Search
Sections
< All Topics
Print

26. HAZRAT HIZQEEL(علیہ السلام)

 Hazrat Hizqeel علیہ السلام

 

Allah T’aala ne farmaya:

 

اَلَمْ تَرَ اِلَى الَّذِيْنَ خَرَجُوْا مِنْ دِيَارِھِمْ وَھُمْ اُلُوْفٌ حَذَرَ الْمَوْتِ ۠ فَقَالَ لَهُمُ اللّٰهُ مُوْتُوْا ۣ ثُمَّ اَحْيَاھُمْ ۭ اِنَّ اللّٰهَ لَذُوْ فَضْلٍ عَلَي النَّاسِ وَلٰكِنَّ اَكْثَرَ النَّاسِ لَا يَشْكُرُوْنَ  ٢٤٣؁

 

“Kaya tum ne unhein nahin dekha jo hazaron ki ta’adaad mein thay aur moat ke dar ke mare apne gharon se nikal khade huaye thay? Allah T’aala ne unhein farmaya: Mar jao! Phir unhein zinda kar diya. Beshak Allah T’aala logon par bada fazal karne wala hai lekin aksar log na-shukre hein.” (Al-Baqrah: 2/243)

Imam Muhammad Bin Is’haq رحمہ اللہ ne Wahab Bin Munabbah رحمہ اللہ ka qoal naqal kiya hai keh Hazrat Yousha’a علیہ السلام ke ba’ad jab Allah T’aala ne Hazrat Kalib Bin Youfanna علیہ السلام ko bhi wafaat de di to Bani Israil mein un ka mansab Hazrat Hizqel Bin Bozi علیہ السلام ko mila. Unhon ne hi Apni qoam ke haq mein dua ki thi jis ka zikar Quraan Majeed mein bhi hai. Irshad-e-Bari T’aala hai:

 

اَلَمْ تَرَ اِلَى الَّذِيْنَ خَرَجُوْا مِنْ دِيَارِھِمْ وَھُمْ اُلُوْفٌ حَذَرَ الْمَوْتِ

 

“Kaya ap ne unhein nahin dekha jo hazaron ki ta’adaad mein thay aur moat ke dar ke mare apne gharon se nikal khade huaye thay.”

Imam Ibn-e-Is’haq رحمہ اللہ farmate hein: Woh waba ke dar se bhag thay. Woh aik medan mein thehre to Allah T’aala ne farmaya: “Mar jao! “Woh sab mar gaye. Un ke irad girad aik bad ban gai takeh darinde un tak na pohanchen. Isi tarah aik taweel muddat guzar gai. Hazrat Hizqel علیہ السلام wahan se guzre. Ap khade hokar sochane lage. Ap se kaha gaya: “Kaya Ap chahte hein keh Allah T’aala inhein Ap ki nazron ke samne zinda farma de?” Ap ne farmaya: “Ji han!” Ap se kaha gaya keh in hadiyon ko mukhatib kar ke kahen kh in par goshat chadh jaye aur ragen, Pathe apne apne maqam par aa milen. Ap ne Allah ke hukam se unhein aawaz de kar yeh bat kahi to woh sab log (zinda ho kar) uth khade huaye aur kehne lage: سبحان الله،سبحان الله Allah ne hamein zinda kar diya aur ba’yak aawaz Nara-e-Takbeer lagaya.( Tafseer Al-Tabri, 2/794, Tafseer Soorat-ul-Baqarah, Aayat: 243.)

Janab Sudi رحمہ اللہ se mundarja bala aayaat ki tashreeh mein marwi hai keh Wasit ke qareeb aik shehar “Daawardaan” mein Ta’oon phel gaya. Wahan ke aksar bashinde wahan se nikal kar aik qareebi maqam par ja thehre. Phir yeh huwa keh shehar mein thehre rehne wale aksar log mar gaye aur doosare mahfooz rahe. Un mein se zayada log na mare. Jab waba khatam hui to woh log sahih salaamat shehar mein wapis aa gaye. Tab shehar mein theharne walon ne kaha: “Hamare yeh sathihum se zayada samajhdar thay. Agar hum bhi inhi jaisa Taraz-e-Amal ikhtiyar karte to ham bhi bach jate. Agar dobara ta’oon phela to hum bhi in ke sath shehar se door chale jaen gay.”

Agle saal ta’oon shuru huwa to yeh sab log jin ki ta’adaad taqriban pentees hazar thi, Sab ke sab nikal khade huye aur usi wasee maidan mein ja thehre. Aik farishte ne wadi ke nasheb ki taraf se aur doosre farishte ne balaai simat se aawaz di: “Mar jao!” Woh sab mar gaye aur un ki haddiyan aur lashen wahan padi rahien. Is dauran mein wahan se aik Nabi Hizqel ka guzar huwa to unhen dekh kar ruk gaye. Woh sochne aur afsoos karne lage. Ap is bat par tajjub farma rahe thay keh Allah T’aala ki Qudrat-o-Taaqat kitni azeem hai (keh inhein achanak pakad liya aur itni badi qoam khatam ho gai).

Allah T’aala ne Ap ki taraf wahi farmai: “Kaya Ap dekhna chahte hein keh main in ko kis tarah zinda karon ga?” Farmaya: “Ji han” Ap se kaha gaya: “Aawaz dijiye! “Unhon ne pukar kar kaha: “Aye haddiyo! Allah T’aala tumhen hukam deta hai keh ikatthi ho jao!” Yeh sun kar haddiyan aik dosari se judne lagien hatta ke haddiyon ke poore dhanche ban gaye. Phir Ap ko wahi ke zariye se farmaya gaya: “Inhein keh dijiye: Aye haddiyo! Allah T’aala tumhen hukam deta hai keh goshat pehan lo!” Ap ke ailan karte hi haddiyon par goshat chadhna shuru ho gaya aur jismon mein khoon gardish karne laga. Un ke jismon par woh libas bhi aa gaya jo marte waqat unhon ne pehna huwa tha. Phir hukam diya gaya: ” Pukariye!” Ap ne pukar kar kaha: “Aye (be jan) Jismo! Allah tumhein hukam deta hai keh khade hojao.” Woh (zinda ho kar) uth khade huaye. (Tafseer Al Tabri: 2/795, Tafseer Soorat-ul-Baqarah, Aayat: 243.)

Hazrat Abdullah Bin Abbas رضی اللہ عنہ se riwaayat hai keh Hazrat Umar رضی اللہ عنہ Sham ki taraf rawana huaye. Jab Ap Maqam “Surakh” pa pohanche to foaj ke kamandaron ya’ani Hazrat Abu Ubaida Bin Jarrah رضی اللہ عنہ aur deegar hazraat ne mulaqat ki aur ittila’a di keh Sham mein waba pheli hui hai. Hazrat Umar رضی اللہ عنہ muhajir aur ansaar hazraat se mashwara kiya. To mukhtalif aara’a samne aaien.

Hazrat Abdul Rahman Bin Aof رضی اللہ عنہ kisi kam se gaye huaye thay. (Is liye mashwara ke moqa’a par mojood na thay. Jab unhein maloom huwa to) Hazrat Umar رضی اللہ عنہ ki khidmat mein hazir ho kar unhon ne farmaya: “Is masle ke bare mein mere pass (Sharai hukam ka) ilm mojood hai. Main ne Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم se yeh irshad suna hai: ” Jab ye (Ta’oon) us ilaqe mein ho jahan tum mojood ho to is se bachne ke liye us aabadi se mat niklo aur jab tumhein khabar mile keh woh kisi ilaqe mein phel gaya hai to wahan na jao.” Hazrat Umar رضی اللہ عنہ ne Allah ka shukar ada kiya aur foaj ko wapis le gaye. ( Musnad-e-Ahmad: 1/194.)

Imam Muhammad Bin Is’haq رحمہ اللہ farmate hein: Hamein yeh bat maloom nahin ho saki keh Hizqel علیہ السلام kitna arasa Bani Israil mein guzaar kar foat huaye. Ap ki wafaat ke ba’ad Bani Israil ne Allah se kiye huaye Ahad-o-Peman faramosh kar diye, Chunancheh un ko bahut masaaib paish aaye. Unhon ne but parasti bhi shuru kar di. Un ke buton mein se aik ka naam “Ba’al” tha. Phir Allah T’aala ne Hazrat Ilyas علیہ السلام ko mab’oos farmaya. Jin ka zikar pehle ho chuka hai.

Hazrat Ilyas علیہ السلام ke ba’ad un logon mein Hazrat Al Yasa’a Bin Akhtoob علیہ السلام Mansab-e-Nubuwat par faaiz huaye.

 

REFERENCE:
Book: “Qasas ul Anbiya” (Urdu)
By Hafiz Ibn Kaseer Rahimahullah.

 

Table of Contents