Search
Sections
< All Topics
Print

06. Hazrat Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan ( رضى الله عنها )

Hazrat Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan ( رضى الله عنها )

 

Hamidat-ul-Barri_______ Shaidat-ul-Bahri

Rasool-e-Aqdas ﷺ ne irshaad farmaaya:

” Meri ummat ka pehla lashkar jo samandar mein jang kare ga un par Jannat waajib ho gi. Umm-e-Haraam رضى الله عنها ne ‘arz kiya ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم  kya meri shamooliat un logon mein hogi? Farmaaya haan tu un mein shaamil ho gi.”

 

( Farmaan-e-Nabwi صلی اللہ علیہ وسلم )


Jaleel-ul-Qadar Sahabi Hazrat Ans bin Maalik رضی اللہ عنه ki khaala mohtarma Ghazwah-e-Badar-o-Uhad mein shareek honay waalay ‘Azeem-ul-Martabat Sahabi Hazrat Haraam bin Milhaan aur Hazrat Saleem bin Milhaan ki hamsheerah Hazrat Abu Talah رضى الله عنه ki Khwahar-e-Nisbati, Badri Sahabi Hazrat Qais bin Amar bin Qais رضى الله عنه ki waalida Majida Badri Sahabi Hazrat Amar bin Qais bin Zaid ki zauja mohtarma yeh dono Jaleel-ul-Qadar Sahabi Ghazwah-e-Uhad mein Jaam-e-Shahadat nosh kar gaye. B’ad mein un ki shaadi Aali martabat Gernel Sahabi Hazrat Ubadah bin Samit رضى الله عنه ke saath hui. Jis se Muhammad bin Ubadah bin Samit رضى الله عنه peda hue. Jood-o-Sakha aur Aisaar-o-Qurbaani ka jazba Hazrat Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan رضى الله عنها ke dil mein koot kooat kar bhara hua tha. Jis ke dil mein shahaadat haasil karne ki tamanna har waqt maujzan rehti, Jis ne shahaadat ka rutba haasil karne ke liye apni zindagi ka koi daqeeqa frogzasht na kiya, Jis ka ghar Madinah Munawwara ki mulhaqa aabaadi Qubaa mein tha, Jis mein Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne Safar-e-Hijrat mein Madinah mein daakhil honay se pehlay thodi der ke liye aaraam bhi kiya tha. Jisay Lisan-e-Risaalat se Jannat ki bashaarat mili, Jisay Ansaari khawateen mein Islaam qubool karne ke ai’tbaar se sabqat haasil karne ki sa’adat haasil hui, Jis ne Waqi’ya-e-Hijrat se pehlay Musalman honay ka ailaan kar diya jo Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat ka fareeza sar anjaam dainay ko apne liye bohat badi sa’adat samjhti theen.

Aaiye is Khatoon-e-Jannat ki Hayaat-e-Tayyibah ko apne liye Mash’al-e-Raah banaayen.


Hazrat Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan رضى الله عنها badi daanish mand saleeqa shi’aar muttaqi parhaizgaar khatoon theen. Ansaari khawateen mein unhein mumtaaz maqaam haasil tha. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم  ki yeh rishte mein khaala lagti theen. Aap gaahe ba gaahe Qubaa mein waaqe’ un ke ghar tashreef le jaaya karte thay aur kabhi kabhi wahan istiraahat ke liye lait bhi jaatay. Hazrat Ans bin Maalik رضی اللہ عنه bayaan karte hain keh aik roz Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم  Qubaa mein hamaaray ghar tashreef laaye. Wahan mein Ammi jaan aur khaala jaan mojood thay. Aap صلی اللہ علیہ وسلم  ne irshaad farmaaya utho main tumhein Namaz padhaaon. Mujhe itna yaad hai keh woh farz Namaz ka waqt nahi tha. Aap صلی اللہ علیہ وسلم  ne hamein Namaz padhaai, Faarigh honay ke ba’ad Ahal-e-Khanah ke haq mein Dunyawi-o-Aakhirat ki behtari ke liye du’a maangi.

Hazrat Umm-e-Haraam رضى الله عنها ka pehla nikah Amar bin Qais bin Zaid se hua. Beta peda hua jis ka naam Qais rakha gaya. Baap aur beta dono Badri Sahaba mein se hain aur dono Ghazwah-e-Uhad mein Daad-e-Shuja’at dete hue Jaam-e-Shahadat nosh kar gaye. Is ke ba’ad Hazrat Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan رضى الله عنها ki shaadi Jaleel-ul-Qadar Sahabi Hazrat Ubadah bin Samit رضى الله عنه se hui jo Mashhoor-o-Ma’roof Gernel Sahaba-e-Kiraam رضی اللہ عنه mein se hain. Allah Ta’ala ne beta ‘ataa kiya jis ka naam Muhammad bin Ubadah rakha gaya. Hazrat Ubadah bin Samit رضى الله عنه un tenu wufood mein shaamil thay jinhon ne hijrat se pehlay Makkah Mu’azzama ja kar Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم  ke Dast-e-Mubaarak par bai’t ki thi. Pehlay wafad mein chay ( 6 ) afraad thay, Doosray mein baara ( 12) aur teesray mein bahttar ( 72 ) afraad thay.

Hazrat Ubadah bin Samit رضى الله عنه ka apne Ahal-e-Khanah ke sath Husan-e-Sulook misaali noiyat ka tha. Pehlay khawand ki aulaad mein se Abdullah bin Amar ke saath bhi isi tarhan Piyaar-o-Mohabbat aur shafqat se paish aatay jis tarhan unhen apne betay se piyaar tha. Un ka yeh beta Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke saath is Namaz mein bhi shareek tha jis mein Tahweel-e-Qiblah ka hukum naazil hua tha. Lihaza usay aik hi Namaz mein do Qiblon ki jaanib Namaz padhnay ki sa’adat haasil hui.


Hazrat Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan رضى الله عنها se Jaleel-ul-Qadar Sahaba ne riwayaat naqal ki jin mein Hazrat Ubadah bin Samit رضى الله عنها Hazrat Ans bin Maalik رضی اللہ عنه Hazrat ‘Umair bin Aswad رضى الله عنه Hazrat ‘Ataa bin Yasaar رضى الله عنه Aur Hazrat Ya’la bin Shaddad bin Ous رضى الله عنه Qaabil-e-Zikar hain. Hazrat Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan رضى الله عنها ke dil mein Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم  ki Azmat-o-Mohabbat ke jazbaat had kamaal tak pohnche hue thay. Umm-e-Haraam رضى الله عنها aur Umm-e-Sulaim رضى الله عنها dono behnain Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم  ki rishte mein khaala lagti theen. Aap صلی اللہ علیہ وسلم  jab bhi un ke ghar tashreef laatay to un ki khushi ki koi inteha rehti. Aap صلی اللہ علیہ وسلم  ke liye umdah khaanay ka ahtimaam kartin. Aaraam ke liye bistar laga detein. Aap صلی اللہ علیہ وسلم bhi un ke ghar tashreef laa kar dili khushi mehsoos karte. Aap se daryaaft kiya gaya ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم  aap Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan رضى الله عنها ke ghar aksar tashreef le jaatay hain. Is ki koi khaas wajah hai? Aap ne farmaaya mujhe is khandaan par bohat taras aata hai jab se m’aarika Bear-e-Ma’oona mein un ke do bhaai meri aankhon ke saamnay shaheed hue hain us waqt se main un ki diljoi aur khabar gary ke liye un ke ghar zayada aata hoon. Waisay bhi khaala ka darja maan ki maanind hota hai is rishte ke taqaddus ka bhi taqaaza hai keh aap wahan Aksar-o-Beshtar tashreef le jaayen.

Hazrat Umm-e-Haraam رضى الله عنها ke dil mein Aisaar-o-Qurbaani ka jazba bohat zayada paaya jaat tha. Chunkeh un ka ta’lluq Ansar se tha Ansar ke Jazba-e-Aisaar aur sakhaawat ki khoobi ka tazkara Allah Subhana-wa-Ta’ala ne apni kitaab muqaddas Quran Hakeem mein bhi kiya hai. Irshad-e-Baari Ta’alaa hai :

 

وَالَّذِينَ تَبَوَّءُ الدَّارَ وَالإِيْمَانَ مِنْ قَبْلِهِمْ يُحِبُّونَ مَنْ هَاجَرَ إِلَيْهِمْ ووَلَا يَجِدُونَ فِي صُدُورِهِمْ حَاجَةً مِّمَّا أُوتُوا وَيُؤْثِرُونَ عَلَى أَنفُسِهِمْ وَلَوْ كَانَ بِهِمْ خَصَاصَةٌ وَ مَنْ يُوقَ شُحَّ نَفْسِهِ فَأُولَئِكَ المُفْلِحُونَ( Al-Hashar : 9)

 

“Aur woh log jo un ( muhajreen ) ki aamad se pehlay hi imaan laa kar Daar-ul–Hijrat mein muqeem thay. Yeh un logon se mohabbat karte hain jo hijrat kar ke un ke paas aaye hain aur jo kuch bhi un ko day diya jaaye us ki koi haajat tak yeh apne dilon mein mehsoos nahi karte aur apni zaat par doosron ko tarjeeh dete hain. Khuwa apni jagah khud mohtaaj hon haqeeqat yeh hai keh jo log apne dil ki tangi se bacha liye gaye wahi falah paanay waalay hain.”

Ansaar-e-Madinah ne jis faraakh dili sakhaawat aisaar aur hamdardi ka muhajreen ke saath salook kiya Allah Ta’ala ko itna pasand aaya keh un ke is buland kirdaar ko qayaamat tak ke liye apni kitaab mein mahfooz kar diya. Is ‘azmat mein mardon ke ‘ilaawa aurtain bhi baraabar ki shareek theen. Chunkeh Hazrat Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan رضى الله عنها ka ta’lluq bhi Ansaar-e-Madinah se tha is liye sakhaawat, Fayaazi aur faraakh dili ka waafar hissa unhen naseeb hua. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم  ki Raza-o-Khushnoodi is khandaan ko haasil thi. Bilaa shubah is se badh kar aur kya sa’adat haasil ho sakti hai jo unhen muyassar aayi. Jab Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ka is duniya se kooch hua to woh Hazrat Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan رضى الله عنها par khush thay kyunkeh unhon ne khidmat baja laane mein koi kasar baaqi na chodi thi.


Sayyiduna Usman bin ‘Affan رضى الله عنه ke Dour-e-Khilafat 27 hjri mein Ameer Mu’awiya bin Abi Sufyan رضى الله عنها ko Jazeera-e-Qabras fatah karne ki ijaazat mili. Wahan tak pohnchnay ke liye behri beda tayyaar kiya gaya. Tarikh-e-Islaam mein yeh pehla waqi’ya hai jis mein Lashkar-e-Islam ne behri rastay se jihaadi safar kiya. Is lashkar mein Hazrat Ubadah bin Samit رضى الله عنه ke hamrah un ki biwi Hazrat Umm-e-Haraam Bint-e-Milhaan رضى الله عنها bhi theen. Is lashkar ke sipah salaar Hazrat Ameer Mu’awiya bin abi Sufyan رضى الله عنه thay aur Faakhta Bint-e-Qarza Rafeeqa-e-Hayaat Ameer Mu’awiya bhi Shareek-e-Safar thi. ‘Umair bin Aswad ‘Ansi ka bayaan hai keh main Hazrat Ubadah bin Samit رضى الله عنه ke paas gaya woh Hims ke saahili ‘ilaaqay mein rihaaish pazeer thay un ki zauja mohtarma Hazrat Umm-e-Haraam رضى الله عنها bhi wahan qiyam pazeer theen. Douraan-e-Guftagu unhon ne aik hadees bayaan ki keh main ne Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم  ko yeh farmaatay hue suna:

 

اَوَّلُ جَيْشِ مِنْ أُمَّتِي يَغْرُونَ الْبَحْرَ قَدْ أَوْجَبُوا

 

“Meri ummat ka pehla lashkar jo samandar mein jang kare ga un ke liye Jannat waajib hai.”

 

Hazrat Umm-e-Haraam رضى الله عنها ne ‘arz ki ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم kya main bhi un mein shaamil hon gi farmaaya haan to bhi un mein shaamil ho gi. Yeh Mazda-e-Jaanafza sun kar maosufa ke ang ang mein khushi ki lehar daud gayi. Us jang mein Allah Ta’ala ne Lashkar-e-Islam ko fatah naseeb farmaai. Behri jang se faarigh ho kar jab Hazrat Umm-e-Haraam رضى الله عنها khachar par sawaar hoyin to is ne bidak kar neechay gira diya. Jis se un ki gardan par aisi kaari chout lagi keh jaanbar na ho saken. Is tarhan shahaadat ka rutba haasil karne mein kamyaab huien. Un ko wahein Qabras mein dafan kar diya gaya. Is ma’rkay mein Hazrat Abuzar Ghaffari aur Hazrat Abu Dardaa رضى الله عنه bhi shaamil thay.

Hazrat Umm-e-Haraam رضى الله عنها khush naseeb Sahabia hain jo behri jang mein hissa le kar Lisaan-e-Risaalat se Jannat ki bashaarat ki mustahiq thehreen. Isi terhan ‘Azeem-ul-Martabat Khaton-e-Jannat ne Hamidat-ul-Barri ( حمیدة البر ) ki soorat mein zindagi basar ki aur Saheedat-ul-Bahri ( شہیده البحر ) ki soorat mein apne behtareen anjaam ko pohncheen.

Allah un se raazi aur woh apne Allah se raazi.

Hazrat Umm-e-Haraam bint-e-Milhan (رضی اللہ عنہا) key mufassal Halat-e-Zindagi maloom karny key liy darj zail kitaboon ka mutala kijiy:

 

1: Al Durar Fi Ikhtisar-al-Maghazi wal Siar                                                     180
2: Al Istibsar                                                                                                                           36
3: Siar-o-Aalam-al-Nubalaa                                                                                     2/316
4: Wafa-ul-Wafaa                                                                                                                3/882
5: Sarah Sahih Muslim Sharif Nawawi                                                                      13/57
6: Al Seerat-ul-Halabiyyah                                                                                               3/73
7: Nasab-o-Quraish                                                                                                                124
8: Dalail-ul-Nubuwwah                                                                                                      6/450
9: Al Istiaab                                                                                                                                    4/424
10: Tarikh-e-Islam Zahabi                                                                                                   2/318
11: Jami`-ul-Usool                                                                                                                      9/149
12: Al Bidayah wal Nihayah                                                                                                 6/222
13: Majma`-ul-Zawaid                                                                                                            9/263
14: Futooh-ul-Buldaan                                                                                                           1/182
15: Sifat-ul-Safwah                                                                                                                 2/70
16: Hilyat-ul-Awliyaa                                                                                                              2/61 

 

REFERENCE:
Book: Sahabiyaat-e-Mubashiraat”
By Mahmood Ahmed Ghaznofar.

 

 

Table of Contents