Search
Sections
< All Topics
Print

21. HAZRAT YUSHA BIN NUN ( علیہ السلام ) [Prophet Joshua]

 Hazrat Yousha Bin Noon علیہ السلام

 


Naam-o-Nasab Aur Quraan-o-Hadees Mein Aap Ka Tazkirah


Ap ka nasab nama youn hai: Yousha Bin Noon Bin Ifraeem Bin Yousuf Bin Ya’aqoob Bin Is’haq Bin Ibrahim علیہم السلام. Ahal-e-Kitab kehte hein keh Hazrat Yousha علیہ السلام Hazrat Moosa علیہ السلام ke jaanasheen thay.

Quraan Majeed mein Ap ka nam liye bagher Apka zikar kiya gaya hai. Hazrat Khizar علیہ السلام ke waqia mein hai: وَاِذْ قَالَ مُوْسٰي لِفَتٰىهُ “Jab Moosa ne apne nojawan se kaha.” (Al-Kahaf: 18/60) Aur mazeed farmaya: فَلَمَّا جَاوَزَا قَالَ لِفَتٰىهُ “Jab yeh donon wahan se aage badhe to Moosa ne apne nojawan se kaha.” (Al-Kahaf: 18/62)

Sahih Bkhari mein Ubai Bin Ka’ab رضی الہ عنہ se marwi Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ka yeh farmaan mazkoor hai keh Moosa علیہ السلام ne apne nojawan (khadim) ya’ani Yousha Bin Noon علیہ السلام se farmaya.” (Sahih Al  Bukhari, Tafseer, Baab-o-Qaolihi فلما بلغا مجمع بینھما….., Hadees: 4726 )


Hazrat Yousha Bin Noon علیہ السلام Ki Nubuwwat


Hazrat Yousha Bin Noon علیہ السلام ki Nubuwwat Ahal-e-Kitab ke han muttafiqa tor par musallama hai. Samiri firqa ke yahoodi Hazrat Moosa علیہ السلام ke ba’ad Yousha Bin Noon علیہ السلام ke siwa kisi nabi ki Nubuwwat ke qaail nahin kiyoun keh Taurat mein un ki Nubuwwat ka zikar saraahat se mojood hai. Woh doosare anbiya’a علیہم السلام ka inkar karte hein, Halankeh woh bhi sache nabi thay aur guzishta Wahi-e-Ilah ki tasdeeq karte thay. Allah T’aala un munkiron par qayamat tak la’anaten barsaata rahe.

Hafiz Iban-e-Jareer رحمہ اللہ aur doosare mufassireen ne Imam Muhammad Bin Is’haq رحمہ اللہ se naqal kiya hai keh Hazrat Moosa علیہ السلام ki hayaat ke aakhri ayyaam mein Hazrat Moosa علیہ السلام ki Nubuwwat Hazrat Yousha علیہ اسلام ki taraf muntaqil kar di gai, Chunancheh Hazrat Moosa علیہ السلام Hazrat Yousha علیہ السلام se mulaqat karte aur un se naye nazil hone wale ahkaam ma’aloom kiya karte thay. Aik din Hazrat Yousha علیہ السلام ne farmaya: “Moosa! Ap par jo wahi nazil huwa karti thi, mein to Ap se dariyaafat nahin kiya karta tha hatta keh Ap khud apni marzi se mujhe bata dete. (Ap bhi mujh se na poocha karen. Mein khud hi jab munasib samjhon ga bata diya karon ga.) Us waqat Moosa علیہ السلام zindagi se bezaar ho gaye aur Ap ka dil chaha keh foat ho jaen. Lekin Muhammad Bin Is’haq ki yeh riwaayat durust nahin kiyoun keh Moosa علیہ السلام par wafaat tak wahi aur sharai ahkaam ka nuzool jari raha. Ap ko Allah T’aala se ham kalaam hone ka sharaf hasil raha. Ap Allah ki nazar mein hamesha muazaz rahe.

Agar Muhammad Bin Is’haq رحمہ اللہ ne yeh bat Ahal-e-Kitab se naqal ki hai tab bhi durust nahin kiyoun keh jis kitab ko woh Taurat kehte hein, Us mein bhi yehi mazkoor hai keh Hazrat Moosa علیہ السلام par Hayat-e-Mubarka ke aakhir tak Hasab-e-Zaroorat wahi nazil hoti rahi thi.

Moosa علیہ السلام ki taraf teesari kitab “Ginti” mein hai keh Allah T’aala ne Hazrat Moosa aur Haroon علیہم السلام ko hukam diya keh Bani Israil ke har qabeele ki mardam shamari karen aur har qabeele ka aik sardaar (naqeeb) muqarrar karen. Is ka maqsad yeh tha keh woh Jabbareen se muqabile ki tayyari karen jin se Maidan-e-Teeh mein nikalne ke ba’ad muqabala hone wala tha. Yeh us daur ki bat hai jab unhein Maidan-e-Teeh mein phirte huaye chalees saal poore hone ko thay. Isi liye ba’az ulama’a ne farmaya tha: Hazrat Moosa علیہ السلام ne Malak-ul-Moat ko thappad is liye maar diya tha keh Ap ne unhein is shakal mein pehchana nahin tha aur yeh wajah bhi thi keh Ap ko aik kam ka hukam mila tha aur Ap ko yeh umeed thi keh woh kam Ap ki zindagi mein poora ho ga (ya’ani Bait-ul-Maqdas ki fatah ) lekin Allah ki taqdeer ka yeh fesla tha keh yeh kam Moosa علیہ السلام ki zindagi mein poora na ho balkeh Ap ke khadim Hazrat Yousha Bin Noon علیہ السلام ke hathon poora ho.

Jis tarah Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ne Sham ke roomiyon ke khilaf foaj kashi ka irada farmaya tha aur Ap 9 hijri mein Tabook tak foaj le kar gaye lekin us saal wapis tashreef le aaye. Agle saal 10 hijri mein Ap ne Hajj ada farmaya. Hajj se wapis aa kar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Sham bhejne ke liye Usama رضی اللہ عنہ ka lashkar tayyar farmaya. Is lashkar ki hesiyat Ap ke bade lashkar se pehle bheje jane wale chote lashkar ki thi. Ap khud bhi rawana hone ka irada rakhte thay takeh Allah T’aala ke is hukam ki ta’ameel ho:

قَاتِلُوا الَّذِيْنَ لَا يُؤْمِنُوْنَ بِاللّٰهِ وَلَا بِالْيَوْمِ الْاٰخِرِ وَلَا يُحَرِّمُوْنَ مَا حَرَّمَ اللّٰهُ وَرَسُوْلُهٗ وَلَا يَدِيْنُوْنَ دِيْنَ الْحَقِّ مِنَ الَّذِيْنَ اُوْتُوا الْكِتٰبَ حَتّٰي يُعْطُوا الْجِزْيَةَ عَنْ يَّدٍ وَّهُمْ صٰغِرُوْنَ 29؀ۧ

 

“Un logon se lado jo Allah par aur qayamat ke din par iman nahin late, Jo Allah aur us ke Rasool ki haraam karda ashiya ko haraam nahin jante, Na Deen-e-Haq ko qabool karte hein, Un logon se jinhein kitab di gai hai, Yahan tak keh woh Zaleel-o-Khuwaar ho kar apne hath se jiziya ada karen.” (Al-Tubah: 9/29)

Nabi Akram صلی اللہ علیہ وسلم Hazrat Usama رضی اللہ عنہ ka lashkar tayyar kar chuke thay. Hazrat Usama رضی اللہ عنہ lashkar le kar Maqam-e-Jurf par khema zan thay keh Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ki wafaat ho gai. Yeh lashkar Ap ke dosat aur Khalifa-e-Rashid Hazrat Abu Bakar رضی اللہ عنہ ne rawana farmaya. Phir jab Jazeera-e-Arab mein waqti tor par paida hone wala intishar khatam ho gaya aur halaat mamool par aa gaye to Ap ne daen baen lashkar rawaana karne shuru krar diye. Ap ne Iraq ki taraf lashkar rawaana farma diya jo Shah-e-Iran Kisra ke ma’tehat tha aur sham ki taraf bhi lashkar rawaana farmaya jo Shah-e-Rom Qaiser ke qabze mein tha. Allah T’aala ne musalmanon ko fatah ata farmai aur dushmanon par ghalba ata farmaya.

Hazrat Moosa علیہ السلام ka moamla bhi aise hi huwa. Allah T’aala ne Ap ko hukam diya tha keh Bani Israil ki foaj tayyar karen aur un ke afsar (naqeeb) muqarrar karen. Irshad-e-bari T’aala hai:

 

وَلَقَدْ اَخَذَ اللّٰهُ مِيْثَاقَ بَنِيْٓ اِ سْرَاۗءِيْلَ ۚ وَبَعَثْنَا مِنْهُمُ اثْنَيْ عَشَرَ نَقِيْبًا  ۭوَقَالَ اللّٰهُ اِنِّىْ مَعَكُمْ ۭلَىِٕنْ اَقَمْــتُمُ الصَّلٰوةَ وَاٰتَيْتُمُ الزَّكٰوةَ وَاٰمَنْتُمْ بِرُسُلِيْ وَعَزَّرْتُمُوْهُمْ وَاَقْرَضْتُمُ اللّٰهَ قَرْضًا حَسَـنًا لَّاُكَفِّرَنَّ عَنْكُمْ سَيِّاٰتِكُمْ  وَلَاُدْخِلَنَّكُمْ جَنّٰتٍ تَجْرِيْ مِنْ تَحْتِهَا الْاَنْھٰرُ ۚ فَمَنْ كَفَرَ بَعْدَ ذٰلِكَ مِنْكُمْ فَقَدْ ضَلَّ سَوَاۗءَ السَّبِيْلِ 12؀

 

” Aur Allah ne Bani Israil se Ahad-o-Peman liya aur unhi mein se barah sardaar muqarrar kiye aur Allah T’aala ne farma diya: Yaqinan mein tumhare sath hon. Agar tum namaz qaim karte raho gay aur zakaat dete raho gay aur mere rasoolon ko mante raho gay aur un ki madad karte raho gay aur Allah ko acha qaraz dete raho gay to yaqinan mein tumhari buraiyan tum se door rakhon ga aur tumhein un jannton mein le jaoon ga jin ke niche chashme beh rahe hein, Ab is Ahad-o-Peman ke ba’ad bhi jo tum mein se inkari ho jaye woh yaqinan Rah-e-Raasat se bhatak gaya.” (Al-Maaida: 5/12)

Matlab yeh hai keh agar tum apne faraaiz ada karo gay aur jihaad se us tarah pehloo tahi nahin karogay jis tarah pehle inkar kiya tha to is naik amal ke sawab ki wajah se us gunah ki saza moaaf ho jaye gi. Jaise Ghazwa-e-Hudebiya se piche rehne wale arabiyon se farmaya gaya:

 

قُلْ لِّـلْمُخَلَّفِيْنَ مِنَ الْاَعْرَابِ سَـتُدْعَوْنَ اِلٰى قَوْمٍ اُولِيْ بَاْسٍ شَدِيْدٍ تُقَاتِلُوْنَهُمْ اَوْ يُسْلِمُوْنَ ۚ فَاِنْ تُطِيْعُوْا يُؤْتِكُمُ اللّٰهُ اَجْرًا حَسَـنًا ۚ وَاِنْ تَتَوَلَّوْا كَمَا تَوَلَّيْتُمْ مِّنْ قَبْلُ يُعَذِّبْكُمْ عَذَابًا اَلِـــيْمًا       16؀

 

“(Aye Nabi!) Ap piche chode huaye badwiyon se keh dijiye keh anqareeb tum aik sakhat jangjoo qoam ki taraf bulaye jao gay, Tum un se lado gay ya woh musalman ho jayen gay, Phir agar tum ita’at karo gay to Allah tumhein behtar badla de ga aur agar tum ne munh pher liya jesa is se pehle munh pher chuke ho to Woh tumhein darad naak azaab de ga.” (Al-Fatah: 48/16)

 

Bani Israil se bhi yahi kaha gaya tha:

 

فَمَنْ كَفَرَ بَعْدَ ذٰلِكَ مِنْكُمْ فَقَدْ ضَلَّ سَوَاۗءَ السَّبِيْلِ 12؀

 

“Ab is Ahad-o-Peman ke ba’ad bhi inkari ho jaye, Woh yaqinan Raah-e-Raasat se bhatak gaya.” (Al-Maaida: 5/12)

 

Unhon ne yeh wa’ada poora na kiya jis par Allah T’aala ne un ki muzammat farmai hai. Is ki mazeed wazaahat hamari tafseer mein mulahaza farmaein.


Bal’aam Bin Baoora Ka Waqia


Imam Ibn-e-Is’haq رحمہ اللہ ki raaye yeh hai keh Bait-ul-Maqdas khud Hazrat Moosa علیہ السلام ne fatah kiya tha aur Yousha علیہ السلام lashkar ke agle hisse ke sardaar thay. Woh kehte hein keh isi safar mein Bal’aam Bin Baoora ka waqia paish aaya tha, Jis ke bare mein Allah T’aala ne farmaya:

 

وَاتْلُ عَلَيْهِمْ نَبَاَ الَّذِيْٓ اٰتَيْنٰهُ اٰيٰتِنَا فَانْسَلَخَ مِنْهَا فَاَتْبَعَهُ الشَّيْطٰنُ فَكَانَ مِنَ الْغٰوِيْنَ   ١٧٥؁ وَلَوْ شِئْنَا لَرَفَعْنٰهُ بِهَا وَلٰكِنَّهٗٓ اَخْلَدَ اِلَى الْاَرْضِ وَاتَّبَعَ هَوٰىهُ  ۚ فَمَثَلُهٗ كَمَثَلِ الْكَلْبِ ۚ اِنْ تَحْمِلْ عَلَيْهِ يَلْهَثْ اَوْ تَتْرُكْهُ يَلْهَثْ ۭ ذٰلِكَ مَثَلُ الْقَوْمِ الَّذِيْنَ كَذَّبُوْا بِاٰيٰتِنَا ۚ فَاقْصُصِ الْقَصَصَ لَعَلَّهُمْ يَتَفَكَّرُوْنَ ١٧٦؁ سَاۗءَ مَثَلَۨا الْقَوْمُ الَّذِيْنَ كَذَّبُوْا بِاٰيٰتِنَا وَاَنْفُسَهُمْ كَانُوْا يَظْلِمُوْنَ   ١٧٧؁

 

“Aur un ko us shakhas ka hal padh kar suna do jis ko ham ne apni aayaten ata farmaien to woh un se bilkul hi (saf) nikal gaya, Phir shetan us ke piche laga to woh gumrahon mein ho gaya aur agar ham chahte to in aayaton se us (ke darje) ko buland kar dete magar woh to pasti ki taraf maail ho gaya aur apni khawahish ke piche chal pada to us ki misal kutte ki si ho gai keh agar sakhti karo to zuban nikale rahe aur agar yoonhi chod do to bhi zuban nikale rahe. Yahi misal un logon ki hai jinhon ne hamari aayton ko jhutlaya. To ap (un se) yeh qissa bayan kar do takeh woh Ghor-o-Fikar karen. Jin logon ne hamari aayaton ki takzeeb ki un ki misal buri misal hai aur unhon ne nuqsan (kiya to) apna hi kiya.” (Al-A’raaf: 7/175-177)

Ham ne us ka qissa apni tafseer mein bayan kiya hai. Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ aur deegar hazraat ke bayan ke mutabiq yeh shakhas Ism-e-A’azam janta tha jis ke sath ki hui har dua qabool hoti hai. Us ki qoam ne mutalaba kiya keh Hazrat Moosa علیہ السلام aur Ap ki qoam ke khilaf bad dua kare. Us ne inkar kar diya. Jab un logon ne israr kiya to woh apni gadhi par sawar ho kar Bani Israil ke lashkar ki taraf chal pada. Jab woh un ke qareeb pohancha to gadhi beth gai. Us ne usay mara peeta to khadi ho gai lekin thoda sa chal kar phir beth gai, Us ne pehle se zayada mara to woh uthi phir beth gai, Us ne phir mara to Allah ki qudrat se woh bolne lagi. Us ne kaha: “Bal’aam! Tu kaha ja raha hai? Kaya tu nahin dekhta keh farishte mujhe us taraf jane se rok rahe hein? Kaya tu Allah ke Nabi aur Mominon ko bad dua de ga?” Woh phir bhi gadhi se na utra balkeh usay marta raha. Hatta keh woh chal padi. Jab woh “Hisbaan” ke pahad ke uper pohancha to Hazrat Moosa علیہ السلام ko aur mominon ko dekha to bad dua karne laga lekin us ki zuban us ke qaboo mein na rahi. Us se Moosa علیہ السلام aur mominon ke haq mein dua nikalne lagi aur khud us ki qoam ke liye bad dua nikalne lagi. Logon ne usay malaamat ki to us ne kaha: “Mein Kaya kar sakta hoon? Meri zuban se yahi kuch nikalta hai?”

Usi waqat us ki zuban lambi ho gai hatta keh seene par latak aai. Tab us ne apni qoam se kaha: “Meri to duniya bhi tabah ho gai aur aakhirat bhi. Ab Hazrat Moosa علیہ السلام ki qoam ke khilaf Makar-o-Fareb hi se kam kiya ja sakta hai.”

Phir us ne apni qoam se kaha keh apni auraton ko khoob Zeb-o-Zeenat karwa ke kuch ashiya’a de kar bechane ke liye Bani Israil ke lashkar mein bhejen. Woh mardon ko apni taraf maail karen. Agar Bani Israil ka aik shakhs bhi badkaari mein mulawwis ho gaya to tumhein ladai ki zaroorat na rahe gi. (Ya’ani gunah ke natije mein un par Allah ka azaab aa jaye ga.) Unhon ne is mashware par amal karte huaye apni auraton ko Zeb-o-Zeenat karwa ke lashkar mein bhej diya. Un mein se aik aurat ka nam “Kasabti” tha. Woh aik israili sardaar “Zimri Bin Shaloom” ke pas se guzri. Woh Qabeela-e-Bani Sham’oon ka sardaar tha. Woh us aurat ko apne khaime mein le gaya. Jab us ne us ke sath khalwat ki to Allah T’aala ne Bani Israil pa Ta’oon ki waba bhej di. Jab Fakkhas Bin Al’yaazar Bin Haroon علیہ السلام ko is waqia ka ilam huwa to us ne apni lohe ki barchi pakdi aur un ke khaime mein ghus kar donon ko us barchi mein paro diya. Woh unhein isi hal mein le kar bahir nikla. Us ne apne pehloo ke sahare se un ko barchi par uthaya, Aasman ki taraf buland kiya aur kaha: “Ya Allah! Ham tere na farmanon ke sath yehi sulook karte hein.”

Tab waba khatam ho gai. Is dauran mein sattar hazar aadami mare. Ba’az ulama’a ne marne walon ki ta’adaad bees hazar batai hai. Fakkhas apne bap Al’yaazar ka pehlota tha, Is liye Bani Israil qurbani ke janwar ki gardan, Bazu aur jabde ka goshat Fakkhas ki aulad ke liye makhsoos kar dete aur maweshiyon mein se pehlota bacha in ko dete. Muhammad Bin Is’haq علیہ السلام ka bayan karda yehi bayan sahih hai. Is ki taeed Baibal se bhi hoti hai. (dekhiye: Ginti, Baab: 22 ta 25)


Yousha علیہ السلام Ka Jihad Aur Mo’ajze Ka Zuhoor:


Aksar Ulama’a ki raye ke mutabiq Hazrat Haroon علیہ السلام Maidan-e-Teeh mein apne bhai Hazrat Haroon علیہ السلام se do sal pehle foat ho gaye thay. Moosa علیہ السلام bhi Maidan-e-Teeh mein foat ho gaye. (Musnad-e-Ahmed: 2/325) Un ko Sahra-e-Seena se Bait-ul-Maqdas lane wale Hazrat Yousha علیہ السلام thay. Baibal mein mazkoor hai keh Yousha علیہ السلام ne un ke sath Darya-e-Urdan paar kiya aur Areeha ke shehar mein tashreef laaye. (Kitab: Yashoo)

Areeha aik khoobsoorat shehar tha jis mein badi badi imartein aur kaseer aabadi thi. Ap ne cheh maheene shehar ka muhasara kiye rakha. Aakhir aik din Ap ki foaj ne shehar ko chsron taraf se gher kar narsinga bajaya aur aik aawaz ho kar Na’ara-e-Takbeer lagaya to shehar ki faseel toot kar gir padi. Woh fatihana tor par shehar mein dakhil ho gaye aur bahut sa Maal-e-Ghaneemat hasil kiya. Unhon ne barah hazaar mardon aur auraton ko qatal kiya.

Ulama-e-Kiraam bayan karte hein keh Ap ka muhasara Juma ke din Asar ke ba’ad tak jari raha. Sooraj ghuroob hone ke qareeb pohanch gaya aur sabat shuru hone wala tha, Jis ka ahtiraam us waqat un par wajib ho chuka tha. Tab Yousha علیہ السلام ne sooraj se kaha: “Tu bhi hukam ka paaband hai aur mein bhu hukam ka paaband hon. Ya Allah! Isay (ghuroob hone se) rok de.” Allah T’aala ne sooraj ko rok diya hatta keh Ap ne shehar fatah kar liya aur Allah ne chand ko hukam diya aur woh tuloo’a ho kar thehar gaya. Maloom hota hai keh woh pehle maheene ki chodahween raat thi. Sooraj ke ruk jane ka waqia to Hadees mein mojood hai jo anqareeb bayan ki jaye gi. Albattah chand ka zikar siraf Ahal-e-Kitab ke han milta hai. Behar haal yeh Hadees ke khilaf nahin. Lihaza ham isay na sach kehte hein na jhoot qaraar dete hein. Lekin yeh kehna Mahall-e-Nazar hai keh yeh waqia Areeha ki fatah ke dauran mein paish aaya. Zayada imkan yeh keh yeh Bait-ul-Maqdas ki fatah ke dauran mein paish aaya ho jo asal maqsood tha. Areeha ki fatah to is ka mahaz aik zareea tha. (واللہ اعلم)

Harat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ se riwaayat hai keh Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: ” Sooraj kisi insan ke liye nahin roka gaya, Siraf Yousha علیہ السلام ke liye roka gaya jab unhon ne Bat-ul-Maqdas ki taraf safar kiya tha.”( Hazrat Moosa foat huaye to Unhein Nibu pahad par dafan kiya gaya jise Ahadees mein “Surakh Teela kaha gaya hai. Yeh pahad Bahera-e-Murdaar ke Shamaal Mashriq mein Urdan mein hai. ( Itlas-ul-Quraan, Urdu, Dar-ul-Salam: page: 136-146))

Is se sabit hota hai keh woh Haees zaeef hai jis mein yeh bayan kiya gaya hai keh keh aik bar Nabi صلی اللہ علیہ وسلم Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ke ghutne par sar rakh kar so gaye hatta keh Hazrat Ali رضی اللہ عنہ ki Asar ki namaz foat ho gai. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se darkhawasat ki keh Allah T’aala se sooraj ke palat aane ki dua karen takeh woh Asar ki namaz (bar’waqat) ada kar saken. Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم  ki dua se sooraj palat aaya. Yeh Hadees na Sahih Hadeeson ke majmooaye mein hai na Hasan Hadeeson mein se hai. Phir yeh waqia aisa hai keh jo kasrat se riwaayat hona chahiye tha lekin isay riwaayat karne wali siraf “Ahal-e-Bait ki aik khatoon” hein, Jin ka naam aur halaat maloom nahin.

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ se riwaayat hai keh Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم  ne farmaya: “Aik Nabi jihad ke liye jane lage to apni qoam se farmaya: Woh aadami mere sath na aaye jis ne kisi aurat se nikah kiya hai aur us se khalwat kana chahta hai lekin abhi khalwat nahin ki. Woh aadami bhi na aaye jis ne koi imaarat banaai hai lekin abhi chat nahin dali. Woh bhi na aaye jis ne bakriyan ya hamila uontaniyan khareedi hein aur usay un ke bache paida hone ka intizar hai.”

Rasool-e-Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: “Us Nabi علیہ السلام ne jang ki aur shehar ke qareeb us waqat pohanche jab Ap ne Asar ki namaz padh li thi ya us ke qareeb (Asar ke ba’ad) ka waqat tha.Tab Ap ne sooraj se kaha: Tu bhi hukam ka paaband hai aur mein bhi hukam ka paaband hon. Ya Allah! Isay kuch der (ghuroob hone se) rok de, Chunancheh sooraj ruka raha hatta keh fatah hasil ho gai. Tab unhon ne ghaneemat ka maal jama’a kiya aag usay jalane aai lekin jalaye bagher palat gai. Tab unhon ne farmaya: Tum logon ne khayaanat ki hai. (Kuch ghaneemat chupa li hai is liye tumhara jihad qabool nahin ho raha) lihaza har qabeele ka aik aik aadami mujh se ba’et kare. Unhon ne ba’et ki to aik (qabeela ke numeinda) aadami ka hath Nabi ke hath se chipak gaya. Ap ne farmaya: Khayanat tumhare hi ander hai. Tera poora qabeela mujh se ba’et (aur musafiha) kare. Us ke qabeele (ke tamam afraad) ne ba’et ki to do teen aadmiyon ke hath chipak gaye. Nabi ne farmaya: Khayanat ka maal tumhare pas hai, Tum ne hi khayanat ki hai. Is par unhon ne ga’aye ke sar jitna sone ka dala nikala aur usay maidan mein dosare Maal-e-Ghaneemat ke sath rakh diya. Tab aag aai aur usay jala gai.

Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya: “Ham se pehle logon ke liye ghaneemat ka maal halal nahin tha. Allah ne hamari kamzori dekh kar isay hamare liye halal kar diya.” (Musnad-e-Ahmed: 2/318. Wa Sahih Muslim, Al-Jihaad, Baab-o-Tahleel-e-Al Ghanaim Lihazihi-e-Al Ummati Khassatan, Hadees: 1747)


Qoam Ki Na Farmani Par Azaab-E-Ilahi


Behar haal jab Ap apne logon ke sath shehar ke darwaze par pohanche to unhein hukam diya gaya keh shehar mein sajda karte huaye, Ya’ani aajizi ke sath ke sath rakoo’a ki haalat mein jhuk kar dakhil hon aur is tarah Allah ka shukar ada karen keh us ne unhein woh azeem fatah ata farmai jis ka un se wa’ada kiya tha aur woh shehar mein dakhil hote waqat kahen: { حِطَّةٌ } ” ya’ani hamari guzishta ghaltiyan moaf farma de, Ya’ani hukam ki ta’ameel mein is se pehle jo kotahi hui woh moaf farma de.

Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم jab fatah Makkah ke moqa’a par shehar mein fatihana dakhil huaye us waqat Ap صلی اللہ علیہ وسلم apni uontani par sawaar thay, Aur ajizi ke sath Allah ki ta’areef aur shukar kar rahe thay. Ap صلی اللہ علیہ وسلم ka sar mubarak is qadar jhuka huwa tha keh dadhi kajawe ko choo rahi thi. Ap صلی اللہ علیہ وسلم Allah ke samne Ijaz-o-Niyaz ka izhaar farma rahe thay. Jabkeh Ap صلی اللہ علیہ وسلم ke sath poore tor par musallah aik Lashkar-e-Jarraar tha, bil’khasoos woh dasta jise “Khazra’a” ka naam diya gaya tha. Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم Khud us ke darmiyan mojood thay. Phir jab Ap صلی اللہ علیہ وسلم Makkah Mukarmah mein dakhil ho chuke to ghusal farma kar aath rak’at namaz ada ki. (Sahih Al-Bukhari, Al-Taqseer, Baab-o-Man Tatawwa Fil Safar……., Hadees: 1103.)

Ulma’a ka mash’hoor qoal yehi hai keh Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ne woh namaz fatah par shukrane ke tor par ada farmai thi. Ba’az Ulama-e-Kiraam ne isay Zoha (chashat) ki namaz qaraar diya hai. Un hazraat ne ye mo’aqaf ghaliban is liye ikhtiyar kiya hai keh ye namaz Zoha (chashat) ke waqat ada ki gai thi.

Is ke bar’akas Bani Israil ko jo hukam diya gaya tha, Unhon ne qoali aur amali tor par us ki khilaf warzi ki. Woh sureen ke bal ghisat’te huaye shehar mein dakhil huaye aur un ki zuban par Shukar-o-Istighfaar ke kalmaat ki bajaye yeh (be ma’ani) alfaaz thay: [حبۃ فی شعرۃ] “baal mein dana” Ya [حنطۃ  فی شعرۃ] “Baal mein gandum”.

Khulasa yeh hai keh unhein jo hukam diya gaya tha, Unhon ne us ko tabadeel kiya aur us ka mazaq udaya. Allah T’aala ne Soora-e-Aaraf mein un ka waqia yoon bayan farmaya:

 

وَاِذْ قِيْلَ لَهُمُ اسْكُنُوْا هٰذِهِ الْقَرْيَةَ وَكُلُوْا مِنْهَا حَيْثُ شِئْتُمْ وَقُوْلُوْا حِطَّةٌ وَّادْخُلُوا الْبَابَ سُجَّدًا نَّغْفِرْ لَكُمْ خَطِيْۗـــٰٔــتِكُمْ ۭسَنَزِيْدُ الْمُحْسِنِيْنَ ١٦١؁ فَبَدَّلَ الَّذِيْنَ ظَلَمُوْا مِنْهُمْ قَوْلًا غَيْرَ الَّذِيْ قِيْلَ لَهُمْ فَاَرْسَلْنَا عَلَيْهِمْ رِجْزًا مِّنَ السَّمَاۗءِ بِمَا كَانُوْا يَظْلِمُوْنَ ١٦٢؀ۧ

 

“Aur jab un ko hukam diya gaya keh tum log us aabadi mein ja kar raho aur khao us se jis jagah tum raghbat karo aur zuban se yeh kehte jana keh taubah hai aur sajda karte huaye darwaza mein dakhil hona, Ham tumhari khataen maaf kar den gay. Jo log naik kam karen gay ham un ko mazeed den gay, Chunancheh un zalimon ne badal kar aik aur kalima kaha jo khilaf tha us kalima ke jo unhein bataya gaya tha. Is par ham ne un par aik Aafat-e-Samawi bheji, Is wajah se keh woh hukam ko zaaia karte thay.” (Al-Aaraf: 7/161-162)

 

Aur Soorah-e-Baqarah mein un ko mukhatab kar ke kaha gaya:

 

وَاِذْ قُلْنَا ادْخُلُوْا ھٰذِهِ الْقَرْيَةَ فَكُلُوْا مِنْهَا حَيْثُ شِئْتُمْ رَغَدًا وَّادْخُلُوا الْبَابَ سُجَّدًا وَّقُوْلُوْا حِطَّةٌ نَّغْفِرْ لَكُمْ خَطٰيٰكُمْ ۭ  وَسَنَزِيْدُ الْمُحْسِنِيْنَ  58؀ فَبَدَّلَ الَّذِيْنَ ظَلَمُوْا قَوْلًا غَيْرَ الَّذِىْ قِيْلَ لَھُمْ فَاَنْزَلْنَا عَلَي الَّذِيْنَ ظَلَمُوْا رِجْزًا مِّنَ السَّمَاۗءِ بِمَا كَانُوْا يَفْسُقُوْنَ   59؀ۧ

 

“Aur ham ne tum se kaha keh us basti mein jao aur jo kuch jahan kahin se chaho ba faraaghat khao piyo aur darwaze mein sajde karte huaye guzro aur zuban se [حِطَّةٌ] kaho! Ham tumhari khataen maaf kar den gay aur naiki karne walon ko zayada den gay. Phir un zalimon ne us bat ko jo un se kahi gai thi, Badal dala. Ham ne un zalimon par un ke Fisaq-o-Na farmani ki wajah se aasmani azaab nazil kiya.” (Al-Baqarah: 2/58-59)

 

Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ ظنہ bayan karte hein: وَّادْخُلُوا الْبَابَ سُجَّدًا  “Sajda karte huaye darwaza mein dakhil hona” ka matlab yeh hai keh chote darwaze se jhuke jhuke (rakoo’a ) ki haalat mein dakhil hona.”

Mujahid, Sudi aur Zahhak رضی اللہ عنہم bayan karte hein: “Darwaze se murad Bait-ul-Maqdas ke shehar ka darwaza hai.”

Ikarmah رحمہ اللہ ne farmaya: “Woh log hukam ke khilaf sar uthaye (akadte) huay dakhil huay.” (Tafseer Al-Tabri: 1/433-434, Tafseer Soorat-ul-Baqarah, Aayat: 59.)

Yeh qoal Hazrat Ibn-e-Abbas رضی اللہ عنہ ke us farman ke khilaf nahin hai keh woh log sureen ke bal ghisat’te huaye dakhil huay thay. Asal bat yeh hai keh who darwaze mein se guzarte waqat sureen ke bal ghisat rahe thay aur unhon ne sar uper utha rakhe thay.

Aur kaho { حِطَّةٌ } “Taubah hai” is ka matlab yeh hai keh sajde karte huaye is andaaz mein dakhil ho keh tumhari zuban par istighfaar aut taubah ke alfaaz hon.

Hazrat Hammam Bin Munabbah رحمہ اللہ ne Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ عنہ se riwaayat kiya keh Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmay: “Allah T’aala ne Bani Israil se farmaya: وَّادْخُلُوا الْبَابَ سُجَّدًا وَّقُوْلُوْا حِطَّةٌ نَّغْفِرْ لَكُمْ خَطٰيٰكُمْ ” Darwaze mein sajda karte huaye dakhil ho aur kaho: Maaf farma! Ham tumhari ghaltiyan maaf kar den gay.” Unhon ne (alfaaz ko) tabdeel kar diya. Woh sureen ke bal ghisat’te huaye darwaze mein dakhil huaye aur kaha: { حبۃ فی شعرۃ} “Baal mein dana”.( Sahih Al-Bukhari, Ahadees-ul-Anbiya’a, Baab, Hadees: 3403, wa Sahih Muslim, Al-Tafseer, Baab Fi Tafseer-e-Aayatin Mutafarriqah  3015)

Allah T’aala ne bayan farmaya keh us ne is hukam udooli ki saza ke tor par un par azaab nazil kiya, Ya’ani Ta’oon ki waba bhej di. Hazrat Usama Bin Zaid رضی اللہ عنہا se riwaayat hai keh Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم  ne farmaya: “Yeh bimari ( ya’ani ta’oon ) azaab hai jis ke zariaye se tum se pehli kuch ummaton ko saza di gai thi.” (Musnad-e-Ahmed: 1/193, Sahih Al-Bukhari, Ahadees-ul-Anbiya’a, Baab, Hadees: 3473, wa Sahih Muslim, Al-Salam, Baab-ul-Taoon……,  Hadees: 2218.)


Hazrat Yousha Ki Wafaat


Jab Bait-ul-Maqdas par Bani Israil ka qabza ho gaya to woh wahan muqeem rahe. Un mein Allah ke Nabi Yousha علیہ السلام mojood thay jo Allah ki kitab Tauraat ke mutabiq un par hukoomat karte rahe hatta keh woh foat ho gaye. Wafaat ke waqat un ki umar aik so sataees saal thi. Woh Hazrat Moosa علیہ السلام ke ba’ad sataees saal zinda rahe.

 

REFERENCE:
Book: “Qasas ul Anbiya” (Urdu)
By Hafiz Ibn Kaseer Rahimahullah.

 

 

QASASUL AMBIYA | Episode 21 | Sheikh Arshad Hussain Mohammadi.
Table of Contents