Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

679. Khutba-e-Jumm’a ke dauraan bawaqt-e-dua’a haathon ko uthaana

Khutba-e-Jumm’a ke dauraan bawaqt-e-dua’a haathon ko uthaana

[Sawaal]

Khutba-e-Jumm’a ke dauraan Imaam ki dua’a par muqtadiyon ke ameen ke mouq’a par haathon ke uthaane ke baare mein Kia hukm hai? Nez is mouq’a par buland awaaz se Ameen kehne ke baare mein Kia hukm hai?

[Jawab]

Khutba-e-Jumm’a mein dua’a ke liye haath uthaane ki Imaam ya muqtadiyon ko shar’an ijaazat nahi ha kyunke Rasoolullah (ﷺ) aur aap ke khulafa-e-raashideen se is tarah saabit nahi hai, Haan albatta agar khutba-e-Jumm’a mein baarish ke liye dua’a ki jaa rahi ho to phir Imaam aur muqtadiyon donon ke liye haath utha kar dua’a karna jaaiz hai kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne jab khutba-e-Jumm’a mein baarish ki dua’a maangi to aap ne khud bhi donon haathon ko utha liya aur logon ne bhi dua’a ke liye apne haathon ko uthaaya tha aur farmaan-e-Baari Ta’ala hai:

لَقَدۡ كَانَ لَكُمۡ فِىۡ رَسُوۡلِ اللّٰهِ اُسۡوَةٌ حَسَنَةٌ

(Al-Ahzaab 3321)

(Muslamaano!) tumhare liye Rasoolullah (ﷺ) ki zaat mein behtareen aur ‘umdaah namoona maujood hai .

Agar awaaz buland kiye baghair muqtadi aahista se Imaam ki dua’a par Ameen kehte jaaein to mere ‘ilm ke mutaabiq is mein koi harj nahi. Wa Billah Al-Toufeeq

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents