Search
Sections
< All Topics
Print

02. Hazrat Umm-e-Roman  ( رضى الله عنها )

Hazrat Umm-e-Roman  ( رضى الله عنها )

 

 

“Jo koi duniya mein jannat ki hoor dekhna chahta hai woh Umm-e-Roman ( رضى الله عنها ) ko dekh le.”

( Farmaan-e-Rasool صلی اللہ علیہ وسلم )


Sayyid-ul-Mursaleen, Rahmat-ul-Lil ‘Aalimeen, Shafee’-ul-Maznibeen, Khatam-ul-Nabiyeen, Hazrat Muhammad-e-Mustafa ki khush daaman, Khalifat-ul-Muslimeen Sayyiduna Abu Bakkar Seddiq رضى الله عنهما ki zauja mohtarma Sayyidah Aysha Sadiqa رضى الله عنها ki waalida maajida, Maahir teer andaaz, Tajurba kaar sehsawar, Bahaadur aur nidar Sahabi Hazrat Abdul Rahmaan bin Abi Bakar Seddiq رضى الله عنه ki waalida maajida, Jis ka asli naam Zainab tha lekin kuniat naam par ghaalib aa gai. Jis ne apni beti Sayyidah Aysha Sadiqa رضى الله عنها par lagaaye gaye Bohtaan-e-‘Azeem ko kamaal sabr, Hoslay aur tahammul ke saath bardaasht kiya, Jis ne apne Jaleel-ul-Qqadar khaawand Hazrat Abu Bakar Seddiq رضى الله عنه ki mubaarak zabaan se Islam ki khoobiyan suntay hi Daaira-e-Islaam mein daakhil honay ka ailaan kar diya, Jis ki Zaahiri-o-Rohaani khoobiyan dekhte hue Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne usay Jannat-ul-Firdos ki hoor qaraar diya, Jis ki qabar mein Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم pehlay khud utre, Achi tarhan jaaiza lainay ke ba’ad aap ne daffan karne ka hukum saadir farmaaya, Aur us ke liye mughfirat ki du’a ki, Jisay Lisaan-e-Risaalat se Jannat ki bashaarat mili. Aaiye is Khatoon-e-Jannat ke Halaat-e-Zindagi ko apne liye Mash’al-e-Raah banaayen.


Jazeera-e-‘Arab ke ‘ilaaqa Sarat mein Hazrat Umm-e-Roman Bint-e-‘Aamir رضى الله عنها ne parwarish paayi. Jawan hui to apne hi qabeelay ke kadiyal jawan Abdulah bin Haris bin Sakhbarah zaadi se shaadi hui. Beta peda hua jis ka naam Tufail bin Abdulah rakha gaya. Abdulah bin Haris ne Makah Mu’azmah mein mustaqil sukoonat ikhtiyaar kar li. Yahan aabaad ho kar woh Hazrat Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه ke Haleef banay. Thoday hi ‘arsay ke ba’ad yeh faut ho gaya. Biwi aur beta be Yaar-o-Madadgaar reh gaye. Is naazuk Tareen Soorat-e-Haal ko dekhte hue Hazrat Abu Bakar Seddiq رضى الله عنه ne us se shaadi kar li to maan betay ki khush haali ke din lout aaye. Shaadan-o-Farhan apne ghar ke aangan mein zindagi ke din guzarnay lagay. Abdul Rahmaan aur Sayyidah Aysha Sadiqa رضى الله عنها ne janam liya. Jis se ghar ki khushiyan dobaala ho gain. Yaad rahe keh Hazrat Abu Bakar Seddiq رضى الله عنه ne Zamana-e-Jaahliat mein Qateela Bint-e-Abdul Uzza se shaadi ki thi jis se Abdulah aur Asma peda hue. Hazrat Abu Bakkar Seddiq رضى الله عنه ne islaam qubool karne ke ba’ad Asma Bint-e-‘Umais se shaadi ki jis se Muhammad bin Abi Bakar peda hue. Phir Habiba Bint-e-kharijah se shaadi ki jis se aik beti peda hui jis ka naam Umm-e-Kulsoom rakha gaya. Jab Hazrat Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه ki wafaat hui to Habiba Bint-e-kharijah aap ke Hibaala-e-‘Aqad mein thi.

Hazrat Umm-e-Roman رضى الله Roman ne bilkul ibtidaayi marhalay hi mein Islam qubool kar liya tha. Jab Hazrat Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه ko halqa Bagosh-e-Islam honay ka sharf haasil hua to unhon ne ghar qadam rakhtay hi apni biwi Umm-e-Roman رضى الله عنها ko Soorat-e-Haal se aagah karte hue Islam ki da’wat di jo us ne suntay hi is tarhan qubool ki jaisay pehlay hi woh yeh sa’adat haasil karne ke liye tayyaar baithi thi. Umm-ul-Momineen Sayyidah Aysha رضی اللہ عنها bayaan karti hain keh Main ne jab se hosh sanbhala hai apne walidain ko Zewar-e-Islam se aarasta hi dekha hai. Tabqaat Ibn-e-Sa’ad ne yeh tabsirah naqal kiya hai

 

أَسْلَمَتْ أُمُّ رُؤْمَانَ بِمَكَّةَ قَدِيمًا وَبَايَعَتْ وَهَاجَرَتْ

 

” Umm-e-Roman رضى الله عنها ne bohat pehlay Makkah Mu’azmah mein Islam qubool kar liya Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke Dast-e-Mubaarak par bai’t ki aur hijrat ka sharf haasil kiya.”

No Aamuzan-e-Islam par Sardaraan-e-Quraish ki jaanib se jab Zulm-o-Sitam ke pahaad dhaaye jaatay, Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها yeh Andohnak-o-Alamnaak manzar dekh kar tilmila uthti lekin jab apne ‘Azeem shohar Hazrat Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه ko dekhati ke woh Farzandaan-e-Islam ke liye Isaar-o-Qurbani ki Qaabil-e-Rashk misaal qaim kar rahay hain to dil ko tasali hoti.

Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne bhi apne jaan nisaaron ko musalsal Sabr-o-Tahammul ki talqeen karte. Islam ke liye sakhtiyan jheelne waalon ko Jannat-ul-Firdos ka Mazda-e-Jaanafza sunaate. Hazrat Bilal ko dhaaras bndhaayi, Hazrat Khubaib Bint-e-Art رضى الله عنه ko sabr ki talqeen karte hue farmaaya: Ham se pehlay Muhibbaan-e-Ilaahi ke Ajsaad-e-Athar ko aaray se cheer kar do tukde kar diya jaata tha Aal-e-Yaasir par dhaaye jaane waalay Zulm-o-Sitam ko dekhte hue irshaad farmaaya:

 

اصْبِرُوا آلَ يَاسَرَ إِنَّ مَوْعِدَكُمُ الْجَنَّةَ.

 

” Aey Khandan-e-Yaasir sabr karo bilashuba tumhaara thikaana jannat hai.”

 

Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها us daur mein Sabr-o-Tahammul, Jurrat-o-Shuja’at aur Sidq-o-Safa ka paikar bani raheen. Zayadah waqt Allah Ta’ala ki ‘ibaadat mein masroof rehtin. Apne shohar Hazrat Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه ki Islam ke liye khidmaat ko dekh kar dili itminaan ka izhaar kartin. Apni ulaad Abdul Rahmaan aur Aysha ki tarbiyat mein munhamik rehtin taakeh Tarikh-e-Islaam mein un ka tazkara sunehri baab ki hesiyat ikhtiyaar kar jaye. Sayyid-ul-Mursaleen ne Hazrat Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه ke ghar aksar tashreef le jaaya karte thay. Aik dafa aap ne Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها se kaha : Aey Umm-e-Roman Aysha ko behtari ki talqeen karte rehna. Umm-ul-Momineen Hazrat Khadija al-Kubraa رضى الله عنها hijrat se teen saal pehlay raahi Mulk-e-Adam ho kar Jannat-ul-Firdos mein ja baseen. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne do saal ka arsa mujarrad guzaarnay ke ba’ad Sayyidah Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها ke sath Wahi-e-Ilaahi ki bunyaad par nikah kiya.

Aik dafa aap ne Hazrat Aysha Sadiqa رضی اللہ عنها se mukhaatib hotay hue irshaad farmaaya: Aysha Main ne tujhe musalsal teen raat khawab mein dekha. Farishta mere paas teri tasweer resham ke kapday mein lapait kar laya aur us ne kaha yeh teri biwi hai. Jab tairay chehray se parda hataya to hu bahu tu hi thi. Hazrat Aysha رضی اللہ عنها ne yeh baat sun kar khushi ka izhaar kiya. Aik din Hazrat Khola Bint-e-Hakeem Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein haazir hui aur ‘arz ki do rishte hain agar iraada ho to baat chlaaon. Aap ne daryaaft kiya rishta kon sa hai? Us ne raazdarana andaaz mein kaha Abu Bakkar Siddiq ki beti Aysha رضی اللہ عنها aur Soda Bint-e-Zama aap ne dono rishte qubool kar liye aur dono ko apne Hibaala-e-‘Aqad Aqab mein le liya. Is tarhan Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها ko Sayyid-ul-Mursaleen صلی اللہ علیہ وسلم ki khush daaman banay ka ‘azeem sharf haasil hua.


Jab Sayyid-ul-Mursaleen Rahmat-ul-Lil ‘Aalimeen صلی اللہ علیہ وسلم ko Allah Rab-ul-Aa’lameen ki taraf se hijrat ka hukum hua to aap Hazrat Abu Bakar Seddiq رضى الله عنه ke ghar tashreef laaye. Safar ke liye tayyaari ka hukum diya. Aap baghair kisi Heel-o-Hujjat ke tayyar ho gaye.

Zaad-e-Safar tayaar kiya, Ghar mein jo naqdi mojood thi, Woh sath le li. Biwi bachay aur baap ko wahein Allah ke sapurd kiya aur Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke saath aik an dekhi manzil par rawaana ho gaye. Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها ke liye yeh baday sakht din thay. khawand ki judaai, Gharelu akhrajaat ke liye maali tangi kyunkeh jo naqad raqam ghar mein mojood thi woh Hazrat Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه apne saath le gaye thay. Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها ke dil mein sirf yahi tamanna maujzan thi keh Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم aur Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه Aman-o-Salaamti se apni manzil par pohnch jaayen. Hazrat Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه ne Madinah Munawwara pohnchnay ke ba’ad Zaid bin Harisa aur Abu Rafe’ ko bheja taakeh Ahal-e-Khanah ko le aayen. Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها aur un ki laadli beti Sayyidah Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها aik uont par sawaar huien. Raastay mein uont biphar gaya. Us ne be qaboo ho kar uchhalna koodna shuru’ kar diya. Is naazuk aur khatarnaak Soorat-e-Haal ko dekh kar Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها bohat Zayadah ghabra gayeen. Apni jaan ki unhein itni parwah na thi. Apni piyaari beti Sayyidah Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها ki balaayen layti huien واه ابنتاه و عروساہ ke alfaaz baar baar ba aawaz buland dohraanay lagin ke haay meri piyaari beti haay meri piyaari dulhan. Itnay mein kisi ne aawaz di ke uont ki muhaar chod do jab uont ki muhaar chod di gayi to woh sukoon se khada ho gaya. Is tarhan maan beti paish aanay waalay khatray se bach gayeen.

Madinah Munawwara pohnch kar us ghar mein qiyaam kiya jo Hazrat Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه ne apne Ahal-e-Khanah ki rihaaish ke liye tayyaar kar liya tha. Sayyidah Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها ki rukhsati Ghazwah-e-Badar ke ba’ad Mah-e-Shawaal mein hui thi. Is tarhan yeh ghar Wahi-e-Ilaahi ke nazool ka markaz ban gaya. Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها ne apni laadli beti ke Umm-ul-Momineen ka ai’zaaz haasil karne par intihaai musarrat ka izhaar kiya. Beti ki khush naseebi hamesha walidain ke liye dili Musarrat-o-Shaadmaani ka baa’is banti hai. Is se badh kar aur kya sarfaraazi ho sakti hai keh Sayyidah Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها ko ka Shana-e-Nabuwat ki shama’ farozan ban’nay ki sa’adat haasil hui.


Sayyidah Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها par jab munafiqeen ne Buhtaan-e-‘Azeem baandha to Madinah Munawwara mein aik irti’aash peda hua. Musalmanon mein har taraf saraseemgi phail gayi. Sayyidah Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها ko jab Umm-e-Mistah ke zari’ye ma’loom hua to be ikhtiyaar ronay lagi Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم se ijaazat le kar maikay chali gayi. Apni waalida Umm-e-Roman رضى الله عنها ko Soorat-e-Haal se aagah kiya to woh bhi Ranj-o-Alam ki tasweer ban gayi Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم khud baday pareshaan thay. Aik roz aap susraal tashreef laaye Sayyidah Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها ko Zaar-o-Qataar rotay dekha to irshaad farmaaya Aysha agar koi ghalti ho gayi hai to Sidq-e-Dil se tauba kar lo, Allah Ta’ala m’aaf karne waala meharbaan hai aur agar koi jurm sarzad nahi hua to gham na karo Allah yaqeenan tujhe barri kar day ga. Sayyidah aysha Sadiqia رضی اللہ عنها ne waalida se kaha amma jaan koi jawab do. Woh khamosh! Phir Hazrat Seddiq-e-Akbar رضى الله عنه se mukhaatib ho kar kehnay lagi abba jaan aap hi koi tasalli bakhash jawab den. Woh bhi khamosh! phir aap khud uth kar baith gayeen, Aansu yak dam khushk ho gaye, Farmaaya:

Agar main yeh kahoon mein bilkul be gunah hoon aur mera Allah jaanta hai ke mein be gunah hoon aap meri baat ko tasleem nahi karen ge. Agar main jurm ka ai’traaf kar layti hoon to aap mutma’een ho jaayen gein lekin mera yeh ai’traaf Khilaaf-e-Qaqi’ya ho ga. Main to aaj Hazrat Yousuf علیہ السلام ke waalid ka woh jawab hi dun gi jo us ne apne beton ke saamnay be basi ke ‘aalam mein diya tha.

 

فَصَبْرٌ جَمِيلٌ وَاللهُ الْمُسْتَعَانُ عَلَى مَا تَصِفُونَ

 

Hazrat Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها farmaati hain keh main us roz itni pareshaan thi keh mere zehen mein Hazrat Yousuf علیہ السلام ke waalid Hazrat Ya’qoob علیہ السلام ka naam nahi aa raha tha. Yeh baatein abhi ho rahi theen keh Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم par Wahi naazil hona shuru’ ho gayi. Jab Wahi ka silsila khatam ho gaya to aap ne muskuraatay hue kaha Aysha khush ho jaao Allah ne teri baraat ke liye Wahi naazil ki hai. Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها ne jab suna keh meri laadli beti ke haq mein aasman se Wahi naazil hui hai to khushi ki koi intahaa na rahi. Kaha beta utho aur apne sartaaj ka shukriya ada karo. Sayyidah Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها ne farmaaya to aaj main us zaat ka shukriya ada karoon gin jis ne meri baraat ka ailaan kiya. Jo ghar thodi der pehlay Ranj-o-Alam aur Gham-o-Andoh ka markaz bana hua tha woh Musarrat-o-Shaadmaani ka gehwaara ban gaya.

Is waqi’ya ki tafseel isi kitaab ke shuru’ mein Sayyidah Aysha رضی اللہ عنها ke tazkeray mein mulaahiza karen.

Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها ‘Ibaadat guzaar shab zindah daar khatoon thi. Aksar-o-Beshtar auqaat ‘Ibaadat mein masroof rehti. Apne khawand ki bhi badi khidmat guzaar thi, Allah aur us ke Rasool صلی اللہ علیہ وسلم ki raza haasil karna har dam us ke Paish-e-Nazar rehta. Namaz bohat dil laga kar padhti farmaati hain keh aik roz main Namaz padh rahi thi mere sartaaj ghar tashreef laaye, Mujhe Namaz ki haalat mein dekh kar irshaad farmaaya:

“Namaz ke douran jism par sukoon rehna chaahiye. Jisam ka pur sukoon rehna Namaz ki takmeel ka baa’is banta hai.”

‘Ali bin Balbaan Maqadasi ki kitaab Tohfaht-ul-Siddiq Fi Faazail-e-Abi Bakar Siddiq aur Allamah Zahabi ki kitaab Siar-o-A’alaam-al-Nubalaa mein mazkoor hai keh aik roz Hazrat Abu Bakkar Siddiq رضى الله عنه aur Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki Khidmat-e-Aqdas mein haazir hue. Aap ne poocha aaj kaisay aana hua?

Dono ne ba-yak zabaan ‘arz ki : ” Ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم Aysha ke liye du’a kijiye.”

 

Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne yeh du’a ki

 

اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِعَائِشَةَ بِنْتُ أَبِي بَكْرٍ مَغْفِرَةٌ ظَاهِرَةً وَ بَاطِنَةً لَا يُغَادِرُهَا ذَنْب

 

Ilaahi Aysha Bint-e-Abi bakar ko zaahiran aur baatinan aisa bakhash day keh koi gunah baaqi na rahay.”

 

Jab aap ne dono ko bohat zayaada khush dekha to irshaad farmaaya:

 

” Meri yeh du’a har us khush naseeb ke liye hai jis ne meri ba’isat ke ba’ad Islam qubool kiya aur aaj tak woh is par kaar band hai.

 

Nabi Akram صلی اللہ علیہ وسلم ne Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها ka ghayaat darja ahtiram kiya karte thay. Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها bhi Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki khushi ko had darja muqaddam rakhtin. Nihaayat Khushgawaar mahol tha lekin aik roz aisa hua keh Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne Hazrat Khadija al-Kubraa رضى الله عنها ki intihaai khushgawaar andaaz mein ta’reef ki. Sayyidah Aysha Sadiqia رضی اللہ عنها se na raha gaya. Kehnay lageen keh Aap Khadija al-Kubraa ka yun tazkara kar rahay hain jaisay roye zameen par us ke ‘ilaawa koi aurat hai hi nahi. Aap ko yeh baat nagawaar guzri. Ghusse se chehray ka rang surkh ho gaya. Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها ko pata chala to aap ki khidmat mein haazir huien aur ‘arz ki ya Rasool Allah Aysha abhi choti ‘umar ki hai aap is ki baaton ko mahsoos na farmaaya karen. Aap ne naraazgi ka lehja ikhtiyaar karte hue Aysha Siddiqa رضى الله عنها ko mukhaatib ho kar irshaad farmaaya:

 

السَتِ القَائِلَةٌ كَأَنَّمَا لَيْسَ عَلَى وَجْهِ الْأَرْضِ امْرَأَةٌ إِلَّا خَدِيجَةُ؟ وَاللَّهِ لَقَدْ آمَنَتْ بِي إِذْ كَفَرَبَى قَوْمُكَ وَ رُزِقْتُ مِنْهَا الْوَلَدَ وحرمتموه

 

” kya tu ne yeh nahi kaha goya roye zameen par Khadija ke ‘ilaawa koi aurat hai hi nahi? ba Khuda! Mujh par woh us waqt imaan laayi jab teri qoum ne mera inkaar kiya is se mujhe aulaad ki ne’mat muyassar aayi jab keh tum is se mahroom rahi ho.”

 

Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها yeh Soorat-e-Haal dekh kar bilkul khamosh rahin aur kuch na kaha kyunkeh woh jaanti theen keh aap jo bhi baat karte hain, Wahi-e-Ilaahi ki bunyaad par karte hain .

 

وَمَا يَنطِقُ عَنِ الْهَوَى إِنْ هُوَ إِلَّا وَحْيٌ يُوحَى

 

” Aap apni khwahish se koi baat nahi karte Aap wahi ki bunyaad par takallum farmaatay hain.”

 


Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها 6 hjri ko wafaat pa gayeen. Un ki qabar mein Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم Bazaat-e-Khud utre aur un liye maghfirat ki du’a ki. Bilaa shuba Umm-e-Roman رضى الله عنها  ke liye yeh bohat bada ai’zaz hai. Aap ne is mauqa’ par yeh irshaad bhi farmaaya:

 

من سرہ ان ينظر إلى امرأة من الحور العين فَلْيَنْظُرُ   إلى أم رومان

 

” Jo koi Jannat ki Hoor ko dekhna chahta hai woh Umm-e-Roman ko dekh le.”

 

Aap ke is farmaan mein Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها ke liye jannat ki bashaarat ka peghaam hai. Allah Subhana-wa-Ta’ala Hazrat Umm-e-Roman رضى الله عنها ki qabar par noor ki barkha barsaay. Allah Ta’ala ne sach farmaaya :

 

انَ الَّذِينَ آمَنُوا وعملوا الصالحات و اخبتُوا إِلَى رَبِّهِمْ أُولَئِكَ أَصْحَاب الْجَنَّةِ هُمْ فِيهَا خَالِدُونَ  ( Hood : 23 )

 


Hazrat Umm-e-Roman (رضی اللہ عنہا) key mufassal Halat-e-Zindagi maloom karny key liy darj zail kitaboon ka mutala kijiy:

 

1: Tabaqat Ibn-e-Saad                                                                                             8/277
2: Kanz-ul-Ummal                                                                                                     12/146
3: Al Seerat-ul-Halabiyyah                                                                                   2/274
4: Ansaab-ul-Ashraaf                                                                                              1/420
5: Al Mujtabaa Ibn-ul-Jaozi                                                                                  103
6: Mu`jam-ul-Buldaan                                                                                              1/482
7: Al Istiaab                                                                                                                       4/431
8: Wafa-ul-Wafaa                                                                                                      3/897
9: Tuhfat-ul-Siddiq Fi Fazail-e-Abi Bakar Siddiq                                   3/97
10: Hayat-ul-Sahabah                                                                                                3/137
11: Al Bidayah wal Nihayah                                                                                     3/130-221
12: Tahzeeb-ul-Asmaa wal Lughat                                                                  2/183
13: Al Isaabah                                                                                                                  4/433

 

REFERENCE:
Book: Sahabiyaat-e-Mubashiraat”
By Mahmood Ahmed Ghaznofar.

 

 

Table of Contents