Search
674. Jumm’a ke liye Namaaziyon ki tadaad
Jumm’a ke liye Namaaziyon ki tadaad
[Sawaal]
Namaz-e-Jumm’a aur iqaamat-e-khutba ke liye Namaaziyon ki kam az kam kitni tadaad-e-shart hai?
[Jawab]
Is masla mein Ahl-e-ilm mein bohat ikhtilaaf hai aur is maslah mein sab se ziyaada sahih qawl yeh hai ke agar Imaam aur us ke saath do muqtadi yaane kul teen Namazi hon to Jumm’a ho sakta hai. Yaane agar kisi basti mein teen mukallaf Azaad aur muqeem mard hon to woh Jumm’a qaaim karen aur Namaz-e-Zuhr na padhen kyunke Namaz-e-Jumm’a ki mashroo’iyat aur farziyat ke dalaail ke ‘umoom se ma’loom hota hai ke teen ya us se ziyaada aadmi hon to un ke liye Namaz-e-Jumm’a adaa karna Farz hai.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…