Search
Sections
< All Topics
Print

09. Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik ( رضى الله عنهما)

Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik ( رضى الله عنهما)

 

 

” Jin logon ne Bai’t-e-Rizwaan mein hisah lia woh jannati hain”

 

( Hadees-e-Rasool صلی اللہ علیہ وسلم)

 

Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها Bai’t-e-Rizwaan mein shareek theen, Lihaza Khatoon-e-Jannat qaraar paayen.


Jaleel-ul-Qadeer sahabi Hazrat Maalik bin Sinan bin Ubaid Ansari Khudri رضى الله عنه ki beti jis ke baray mein Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya:

 

( منْ أراد أنْ ینظر إلى رجلٍ منْ أهْل الْجنة فلْینْظرْ إلى هذا )

 

“ Jo koi kisi jannati shakhs ko dekhna chahta hai woh usay dekh le.”

 

Mufti Madinah Hazrat Abu Sa’eed Khudri رضى الله عنه ki behan jo Aalam, Faazil, Muhaddas, Mujahid, Gernel aur hukmaraan sahabi thay, Jin se aik hazaar aik so sattar Uhadees marwi hain. Maan ki janib se Gernel sahabi Hazrat Qatadah bin Noman Ansari رضى الله عنه ki behan jo Ghazwah-e-Badar aur Ghazwah-e-Uhad mein shareek hue, Ladaai ke douran un ki aankh zakhmi ho kar bahar nikal gayi. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne yeh Soorat-e-Haal dekhte hi apne Dast-e-Mubaarak se aankh ko andar dhakela jo dobarah apni asli jagah par paiwast ho gayi aur benayi pehlay se bhi zayada taiz ho gayi. Aayiyae is Khatoon-e-Jannat ke Halaat-e-Zindagi ko apne liye Mash’al-e-Raah banayen.


Hazrat Fari’ah رضى الله عنها ke waalid Hazrat Maalik bin Sinan bin Ubaid Ansari Khazraji Khudri woh Jaleel-ul-Qadar, Azeem-ul-Shan aur buland martaba sahaabi hain jin ke baaray mein Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne yeh irshaad farmaya:

 

” Jo koi janati shakhs dekhna chahta hai woh Maalik bin Sinan ko dekh le. “

 

Yeh Ghazwah-e-Badar mein to shareek nah ho sakay lekin Uhad mein Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ka difaa karte hue Jaam-e-shahadat nosh kia. Jab yeh Ghazwah-e-Uhad mein shirkat ke liye tashreef laaye to un ke hamrah Hazrat S’aad yani Abu Sa’eed Khudri رضى الله عنه bhi thay. Woh abhi chotay bachay thay. Is liye Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne unhein jihaad mein shirkat ki ijaazat nah di. Woh Wufoor-e-Gham se ansoo bahanay lagay to un ki behan Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها ne apne bhai ko piyar se baghal mein liya aur us ke ansoo apne aanchal se saaf kiye aur usay mazeed intizaar karne aur sabar ka daaman thaamay ki talqeen ki. Hazrat Abu Sa’eed Khudri رضى الله عنه baday ho kar Mufti-e-Madinah ki masnad par jalwa afroz hue aur Miadan-e-Ilm-o-Fazal mein roshan sitaaray ki tarhan jagmagaaye.

Hazrat Maalik bin Sinan رضى الله عنه hathyaar thaam kar Ghazwah-e-Uhad mein shareek honay ke liye niklay. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم se milay aur nihaayat faazilana andaaz mein guftagu karte hue arz ki ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم aaj ham mushrikeen se nabard aazma honay ke liye niklay hain. Aaj ya to Allah Ta’alaa hamein apne Mad-e-Muqaabil par ghalba atta kare ga aur ya hamein shahaadat ka buland martaba naseeb kare ga. Yeh dono soorten hamaray liye behtar hain. Har do soorat kamyaabi hi hamara muqaddar banay gi. Jab ladaai pooray joban par thi har taraf se teeron ki bochhad ho rahi thi to Hazrat Maalik bin Sinan رضى الله عنه ne pooray Josh-o-Jazbay se Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke qareeb rehtay hue difaai andaaz ikhtiyar kiye rakha hatta keh is muqaddas freezay ko sar anjaam dete hue apni jaan Allah ki raah mein qurbaan kar di. Is marhalay par Chasham-e-Falak ne yeh manzar bhi dekha keh Habib-e-Kibriya, Shafe’ Roz-e-Jaza, Shams-ul-Zuha, Badar-ul-Duja yani Muhammad-e-Mustafa ka chehra mubarak zakhmi ho gaya. Pakeeza khoon chehra mubarak par beh raha tha keh Hazrat Maalik bin Sinan رضى الله عنه ne Mo’qa-e-Ghanimat jaantay hue woh khoon apne mun se choos kar nigal liya. Is tarhan Nabi Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ka pakeeza khoon Hazrat Maalik bin Sinan رضى الله عنه ke khoon mein shaamil ho gaya. Jab Ghazwah-e-Uhad se faarigh ho kar Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم wapas Madinah Munawara pohnche to Hazrat Abu Sa’eed Khudri رضى الله عنه  aap ki khidmat mein haazir hue. Unhen dekhte hi irshad farmaya:

Tum S’aad bin Maalik ho?

Us ne kaha: Jee haan ya Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم mere maan baap aap par qurbaan hon.

S’aad Hazrat Abu Sa’eed Khudri ka naam tha. Yeh hosla afzaai aur Mohabbat-o-Shafqat bhara andaaz dekh kar Hazrat Abu Sa’eed Khudri رضى الله عنه  aur zayada aap ke qareeb hue. Nabi Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne dilaasa dete hue sabar ki talqeen ki aur irshad farmaya tumahray baap ki shahaadat tumahray liye Ajar-o-Sawab ka baa’is ho gi. Ghabraana nahi, Sabar se kaam lena. Hazrat Abu Sa’eed Khudri رضى الله عنه  ne ghar aa kar apni behan Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها  ko waalid mohtaram ki shahaadat ki khabar dete hue Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke irshadaat ka tazkira kia to azeem beti ne kamaal hoslay ka andaaz ikhtiyar karte hue Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke Irshadaat-e-Aa’liya par amal karne ko apne liye Baa’is-e-Sa’adat-o-Iftikhar samjha aur Allah Ta’alaa ke faislay par sar Tasleem-e-Khham kar diya aur is baat par khushi ka izhaar kiya keh Allah Subhana Wa Taa’la ne Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ko Mahfooz-o-Mamoon rakha hai. Jab Hazrat Maalik bin Sinan رضى الله عنه shaheed hue to Ahal-e-Khanah ke Naan-o-Nafqa ke liye ghar mein koi cheez nah thi. Lekin bachon ne kamaal sabar ka muzaahara kiya. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki naseehat ko palllay baandha aur kisi ke aagay Dast-e-Sawal daraaz nah kia. Chunkeh unhon ne aap ka yeh farmaan sun rakha tha

 

مَنْ يَسْتَغْنِ يُغْنِهِ اللَّهُ وَ مَنْ يَه وَ مَنْ يَسْتَعْفِفَ يُعِفُهُ اللَّهُ ۖ وَمَنْ يَتَصَبَّرَ يُصَبِّرُ الله

 

” Jo istighna bartay Allah us ko ghani kar deta hai jo Paakdamani ka khwahan ho Allah usay pakeeza kar deta hai aur jo apne uopar zabt kare Allah usay sabar ki tofeeq day deta hai.”

Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki is naseehat par amal karne ki bina par aisi barkat hui keh yeh gharaana khushaal ho gaya. Doulat un par nehan ki tarhan barasne lagi.

Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها ki shadi Suhail bin Rafay’ bin Basheer khazarji se hui. Ta’weel muddat us ki rafaaqat mein guzri. Madinah Munawara ke qareeb unhen ke aik ghulaam ne qatal kar diya. Yeh saniha Hazrat Fari’ah رضى الله عنها ke liye intihaai gham ka baais bana. Khawand ke qatal ho jaane ke baad unhon ne socha keh main apne maikay chali jaoon lekin jaane se pehlay unhon ne Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم se masla daryaaft kia keh kya dareen halaat mein apne sasural ka ghar chod kar walidain ke ghar muntaqil ho sakti hon? Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya:

 

( أمكني فِي بَيْتِكِ حَتَّى يَبْلُغَ الْكِتَابَ أَجَلَهُ)

 

” Apne ghar mein raho taa waqt yeh keh iddat poori ho jaye .”

 

Yaad rahay jis aurat ka khawand faut ho jaaye us ki iddat chaar mah das din hai. Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها kehti hain keh main ne Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ka hukam sun kar chaar mah das din apne ghar mein guzaaray aur is ke baad islam ki sar bulandi ke liye bhar poor zindagi basar ki. Hazrat Fari’ah رضى الله عنها ne Bai’t-e-Rizwaan mein bhi shirkat ki sa’adat haasil ki. Is tarhan inhen shajari sahaaba رضى الله عنها mein shaamil honay ka aizaz haasil hua. Jin ke baaray mein Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne irshad farmaya:

 

( لا یدْخل النار منْ بایع تحْت الشجرة )

 

” Jinhon ne darakht ke neechay bai’t ki un mein se koi bhi jahannum mein daakhil nahi ho ga.”

 

Yani woh sab jannati hain. Hazrat Usman bin Affan رضى الله عنه ke Dor-e-Khilafat mein aik khatoon ka khawand faut ho gaya. Us khatoon ke liye iddat ka masla Zair-e-Ghhor aaya to unhon ne Hazrat Fari’ah رضى الله عنها فریعہ ko Darbaar-e-Khilaafat mein talabb kar ke poocha keh jab aap par yeh waqt aaya tha to Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne iddat ke baaray mein kya hukam saadir farmaya tha? Unhon ne bataya chaar mah das din iddat muqarrar ki gayi thi. Hazrat Usman رضى الله عنها  ne yahi huksm jaari kia ke jis khatoon ka khawand faut ho jaye chaar mah das din iddat guzaaray.

Hazrat Fari’ah رضى الله عنها ka Haafiza bada taiz tha. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ka jo farmaan aik dafaa sun letein woh usi waqt unhen yaad ho jata. Baaz riwayaat ke silsilay mein Kibaar Sahaba-e-Kiraam ne Hazrat Fari’ah رضى الله عنها ki taraf rujoo kia. Khaas tor par bewa aurat ki iddat ke silsilay mein Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها ko Marja-e-Khalaiq honay ka aizaz haasil hai. Madinah, Hijaz , Shaam, Iraq , Misar ke Ulama-o-Fuqha ne Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها ke bayaan ke mutaabiq fatwa saadir kia hai. Hafiz Ibn-e-Qayyim apni Mashoor-o-Ma’roof kitaab Zaad-ul-Ma’ad mein raqam taraaz hain keh mashhoor tab’een Muhammad bin Sireen رحمہ اللہ ka bayan hai keh aik aurat ka khawand faut ho gaya. Aurat bemaar thi. Rishta daaron ne usay walidain ke ghar muntaqil kar diya. Ahal-e-Ilm ko jab is waqea ka pata chala to sab ne yahi kaha keh is aurat ko khawand ke ghar muntaqil kia jaye. Wahein yeh iddat ke din guzaaray. Lihaza ham ne usay khawand ke ghar muntaqil kar diya. Yeh fatwa Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها ke waqiye ki bunyaad par saadir kia gaya.

Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها un Azeem-ul-Martabat sahaaba mein se hain jinhein Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne jannat ki bashaarat di. Yeh woh aizaz hai jis par jitni bhi musarrat Shadmani-o-Iftikhar ka izhaar kia jaye kam hai.Yeh khush naseeb khatoon un aik hazaar chaar so qudsi nufoos Sahaba-e-Kiraam ke qaaflay mein shareek theen jo Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki qiyaadat mein 6 hjri ko umrah ada karne ke liye Madinah Munawara rawana tha lekin Hudaibiyah ke maqam par usay rok liya gaya. Wahan darakhat ke neechay tamaam Sahaba-e-Kiraam se Hazrat Usman Bin Affan رضى الله عنه ka badla lainay ke liye bai’t li gayi thi. Kyunkeh unhen numainda bana kar Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne Makah Mu’azmah bheja tha. Un ke baaray mein afwaah phela di gayi thi keh unhen Mushrikeen-e-Makkah ne shaheed kar diya hai. Un tamam bai’t karne walon ke Jazba-o-Aisaar ki ada Allah Ta’alaa ko itni pasand aayi keh sab ke jannati honay ka ailaan kar diya gaya. Bilashuba yeh azeem sa’adat us ko milti hai jis ke naseeb jaag uthen. Chunkeh Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها is qaaflay mein shareek theen lihaza woh Khatoon-e-Jannat qaraar payi.

 

Allah un se raazi aur woh apne Allah se raazi

Hazrat Fari’ah Bint-e-Maalik رضى الله عنها   ke mufasil halaat-e-zindagi maloom karne ke liye darjzail kitaabon ka mutaall’a karain:

 

1: Al Istiaab                                                                                                             4/375
2: Tahzeeb-ul-Asmaa wal Lughat                                                          2/354
3: Al Istibsaar                                                                                                          128
4: Tahzeeb-ul-Tahzeeb                                                                                   12/445
5: Abu Dawood ( Kitab-ul-Talaq)
6: Tirmizi (Kitab-ul-Talaq)
7: Tabaqat Ibn-e-Saad                                                                                       8/368
8: Al Isabaah                                                                                                               2/33
9: Mouta Imam Maalik                                                                                          2/591

 

REFERENCE:
Book: Sahabiyaat-e-Mubashiraat”
By Mahmood Ahmed Ghaznofar.

 

 

Table of Contents