19. HAZRAT ZAKARIYA ( علیہ السلام ) [Prophet Zechariah]
Hazrat Zakriya Aur Yahya علیہما السلام
Nam-o-Nasab Aur Quraan Majeed Mein Aap Ka Tazkira
Hafiz Ibn-e-Asaakir رحمہ اللہ ne Ap ka naam “”Zakriya Bin Hanna” likha hai. Ba’az ulama’a “Zakriya Bin Daan” kehte hein. Jabkeh ba’az ulama’a ke nazdeek Ap ka nasab youn hai: Zakriya Bin Udan Bin Muslim Bin Sadooq Bin Mahman Bin Dawood Bin Suleman Bin Muslim Bin Sidiqah Bin Barhiyah Bin Malqatiyah Bin Nahoor Bin Saloom Bin Behfaniya Bin Haash Bin Ani Bin Khash’am Bin Suleman Bin Dawood علیہما السلام.
Allah T’aala Apne farmanbardaar bandon ki aazmaish kabhi ne’amat ata kar ke aur kabhi na de kar karta hai. Hazrat Zakriya علیہ السلام ki aazmaish aulad jaisi ne’amat se mahroomi ke sath hui, Hatta keh aik din Zakriya علیہ السلام ne Maryam علیہا السلام, Jo keh un ke Zer-e-Kafaalat thien, Ko be mosam phal khate dekha to be ikhtiyar Apne Rabb ko pukara keh Ilahi mujhe naik aulad se behra mand farma.
Allah T’aala ne un ki is dua ki qabooliyat ka tazkarah Soorah Maryam, Aal-e-Imran aur Al-Anbiya’a mein khoobsoorat peraye mein kiya hai:
كۗهٰيٰعۗصۗ Ǻڗذِكْرُ رَحْمَتِ رَبِّكَ عَبْدَهٗ زَكَرِيَّا Ąڻاِذْ نَادٰى رَبَّهٗ نِدَاۗءً خَفِيًّا Ǽقَالَ رَبِّ اِنِّىْ وَهَنَ الْعَظْمُ مِنِّيْ وَاشْتَعَلَ الرَّاْسُ شَيْبًا وَّلَمْ اَكُنْۢ بِدُعَاۗىِٕكَ رَبِّ شَقِيًّا Ćوَاِنِّىْ خِفْتُ الْمَوَالِيَ مِنْ وَّرَاۗءِيْ وَكَانَتِ امْرَاَتِيْ عَاقِرًا فَهَبْ لِيْ مِنْ لَّدُنْكَ وَلِيًّا Ĉۙيَّرِثُنِيْ وَيَرِثُ مِنْ اٰلِ يَعْقُوْبَ ڰ وَاجْعَلْهُ رَبِّ رَضِيًّا Čيٰزَكَرِيَّآ اِنَّا نُبَشِّرُكَ بِغُلٰمِۨ اسْمُهٗ يَحْــيٰى ۙ لَمْ نَجْعَلْ لَّهٗ مِنْ قَبْلُ سَمِيًّا Ċقَالَ رَبِّ اَنّٰى يَكُوْنُ لِيْ غُلٰمٌ وَّكَانَتِ امْرَاَتِيْ عَاقِرًا وَّقَدْ بَلَغْتُ مِنَ الْكِبَرِ عِتِيًّا Ďقَالَ كَذٰلِكَ ۚ قَالَ رَبُّكَ هُوَ عَلَيَّ هَيِّنٌ وَّقَدْ خَلَقْتُكَ مِنْ قَبْلُ وَلَمْ تَكُ شَـيْـــــًٔـا Ḍقَالَ رَبِّ اجْعَلْ لِّيْٓ اٰيَةً ۭ قَالَ اٰيَتُكَ اَلَّا تُكَلِّمَ النَّاسَ ثَلٰثَ لَيَالٍ سَوِيًّا ١0فَخَرَجَ عَلٰي قَوْمِهٖ مِنَ الْمِحْرَابِ فَاَوْحٰٓى اِلَيْهِمْ اَنْ سَبِّحُوْا بُكْرَةً وَّعَشِـيًّا 11يٰــيَحْـيٰى خُذِ الْكِتٰبَ بِقُوَّةٍ ۭ وَاٰتَيْنٰهُ الْحُكْمَ صَبِيًّا 12ۙوَّحَنَانًا مِّنْ لَّدُنَّا وَزَكٰوةً ۭ وَكَانَ تَقِيًّا 13ۙوَّبَرّاً بِوَالِدَيْهِ وَلَمْ يَكُنْ جَبَّارًا عَصِيًّا ١4وَسَلٰمٌ عَلَيْهِ يَوْمَ وُلِدَ وَيَوْمَ يَمُوْتُ وَيَوْمَ يُـبْعَثُ حَيًّا 15ۧ
“کھیعص (yeh) Tumhare Parwardigaar ki meharbani ka bayan hai (jo Us ne) apne bande Zakriya par (ki thi) jab unhon ne apne Parwardigaar ko dabi aawaz se pukara (aur) kaha keh aye mere Parwardigaar! Meri haddiyan budhape ke sabab kamzor ho gai hein aur sar ( budhape ki wajah se) shole ki tarah bhadak utha hai aur aye mere Parwardigaar mein Tujh se mang kar kabhi mahroom nahin raha. Aur mein apne bad apne bhai bandon se darta hoon aur meri biwi banjh hai, Tu mujhe Apne pas se aik waris ata farma jo meri aur Aulad-e-Ya’aqoob ki meeras ka malik ho, Aur Aye mere Parwardigaar! Us ko khush atawar banana. Aye Zakriya ham tum ko aik bete ki basharat dete hein jis ka nam Yahya hai. Is se pehle ham ne is nam ka koi shakhas paida nahin kiya. Unhon ne kaha: Aye Parwardigaar! Mere han kis tarah ladka paida ho ga jab (Soorat-e-Hal yeh hai) keh meri biwi banjh hai aur mein budhape ki intiha ko pohanch gaya hoon? Hukam huwa keh isi tarah (ho ga) tumhare Parwardigaar ne farmaya hai keh yeh Mere liye aasan hai aur mein pehle tum ko bhi to paida kar chuka hoon aur tum kuch cheez na thay. Aur kaha keh Aye Parwardigaar! Mere liye koi nishani muqarrar farma. Farmaya keh nishani yeh hai keh tum sahih saalim ho kar bhi teen raat aur (din) logon se bat na kar sako gay. Phir woh (ibaadat ke) hujre se nikal kar apni qoam ke pas aaye aur ishare se kaha keh Subah-o-Sham (Allah ko) yad karte raho. Aye Yahya! (Hamari) kitab ko mazbooti se pakde raho! Aur ham ne un ko ladakpan mein hi danaai ata farmai thi aur Apne pas se shafqat aur pakeezagi di thi aur woh parhezgaar thay aur maan bap ke sath naiki karne wale thay aur Sarkash-o-Na farman nahin thay aur jis din woh paida huaye thay aur jis din wafat paen gay aur jis din zinda kar ke uthaye jaein gay, Un par salam aur rahmat ho.” (Maryam: 19/1-15)
Soorah Aal-e-Imran mein farmaya:
فَتَقَبَّلَهَا رَبُّهَا بِقَبُوْلٍ حَسَنٍ وَّاَنْۢبَتَهَا نَبَاتًا حَسَـنًا ۙ وَّكَفَّلَهَا زَكَرِيَّا ڝ كُلَّمَا دَخَلَ عَلَيْهَا زَكَرِيَّا الْمِحْرَابَ ۙ وَجَدَ عِنْدَھَا رِزْقًا ۚ قَالَ يٰمَرْيَـمُ اَنّٰى لَكِ ھٰذَا ۭ قَالَتْ ھُوَ مِنْ عِنْدِ اللّٰهِ ۭ اِنَّ اللّٰهَ يَرْزُقُ مَنْ يَّشَاۗءُ بِغَيْرِ حِسَابٍ 37ھُنَالِكَ دَعَا زَكَرِيَّا رَبَّهٗ ۚ قَالَ رَبِّ ھَبْ لِيْ مِنْ لَّدُنْكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً ۚ اِنَّكَ سَمِيْعُ الدُّعَاۗءِ 38فَنَادَتْهُ الْمَلٰۗىِٕكَةُ وَھُوَ قَاۗىِٕمٌ يُّصَلِّيْ فِي الْمِحْرَابِ ۙ اَنَّ اللّٰهَ يُبَشِّرُكَ بِيَحْيٰى مُصَدِّقًۢـا بِكَلِمَةٍ مِّنَ اللّٰهِ وَسَيِّدًا وَّحَصُوْرًا وَّنَبِيًّا مِّنَ الصّٰلِحِيْنَ 39قَالَ رَبِّ اَنّٰى يَكُوْنُ لِيْ غُلٰمٌ وَّقَدْ بَلَغَنِىَ الْكِبَرُ وَامْرَاَتِيْ عَاقِرٌ ۭ قَالَ كَذٰلِكَ اللّٰهُ يَفْعَلُ مَا يَشَاۗءُ 40قَالَ رَبِّ اجْعَلْ لِّيْٓ اٰيَةً ۭ قَالَ اٰيَتُكَ اَلَّا تُكَلِّمَ النَّاسَ ثَلٰــثَةَ اَيَّامٍ اِلَّا رَمْزًا ۭوَاذْكُرْ رَّبَّكَ كَثِيْرًا وَّسَبِّحْ بِالْعَشِيِّ وَالْاِبْكَارِ 41ۧ
“Aur Zakriya ko us (Maryam) ka mutakaffil (kafeel) banaya. Zakriya jab kabhi ibaadat gaah mein us ke pas jate to us ke pas khana pate (yeh kefiyat dekh kar aik din Maryam se) poochne lage keh Maryam! Yeh khana tumhare pas kahan se aata hai? Wo bolien keh Allah ke han se (aata hai) beshak Allah jisy chahta hai beshamar rizaq deta hai. Us waqat Zakriya ne Apne Parwadigaar se dua ki (aur) kaha keh Parwardigaar! Mujhe Apni janab se Aulad-e-Salih ata farma! Tu beshak dua sunne wala (aur qabool karne wala) hai. Woh abhi ibaadat gaah mein khade namaz hi padh rahe thay keh farishton ne awaz di keh (Zakriya!) Allah tumhein Yahya ki bashaarat deta hai jo Allah T’aala ke kalma (yani Isa) ki tasdeq karen gay aur sardar hon gay aur aurton se raghbat rakhne wale na hon gay aur (Allah ke) peghamber (yani) nekookaaron mein se hon gay. Zakriya ne kaha: Aye Parwardigaar! Mere han ladka kaise paida ho ga keh mein to budha ho gaya hoon aur meri biwi banjh hai? Allah T’aala ne farmaya: Isi tarah (ho ga) Allah jo chahta hai karta hai. Zakriya ne kaha keh Parwardigaar! (Mere liye) koi nishani muqarrar farma. Allah T’aala ne farmaya: Nishani yeh hai keh tum logon se teen din ishare ke siwa bat na kar sako gay to (un dino mein) Apne Parwardigaar ki kasrat se yad aur Subah-o-Sham us ki tasbeeh karna!” (Aal-e-Imran: 3/37-41)
Soorat-ul-Anbiya’a mein farmaya:
وَزَكَرِيَّآ اِذْ نَادٰي رَبَّهٗ رَبِّ لَا تَذَرْنِيْ فَرْدًا وَّاَنْتَ خَيْرُ الْوٰرِثِيْنَ 89ښفَاسْتَجَبْنَا لَهٗ ۡ وَوَهَبْنَا لَهٗ يَحْــيٰى وَاَصْلَحْنَا لَهٗ زَوْجَهٗ ۭ اِنَّهُمْ كَانُوْا يُسٰرِعُوْنَ فِي الْخَــيْرٰتِ وَيَدْعُوْنَنَا رَغَبًا وَّرَهَبًا ۭ وَكَانُوْا لَنَا خٰشِعِيْنَ 90
“Aur Zakriya (ko yad karo) jab unhon ne Apne Parwardigaar ko pukara keh Parwardigaar! Mujhe akela na chod aur tu sab se behtar waris hai. To ham ne un ki pukaar sun li aur un ko Yahya ata kiya aur un ki biwi ko un ke liye bhala changa kar diya. Yeh log lapak lapak kar nekiyan karte aur hamein umeed aur khoaf se pukarte aur hamare aage aajizi kiya karte thay.” (Al-Anbiya’a: 21/89-90)
Aur Soorah Al-An’aam mein farmaya:
وَزَكَرِيَّا وَيَحْيٰى وَعِيْسٰي وَاِلْيَاسَ ۭكُلٌّ مِّنَ الصّٰلِحِيْنَ 85ۙ
“Aur Zakriya aur Yahya aur Isa aur Ilyas ko bhi (hidaayat di) yeh sab nekoo kaar thay.” (Al-An’aam: 6/85)
Aal-E-Ya’aqoob Ke Waris
Allah T’aala ne Nabi Akram صلی اللہ علیہ وسلم ko hukam diya hai keh logon ko Zakriya علیہ السلام ka waqia sunaen keh Allah T’aala ne unhein budhape mein aik beta ata farmaya jabkeh un ki ahliya mohtarma bhi intihaai muammar aur banjh thien, Takeh log Allah ki rahmat aur fazal se koi mayoos na ho. Allah T’aala ne farmaya:
ذِكْرُ رَحْمَتِ رَبِّكَ عَبْدَهٗ زَكَرِيَّا Ąڻاِذْ نَادٰى رَبَّهٗ نِدَاۗءً خَفِيًّا Ǽ
“Yeh hai tere Parwardigaar ki meharbani ka zikar jo us ne Apne bande Zakriya par ki thi jabkeh us ne Apne Rabb se chupke chupke dua ki thi.”
Qataada رحمہ اللہ farmate hein: “Allah T’aala pakiza dil ko janta hai aur posheeda aawazen sunta hai.” Ap ne aulad na hone par jis dukh ka izhaar kiya, Allah T’aala ne usay in alfaaz mein naqal farmaya: قَالَ رَبِّ اِنِّىْ وَهَنَ الْعَظْمُ مِنِّيْ وَاشْتَعَلَ الرَّاْسُ شَيْبًا وَّلَمْ اَكُنْۢ بِدُعَاۗىِٕكَ رَبِّ شَقِيًّا ” Keh Aye mere Parwardigaar! Meri haddiyan kamzor ho gai hein aur sar budhape ki wajah se sho’ale ki tarah bhadak utha hai lekin mein kabhi tujh se dua kar ke mahroom nahin raha.”Ap farmate hein keh mein ne jab bhi Rabb se kuch manga hai, Meri dua qabool hui hai. Ap ke dil mein yeh dua karne ka khayal us waqat aaya jab Hazrat Maryam علیہما السلام Ap ki kafaalat mein thien. Ap jab bhi un ke hujre mein tashreef le jate, Un ke pas be mosam phal nazar aate. Yeh aik Kiraamat thi. Ap ne mahsoos kiya keh Maryam ko be mosam phal dene wala Allah ap ko bhi umar ke is hisse mein aulad de sakta hai jabkeh aam halaat mein is ki umeed nahin ki ja sakti. Usi jagah Zakriya علیہ السلام ne apne Rabb se dua ki. Kaha: رَبِّ ھَبْ لِيْ مِنْ لَّدُنْكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً ۚ اِنَّكَ سَمِيْعُ الدُّعَاۗءِ “Aye mere Parwardigaar! Mujhe Apne pas se pakeeza aulad ata farma! Be shak Tu dua ka sunne wala hai.” (Aal-e-Imran: 3/38)
Ap ne farmaya:
وَاِنِّىْ خِفْتُ الْمَوَالِيَ مِنْ وَّرَاۗءِيْ وَكَانَتِ امْرَاَتِيْ عَاقِرًا فَهَبْ لِيْ مِنْ لَّدُنْكَ وَلِيًّا Ĉۙيَّرِثُنِيْ وَيَرِثُ مِنْ اٰلِ يَعْقُوْبَ ڰ وَاجْعَلْهُ رَبِّ رَضِيًّا Č
“Mujhe apne marne ke ba’ad apne qaraabat walon ka dar hai, Meri biwi bhi banjh hai, Lihaza tu muje Apne pas se waris ata farma! Jo mera bhi waris ho aur Ya’aqoob ke khandan ka bhi jansheen ho, Aur mere Rabb! Tu usay maqbool banda bana le !” (Maryam: 19/5-6) Ya’ani ap ko khatra mahsoos huwa keh ap ke khandan ke afraad ap ki wafaat ke ba’ad Khilaf-e-Shariat a’amaal aur gunahon mein mulawwis ho jaen gay, Is liye khawahish zahir ki keh aik Beta mile jo naik, Pakbaz aur Maqbool-e-Bargaah-e-Ilahi ho.
Nabiyon Ki Wiraasat Ka Masla:
Zakriya علیہ السلام ne chaha keh jis tarah Aal-e-Ya’aqoob mein se us ke bazurgon ko Nubuwwat aur wahi ka sharaf hasil huwa tha, Isi tarah yeh bhi Nabi ho kar un ki rahnumai kare. Ap ki dua mein yahi wiraasat murad hai. Maal-o-Dolat ki wiraasat murad nahin jaise shee’aa hazraat ka da’awa hai aur ba’az Ahal-e-Sunnat ulama’a ne bhi yeh bat keh di hai. Hamare ma’oqaf ke dalaail daraj zel hain:
1: Ham aayat-e-mubarika {وورث سلیمان داود} “Hazrat Daood علیہ السلام ke waris Suleman علیہ السلام huay” Ki wazaahat karte huaye bata chuke hein ke is se murad Nubuwwat aur hukoomat hai. Kiyun keh Hadees ki bahut si kitabon mein bahut se Sahaaba-e-Kiraam se marwi hai keh Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: “Hamari wiraasit nahin hot, Ham jo kuch chod jaen, Woh sadqa hai. ( Musnad-e-Ahmed: 1/7) Yeh sareeh nas hai keh Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ki wiraasit taqseem nahin ho sakti. Isi liye Hazrat Abu Bakar رضی اللہ عنہ ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki zaati ashiya’a Ap ke kisi bhi waris ko nahin dien. Agar yeh Farman-e-Nabi na hota to Ap un mein taqseem karte . Un warison mein Ap ki sahabzaadi Fatima رضی اللہ عنہا Ap ki no Azwaaj-e-Mutahharaat رضی اللہ عنھن aur Ap ke chacha Abbas ری اللہ عنہ shamil thay. Hazrat Abu Bakar رضی اللہ عنہ ne is hadees se istidlaal kiya. Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم se yeh farman riwaayat karne walon mein mandarja zel Sahaba Kiraam رضی اللہ عنہم shamil hein: Sayyiduna Umar Bin Khatab, Usman Bin Affan, Ali Bin Abi Talib, Abbas Bin Abd-ul-Muttalib, Abdul Rahman Bin Aof, Talha, Zubair, Abu Hurairah aur deegar Sahaaba رضی اللہ عنہم.
2: Aik hadees mein tamam Anbiya-e-Kiraam ke liye yahi bat farmaai gai hai. Jis ke alfaaz yeh hein: {انا معشرالانبیاء لا نورث} “Ham ya’ani Anbiya’a ki jamaa’at ki maali wiraasat nahin hoti.” (Musnad-e-Ahmed: 1/7)
3: Anbiya-e-Kiraam ki nazar mein dunewi dolat ki itni ahmiyat nahin thi keh usay jama karte ya us ki taraf tawajjah farmate ya us ke bare mein fikar mand hote keh Apni aulad ko is par qabza karne ke bare mein irshad farmate. Kisi ma’amooli zahid ko bhi, Jo Anbiya-e-Kiraam ke darjaat ke qareeb tak pohanchane ka tasawur nahin kar sakta, Yeh fikar nahin hoti keh Allah se aulad is liye mange keh woh us ke maal ki waris ban sake.
4: Hazrat Zakriya علیہ السلام badhai thay. Hath se mehnat kar ke rozi kamaate thay. Jis tarah Hazrat Dawood علیہ السلام apne hath ki kamaai khate yhay. Anbiya-e-Kiraam ka yeh tareeqa nahin hota keh dolat kamaane mein itni mehnat karen keh zaroorat se zayada maal jama ho jaye. Jise woh Apne liye aur apni aulad ke liye sanbhal sanbhal kar rakhen. Hazrat Abu Hurairah se riwaayat hai keh Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: “Hazrat Zakriya badhai thay.” (Sahih Muslim, Al Fazaail, Baab-o-Fazail-e-Zakariya علیہ السلام Hadees: 2379, wa Musnad-e-Ahmed: 2/405, wa Sunan Ibn-e-Majah, Al-Tijaraat, Baab-ul-Sanaat, Hadees: 2150)
Yahya علیہ السلام Ki Mo’ajizaana Wilaadat
Irshad-e-Bari T’aala hai: يٰزَكَرِيَّآ اِنَّا نُبَشِّرُكَ بِغُلٰمِۨ اسْمُهٗ يَحْــيٰى ۙ لَمْ نَجْعَلْ لَّهٗ مِنْ قَبْلُ سَمِيًّا “Aye Zakriya! Ham tujhe aik bache ki khushkhabri dete hein, Jis ka naam Yahya hai. Ham ne is se pehle is ka ham naam bhi kisi ko nahin banaya.” (Maryam: 7/19) Is ki wazaahat is Aayat-e-Mubaraka se hoti hai: فَنَادَتْهُ الْمَلٰۗىِٕكَةُ وَھُوَ قَاۗىِٕمٌ يُّصَلِّيْ فِي الْمِحْرَابِ ۙ اَنَّ اللّٰهَ يُبَشِّرُكَ بِيَحْيٰى مُصَدِّقًۢـا بِكَلِمَةٍ مِّنَ اللّٰهِ وَسَيِّدًا وَّحَصُوْرًا وَّنَبِيًّا مِّنَ الصّٰلِحِيْنَ ” Phir farishte ne ap ko awaz di jab ap hujre mein khade namaz padh rahe thay keh Allah T’aala ap ko Yahya ki yaqini khushkhabri deta hai jo Allah ke kalma ki tasdeeq karne wala, Sardaar, Zabit-e-Nafas aur Nabi hai naik logon mein se.” (Aal-e-Imran: 3/39)
Jab Ap ko khushkhabri mili to bahut tajjub ki haalat mein farmaya: رَبِّ اَنّٰى يَكُوْنُ لِيْ غُلٰمٌ وَّكَانَتِ امْرَاَتِيْ عَاقِرًا وَّقَدْ بَلَغْتُ مِنَ الْكِبَرِ عِتِيًّا “Mere Rabbi! Mere han ladka kaise ho ga? Meri biwi banjh hai aur mein khud budhape ke intihaai zo’af ko pohanch chuka hon?” (Maryam: 19/8) Ba’az riwayaayt ke mutabiq us waqat Ap ki umar satattar saal thi. Wese maloom hota hai keh Ap is se zayada mo’ammar ho chuke thay. (واللہ اعلم)
Jab Hazrat Ibraheem علیہ السلام ko bashaarat mili thi Ap ne bhi isi tarah tajjub ka izhar fatmaya tha: اَبَشَّرْتُمُوْنِيْ عَلٰٓي اَنْ مَّسَّنِيَ الْكِبَرُ فَبِمَ تُبَشِّرُوْنَ “Kya is budhape ke aa jane ke ba’ad tum mujhe khushkhabri dete ho? Yeh tum kaisi khushkhabri de rahe ho?” (Al-Hijr: 15/54)
Hazrat Sarah علیہما السلام ne bhi farmaya tha: يٰوَيْلَتٰٓى ءَاَلِدُ وَاَنَا عَجُوْزٌ وَّھٰذَا بَعْلِيْ شَيْخًا ۭ اِنَّ ھٰذَا لَشَيْءٌ عَجِيْبٌ قَالُوْٓا اَتَعْجَبِيْنَ مِنْ اَمْرِ اللّٰهِ رَحْمَتُ اللّٰهِ وَبَرَكٰتُهٗ عَلَيْكُمْ اَهْلَ الْبَيْتِ ۭ اِنَّهٗ حَمِيْدٌ مَّجِيْدٌ ” Haye meri kambakhti! Mere han aulad kaise ho sakti hai? Mein khud budhiya aur yeh mera khawand bhi badi umar ka hai. Yeh to yaqinan badi ajib bat hai. Farishton ne kaha: Kaya tu Allah ki qudrat par tajjub kar rahi hai? Aye is ghar ke logo! Tum par Allah ki rahmat aur barkaten nazil hon. Beshak Allah Hamad-o-Sana ke laaiq aur badi shan wala h.” (Hood: 11/72-73)
Isi tarah ka jawab Zakriya علیہ السلام ko mila. Jo farishta Rabb ke hukam se wahi le kar aaya tha, Us ne kaha: كَذٰلِكَ ۚ قَالَ رَبُّكَ هُوَ عَلَيَّ هَيِّنٌ وَّقَدْ خَلَقْتُكَ مِنْ قَبْلُ وَلَمْ تَكُ شَـيْـــــًٔـا “(Wada) usi tarah (ho chuka) hai. Tere Rabb ne farma diya hai keh Mujh par to yeh bilkul aasan hai aur mein tujhe paida kar chuka hoon jabkeh tu kuch bhi na tha.” (Maryam: 19/9) Ya’ani mein ne tujhe adam se wujood bakhsha hai to kaya tujhe budhape mein beta nahin de sakta? Allah T’aala ne farmaya: فَاسْتَجَبْنَا لَهٗ ۡ وَوَهَبْنَا لَهٗ يَحْــيٰى وَاَصْلَحْنَا لَهٗ زَوْجَهٗ ۭ اِنَّهُمْ كَانُوْا يُسٰرِعُوْنَ فِي الْخَــيْرٰتِ وَيَدْعُوْنَنَا رَغَبًا وَّرَهَبًا ۭ وَكَانُوْا لَنَا خٰشِعِيْنَ “Ham ne us ki dua qabool farma kar us ko Yahya ata farmaya aur us ki biwi ko us ke liye durust kar diya. Yeh bazurag log naik kamon ki taraf jaldi karte thay aur hamein umeed aur khoaf ke sath pukarte thay aur hamare samne aajizi karne wale thay.” (Al-Anbiya’a: 21/90) Biwi ko durust karne ka matlab Nizam-e-Tauleed ka durust hona aur mahana nizam ka dobara jari hona hai. Kahne lage: رَبِّ اجْعَلْ لِّيْٓ اٰيَةً ” Mere Parwadigaar! Mere liye koi alaamat muqarrar farma de.” Takeh mujhe maloom ho jaye keh hamal qaraar pa chuka hai. Irshad huwa: اٰيَتُكَ اَلَّا تُكَلِّمَ النَّاسَ ثَلٰثَ لَيَالٍ سَوِيًّا “Tere liye alaamat yeh hai keh bawjood bhala changa hone ke tu teen raton tak kisi shakhas se bol na sake ga.” Yeh khushkhabri milne par Ap khush khush hujre se bahir tashreef laye, To ham ne un ki taraf wahi ki keh: اَنْ سَبِّحُوْا بُكْرَةً وَّعَشِـيًّا “Tum subah sham Allah ki tasbeeh bayan karo.”
Hazrat Mujahid, Ikarma, Wahab aur Sudi رحم اللہ علیہم farmate hein: Ap ki zuban bagher kisi maraz ke band ho gai thi. Ibn-e-Zaid رحمہ اللہ farmate hein: “Ap tilawat kar sakte thay, Zikar-o-Tasbeeh kar sakte thy lekin kisi se bat nahin kar sakte thay.”( Tafseer Al-Tabri: 9/6 Tafseer Soorah Maryam, Aayat: 9)
Yahya علیہ السلام Ko Kitab Aur Hikmat-o-Danaai Ata Ki
Irshad-e-Bari T’aala hai: يٰــيَحْـيٰى خُذِ الْكِتٰبَ بِقُوَّةٍ ۭ وَاٰتَيْنٰهُ الْحُكْمَ صَبِيًّا 12ۙ
“Aye Yahya! (Meri) kitab ko mazbooti se tham le, Aur ham ne usay ladakpan hi se danaai ata farma di.” (Maryam: 19/12) Allah T’aala ne khushkhabri ke mutabiq Hazrat Zakriya علیہ السلام ko beta ata farma diya aur us bete (Yahya) ko bachpan hi mein kitab ka ilam aur danaai ata farma di.
Hazrat Mo’ammar رحمہ اللہ farmate hein: Bachon ne Hazrat Yahya علیہ السلام se kaha: “Aao khelein!” Ap علیہ السلام ne farmaya: ” Hamein khelne ke liye paida nahin kiya gaya.”
Allah T’aala ke is farmaan: وَاٰتَيْنٰهُ الْحُكْمَ صَبِيًّا “Aur ham ne usay ladakpan hi se danaai ata farma di” ka yahi matlab hai.
Irshad-e-Bari T’aala hai: وَّحَنَانًا مِّنْ لَّدُنَّا “Aur Apne pas se shafqat” Ya’ani ham ne Zakriya علیہ السلام par rahmat ki keh unhein Hazrat Yahya علیہ السلام ata farmaye. Ikarma رحمہ اللہ farmate hein: Shafqat ya’ani muhabbat ka matlab yeh hai keh Hazrat Yahya علیہ السلام logon par taras khate thay aur khas tor par apne waliden se Shafqat-o-Muhabbat ka izhar karte thay aur un se Husan-e-Sulook karte thay. Aur وَزَكٰوةً “Aur pakeezagi bhi ata farmai” Ya’ani umda akhlaq, Buri aadaat se mubarra hona, Taqwa, Allah ke ahkaam ki ta’ameel aur mamnoo’a kamon se ijtinab, Yeh sab pakeezagi mein shamil hai. وَّبَرّاً بِوَالِدَيْهِ وَلَمْ يَكُنْ جَبَّارًا عَصِيًّا “Aur woh apne maan bap se naik sulook karne wala tha, Woh sarkash aur gunahgar na tha.” (Maryam: 19/14) Phir farmaya: وَسَلٰمٌ عَلَيْهِ يَوْمَ وُلِدَ وَيَوْمَ يَمُوْتُ وَيَوْمَ يُـبْعَثُ حَيًّا “Us par salam hai jis din woh paida huwa, Jis din foat ho ga aur jis din zinda kar ke uthaya jaye ga.” (Maryam: 19/15) Yeh teen maraahil insan ke liye bade kathan hein. In moqon par woh aik jahan se dosare jahan mein muntaqil hota hai. Woh pehle jahan se manoos ho chuka hota hai, Phir usay chod kar dosare jahan mein jana padta hai, Jis ke bare mein usay kuch maloom nahin hota keh wahan kaya halaat paish aane wale hein? Is liye jab woh maan ke jisam se juda hota hai to rota aur cheekhta hai aur Gham-o-Tafakkuraat ka samna karne ke liye is jahan mein muntaqil ho jata hai.
Isi tarah jab woh is jahan se muntaqil hota hai to barzakh ke jahan mein pohanch jata hai jo duniya aur aakhirat ke darmiyan ki manzil hai. Woh qabrastaan ki khamosh duniya ka bashinda ban jata hai. Wahan woh dobara uthne ke liye Soor-e-Mahshar ka muntazir hota hai. Phir koi khush aur masroor ho ga, Koi Huzan-o-Gham se choor ho ga, Ya’ani aik giroh Jannat mein khushiyon se sarshaar ho ga aur aik giroh jahannam ke azabon mein giraftaar ho ga. (Tafseer Al-Tabri:: 9/73-74 Tafseer Soorah Maryam, Aayat: 16-17)
Kisi shaair ne kaya khoob kaha hai:
ولدتک امک باکیا مستصرخا والناس حولک یضحکون سرورا
فاحرص لنفسک ان تکون اذا بکوا فی یوم مسوتک ضاحکامسرورا
“Teri maa ne tujhe janam diya to tu ro raha tha, Cheekh raha tha aur tere aas pas ke log khushi se hans rahe thay. Tu apne liye koshish kar keh jab tere marne ke din woh ro rahe hon, Tu khush ho aur hans raha ho.”
Insan ke liye yeh teen mawaqe dushwaar tareen hote hein. Is liye Allah T’aala ne in teenon maqamaat par Hazrat Yahya علیہ السلام ko salamti ata farmai aur farmaya: وَسَلٰمٌ عَلَيْهِ يَوْمَ وُلِدَ وَيَوْمَ يَمُوْتُ وَيَوْمَ يُـبْعَثُ حَيًّا “Us par salam hai jis din woh paida huwa aur jis din woh mare ga aur jis din woh zinda kar ke dobara uthaya jaye.” (Maryam: 19/15)
Hazrat Hasan رحمہ اللہ se riwaayat hai, Unhon ne farmaya: Hazrat Yahya علیہ السلام aur Hazrat Isa علیہ السلام ki mulaqat hui to Hazrat Isa علیہ السلام ne unhein farmaya: “Mere liye maghfirat ki dua kijiye kiyoun keh ap mujh se afzal hein. Hazrat Yahya علیہ السلام ne farmaya: “Ap mere liye dua karen kiyoun keh ap mujh se afzal hein.” Hazrat Isa علیہ السلام ne farmaya: “Ap mujh se afzal heir, Mein ne apne liye salamati ki dua ki aur ap ko Allah ne salamati ki khushkhabri di.” (Tafseer Al-Tabri: 9/73, Tafseer Soorah Maryam, Aayat: 16-17)
Hazrat Abdullah Bin Amar رضی اللہ عنہ ne farmaya: “Har shakhas Allah se koi na koi gunah (ya ghalti) le kar mile ga, Siwaye Hazrat Yahya علیہ السلام ke. Phir yeh aayat padhi: وَسَيِّدًا وَّحَصُوْرًا “Sardaar aur Zabit-e-Nafas.” (Aal-e-Imran: 3/39) Phir zameen se aik tinka utha kar farmaya: “Un ke pas itna kuch tha, Phir unhein shahaadat bhi naseeb ho gai.” (Tafseer Al-Tabri: 3/348, Tafseer Sorah Aal-e-Imran, Aayat: 39)
Hazrat Abu Saeed رضی اللہ عنہا se riwaayat hai keh Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: “Hazrat Hasan aur Hazrat Husain رضی اللہ عنہما tamam jannti nojwanon ke sardaar hein, Siwaye do khala zaad bhaiyon Hazrat Yahya aur Hazrat Isa علیہما السلام ke.”( Jami-ul-Tirmizi: Al-Manaqib, Baab-o-Manaqib-e-Abi Muhammad Al Hasan bin Ali……, Hadees: 3768 wa Musnad-e-Ahmed :3/3 [ولیس عندھما الجز ۶ الثانی من ا لحدیث])
Masjid-e-Aqsa Mein Qoam Ko Da’awat-e-Tuheed
Hazrat Haris Ash’ari رضی اللہ عنہا se riwaayat hai keh Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: “Allah T’aala ne Hazrat Yahya علیہ السلام ko hukam diya keh panch baton par amal karen aur Bani Israil se bhi un par amal karne ko kahen.” Ap se kuch der ho gai to Hazrat Isa علیہ السلام ne Ap se farmaya: “Ap ko panch ahkamaat diye gaye thay keh in par amal karen aur Bani Israil ko in par amal karne ka hukam den, Ya to ap unhein yeh ahkamaat pohancha dein warna mein pohancha don ga.” Unhon ne farmaya: “Bhai jan! Mujhe dar lagta hai keh agar ap ne mujh se pehle yeh ahkaam unhein sunaye to Allah T’aala mujhe saza de ga ya zameen mein dhansa de ga.”
Chunacah Hazrat Yahya علیہ السلام ne Bani Israil ko Masjid-e-Aqsa mein jama kiya hatta keh masjid bhar gai. Phir Ap unchi jagah par tashreef farma huaye ar Allah ki Hamad-o-Sana ke ba’ad farmaya: “Allah T’aala ne mujhe panch baton par amal karne ka hukam diya hai aur yeh bhi hukam diya hai keh tum logon ko un par amal karne kahukam doon.
1: Allah ki ibaadat karo, Us ke sath kisi aur ko shareek na karo. Is ki misal aise hai jaise kisi shakhas ne khalis apni milkiyat ke sone ya chandi ke iwaz aik ghulam khareeda. Woh ghulam kam karta tha aur kamai ki raqam apne aaqa ke siwa kisi aur ko de deta tha. Tum mein se kis ko yeh bat pasand hai keh us ka ghulam is tarah ka ho? Allah ne tumhein paida kiya aur tumhein rizaq diya hai, Lihaza tum usi ki ibaadat karo aur us ke sath kisi cheez ko shareek na karo.
2: Mein tumhein namaz ka hukam deta hon. Jab naik banda idhar udhar tawajjah na kare, Allah T’aala bhi us (namazi) ki taraf matwajjah rehta hai. Is liye namaz padhate waqat idhar udhar na dekho.
3: Mein tumhein roze rakhne ka hukam deta hon. Is amal ki msal aise hai jaise logon ke majma’a mein aik shakhas ke pas theli mein kastoori ho aur har kisi ko us ki khushboo aa rahi ho. Allah T’aala ke han roza daar ke munh ki boo kastoori ki khushboo se zayada pakiza hai
4: Mein tumhein sadqa ka hukam deta hon. Is ki misal aise hai jaise kisi ko dushmanon ne pakad kar us ke hath us ki gardan se bandh diye hon aur usay qatal karne ke liye (maqtal ki taraf) le ja rahe hon. Woh un se kehta hai: Kaya mein tumhein apni jan ka fidya na don? Woh apni har thodi zayada cheez fidya mein de kar un se jan chuda leta hai aur woh usay riha kar dete hain.
5: Mein tumhein Allah ka zikar kasrat se karne ka hukam deta hon. Is ki misal aise hai jaise aik aadmi ke dushman tezi se us ka t’aaqub kar rahe hon. Achanak usay mazboot qil’aa nazar aa jaye aur woh us mein dakhil ho kar mahfooz ho jaye. Banda bhi shetan se sab se zayda mahfooz us waqat hota hai jab woh Allah ke zikar mein mashghool hota hai.”
Raoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: “Mein bhi tumhein panch baton ka hukam deta hon, Jin ka hukam mujhe Allah ne diya hai: (1) Ijtimaiyat ke sath rehna. (2) (Sharai ameer ka) hukam tawajjah se sunna. (3) Hukam ki ta’ameel karna. (4) Hijrat. (5) Jihad fi sabeelillah. Jo shakhas ijtimaiyat se balishat bhar bahir nikalta hai, Woh apni gardan se Islam ka qalada utaar phenkta hai illa yeh keh dobara (ijtimaiyat ke bare mein) aa jaye aur jo jahliyat ki baton ki taraf bulata hai woh jahannam ka eindhan hai.”
Sahabi ne araz ki: Allah ke Rasool! Khawah woh namaz, Roze ka paband ho aur khud ko musalman samjhta ho? Farmaya: “Agarcheh woh namaz roze ka paband ho aur khud ko musalman samajhta ho. Musalmanon ko unhi namon se pukaro, jo Allah ne rakhe hein, Ya’ani Muslimeen, Momineen, Allah Azza-o-Jal ke bande.”( Jami-ul-Tirmizi, Al-Adab, Baab-o-Maa Jaa Fi Misl-e-Al Salati Wal Siami Wal Sadaqati, Hadees: 2863 Wa Musnad-e-Ahmad: 4/130)
Hazrat Yahya Ka Zahad-O-Taqwa
Ulama’a ne bayan farmaya hai keh Hazrat Yahya علیہ السلام bahut zayada tanhaai pasand thay. Ap janglon mein chale jate. Darakhton ke patte khate aur chashmon ka pani peete. Phir farmate: “Yahya! Tujh se zayada nematen kise hasil hein?”
Wohaib Bin Wirad رحمہ اللہ se riwaayat hai keh Hazrat Yahya علیہ السلام teen din tak Hazrat Zakriya علیہ السلام se gum rahe. Ap un ki talash mein jangal ki taraf nikal gaye aur dekha keh Ap ne aik qabar khod rakhi hai aur us mein khade ho kar Aah-o-Bakah mein masroof hein. Hazrat Zakriya علیہ السلام ne farmaya: “Beta! Mein teen din se teri talash mein hoon aur tu yahan qabar khod kar us mein khada ro raha hai?”
Hazrat Yahya علیہ السلام ne farmaya: “Abba jan! Ap hi ne mujhe bataya tha keh Jannat aur jahannam ke darmiyan aik taweel fasla hai jo siraf aanso’on ki madad se teh ho sakta hai.” Ap ne farmaya: “Ji han beta! Ro lo!” Tab donon ro pade.
Yeh bhi kaha jata hai keh Hazrat Yahya علیہ السلام ba’kasrat rote thay aur musalsal rone ki wajah se un ke rukhsaaron par nishan pad gaye thay.
Hazrat Yahya علیہ السلام Ki Shahaadat:
Hazrat Yahya علیہ السلام ko shaheed karne ke kai asbaab bayan kiye gaye hein. Zayada mash’hoor waqia yeh hai keh us zamane ka Damishaq ka badshah kisi aisi aurat se nikah karna chahta tha jis se nikah karna us ke liye shar’an jaaiz na tha. Hazrat Yahya علیہ السلام ne mana’a kiya to woh aurat naraz ho gai. Jab us ne mehsoos kiya keh badshah us par fareefta ho chuka hai to us ne Hazrat Yahya علیہ السلام ko shaheed karne ki farmaish kar di. Badshah ne aik aadmi bheja jo Ap ko shaheed kar ke Ap ka sar aur Ap ka khoon aik thaal mein daal kar le aaya aur malika ke samne paish kar diya. Malika foran halaak ho gai.
Aik sabab yeh bayan kiya jata hai keh malika Hazrat Yahya علیہ السلام par ashiq ho gai aur Ap se gunah ka mutaliba kiya. Ap ne inkar kar diya. Jab woh mayoos ho gai to badshah se Hazrat Yahya علیہ السلام ko mang liya. Badshah ne pehle inkar kiya. Lekin aakhir kaar us ki bat maan li. Us ne aik aadmi bheja jo Ap ko shaheed kar ke Ap ka sar aur Ap ka khoon thaal mein daal kar le aaya.
Shamla Bin Atiya رحمہ اللہ ka qoal hai keh Bait-ul-Maqdas mein mojood sakhrah (chataan) par satar Nabi shaheed kiye gaye. Hazrat Yahya علیہ السلام bhi un mein shamil hein.
Hafiz Ibn-e-Asaakir رحمہ اللہ ne “المستسقی فی فضائل الاقضی“ mein aik aur waqia bayan kiya hai. Woh kehte hein keh Damishaq ke badshah “Haddaad Bin Haddaar” ne apne bete ki shadi us ki chacha zaad “Areel” se kar di jo “Seeda” ki malika thi. Us ne apni biwi ko teen talaqen de di thien. Phir rajoo’a karna chaha to Hazrat Yahya علیہ السلام se fatwa poocha. Ap ne farmaya: “Yeh halal nahin.” Aurat naraz ho gai aur apni maan ke mashore se badshah se Hazrat Yahya علیہ السلام ka sar kaat kar laane ka mutaliba kar diya.
Badshah ne aik shakhas ko ap ka sar kaat kar laane ka hukam diya to woh Ap ka sar aik thaal mein rakh kar le aaya. Jab Ap ka sar us ke samne aaya to us mein se yahi awaz aa rahi thi. ” Halal nahin, Halal nahi.” Aakhir woh aurat zameen mein dhansa di gai.
Hazrat Zakriya علیہ السلام tabai andaaz se foat huaye ya unhein shaheed kiya gaya? Is bare mein Ulama-e-Kiraam ki do aara’a hein.
v Hazrat Wahab Bin Munabbah رحمہ اللہ se aik riwaayat hai, Unhon ne farmaya: “Ap apni qoam se bhag kar aik darakhat ke ander chup gaye. Dushmanon ne aari le kar darakhat kaatna shuru kar diya. Jab aari Ap ki pasliyon tak pohanchi to Ap ke munh se karaahne ki aawaz nikli. Allah T’aala ne wahi nazil farmai: Agar Ap ka karaahna band na huwa to mein poori zameen ko tamam makhlooqaat samet ulat (kar tabah kar) doon ga. Ap ne foran karaahna band kar diya hatta keh Ap ka jisam mubarak do tukde ho gaya.”
v Hazrat Wahab رحمہ اللہ hi se aik aur riwaayat hai, Ap ne armaya: “Darakhat ne phat kar panah Hazrat Shua’yya علیہ السلام ko di thi. Zakriya علیہ السلام taba’i tor par foat huaye.” (واللہ اعلم)
REFERENCE:
Book: “Qisas ul Anbiya” (Urdu)
By Hafiz Ibn Kaseer Rahimahullah.
Prophet Zakariyah (Zechariah)
Description of Zakariyah
The years had taken their toll on the Prophet Zakariyah (pbuh). He was now old and bent with age, in his nineties. Despite his feebleness, he went to the temple daily to deliver his sermons. Zakariyah was not a rich man, but he was always ready to help those in need. His one disappointment in life was that he had no children, for his wife was barren. This worried him, for he feared there was no one after him to carry out his work. The people needed a strong leader, for it they were left on their own, they would move away from Allah’s teachings and change the Holy Laws to suit themselves.
Zakariyah Talks to Mary
During one of his visits to the temple, he went to check on Mary, who was living in a secluded room of the temple. He was surprised to find fresh out of season fruit in her room. Besides him, no one had entry to her room. When he inquired, she told him that the fruit was from Allah. She found it every morning. But why was he so surprised, she asked him. Did he not know that Allah provides without measure for whom He wills?
This noble girl had opened this eyes to a startling idea. Could he not ask his Lord to bless him with a child in his old age? Even if his wife was past childbearing age, nothing was impossible for his Gracious Lord!
Zakariyah Asks for a Son – Quranic
Allah the Almighty revealed:
“Kaf. Ha, Ya. Ain, Sad. (These letters are one of the miracles of the Quran, and none but Allah Alone knows their meanings). This is a mention of the Mercy of your Lord to His slave Zakariyah, When he called out his Lord (Allah)-a call in secret, saying: “My Lord! Indeed my bones have grown feeble, and gray hair has spread on my head, and I have never been unblest in my invocation to You, O my Lord! And Verily! I fear my relatives after me, since my wife is barren. So give me from Yourself an heir, who shall inherit me, and inherit also the posterity of Jacob (inheritance of the religious knowledge and Prophethood, not the wealth, etc.) And make him, my Lord, one with whom You are Well-pleased!”
Allah said: “O Zakariyah! Verily, We give you the glad tidings of a son. His name will be Yahya (John). We have given that name to none before him.”
He said: “My Lord! How can I have a son, when my wife is barren, and I have reached the extreme old age.”
He said: “So (it will be). Your Lord says, It is easy for Me. Certainly I have created you before, when you had been nothing.”
Zakariyah said: “My Lord! Appoint for me a sign.”
He said: “Your sign is that you shall not speak unto mankind for three nights, though having no bodily defect.”
Then he came out to his people from Al Mihrab (a praying place or a private room, etc.), he told them by signs to glorify Allah’s Praises in the morning and in the afternoon.
It was said to his son: “O John! Hold fast to the Scripture (The Torah).” And We gave him wisdom while yet a child, and made him sympathetic to men as a mercy or a grant from Us, and pure from sins (John) and he was righteous, and dutiful towards his parents, and he was neither an arrogant nor disobedient (to Allah or to his parents). And Salamun (peace) on him the day he was born, the day he dies, and the day he will be raised up to life again! (Ch 19:1-15 Quran)
Almighty Allah also said:
“At that time Zakariyah invoked his Lord, saying: “O my Lord! Grant me from You, a good offspring. You are indeed the All-Hearer of invocation.”
Then the angels called him, while he was standing in prayer in Al- Mihrab (a praying place or a private room), saying: “Allah gives you glad tidings of John confirming (believing in) the Word from Allah (“Be!”-and he was! (ie. the creation of Isa (Jesus), son of Mariam (Mary), noble keeping away from sexual relations with women, a Prophet, from among the righteous.”
He said: “O my Lord! How can I have a son when I am very old, and my wife is barren?” Allah said: “Thus Allah does what He wills.” He said: “O my Lord! Make a sign for me.”
Allah said: “Your sign is that you shall not speak to mankind for three days except with signals. And remember your Lord much (by praising Him again and again), and glorify Him in the afternoon and in the morning.” (Ch 3:38-41 Quran).
REFERENCE:
Book: “Stories Of the Prophets”
By Al-Imam Ibn Katheer.