Search
Sections
< All Topics
Print

14. Hazrat Umm-e-Warqah Bint-e-‘Abdullah  bin Haaris Ansaariyaa (رضی اللہ عنہا)

Hazrat Umm-e-Warqah Bint-e-‘Abdullah  bin Haaris Ansaariyaa (رضی اللہ عنہا)

 

 

“Apne ghar mein raho Allah tujhe shahaadat ki mout ‘ataa kare ga.

( Farmaan-e-Rasool صلی اللہ علیہ وسلم)

 


Intizaar ki ghadiyaan khatam huieen, Ansaar Chasham-e-Barah thay har aik ki nigaahain baar baar us raah ki taraf uthti theen jo Makkay se Madeene ki taraf aata hai. ‘Aurtain, Bachay aur boodhay apne mahboob ki aik jhalak dekhnay ke liye aidhiyaan utha utha kar dekh rahay thay. Achaanak aawaaz aai woh aa gaye jin ka intzaar tha. Ansaari khawaateen aur bachiyaan khushi se yeh geet gaanay lageen

 

طَلَعَ البَدْرُ عَلَيْنَا مِنْ ثَنِيَّاتِ الوَدَاع
وَجَبَ الشكرُ عَلَيْنَا مَا دَعَا لِلَّهِ دَاع
أيُّهَا المَبْعُوثُ فِينَا حِلْتَ بِالأمْرِ الْمُطَاع

 

“Un pahaadon se jo hain sooye junoob 

choudhween ka chaand hum par chadha

kaisa ‘umdah Deen-e-T’aleem hai

shukar waajib hai hamein Allah ka

hum mein Nabi bana kar bheje jaane waalay

Aap aisa hukum le kar aaye hain jo Qaabil-e-Itaa’t hai”

 

Un Ansaari khawaateen mein Haafiza ‘Aalima , Faazila, Mudabbira, ‘Abidah, Zaahida Hazrat Umm-e-Warqah Ansaariya رضی اللہ عنہا bhi theen. Jo Sahaabiyaat mein Kasrat-e-‘Ibaadat ke ai’tbaar se mashhoor theen raat ka beshtar hissa ‘Ibaadat mein guzarta tha. Quran-e-Hakeem ki tilaawat bohat ‘umdah lehjay mein kiya karti theen. Quran Majeed ki Aayaat par Ghor-o-Tadabbur un ki ‘Aadat-e-Sania ban chuki thi.

Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم us ki bohat qadar kiya karte thay. Aap ne usay Ahal-e-Khaanah ko baajamaa’t Namaaz padhaanay ka hukum day rakha tha. Ghar ke sehan mein Masjid banaai hui thi. Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki ijaazat se us mein aik mauzan bhi muqarrar kiya hua tha. Hazrat ‘Abdul Rahman bin Khallaad bayaan karte hain ke main ne mauzan ko Chasham-e-Khud dekha woh bohat boodha tha. Is tarah Hazrat Umm-e-Warqah Ansaariya رضی اللہ عنہ ko Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ne ‘aurton ka imaam muqarrar kiya tha taakeh Namaaz ke ‘ilawah ‘Ilm, Zuhad,  aqwa mein khawaateen un ki iqtidaa karein.

Hazrat Umm-e-Warqah Ansaariy رضی اللہ عنہا ‘Ilm-o-Fazal, Zuhad-o-Taqwa, Faham-o-Baseerat aur Jazba-e-Jihaad se sarshaar theen. Ghazwah-e-Badar ke liye rawaanagi ka jab ai’laan hua to Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم ki khidmat mein haazir ho kar Hazrat Umm-e-Warqah رضی اللہ عنہا ne ‘arz ki:

Ya Rasoolullah صلی اللہ علیہ وسلم mujhe bhi jung mein shirkat karne ki ijaazat ‘inaayat farmaaein. Main zakhmion ki marham patti, Piyaason ko paani pilanay ki khidmaat sar anjaam doon gi. Meri dili tamanna hai keh Allah Ta’ala mujhe shahaadat ki mout ‘ataa kare. Yeh jazba shoq aur walwalah dekh kar Rasool-e-Aqdas ne irshaad farmaya: “Tum apne ghar mein raho Allah Ta’ala wahin shahaadat ka martaba ‘ataa kare ga”. Yeh paighaam sun kar Hazrat Umm-e-Warqah رضی اللہ عنہا khushi khushi apne ghar waapas lout aaeen. Kyunkeh Nabi Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ke hukum ki ta’meel baja laana farz tha.

Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ba’az auqaat apne saath chand Sahaaba-e-Kiraam ko le kar Hazrat Umm-e-Warqah رضی اللہ عنہا ke ghar ki taraf rawaana hotay aur irshaad farmaatay chalo aaj zindah shaheed khatoon ke haan chalein. Un ke ghar jaatay kheriyat daryaaft karte kuch der wahaan aaraam karte. Un ke liye d’ua karte aur waapas tashreef le aatay. Hazrat Umm-e-Warqah رضی اللہ عنہا ki ghar mein shahaadat ke baaray mein Allah Ta’ala ne apne piyaare Nabi صلی اللہ علیہ وسلم ko wahi ke zariye’ aagaah kar diya tha. Ghar mein usay shahaadat kaisay naseeb ho gi yeh baat kisi ki samajh mein nahi aa rahi thi lekin shahaadat ka yaqeen har aik ko tha Kyunkeh is ki khabar Saadiq Masdooq Sarwar-e-‘Aalam صلی اللہ علیہ وسلم ne di thi.

Hazrat Umm-e-Warqah Ansaariya رضی اللہ عنها khud bhi is intizaar mein theen keh dekhye mujhe shahaadat kaisay naseeb hoti hai. Kyunkeh shahaadat ka ai’zaaz haasil karna un ki dili khuwaahish thi. Is liye har waqt dil mein yehi khayaal rehta keh Rasool-e-Aqdas صلی اللہ علیہ وسلم ki Zubaan-e-Mubaarak se niklee hui baat kab poori hoti hai? kaisay wuqu’ pazeer hoti hai? Is ki soorat kya ho gi? Ghar mein rehtay hue shahaadat ka haasil ho jaana yeh kaisay mumkin ho ga? Inhi afkaar mein gum Lail-o-Nahaar guzarnay lagey. Daur-e-Risaalat guzra ‘Ahad-e-Siddiqi beet gaya, Sayyiduna Farooq-e-‘Azam رضی اللہ عنہ ka Daur-e-Khilaafat shuru’ hua.

Hazrat Umm-e-Warqah Ansaariya رضی اللہ عنہا ke paas aik ghulaam aur aik kaneez thi. Donon se yeh keh rakha tha keh meri wafaat ke ba’ad tum aazaad ho jaao ge. Aik roz un donon ne mil kar mansoobah banaaya keh hamaari maalika ki zindagi Allah jaane kitni lambi ho gi kyun na sotay mein in ka kaam tamaam kar diya jaaye aur hum aazaad ho jaaein ge. Aazaadi ka laalach dil mein aisa samaaya keh apne anjaam ko bhool hi gaye. Aik roz raat ke waqt Hazrat Umm-e-Warqah Ansaariya رضی اللہ عنہا gehri neend so rahi theen ke un donon ne mauqa’ ghaneemat jaantay hue unhein qatal kar diya aur uopar chaadar daal kar ghar se dabay paaon khisak gaye. Din ki roshni phaili ghar se Quran-e-Hakeem ki tilaawat ki aawaaz kisi ko sunaai nah di. Ghar ke andar daakhil ho kar dekha gaya to yeh dekh kar har koi Angusht-e-Badinadaan reh gaya keh Hazrat Umm-e-Warqah Bint-e-‘Abdulla bin Haaris رضی اللہ عنہا mout ki aagosh mein Mahw-e-Istiraahat hain. Jab yeh dekha keh ghulaam aur kaneez ghar se ghaayab hain to har aik ka dhiyaan unhi ki taraf gaya. Hazrat ‘Umar bin Khattaab رضی اللہ عنہ ne un ki talaash ka hukum diya. Aik jagah chhupay hue thay unhein pakad kar Darbaar-e-Khilaafat mein paish kiya gaya. Unhon ne apne jurm ka ai’traaf kar liya. Ameer-ul-Momineen Hazrat ‘Umar bin Khattaab رضی اللہ عنہ ne unhein Takhta-e-Daar par latkaanay ka hukum saadir farmaaya.

Madinah Munawwara mein yeh pehla mouq’a tha keh do afraad ko qatal ki saza detay hue sooli par latkaaya gaya. Is tarah Rasoolullah ki pishin goi durust saabit hui aur Hazrat Umm-e-Warqah رضی اللہ عنہا  ko ghar mein shahaadat ka rutba naseeb hua aur woh Jannat-ul-Firdous mein raazi khushi ja aabaad hueen. Sach farmaaya Allah Rab ul ‘Izzat ne:

 

اِنَّ الۡمُتَّقِيۡنَ فِىۡ جَنّٰتٍ وَّنَهَرٍۙ ۞ فِىۡ مَقۡعَدِ صِدۡقٍ عِنۡدَ مَلِيۡكٍ مُّقۡتَدِرٍ ۞
(Soorat al Qamar: 54-55 )

 


Hazrat Umm-e-Warqah Bint-e-‘Abdullah bin Haris (رضی اللہ عنہا) key mufassal Halat-e-Zindagi maloom karny key liy darj zail kitaboon ka mutala kijiy:

 

1: Sunan Abi Dawood                                                                                               1/97
2: Al Istiyaab                                                                                                                 4/482
3: Tabqaat Ibn-e-Sa’ad                                                                                          8/457
4: Dalaail-ul-Nubuwwah Baihaqi                                                                  6/381
5: Al Seerat-ul-Halabiyyah                                                                                2/63
6: Al Isaabah                                                                                                               4/481
7: Hujjat-ul-Allal ‘Alaa al ‘Aalameen                                                         2/82
8: Al Istibsaar                                                                                                             359

 

REFERENCE:
Book: Sahabiyaat-e-Mubashiraat”
By Mahmood Ahmed Ghaznofar.

 

 


Table of Contents