Search
Sections
< All Topics
Print

AHL-E-BAIT KA MUQAAM-O-MARATABA

Ahle Bait Aur Unka Maqaam Aur Martaba

Kaainaat Ki Sab Se Afzal Hasti,Saiyyadul Bashar Aur Imaamul Ambiya Ke Gharane Walo Ko Ahle Bait Kaha Jata Hai. Is Nasab Aur Khandaan Se Hona Duniya Ka Sab Se Bada Awards And Honors Hai,Yahi Wajah Hai Ke Bahut Se Arbi Aur Ajmi Musalmaan Is Award Aur Honor Ko Pane Ke Liye Bagair Sabut Ko Khud Ko Saiyyadi,Haashmi Aur Saadaati Likhte Aur Batlaate Hai. Ahle Bait Ke Naam Par Sirf Awards Aur Honors Paane Ki Baat Nahi Hai Balke Muslim Samaj Ko Bade Afsosnaak Masail Bhi Dar Paish Hai,Aapas Me Khulfishaar,Tanaaze,Sab Wa Shitam Aur Takfeer Aur Tazleel Ke Bhayanak Asraat Paae Jaate Hai. Mene Is Mazmoon Me Ikhtisaar Ke Sath Ahle Bait Ke Maqaam Aur Martaba Ko Ujaagar Karne Ki Koshish Ki Hai,Dil Me Ek Choti Si Niyat Yah Rakhi Hai Ke Log Ahle Bait Ko Jane Aur Unko Sahih Maqaam De Aur Is Babat Naasbiyat Aur Rafzi Se Parhez Kare. Naasbiyat Kya Hai,Ahle Bait Ko Taklif Pohnchana,Un Ko Sab Aur Shitam Karna Aur Unke Shaan Me Gustakhi Karna Aur Rafziyat Naam Hai Ahle Bait Ke Naam Par Chand Afraad Ki Muhabbat Me Had Se Ziyada Gulu Karna Aur Digar Ahle Bait Aur Bahut Sare Sahaba Ko Laan Aur Taan Karna.
Ahle Bait Kon Hai Pehle Yah Baat Jaan Lete Hai Kuy Ke Awaam Ki Aksariyat Ko Ahle Bait Ka Bhi Sahih Ilm Nahi Hai. Ahle Bait Ka Mani Gharaane Wale,Is Se Muraad Nabi SAV Ke Woh Jumla Ahle Khana Jin Par Sadqah Haraam Hai. Unme Aap Ki Aulaad (Zainab,Ruqaiyah,Unme Kulsum,Aur Fatimah) Nawase,Nawasiya Aap Ke Chacha(Hamzah & Abbas)Aap Ki Phuphi(Safiyah) Aap Ki Tamam Biwiya(Khadijah,Aaisha Saudah,Hafsa,Umme Salmah,Zainab Bint Khuzaimah,Juweriyah,Safiyah,Umme Habibah,Maimoonah Aur Zainab Bint Jahash)Aur Banu Hashim Ke Sare Musalman Mard Aur Aurat Shamil Hai.
Nabi SAV Ki Betiya Ahle Bait Me Hai Iski Daleel Ki Zaroorat Nahi Hai Taham Chacha Bhi Ahle Bait Me Se Hai,Uski Khaas Daleel Paish Karta Hu. Nabi SAV Ki Chacha Haaris Ke Bete Rabi’ah Aur Rabi’ah Ke Bete Abdul Muttalib Jo Ke Sahabi Hai Aur Un Se Hadees Bhi Marvi Hai(Yah Abdul Muttalib Bin Rabi’ah)Aur Nabi SAV Ke Chacha Abbas RA Ke Bete Fazal Dono Aap Ki Khidmat Me Haazir Hue Aur Kaha Ke Hame Maal Sadqah Par Aamil Aur Mazdoor Muqarrar Kar Le Taaki Is Kamaai Se Shaadi Ki Taiyari Kar Sake To Aap SAV Ne Farmaya:

ان الصدقة لا تنبغي لآل محمد انما هي اوساخ الناس.(مسلم:١٠٧٢)

Tarjumah:Aale Muhammad Ke Liye Sadqah Rawa Nahi,Yah To Logo(Ke Maal)Ka Mail Kuchail Hai.

Sahih Bukhari Me Hai Ke Khaibar Ke Khums Me Se Nabi SAV Ne Banu Hashim Aur Banu Muttalib Ko Diya Aur Dusare Quraish Ko Na Diya To Jubair Bin Mutim Aur Usmaan Bin Affan RA Nabi SAV Ke Paas Aae Aur Arz Ki Ke Aap Ne Banu Muttalib Ko To Maal Diya Magar Hame Nazar Andaaz Kar Diya Jab Ke Ham Aur Woh Aap Se Ek Hi Darje Ki Qarabat Rakhte Hai Us Par Aap SAV Ne Farmaya:

انما بنو المطلب وبنو هاشم شيء واحد.(صحيح بخاري:٣١٤٠)

Tarjumah: Banu Muttalib Aur Banu Hashim To Ek Hi Chiz Hai.

Ek Rivayat Me Yah Ziyada Hai Jubair Bin Mut’im RA Ne Kaha Ke Nabi SAV Ne Banu Shams Aur Banu Naufal Ko Nahi Diya Tha. Banu Hashim,Banu Muttalib,Banu Shams Aur Banu Naufal Yah Aapas Me 4 Bhai The Magar Aap Ne Sirf Do Ko Khumas Diya Aur Un Dono Ko Ek Qaraar Diya,Is Wajah Se Kuch Ahle Ilm Ne Yah Istidlaal Kiya Hai Ke Ahle Bait Me Jin Par Sadqah Haraam Hai Unme Banu Hashim Ke Sath Banu Muttalib Bhi Hai Yani Banu Hashim Ki Tarah Banu Muttalib Bhi Ahle Bait Me Shaamil Hai.

Muslim Sharif Me Ek Rivayat Hai Jis Se Shia,Awaam Ko Yah Dhoka Dete Hai Ke Azwaaje Mutahiraat Aale Bait Me Se Nahi Hai. Woh Rivayat Is Tarah Se Aai Hai.

فقلنا من اهل بيته؟نساؤه؟ قال: لا. (مسلم:2408)

Tarjumah: Ham Ne Kaha Aale Bait Kon Log Hai Nabi Ki Biwiya?To Unhone Kaha Ke Nahi.

Iska Asal Tarjumah Aur Mafhum Is Tarah Hai Ke Ham Ne Unse Pucha:Aap Ke Ahle Bait Kon Hai?(Sirf)Aap Ki Azwaaj?To Unhone Kaha Ke(Sirf Aap Ki Azwaaj) Nahi. Yani Aap SAV Ki Azwaaj Ke Alawah Aur Dusre Bhi Aale Bait Me Shamil Hai Chunacha Muslim Sharif Me Hi Is Se Pehle Wali Hadees Ke Alfaz Hai.

فقال له حصين:ومن اهل بيته؟يا زيد أليس نساؤه من اهل بيته؟قال نساؤه من اهل بيته.

Tarjumah:Husain Ne Kaha Ke Ay Zaid! Aap SAV Ke Ahle Bait Kon Se Hai Kya Aap Ki Azwaaj E Mutahiraat Ahle Bait Nahi Hai?Zaid Ne Kaha Ke Azwaaje Mutahiraat Bhi Ahle Bait Me Daakhil Hai.

Muslim Ki Ek Aur Rivayat Se Dhoka Diya Jata Hai Ke Quran Me Mazkoor Ahle Bait Ki Tafseer Me Sirf 4 Log Hi Shamil Hai,Ali,Fatimah Hasan Aur Husain Hai. Rivayat Is Tarah Se Hai.

Ummul Moamneen Aaisha RA Kehti Hai:

خرج النبي صلى الله عليه وسلم غداة وعليه مرط مرحل من شعر اسود فجاء الحسن بن علي فادخله ثم جاء الحسين فدخل معه ثم جاءت فاطمة فادخلها ثم جاء علي فادخله ثم قال (انما يريد الله ليذهب عنكم الرجس اهل البيت ويطهركم تطهيرا.)
(الاحزاب:٣٣)

Tarjumah: Rasool SAV Subah Ki Nikle Aur Aap SAV Ek Chadar Use Hue The Jis Par Kajawo Ki Surate Aur Handiyo Ki Surate Bani Hui Thi. Itne Me Hasan RA Aae To Aap Ne Unko Is Chadar Ke Andar Kar Liya Fir Husain RA Aae Unhe Bhi Usme Dakhil Kar Liya Fir Fatimah RA Aae To Unko Bhi Unhi Ke Sath Shamil Kar Liya Fir Ali RA Aae To Unko Bhi Shamil Kar Ke Farmaya Ke Allaah Chahta Hai Ke Tum Se Napaaki Ko Door Kare Aur Tum Ko Paak Kare Ay Ghar Walo.

Is Hadees Me 4 Afraad Ke Zikar Ka Hargiz Matlab Nahi Ke Ahle Bait Me Un 4 Ke Alawah Dusre Afraad Shamil Nahi Hai,Aayat Me Aslan Khitaab Azwaaje Mutahiraat Ko Hai Is Wajha Se Woh Qatai Taur Par Ahle Bait Me Shamil Hai Jaisa Ke Upar Sahih Muslim Ki Sareeh Hadees Bhi Guzri Hai Aur Bhi Deegar Dalaail Aur Shawaahid Hai Ke Aap SAV Ki Biwiya Aur Chacha Sab Bhi Ahle Bait Me Hai.

Aaisha RA Ke Paas Khalid Bin Saeed Ne Sadqah Ke Taur Par Gaae Bheji To Unhone Kaha Ke Beshak Ham Aale Muhammad Ke Liye Sadqah Halaal Nahi Hai.(Musannaf Ibne Abi Shaibah:10708)

Aur Abbas Aur Rabi’ah Ke Beto Ko Nabi SAV Ne Sadqah Ki Kamaai Se Nikaah Na Kar Ke Maal E Khumus Se Nikaah Karaya Tha Jis Ka Zikar Bhi Upar Ho Chuka Hai.

Ahle Bait Ke Maqaam Aur Martaba Ko Ujaagar Karte Hue Allaah Rabbal Izzat Ne Irshaad Farmaya:

انما يريد الله ليذهب عنكم الرجس اهل البيت ويطهركم تطهيرا. (الاحزاب:٣٣)

Tarjumah: Allaah Yahi Chahta Hai Ke Ay Nabi Ke Ghar Waliyo! Tum Se Woh Har Qisam Ki Gandagi Ko Door Kar De Aur Tumhe Khub Paak Kar De.

Is Aayat Ki Roshni Me Ahle Bait Khususan Azwaaje Mutahiraat Ko Pakigzi,Aala Fazilat Aur Buland Maqaam Aur Martaba Ka Pata Chalta Hai. Wasilah Bin Asq’a RA Bayan Karte Hai Ke Mene Rasool SAV Ko Yah Farmaate Hue Suna:

ان الله اصطفى كنانة من ولد إسماعيل،واصطفى قريشا من كنانة واصطفاني من بني هاشم.

(Muslim Sharif:2276)

Tarjumah: Allaah Ne Ismail Alyhis Salaam Ki Aulaad Me Se Kinanah Ko Muntakhab Kiya Aur Kinanah Me Se Quraish Ko Muntakhab Kiya Aur Quraish Me Se Banu Hashim Ko Muntakhab Kiya Aur Banu Hashim Me Se Mujh Ko Muntakhab Kiya.

Gadeer E Kham Ke Muqaam Par Apne Khitaab Me Kitabullaah Ki Targeeb Aur Tamssuk Ke Baad Aap SAV Ka 3 Martaba Yah Kehna Badi Ahmiyat Ka Hamil Hai.

أذكركم الله في اهل بيتي،أذكركم الله في اهل بيتي، أذكركم الله في اهل بيته.(مسلم شريف:2408)

Tarjumah: Me Allaah Ki Yaad Dilata Hu Tum Ko Apne Ahle Bait Ke Baab Me,Me Allaah Ki Yaad Dilata Hu Tum Ko Apne Ahle Bait Ke Baab Me,Me ALLAAH Ki Yaad Dilata Hu Ahle Bait Ke Baab Me.
Sahih Muslim Me Saad Bin Waqqaas Se Marvi Hai.

ولما نزلت هذه الاية:فقل تعالوا ندع ابناءنا وابناءكم. دعا رسول الله صلى الله عليه وسلم عليا وفاطمة وحسنا وحسينا فقال:اللهم هؤلاء اهلي.(مسلم شريف:2404)

Tarjumah:Aur Jab Yah Aayat Utri Bulaae Ham Apne Beto Ko Aur Tum Apne Beto Ko.(Yani Aayat E Mubaahila)To Aap SAV Ne Bulaya Ali RA Ko Fatimah RA Ko Hasan RA Ko Husain RA Ko Fir Farmaya:Ya Allaah! Yah Mere Ahal Hai.

Nabi SAV Ka Farmaan Hai:

 

كل سبب ونسب منقطع يوم القيامة إلا سببي ونسبي.(السلسلة الصحيحة:2036)

Tarjumah:Qayamat Ke Din Har Wasta Aur Nasabi Talluq Khatam Ho Jaae Ga Albatta Mera Wasta Aur Nasabi Talluq Qaaim Rahe Ga.

Qur’aan Ki Aayat Se Bhi Yah Mafhum Wazeh Hota Hai Allaah Ka Farmaan Hai:

فإذا نفخ في الصور فلا انساب بينهم يؤمئذ ولا يتساءلون.(المؤمنون:101)

Tarjumah:p: as Jab Ke Soor Phunk Diya Jaae Ga Us Din Na To Aapas Ke Rishte Hi Rahen Ge Na Aapas Ki Puch Gachh.

Ahle Bait Ke Bade Fazaail Milte Hai Yah Minjumla Ahle Bait Se Mutalliq Chand Fazaail The,Agar Fardan Fardan Rasool Ke Ahle Bait Ke Fazaail Bayan Kiye Jaae To Kai Books Taiyar Ho Jaae Gi. Ahle Ilm Ne Alag Alag Tariqe Se Fazaail Bayan Bhi Kiye Hai. Muhaddiseen Ne Hadees Ki Book Me Naamo Se Baab Qaaim Kiya Hai Jab Ke Seerat Nigaaro Ne Alag Alag Mustaqeel Kitabe Bhi Tarteeb Di Hai.

Bahar Haal! Ahle Bait Rue Zameen Par Paak Hastiyo Ka Naam Hai Inki Izzat Aur Tauqeer Unka Ahtaraam Aur Taqddus Aur Unse Muhabbat Aur Aqeedat Musalmano Ka Juz Aur Imaan Hai Aur Jo Ahle Bait Me Se Kisi Fard Se Bhi Dushmani Rakhta Hai Woh Munaafiq Aur Naasbi Hai.

قال علي والذي فلق الحبة وبرا النسمة انه لعهد النبي الأمي صلى الله عليه وسلم الي ان لا يحبني إلا مؤمن ولا يبغضني إلا منافق.(صحيح مسلم:78)

Tarjumah: Ali RA Ne Farmaya:Qasam Hai Uski Jis Ne Dana Cheera(Fir Usne Ghaas Ugaai)Aur Jaan Banaai. Rasool SAV Ne Mujh Se Ahad Kiya Tha Ke Nahi Ahad Rakhe Ga Mujh Se Magar Moamin Aur Nahi Dushmani Rakhe Ga Mujh Se Magar Munaafiq.

Yah Mazmoon Jis Maqsad Ke Tahat Likha Hu Woh Yah Hai Ke Log Ahle Bait Ko Jaane Ke Kon Kon Log Isme Dakhil Hai Fir Un Nufus E Qudsiyah Ki Tauqeer Isi Tarah Baja Laae Jis Tarah Qur’aan Aur Hadees Me Hamari Rehnumaai Ki Gai Hai. Na To Unki Shaan Me Gustakhi Kare Jis Tarah Nawaasib Aur Khawaarij Karte Hai Aur Na Hi Gulu Kare Jis Tarah Shi’a Aur Raafzi Karte Hai. Ummat E Muhammadiya Me Rasool SAV Ke Baad Sab Se Afzal Hasti Abu Baqar Fir Umar Fir Usmaan Hai Jaisa Ke Abdullaah Bin Umar RA Se Rivayat Hai:

كنا نقول ورسول الله صلى الله عليه وسلم حي أفضل امة النبي صلى الله عليه وسلم بعده أبو بكر،عمر،عثمان.(ابي داؤد:4628)

Tarjumah:Ham Kaha Karte the Jab Ke Rasool SAV Zindah The Nabi SAV Ki Ummat Me Aap SAV Ke Baad Sab Se Afzal Abu Bakar, Fir Umar Fir Usmaan.

Yah Aqeedah Na Sirf Aam Sahaba Ka Tha Balke Ali RA Bhi Yahi Mante Aur Aqeedah Rakhte The Chunacha Ali RA Ke Bete Muhammad Bin Hanfiyah Se Marvi Hai Kehte Hai Ke Me Apne Walid Se Pucha:

اي الناس خير بعد رسول الله صلى الله عليه وسلم؟قال:أبو بكر،قال قلت ثم من؟ثم عمر قال ثم خشيت أن أقول ثم من فيقول عثمان فقلت ثم انت يا ابة قال ما انا إلا رجل من المسلمين.(ابي داؤد:4629)

Tarjumah:Rasool SAV Ke Baad Sab Se Afzal Kon Hai?Unhone Kaha Abu Bakar RA Mene Kaha Fir Kon?Kaha Umar RA Fir Mujhe Andesha Hua Agar Mene Pucha Unke Baad Kon To Kahenge Usmaan RA To Mene Az Khud Keh Diya Fir To Aap Ho Gae Abba Jaan!Woh Kehne Lage Ke Me To Musalmaano Me Se Ek Aam Aadmi Hu.
Shi’a Ke Yaha Yah Tarteeb Nahi Hai Woh Ali RA Ko Hi Pehla No Dete Hai Aur Phailaae Salasa Abu Baqar,Umar,Usmaan Ke Khilaaf Bad Zubaani Karte Hai,Galiya Dete Hai Is Qadar Adawat Hai Ke Un Naamo Par Apne Bachcho Ka Naam Bhi Nahi Rakhte,Aur 4 Log(Ali,Fatimah,Hasan, Husain)Ke Alawah Ahle Bait Me Kisi Ko Tasleem Nahi Karte.

Abu Baqar RA Ki Ahle Bait Se Muhabbat Dekhe:

والذي نفسي بيده لقرابة رسول الله صلى الله عليه وسلم احب الي ان أصل من قرابتي. (البخاري:4240)

Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Hath Me Meri Jaan Hai Rasool SAV Ki Qarabat Ke Sath Sila Rehmi Mujhe Apni Qarabat Se Sila Rehmi Se Ziyada Azeez Hai.

Umar RA Allaah Se Dua Karte Hue Kehte Hai:

اللهم انا كنا نتوسل إليك بنبينا صلى الله عليه وسلم فتسقينا وانا نتوسل إليك بعم نبينا فاسقنا.(البخاري: 3710)

Tarjumah:Ay Allaah Pehle Ham Apne Nabi SAV Se Barish Ki Dua Karate The Tu Hame Sairaabi Ata Karta Tha Aur Ab Ham Apne Nabi Ke Chacha (Abbas Bin Muttalib)Ke Zariya Barish Ki Dua Karte Hai.

Usmaan RA Ka Haal Dekhe,Jab Woh Apne Ghar Me Mehsoor Kar Diye Gae To Us Waqt Waha Hasan Aap Ki Difa’a Ke Liye Talwaar Ke Sath Maujud The Aur Ladna Chahte The Magar Usmaan RA Ne Allaah Ka Wasta De Kar Unhe Apne Ghar Bhej Diya Taaki Unko Koi Taklif Na Pohnche.

(Albidayah Wan Nihayah:11/193)

Bila Shuba Yah Log Ahle Bait Se Muhabbat Karte Aur Ahle Bait Bhi Unse Muhabbat Karte. Ali RA Ke Beto Me Hasan Aur Husain Ke Alag Abu Baqar,Umar,Usmaan Bhi Hai. Hasan Aur Husain Ki Aulaad Me Bhi Abu Baqar Aur Umar Maujud Hai Balke Karbala Me Husain Ke Bete Abu Baqar Aur Umar Aur Husain Ke Bete Umar Bhi Shaheed Hue.

Shi’a Ki To Baat Chode,Musalmano Ka Ek Makhsus Tabqah Bhi Shi’a Ki Tarah Jab Ali Aur Jab Husain Me Gulu Karta Hai Aur Dusre Musalmano Ko Bilkhusus Ahle Hadees Ko Ahle Bait Ka Gustaakh Kehta Hai Aur Ahle Hadees Ulma Ko Nasbi Keh Kar Pukarta Hai. Ahle Hadees Jamaat Manhaj E Salaf Par Gamzan Hai Woh na Gulu Karti Hai Aur Na Hi Ahle Bait,Auliya,Saleheen Aur Aimma Ki Shaan Me Gustakhi Karti Hai. Yah Jamat Un Logo Ki Wah Maqaam Deti Hai Jo Allaah Aur Uske Rasool Ne Diya Hai.

Ali RA Ka Maqaam Abu Bakar Aur Umar Aur Usmaan Ke Baad Hai,Ahle Hadees Wahi Maqaam Dete Hai Yah Ek Insaan The Insaan Hi Mante Hai Jab Ke Gulu Karne Wale Ali RA Ko Mushkil Kusha Kehte Hai Aur Uluhiyat Ke Muqaam Par Faaiz Kar Dete Hai Yah Ek Sarasar Shirk Hai Aysa Aqeedah Rakhne Wala Mushrik Ho Jata Hai. Sahih Ahadees Me Ali RA Ke Be Shumaar Fazaail Hai Magar Gulu Karne Walo Ne Bilkhusus Rafzi Ne Aap Ki Shaan Me Is Qadar Jhoothi Ahadees Kisi Aur Sahabi Ke Bare Me Nahi Ghadi Hai. Is Wajah Se Fazaail E Ali RA Me Hame Jab Bhi Koi Hadees Mile To Pehle Is Ki Sahat Jane Ke Kya Yah Hadees Sahih Hai Ya Zaeef Hai?
Huzaifah RA Ko Mukhatab Karte Hue Fatimah Hasan Aur Husain Ke Bare Me Nahi SAV Farmaate Hai.

ان هذا ملك لم ينزل الأرض قط قبل الليلة استأذن ربه ان يسلم علي ويبشرني بأن فاطمة سيده نساء اهل الجنة وان الحسن والحسين سيدا شباب اهل الجنة.(صحيح الترمذي:3781)

Tarjumah: Yah Ek Farishta Tha Jo Us Raat Se Pehle Zameen Par Kabhi Nahi Utra Usne Apne Rab Se Mujhe Salaam Karne Aur Yah Basharat Dene Ki Ijaazat Mangi Ke Fatimah Jannati Aurto Ki Sardaar Hai Aur Hasan Aur Husain RA Ahle Jannat Ke Naujawano(Yani Jo Duniya Me Jawan The Un)Ke Sardaar Hai.

Maa Ki Tarah Unke Dono Bete Bhi Jannatiyo Ke Sardaar Hai. Yah Bahut Badi Fazilat Hai Je Hame Yah Bhi Dhiyan Me Rakhna Chahiye Ke Paigambar SAV Ne Musalmano Ko Ali RA Se,Fatimah RA Se Aur Hasan Aur Husain RA Se Muhabbat Ki Targeeb Si Hai. Jab Ali Wali Hadees Upar Guzar Chuki Hai Fatimah RA Se Mutalliq Aap Ka Irshaad E Giraami Hai.

انما فاطمة بضعة مني يؤذيني ما آذاها وينصبني ما انصبها.
(الترمذي شريف:3869)

Tarjumah: Fatimah Mere Jisam Ka Tukda Hai Mujhe Taklif Deti Hai Woh Chiz Jo Use Taklif Deti Hai Aur《تعب》Me Dalti Hau Mujhe Woh Chiz Jo Use《تعب》 Me Dalti Hai.

Usmah Bin Zaid RA Kehte Hai Me Me Ek Raat Kisi Zaroorat Se Nabi SAV Ke Paas Aaya,Aap SAV Nikle To Aap Ek Aysi Chiz Lapete Hue The Jise Me Nahi Jaan Paa Raha Tha Ke Kya Hai,Fir Jab Me Apni Zaroorat Se Faarig Hua To Mene Arz Kiya:Yah Kya Hai Jis Ko Aap Lapete Hue Hai?To Aap Ne Use Khola To Woh Hasan Aur Husain RA The Aap SAV Ke Kulhe Se Chipke Hue The,Fir Aap Ne Farmaya:

هذان ابناي وابنا ابنتي،اللهم إني احبهما فاحبهما واحب من يحبهما.(صحيح الترمذي:3769)

Tarjumah: Yah Dono Mere Bete Aur Mere Nawase Hai,Ay Allaah!Me Un Dono Se Muhabbat Karta Hu Tu Bhi Unse Muhabbat Kar Aur Us Se Bhi Muhabbat Kar Jo Unse Muhabbat Kare.

Un Charo(Ali,Fatimah, Hasan,Husain)Se Jis Tarah Ham Muhabbat Karen Ge Usi Tarah Ahle Bait Ke Dusre Afraad Se Bhi Muhabbat Karna Imaan Kehlaae Ga. Aysa Nahi Hai Ke Unse Muhabbat Ke Izhaar Me Zameen Aur Aasmaan Ki Qalaabe Mila De Aur Fatimah Ke Alawah Dusre Rasool Ki Betiya,Ummuhatul Moamneen,Aur Banu Hashim Aur Banu Muttalib Ke Deegar Musalmaan Ke Liye Dil Me Tangi Mehsoos Kare Aur Aaj Aysa Hi Ho Raha Hai Raafzi Ummul Moamineen Aaisha RA Ko Gandi Galiya Dete Hai Fatimah Ke Alawah Dusri Rasool SAV Ki Betiyo Ki Toheen Karte Hai,Abu Baqar,Umar Aur Usmaan Aur Ameer Muaviya RA Par La’an Aur Ta’an Karte Hai,Unse Mutassir Ho Kar Bahut Sare Musalman Bhi Ahle Bait Ki Aad Me Sahaba Kiraam Ko Nishana Banate Hai. Unke Bare Me Na Zaiba Aur Gustakhana Kalmaat Istemaal Karte Hai. Allaah Tamaam Sahaba Se Raazi Ho Gaya TO Hame Bhi Tamam Sahaba Se Muhabbat Karni Chahiye Chaahe Ahle Bait Me Se Ho Ya Na Ho.
Sahaba Se Muhabbat Karna Imaan Ki Alaamat Aur Pehchaan Hai Aur Unhe Gaali Dene Wala Allaah Ki Lanat Ka Mustahiq Hai,Anas Bin Malik RA Se Rivayat Hai Ke Rasool SAV Ne Farmaya:

ايه الإيمان حب الأنصار وايه النفاق بغض الأنصار.(صحيح البخاري:17)

Tarjumah: Ansaar Se Muhabbat Rakhna Imaan Ki Nishani Hai Aur Ansaar Se Kina Rakhna Nifaaq Ki Nishaani Hai.

Abu Saeed Khudri RA Kehte Hai Ke Rasool SAV Ne Farmaya:

لا تسبوا اصحابي فوالذي نفسي بيده لو أنفق أحدكم مثل أحد ذهبا ما بلغ مدا احدهم ولا نصيفه.(ابي داؤد:4658)

Tarjumah:Mere Sahaba Ko Bura Bhala Na Kaho,Us Zaat Ki Qasam!Jis Ke Haath Me Meri Jaan Hai,Agar Tum Me Se Koi Uhad(Pahaad)Ke Barabar Gold Kharch Kar De To Woh Unke Ek Mud Ya Aadha Mud Ke Barabar Bhi Na Hoga.

Nabi SAV Ka Farmaan Hai:لعن الله من سب اصحابي.

Tarjumah: Allaah Ki Lanat Ho Us Shakhas Par Jo Mere Sahaba Ko Bura Bhala Kahe.(Sahihul Jame:5111)
Karbala Ka Ek Hadsa Hai,Bila Shuba Husain RA Ko Shaheed Karne Wale Lanat Ke Mustahiq Hai Magar Bagair Sabut Ke Aur Takhsis Kar Ke Kisi Musalmaan Par Lanat Bhejna Rawa Nahi Hai,Yazeed Ek Musalmaan Tha,Us Par Bhi Lanat Nahi Bhejen Ge Kuy Ke Woh Qaatil Tha Ya Husain Ke Qatal Ka Kisi Ko Hukam Diya Tha Aysa Koi Sabut Nahi Hai. Haa Is Tarah Lanat Bhej Sakte Hai Ke Qaatilo Par Allaah Ki Lanat Ho,Zaalimo Par Allaah Ki Lanat Ho Is Silsile Me Aakhri Baat Yah Hai Ke Bahut Sare Musalman Bagair Sabut Ke Khud Ko Haashmi Gardaante Hai Aur Ahle Bait Se Hone Ka Dawa Karte Hai Woh Log Badi Jur’aat Dikhate Hai,Unhe Nabi SAV Ke Is Farmaan Se Sabaq Lena Chaahiye. Abu Zar RA Se Rivayat Hai Ke Unhone Nabi SAV Se Suna,Aap SAV Farma Rahe The:

من ادعى قوما ليس له فيهم،فليتبوا مقعده من النار.

Tarjumah:Jis Shakhas Ne Bhi Apna Nasab Kisi Aysi Qaum Se Milaya Jis Se Uska Koi(Nasabi)Talluq Nahi Hai To Woh Apna Thikana Jahnnam Me Bana Le.

 

 

REFERENCE:
Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Islamic Dawah Center Taif
Romanised: Khadija Muhammadi.
Table of Contents