai jis tarah ke is fatwa mein bayaan kiya gaya hai jis ki taraf sawaal mein ishaarah kiya gaya hai kyunke chaalees ke ‘adad ke baare mein koi daleel nahi hai,aur woh Hadees jis mein chaalees aadmiyon ki shart ka zikr hai, Woh za’eef hai jaisa ke Hafiz Ibn-e-Hajar ne “Buloogh Al-Maraam” mein zikr farmaaya hai.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents