09. HAZRAT ISMA’IL ( علیہ السلام ) [Prophet Ishmael]
Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام)
Seerat-e-Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام)
Hazrat Ibrahim ( علیہ السلام) kay kai betay thay. Un mein say zayada mash’hoor woh do bhai hain jo azeem Nabi aur Rasool hain. Un mein say umar mein bade aur Azmat-o-Shaan mein bartar woh hain jo zabeehullah hain yaani Ismaeel ( علیہ السلام), Jo Hazrat Ibrahim Khaleel ( علیہ السلام) kay pehlootay betay hain aur Hazrat Hajirah Qibtiya ( علیھا السلام) say peda howe. Un par Allah Azeem-o-Jaleel ka salam ho.
Jo yeh kehta hai keh Hazrat Ishaq ( علیہ السلام) zabeeh thay, Un ka qoul bani Israeel say makhooz hai, Jinhon ne Toraat-o-Injeel mein Tahreef-o-Taweel ki hai balkeh un kay paas jo kitabain mojood hain, Un say bhi is moaqaf ki tardeed hoti hai kiyu keh Hazrat Ibrahim ( علیہ السلام) ko hukum diya gaya tha keh apna pehlooti ka beta Allah ki raah mein qurbaan karain aur aik riwayat kay mutabiq apne iklotay betay ko Allah ki raah mein zibah karne ka hukum hai.
Jo bhi ho daleel ki roshni mein zabeeh Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام) he sabit hote hain kiyu keh un ki kitab mein likha hai keh Hazrat Ibrahim ( علیہ السلام) ki umar chhiyasi baras (86) thi jab un kay haan Ismaeel ( علیہ السلام) ki wiladat howi aur Ishaq ( علیہ السلام) ki wiladat us waqt howi jab Hazrat Khaleel ( علیہ السلام) ki umar so saal (100) thi. Yaani Ismaeel ( علیہ السلام) hi yaqeenan pehle betay hain aur wahi zahiri tor par bhi aur manwi tor par bhi iklotay hain.
Zahiri soorat mein akele is tarah keh woh tera saal tak apne walid mohtaram ki akeli aulad rahe aur manwi tor par akelay is tarah keh woh doodh peetay bachay thay, Jab unhain aur un ki walidah ko le kar Hazrat Ibrahim ( علیہ السلام) chale aur unhain Faraan kay pahadon mein jaa basaya. Faraan kay pahad woh hain jo Makkah kay ird gird hain. Wahan thoda sa paani aur thodi si giza de kar thehraya aur sirf Allah par ai’temaad aur tawakkul kiya. Allah Ta’aala ne un ki hifazat ki aur karam farmaya. Yaqeenan Allah behtreen karsaaz aur behtreen Muhafiz-o-Nigehbaan hai.
Is say sabit hota hai keh zahiri tor par bhi aur haqeeqi tor par bhi Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام) hi “akelay” aur “iklotay” thay lekin is nukte ko koi ba shaoor nukta daan he samajh sakta hai.
Allah Ta’aala aap ki tareef karte howe aap kay yeh ausaaf bayan farmata hai keh aap hilm aur sabar wale thay. Waday kay sachay aur namaz kay paband thay. Aap apne ghar waloon ko bhi namaz ka hukum dete thay taakeh unhain azaab say bacha sakain aur dosro ko bhi yahi dawat dete thay keh Allah Rabb-ul-Aalmeen hi ki ibadat karain. Irshad-e-Baari Ta’aala hai:
فَبَشَّرْنٰهُ بِغُلٰمٍ حَلِـيْمٍ ١٠١فَلَمَّا بَلَــغَ مَعَهُ السَّعْيَ قَالَ يٰبُنَيَّ اِنِّىْٓ اَرٰى فِي الْمَنَامِ اَنِّىْٓ اَذْبَحُكَ فَانْظُرْ مَاذَا تَرٰى ۭ قَالَ يٰٓاَبَتِ افْعَلْ مَا تُــؤْمَرُ ۡ سَتَجِدُنِيْٓ اِنْ شَاۗءَ اللّٰهُ مِنَ الصّٰبِرِيْنَ ١٠٢
“To hum ne un ko aik naram dil ladke ki khushkhari di. Jab woh un kay sath dodne (ki umar) ko pohncha to Ibrahim ne kaha: Beta! Mein khuwab mein dekhta hoon (goya) tum ko zibah kar raha hoon. Ab tum dekho keh tumhara kiya khayal hai? Unhon ne kaha: Abba jaan! Jo aap ko hukum howa hai wahi kijiye. Allah ne chaha to aap mujhe sabar karne waloon mein paye ge.” (Al Saffat:37/101-102)
Aap kay walid ne aap ko jis qurbani ki taraf bulaya, Aap ne usay Dil-o-Jaan say qubool farmaya. Aap ne sabar ka wadah kiya to wadah poora bhi kiya aur Sabar-o-Istiqamat ka muzaharah kar kay dikhaya. Allah Ta’aala ka Irshad hai:
وَاذْكُرْ فِي الْكِتٰبِ اِسْمٰعِيْلَ ۡ اِنَّهٗ كَانَ صَادِقَ الْوَعْدِ وَكَانَ رَسُوْلًا نَّبِيًّا 54ۚوَكَانَ يَاْمُرُ اَهْلَهٗ بِالصَّلٰوةِ وَالزَّكٰوةِ ۠ وَكَانَ عِنْدَ رَبِّهٖ مَرْضِيًّا 55
“Aur kitab mein Ismaeel ka bhi zikr karo, Woh waday kay sachay aur (hamare) bhejay howe Nabi thay aur apne ghar waloon ko namaz aur zakat ka hukum karte thay aur apne parwardigaar kay haan pasandeedah (aur burgazeedah) thay.” (Maryam: 19/54-55)
Aur farmaya:
وَاذْكُرْ عِبٰدَنَآ اِبْرٰهِيْمَ وَاِسْحٰقَ وَيَعْقُوْبَ اُولِي الْاَيْدِيْ وَالْاَبْصَارِ 45 اِنَّآ اَخْلَصْنٰهُمْ بِخَالِصَةٍ ذِكْرَى الدَّارِ 46ۚوَاِنَّهُمْ عِنْدَنَا لَمِنَ الْمُصْطَفَيْنَ الْاَخْيَارِ 47ۭوَاذْكُرْ اِسْمٰعِيْلَ وَالْيَسَعَ وَذَا الْكِفْلِ ۭ وَكُلٌّ مِّنَ الْاَخْيَارِ 48ۭ
“Aur hamare bandon Ibrahim, Ishaq aur Yaqoob ko yaad karo jo hatho wale aur aankhon wale thay, Ham ne un ko aik (siffat) khas (aakhrat kay) ghar ki yaad say mamtaz kiya tha aur woh hamare nazdeek muntakhab aur naik logon mein say aur Ismaeel aur Al Yasa aur Zul Kifil ko yaad karo. Woh sab naik logon mein say thay.” (Sad: 38/45-48)
Aur farmaya:
وَاِسْمٰعِيْلَ وَاِدْرِيْسَ وَذَا الْكِفْلِ ۭ كُلٌّ مِّنَ الصّٰبِرِيْنَ 85ښوَاَدْخَلْنٰهُمْ فِيْ رَحْمَتِنَا ۭ اِنَّهُمْ مِّنَ الصّٰلِحِيْنَ 86
“Aur Ismaeel aur Idrees aur Zul Kifil (ko bhi yaad karo) yeh sab sabar karne wale thay aur ham ne un ko apni rahmat mein dakhil kiya. Bilashubah woh neko kaar thay.” (Al Anbiya: 21/85-86)
Aur mazeed farmaya:
اِنَّآ اَوْحَيْنَآ اِلَيْكَ كَمَآ اَوْحَيْنَآ اِلٰي نُوْحٍ وَّالنَّـبِيّٖنَ مِنْۢ بَعْدِهٖ ۚ وَاَوْحَيْنَآ اِلٰٓي اِبْرٰهِيْمَ وَاِسْمٰعِيْلَ وَاِسْحٰقَ وَيَعْقُوْبَ وَالْاَسْبَاطِ
“(Ae Nabi!) Ham ne tumhari taraf isi tarah wahi bheji jis tarah Nuh aur un kay baad aane wale paighambaron ki taraf bheji thi, Aur Ibrahim aur Ismaeel aur Ishaq aur un ki aulad (waghairah ki taraf wahi bheji.” ) ( Al Nisa: 4/163)
Neez Irshad hai:
قُوْلُوْٓا اٰمَنَّا بِاللّٰهِ وَمَآ اُنْزِلَ اِلَيْنَا وَمَآ اُنْزِلَ اِلٰٓى اِبْرٰھٖمَ وَاِسْمٰعِيْلَ وَاِسْحٰقَ وَيَعْقُوْبَ وَالْاَسْبَاطِ
“(Musalmano!) keh do keh hum Allah par iman laye aur jo (kitab) ham par utri us par aur jo (saheefay) Ibrahim aur Ismaeel aur Ishaq aur Yaqoob aur un ki aulad par naazil howe un par (bhi iman laye.”) (Al Baqarah: 2/136)
Aur farmaya:
اَمْ تَقُوْلُوْنَ اِنَّ اِبْرٰھٖمَ وَاِسْمٰعِيْلَ وَاِسْحٰقَ وَيَعْقُوْبَ وَالْاَسْبَاطَ كَانُوْا ھُوْدًا اَوْ نَصٰرٰى ۭ قُلْ ءَاَنْتُمْ اَعْلَمُ اَمِ اللّٰهُ
“(Ae Yahud-o-Nasara!) Kiya tum is baat kay qail ho keh Ibrahim aur Ismaeel aur Ishaq aur Yaqoob aur un ki aulad Yahoodi ya Essayi thay? (Ae Nabi!) In say keh do keh bhala tum zayada ilm rakhte ho Ya Allah!?” (Al Baqarah: 2/140)
In ayaat mein Allah Ta’aala ne aap ki har khoobi bayan farmayi. Aap ko apna Nabi aur Rasool bana kar mukhatab kiya aur jahiloon ne aap ki taraf jo galat batain mansoob ki theen, Un ki tardeed farmate howe aap ko munazzah aur paak bayan farmaya aur mominon ko hukum diya keh aap par naazil hone wali wahi aur hidayat par iman rakhain.
Ulama-e-Nasab ka bayan hai keh sab say pehle Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام) hi ne ghodoon par sawari ki. Is say pehle ghoday aazad jangli janwaroon mein shamil thay, Aap ne unhain paaltu banaya aur un par sawari farmayi.
sab say pehle aap hi ne Faseeh-o-Baleegh arbi mein kalaam farmaya. Aap ne yeh zuban arab aariba kay un afraad say seekhi thi jinhon ne Makkah mein aap kay paas rihaish ikhtiyaar ki thi. Un logon ka ta’luq Jurham, Amaaleeq, Ahl-e-Yaman aur un dosre arab qabail say tha jo Hazrat Ibrahim ( علیہ السلام) say pehle mojood thay.
Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام) ki shadi aur aulad
Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام) ne jawan hone par Amaleeq ki aik aurat say shadi ki jisay baad mein apne walid kay kehne par talaq de di. Us ka naam Ammarah bint Saad bin Usama bin Akeel Amaleeqi tha. Us kay baad aik aur khatoon say nikah kiya jin kay bare mein un kay walid ne hukum diya keh un say judai ikhtiyaar nah karain. Chunancha woh aap kay nikah mein rahain un ka naam Sayyidada Bint Mazaz bin Amar Jurhami tha.
Baaz mourikheen ne unhain Aap ki teesri zowjah mohtarma qarar diya hai. In mein say Hazrat Ismaeel (علیہ السلام) kay bara betay peda howe. un kay naam yeh hain: Naabit, Qaidar, Azbal, Meshi, Mis’ma, Maash, Dossa, Urar, Yatoor, Nabash, Teema, Qaizama Ahl-e-Kitab ne apni kitab mein aese he likha hai. (Bible kay mojoodah nushke mein yeh naam kuch mukhtalif hain. Kitab pedaish mein likha hai: “Aur Ismaeel kay bet kay naam yeh hain aur yeh naam tarteeb waar un ki pedaish kay mutaiq hain: Ismaeel ka pehloota Nabayoot tha. Phir Qaidar aur Udbaeel aur Mibsaam aur Mish’maa aur Dooma aur Missa aur Hadad aur Teema aur Yatoor aur Nafees aur Qadmah [pedaish baab: 24, Fiqrah: 13,14,15] arabi nuskha mein Hadad ko “Haddaar” aur Nafees ko Naafish likha gaya hai. [Hawala Mazkoorah] )
Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام) is ilaqay aur Qurab-o-Jawaar kay qabail ki taraf mab’oos howe thay jin mein jurham aur Amaaleeq kay qabail aur Yaman kay bashinday shamil hain. Jab aap ki wafaat ka waqat aaya, To aap ne apne bhai Hazrat Ishaq ( علیہ السلام) ko apna qayem maqaam muqarrar kiya aur apni beti Nasmah ki shadi apne bhateejay Eess bin Ishaq ( علیہ السلام) say kar di. ( [Eess] ka naam Bible mein [Eessu] mazkoor hai aur [Nasamah] ka naam [Basmah] bataya gaya hai. (pedaish: 3:36) ) Us say Eess ka beta “Rooh” (Bible mein usay [Ra’ooeel] kaha gaya tha. Dekhiye kitab pedaish: 4:36) peda howa. Eess kay betay bani asfar kehlatay hain, Kiyu keh Eess zard ru tha.
Allah kay Nabi Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام) apni walidah Hazrat Hajrah (علیھما السلام ) kay qareeb “Hijr” mein dafan kiye gaye. Wafaat kay waqt un ki umar aik so sentees (137) baras thi.
Hazrat Umar bin Abdul Aziz ( رحمہ اللہ) say riwayat hai keh Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام) ne Allah Ta’aala say Makkah Mukarama ki garmi ki shikayat ki to Allah Ta’aala ne un ki taraf wahi naazil farmayi: “Aap jis jaga dafan hongay, Mein wahan say jannat ki taraf aik darwaza khol doon ga aur Aap ko qayamat tak jannat ki hawa aati rahe gi.”
Hijaz kay tamam arab qabaail Hazrat Ismaeel ( علیہ السلام) kay do beto Naabit aur Qaidar ki aulad say hain.
REFERENCE:
Book: “Qisas ul Anbiya” (Urdu)
By Hafiz Ibn Kaseer Rahimahullah.