Search
Sections
< All Topics
Print

07. Hazrat Umm-e-Umaarah Naseebah Bint-e-K’ab  ( رضى الله عنها )

Hazrat Umm-e-Umaarah Naseebah Bint-e-K’ab ( رضى الله عنها )

 

 

“Ilaahi is khandaan ko Jannat mein mera rafeeq bana day.”

 

( Farmaan-e-Rasool صلی اللہ علیہ وسلم)

 


‘Ibadaat guaar, Shab zindah daar, Sabr-o-Tahammul aur Jurrat-o-Shuja’at ki paiker Jazbah-e-Jihaad se sarshaar Maidaan-e-Kaarzar mein herat angaiz kaarnaame sar injaam dainay wali Mujahida khawand ki khidmat guzaar wafadaar Rafiqa-e-Hayaat aulaad ki Shafeeq-o-Hamdard Maan, Quran-o-Hadees ke noorani ‘Ilm se behra war aik ‘Alimah, Fazilah, Jis ka bhai Abdullah bin K’ab رضى الله عنه Badri Sahaba mein se hai. Jis ke dono betay shaheed hue. Ansaar ke qabeela Khazraj ki Mashhoor-o-Ma’roof shaakh Bano Najar ki Mu’aziz khatoon Umm-e-Umaarah Naseebah Bint-e-‘Kab رضى الله عنها ka imaan afroz tazkara Paish-e-Khaima hai. Padhiye aur apne dilon ko imaan ki lazzat se sarshaar kijiye.


Madinah Munawwara se Ansaar ke woh afraad jo hazrat Mus’ab bin ‘Umair رضی اللہ عنه ki dil pazeer da’wat se mutaasir ho ke Daaira-e-Islaam mein daakhil hue thay, Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke Dast-e-Mubaarak par doosri martba bai’t karne ke liye aik makhsoos ghaati par gaye jahan Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم se bai’t lainay ke liye tashreef laaye. Us khush naseeb qaaflay mein bahttar ( 72 ) mard aur do ( 2 ) aurtain theen. Aik Umm-e-Umaarah Naseebah Bint-e-‘Kab رضى الله عنها aur doosri Umm-e-Manee’ Asma Bint-e-‘Amar bin ‘Adi theen. Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها bayaan karti hain keh jab mardon se bai’t le li gayi to mere khaawand Ghaziyyah bin ‘Amar ne ‘arz ki ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم yeh do khawateen bhi bai’t ke liye haazir hain. In par bhi Nazar-e-Karam kijiye. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne irshaad farmaaya theek hai un ki bai’t bhi unheen sharaait par qubool hai jo aap tamaam ahbaab se ki gayi hain. Farq sirf itna hai keh aap ne apne haath mere haath mein diye,  Aurton se mein musafah nahi karta. Yeh mo’Uhada tarikh mein Bai’t-e-‘Uqba Sania ke naam se mashhoor hai.

Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها bai’t haasil karne ke ba’ad Madinah Munawwara waapis loteen to khawateen ki Ta’leem-o-Tarbiyat mein hama tan masroof ho gayeen. Umm-e-Umaarah ki pehli shaadi Zaid bin ‘Asim Muzni se hui jis se do ladke Hazrat Abdullah aur Hazrat Habib peda hue. Dono ko Sahabi honay ka Sharf haasil hua. Doosri shaadi Ghaziyyah bin Amar Muzni se hui jis se aik ladka Tamim aur aik ladki Khola peda hue. Yeh poora gharaana Islaam ki Barkaat se behra mand hua.


‘Allama Zahabi apni mashhoor kitaab Siar-o-A’alaam-al-Nubalaa mein raqam taraz hain keh hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها Bai’t-e-‘Uqba Sania, Ghazwah-e-Uhad, Sulah-e-Hudeebiah Ghazwah-e-Hunain, Jang-e-Yamama mein shareek huien. Ghazwah-e-Uhad mein zakhmiyon ko paani pilaanay aur marham patti karne ke ilaawa talwaar ke woh johar dikhlaaye keh duniya dang reh gayi.

Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne irshaad farmaaya keh “Main apne daayen baayen jis taraf bhi nazar utha kar daikhta Umm-e-Umaarah Naseebah Bint-e-‘Kab رضى الله عنها ko mera difaa’ karte hue musalsal ladta hua paata”

Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها bayaan karti hain keh Ghazwah-e-Uhad mein aik aisa naazuk tareen waqt aaya keh mujahideen pispaa ho kar bikhar gaye. Main apne khawand, Dono beton Abdullah aur Habib ke hamrah Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke difaa’ ke liye aap ke paas aa khadi hui. Ham har taraf se hamlay ka jawaab dainay lagay. Mere aik haath mein talwaar aur doosray mein dhaal thi. Agar dushman ghodon par sawaar na hotay to ham un mein se kisi ko bhi zindah bach kar jaane na dete. Aik ghoday par sawaar dushman ne mujh par talwaar ka waar kiya lekin main ne apni dhaal par us waar ko rokk liya. Woh kuch na kar saka to us ne yakdam ghoday ki lagaam khenchi aur peechay muda to main ne Mauqa-e-Ghaneemat jaantay hue us ke ghoday ki peeth par talwaar ka aik zor daar waar kiya jis se is ke ghoday ki peeth kat gayi aur woh apne sawaar samait zameen par gir pada. Yeh is manzar dekh kar Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne ba aawaz buland Abdullah bin Umm-e-Umaarah se kaha woh dekho apni waalida ka haath bataao. Woh jaldi se mere paas aaya is ne meri madad ki aur hum dono ne us ka kaam tamaam kar diya.

Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ke betay Hazrat Abdullah bin Zaid رضى الله عنه farmaatay hain keh main Ghazwah-e-Uhad mein shareek hua. Jab dushman ki taraf se zor daar hamla hua mujahideen bikhar gaye, Main apni waalida ke hamrah Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke qareeb hua. Aap صلی اللہ علیہ وسلم par jis taraf se bhi koi waar hota hum usay roktay. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne mujhe aawaz di main ne labbaik kaha. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaaya dushman par waar karo. Main ne saamnay ghoday par sawaar aik mushrik par pathar phenka jo seedha us ke ghoday ki aankh par jaa laga Jis se ghoda apne sawaar samait qlabazyaan khata hua zameen par gir pada. Main ne uopar se aik aur bhaari pathar usay day maara jis se woh dekhte hi dekhte wasil jahannum ho gaya. Yeh manzar dekh kar Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke chehra mubarak par Khushgawaar tasuraat numaaya hue aur saath hi Aap ne jab yeh dekha keh meri waalida Umm-e-Umaarah ke kandhay se khoon beh raha hai, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne irshaad farmaaya apni waalida ke kandhay par marham patti karo aur saath hi yeh irshaad farmaya: ” Tumhara poora khandan bada ‘azeem hai. Allah tum apni rahmat ki barkha barsaaye. Aur sath hi Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne us khandan ke liye yeh du’a ki:

“Ilaahi is khandaan ko Jannat mein mera rafeeq bana dena.”

 

Yeh du’a sun kar Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها aur us ke betay Abdullah bin Zaid ki khushi ki koi intihaa na rahi lekin saath hi un ke Josh-o-Jazbay mein bhi be panah izaafa hua aur zayaada zor daar andaaz mein dushman par jhapatne lagay. Abdullah ki aik mushrik se mudh bheed ho gayi. Us na hinjaar ne aik zor daar waar kar ke un ke baayen haath par aik gehra zakham laga diya jis se khoon ka fawaara phoot nikla Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne dekhte hi irshaad farmaaya jaldi zakham par patti baandho. Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ne dekha keh betay ka haath buri tarhan zakhmi ho chuka hai khoon taizi se beh raha hai. Us ne foran apne betay ke zakham par patti baandhi aur kaha mere laadle betay ghabraao nahi. Utho himmat karo aur dushman par toot pado. Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم Maan betay ki Jurrat-o-Shuja’at ko dekh kar muskuraaye aur irshaad farmaaya:

“Aey Umm-e-Umaarah! Aap jaisi jurrat bhala koi kahan se laaye.”

Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها haath mein burhana shamsheer liye Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke paas khadi thi keh wohi mushrik dobaara saamnay aaya jis ne us ke betay ko zakhmi kiya tha. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne dekhte hi farmaaya: Yehi tairay betay ko zakhmi karne waala hai. Hazrat Umm-e-Umaarah ne suntay hi us par aik aisa khatar naak waar kiya jis se us ki taang kat gayi aur woh mun ke bil zameen par gir pada. Chand mujahideen ne usay daboch liya jis se us ki mout waaqe’ ho gayi. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne yeh manzar dekh kar irshaad farmaaya: “Umm-e-Umaarah رضى الله عنها aap ne to kamaal kar diya.”

Farmaati hain keh Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم us waqt muskura rahay thay aur saath hi aap ne yeh irshaad farmaaya:

 

الْحَمْدُ للهِ الَّذِي أَظْفَرَكَ وَ اَقَر عَيْنَكَ مِنْ عَدُوِّكَ وَ اَرَاكَ ثَارَكَ بعينك

 

” shukkar us Allah ka jis ne tujhe kamyaabi di. Dushman ki jaanib se teri aankhon ko thanda kiya aur tera badla tujhe teri aankhon se dikhla diya.”

 

سُبْحَانَ اللهِ وَبِحَمْدِهِ سُبْحَانَ اللَّهِ الْعَظِيمِ

 

Hazrat ‘Umar bin Khitaab رضى الله عنه bayaan karte hain keh main ne Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ko yeh farmaatay hue suna:

 

مَا الْتَفَتْ يَوْمَ أَحَدٍ يَمِيْنَا وَلَا شِمَالاً إِلَّا وَأَرَاهَا تُقَاتِلُ دُونِي

 

” Main ne Ghazwah-e-Uhad ke din jab bhi apne daayen baayen dekha to usay  mere difaa’ mein ladtay hue paaya.”

 

Ghazwah-e-Uhad mein Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ke jism par taqreeban baara (12) zakham lagay jin mein kandhay ka zakham bohat gehra tha. Jis ka ‘ilaaj taqreeban aik saal tak hota raha. Jab Ibn-e-Qumaiyyah naami aik kaafir ne Hazrat Umm-e-Umaarah ke kandhe par talwaar ka waar kiya jo bada khatarnaak saabit hua. Aap be hosh ho gayeen. Jab hosh aaya to sab se pehlay poocha keh Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ka kya haal hai? Na hi apne beton ke baaray mein poocha aur na hi khaawand ke baaray mein. Jab usay yeh bataya gaya keh aap bilkul mahfooz hain to us ne be saakhta Allah ka shukar ada kiya. Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها Ghazwah-e-Hunain aur Fatah-e-Makkah ke ‘ilaawa Musailima Kazzab ke khilaaf ladi gayi Jang-e-Yamama mein bhi shareek huien. Us jang mein ladaai ke douraan un ka aik haath kat gaya. Is ke ‘ilaawa jism par gayarah ( 11 ) zakham lagay. Us ka beta Habib bin Zaid Ansari usi jung mein shaheed hua. Us par Musailimah ne khud waar kiya tha jis se woh Jaam-e-shahadat nosh kar gaye.

Doosra beta Abdullah bin Zaid رضى الله عنه m’aarka Harrah mein shaheed hua. Yeh jung 63 hjri ko Madinah Munawwara ke mashriqi jaanib waaqe’ siyah pahaadon mein ladi gayi thi. Harrah darasal siyah pahaadi ko kehte hain. Is qisam ke pahaad zayaada Madinah Munawwara ke Qurb-o-Jawar mein waaqe’ hain. Abdullah bin Zaid رضى الله عنه woh ‘Azeem-ul–Martabat Mujaahid hai jis ne Musailimah Kazzab ko apni talwaar se qatal kiya. Hazrat Hamza bin Abdul Muttlib ko apne naizay se shaheed karne waala wahshi bin Harb bhi Musailimah Kazzab ke qatal karne mein baraabar ka shareek hai. Ghazwah-e-Uhad se faarigh ho kar jab mujahideen Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki qiyaadat mein Madinah Munawwara pohnche to aap ne ailaan kar diya keh Ghazwah-e-Uhad mein shareek honay waalay mujahideen tayyaar ho jaayen. Kal subah mushrikeen ke ta’qub ke liye Hamra-ul-Asad maqaam ki taraf rawaana hon ge. Mujahideen ne sirf aik raat Madinah Munawwara mein guzaari phir jihaad par rawaana honay ke liye tayyaar ho gaye. Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها bhi jazba jahaad se sarshaar rawaangi ke liye uthein lekin gehray zakhamon  ki wajah se badan mein itni nukhwwat ho chuki thi keh koshish ke bawajood chal na sakeen. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne waapis Madinah Munawwara pohnchte hi Abdullah bin K’ab Muzni se un ki hamsheerah Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ki sehat ke baaray mein poocha. Aap ko yeh bataaya gaya keh zakham dheeray dheeray bhar rahay hain to aap ne itminaan ka saans liya aur Allah Ta’ala ka shukar ada kiya.


Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها Ghazwah Bano Qaraizah mein shareek hoyin. Is ma’rkay mein chand deegar khawateen bhi shareek theen. Un sab ko Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne maal-e-ghanimat mein se hissa diya. Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ne Sulah-e-Hudeebiah mein shirkat ki sa’adat haasil ki. Farmaati hain keh hum ‘Umra ada karne ke liye Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki qiyaadat mein Madinah Munawwara se rawaana hue. Makkah Mu’azzama ke qareeb Hudeebiyah maqaam par hamein rokk liya gaya. Quraish nahi chahtay thay keh Musalman Makkah Mu’azzama mein daakhil hon. Hazrat Usman bin ‘Afaan رضى الله عنه ko safeer bana kar Makkah Mu’azzama bheja gaya. Un ki waapsi mein takheer ho gayi. Khabar yeh udaa di gayi keh unhen shaheed kar diya gaya hai. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne darakht ke saaye mein baith kar bai’t lena shuru’ kar di. Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne yeh bhi irshaad farmaaya:

 

إِنَّ اللَّهَ أَمَرَنِي بِالْبَيْعَةِ

 

” Allah Ta’ala ne mujhe bai’t lainay ka hukum diya.”

 

Jis ke paas koi hathyaar tha, Us ne thaam liya. Chunkeh yeh safar ‘Umra ada karne ki niyat se ikhtiyaar kiya gaya tha is liye beshtar afraad ke paas koi hathyaar na tha.      Farmaati hain keh main ne aik laathi pakad li aur aik churee apne kamarband mein adees li taakeh agar koi dushman mere qareeb aaya to us ka kaam tamam kar sakoon. Lekin ladaai ki nobat hi nahi aayi. Hazrat Usman رضى الله عنه ke baaray mein udaai gayi khabar ghalat nikli. Dushman se Mu’aahada-e-Aman tay pa gaya jo tarikh mein Sulah-e-Hadeebia ke naam se mashhoor hua. Is moqay par Ahal-e-Imaan se jo bai’t li gayi us ka tazkira Quran Hakeem mein in alfaaz mein kiya gaya:

 

ولَقَدْ رَضِيَ اللَّهُ عَنِ الْمُؤْمِنِينَ إِذْ يُبَايِعُونَكَ تَحْتَ الشَّجَرَةِ فَعَلِمَ مَا فِي قُلُوبِهِمْ فَأَنْزَلَ السَّكِينَةَ عَلَيْهِمْ وَأَثَابَهُمْ فَتْحًا قَرِيْبًا وَ مَغَانِمَ كَثِيرَةٌ يَأْخُذُونَهَا وَ كَانَ اللَّهُ عَزِيزًا حَكِيمًا

 

” Allah Mominon se khush ho gaya jab woh darakht ke neechay tum se bai’t kar rahay thay, Un ke dilon ka haal us ko ma’loom tha. Is liye us ne un par sukuniyat naazil farmaai, Un ko in’aam mein qareebi fatah bakhshi aur bohat sa Maal-e-Ghanimat unhen ‘ataa kar diya jisay woh anqareeb haasil karen ge. Allah zabardast aur Hakeem hai.”

( Al Fatah: 18)

 

Ghazwah-e-Khybar mein bees ( 20 ) khawateen shareek huien jin mein Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها bhi theen. Khybar fatah hua Maal-e-Ghanimat taqseem kiya gaya to us mein se khawateen ko bhi hissa diya gaya. Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ke hissay mein zewar umdah libaas aur do dinaar aaye. Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ne Ghazwah-e-Hunain mein bhi Jurrat-o-Shuja’at ka bhar poor muzaahara kiya. Farmaati hain keh Bano Hawazin ka aik shakhs uont par sawaar Maidan-e-Mahshar mein jhanda lehrata hua daakhil hua. Main ne mauqa paate hi uont ki pichli jaanib zor daar waar kiya, Jis se uont ladkhdata hua apne sawaar samait gir pada. Us ke girtay hue sawaar par aisi kaari zarb lagaai keh woh uth na saka.

Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ke betay Habib bin Zaid رضى الله عنه ko Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne Musailimah Kazzab ke paas apna numaainda bana kar bheja taake usay Raah-e-Raast par laaya ja sakay. Us badbakht ne sifaarti aadaab ko pamaal karte hue Hazrat Habib bin Zaid رضى الله عنه ko girftaar kar liya aur aik sutoon ke sath baandh diya aur us se poocha:

” Kya tum gawaahi dete ho keh Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Allah ke Rasool hain? Us ne kaha haan main gawaahi deta hoon keh Hazrat Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم Allah ke Rasool hain.”

Phir us ne poocha:

Kya tum yeh gawaahi dete ho keh main Allah ka Rasool hoon.”

Us ne kaha main behra hoon, Mein sunta nahi. Musailimah Kazzab ne yeh sawal baar baar kiya. Har baar Hazrat Habib bin Zaid رضى الله عنه ne yehi jawab diya to us bad bakhat ne aik aik uzoo kaat kar Hazrat Habib bin Zaid رضى الله عنه ko shaheed kar diya. Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ko jab betay ki shahaadat ki khabar mili to kamaal Sabr-o-Tahammul ka muzaahara kiya. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne dilaasa dete hue us khandan ke liye Kher-o-Barkat ki du’a ki.

Hazrat Abu Bakar Saddiq رضى الله عنه ne apne Daur-e-Khilaafat mein jab Musailimah Kazzab se nabard aazma honay ke liye lashkar rawaana kiya to us mein Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها bhi shaamil theen. Us waqt un ki ‘umar taqreeban saath ( 60 ) saal thi aur un ka beta Abdullah bin Zaid رضى الله عنه bhi hamrah tha. Is ma’rkay mein Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ka aik baazu kat gaya. Us ke ilaawa taqreeban gayarah ( 11 ) zakham jism par lagay. Musailimah Kazzab ko qatal karne waalon mein Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ka beta Abdullah bin Zaid bhi tha. Sipah salaar Hazrat Khalid bin Waleed رضى الله عنه ne Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ke katay hue haath ka ilaaj karne ke liye tail garam kiya aur jaltay hue tail mein zakhmi baazu ko daagh diya jis se khoon ruk gaya. Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ko apne baazu ke kat jaane ka itna gham nahi tha jitni khushi Musailimah Kazzab ke wasil jahanum honay ki thi.

Hazrat ‘Umar bin Khitaab رضى الله عنه ke Daur-e-Khilaafat mein aik roz bohat umdah chaadrain un ke paas laayi gayeen. Aik chaadar bohat hi umdah aur baday size ki thi. Sathiyon ne mahswara diya ke yeh chadar Abdullah bin ‘Umar ki biwi Safiah Bint-e-Abi ‘Ubaid ko day di jaye to aap ne irshaad farmaya: Yeh chaadar us khatoon ko di jaaye gi jo Safiah se kahin behtar hai. Main ne is khatoon ki ta’reef Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki Zubaan-e-Mubarak se suni. Us ke ba’ad yeh chaadar Hazrat Umm-e-Umaarah Naseebah Bint-e-K’ab رضى الله عنها ki khidmat mein paish kar di gayi. Aik roz Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ne Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein ‘arz ki ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم Quran Hakeem mein Aksar-o-Beshtar mardon ka hi tazkara hota hai. Aurtain bichaari mahroom hi rehti hain to yeh aayat naazil hui

 

وإنَّ المُسْلِمِينَ وَالْمُسْلِمَاتِ وَالْمُؤْمِنِينَ وَالْمُؤْمِنَاتِ وَالْقَانِتِينَ وَالْقَانِتَاتِ وَالصَّادِقِينَ وَالصَّادِقَاتِ وَالصَّابِرِينَ وَالصَّابِرَاتِ والخاشِعِينَ وَالخَاشِعَاتِ وَالمُتَصَدِّقِينَ وَالْمُتَصَدِّقَاتِ وَالصَّائِمِينَ وَالصَّائِمَاتِ وَالْحَافِظِينَ فُرُوجَهُمْ وَالْحَافِظَاتِ والذَّاكِرِينَ اللَّهَ كَثِيرًا وَالذَّاكِرَاتِ أَعَدَّ اللَّهُ لَهُمْ مَّغْفِرَةً وَأَجْرًا عَظِيمًا

 

“Bilaa shuba Musalman mard aur Musalman aurtain, Momin mard aur Momin aurtain, Ita’at guzaar mard aur ita’at guzaar aurtain, Raast baz mard aur raast baz aurtain saabir mard aur saabir aurtain Allah ke aagay jhuknay waalay mard aur Allah ke aagay jhuknay waali aurtain sadqa dainay waalay mard aur sadqat dainay waali aurtain Rozay rakhnay waalay mard aur Rozay rakhnay waali aurtain apni sharam gaahon ki hifaazat karne waalay mard aur hifaazat karne waali aurtain Allah ko kasrat se yaad karne waalay mard aur aurtain Allah ne un ke liye maghfirat aur bada ajar tayyaar kar rakha hai.” (Sorah Al Ahzab: 35)

Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها Sahabiaat mein aala darjay par faaiz theen. Ghazwah-e-Uhad mein jab ghmsaan ki ladai ho rahi thi, Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne Hazrat Umm-e-Umaarah رضى الله عنها un ke khawand aur dono beton ki jaan nisaari ka andaaz dekhte hue yeh irshaad farmaaya:

 

رَحِمَكُمُ اللَّهُ أَهْلَ الْبَيْتِ

” Allah tum par rahm kare aey khandaan.”

 

Umm-e-Umaarah رضى الله عنها ne ‘arz ki ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم du’a kijiye ke Allah hamein jannat mein Aap ka saath naseeb farmaa de to Aap ne yeh du’a ki.

 

اللَّهُمَّ اجْعَلَهُمْ رُفَقَاتِي فِي الجَنَّةِ

 

“Ilaahi in sab ko Jannat mein mera rafeeq bana day.”

 

Allah un se raazi aur woh apne Allah se raazi.

Hazrat Umm-e-Umaarah Naseebah Bint-e-K’ab (رضی اللہ عنہا) key mufassal Halat-e-Zindagi maloom karny key liy darj zail kitaboon ka mutala kijiy:

 

1: Masnad Imaam Ahmad                                                    6/439
2: Tabaqaat Ibn-e-Sa’ad                                                      8/410
3: Al Istibsaar                                                                                 82
4: Tahzeeb-ul-Kamal                                                                1703
5: Tahzeeb-ul-Tahzeeb                                                            12/474
6: Kanz-ul-Ummal                                                                       13/625
7: Al Bidayah wal Nihayah                                                       3/166
8: Al Seerat-ul-Halabiyyah                                                    2/175
9: Ansaab-ul-Ashraaf                                                                1/250
10: Al Isabaah                                                                                   4/457
11: Sifat-ul-Safwah                                                                        2/63
12: Siar-o-Aalam-al-Nubalaa                                             2/279
13: Aalam-ul-Nisaa                                                                       5/173
14: Al Istiaab                         

 

REFERENCE:
Book: Sahabiyaat-e-Mubashiraat”
By Mahmood Ahmed Ghaznofar.

 

 

Table of Contents