Search
Sections
< All Topics
Print

19. Imam Bukhari [Jamia Sahih; Al Adab Al Mufrad][D: 256]

 Imam Bukhari (رحمه الله)

 

Halaat Imam Bukhari

 

Abu Muhammad Haafiz Abdul Sattar al Hammad (hafizahullah)

 

Sayyadna Abu Huraira Radhiallahu anhu bayan karte hain keh jab Surah Juma naazil hui to ham Rasool Allah ke paas baithe huye the. Maine sawaal kiya: Allah ke Rasool! Surah Juma ki is aayat:  “Aur unhi mein se kuch doosre log hain, Jo unse nahi mile”, ka misdaq kaun log hain? Hazrat Salman Farsi bhi wahan baithe huye the. Rasool Allah ne apna dast-e-mubarak un (ki raan) par rakh kar farmaya: Agar Imaan suraiyya sitaare ki bulandi par hota, to un logon mein se kayi log wahan tak pahunch jaate, aur imaan ko wahan se haasil karte.

RasoolAllah ne is Aayat-e-karima ka misdaaq ahle faaras ko thehraya hai, ke ye log doosron se badhkar deen-e-Islam ki khidmat karenge, chunanche aisa hi hua. Sahaba Ikraam ke daur ke baad Islam ki nashr-o-isha’at ka jitna kaam ahle faaras ne sar-anjaam diya, ye sa’adat doosre logon ko naseeb na ho saki. Bade bade muhaddiseen aur fuqaha-e-‘azaam ki aksariyat usi ilaaqey se talluq rakhti hai. Imam Bukhari  bhi usi ilaqey se taalluq rakhte they, kyun k us waqt Bukhara Sheher mulk-e-faaras ka hissa tha. Imam Bukhari Rahimahullah ne deen-e-Islam ki sar-bulandi ke liye jo khidmaat sar-anjaam di hain, unka silsila bohot wasee’ hai. Allah Ta’ala unhe apne yahaan ajar-e-azeem ata farmaye. Ameen.

 

Naam-o-Nasab:

 

Abu Abdullah Muhammad bin Ismail bin Ibrahim bin Mugheera bin Bardazba Ja’afi Bukhari. Bardazba, faarsi zuban ka lafz hai, jiske maane kaashtkaar aur zara’at pesha ke hai. Choonke Imam Bukhari  Rahimahullah ke jadd-e-‘aala kheti baadi karte they, is liye Bardazba ke naam se mash-hoor huye. Ye buzurg apne abaai mazhab ke mutabiq Majoosi aatish parast they. Unke bete aur Ibrahim ke walid Mugheera, Yamaan Ja’afi ke haath par musalman huye. Us zamaane ke dastoor ke mutabiq jo shakhs kisi ke haath par musalman hota, wo usi ke qabiley ki taraf mansoob hota tha. Is binaa par aap Ja’afi kehlaye. Kyun keh Arab qubool-e-Islam ke rabt-e-khaas ko walaa-e-Islam se tabeer karte they, aur phir us wala ki shaakhein door-door tak phailti jaati theen, usi keh saath wo apni nisbatein qayem kar lete they. Imam Bukhari  ko bhi unke jadd-e-aala ki nisbat-e-waala ki wajah se Ja’afi kaha jata hai. Choonke aap Bukhara mein paida huye they, is bina par aap Bukhari kehlaye. Goya aap ki do (2) nisbatein hain: aik watan Bukhara ki wajah se Bukhari, aur doosri walaye Islam ki binaa par Ja’afi hai.[1]

 

Wilaadat:

 

Aap 13 Shawwal 194h, ba-mutabiq 21 July 810CE baad az namaz-e-juma Bukhara sheher mein paida huye. Bukhara, Roos ke ilaaqe Uzbekistan mein Maawra un Nahar ke bade shehron mein se aik hai, jo Cheen, Iran, aur Afghanistan ki sarhadon ki shaah-e-raah par waaq’e hai. Us sheher mein un teeno mulkon ke raste aakar aapas mein milte hain.

 

Bachpan Ke Halaat:

 

Imam Bukhari abhi chhote they, ke unke walid Ismail bin Ibrahim ka saaya sar se uth gaya. Phir unki waledah ne unki tarbiyat ki, jo bohot saabra, haleem ul tib’e theen, bohot Ibadat guzaar aur mustajaab ul d’awaat theen. Imam Bukhari Rahimahullah bachpan mein kisi marz ki wajah se dono ankhon ki binaayi se mehroom ho gaye, to unki waledah ko bohot sadma hua. Allah ki bargah mein ro-ro kar duayein keen ke lakht-e-jigar ki binaayi waapas aa jaye. Bilaakhir Allah Ta’ala ne shab khezi ki duaon ko sharf-e-qubooliyat se nawaza. Aap ne Ibrahim Khalilullah ko khwab mein dekha, unhon ne aapko basharat di ke Allah Ta’ala ne aapke lakht-e-jigar ki basaarat wapas kardi hai. Chunache jab neend se bedaar  huyeen to dekha ke bete ki aankhein raushan hain.

Imam Bukhari Rahimahullah farmate hain ke main abhi Quran-e-Majeed hifz kar raha tha ke mujhe ahadees hifz karne ka ilhaam hua. Jab main maktab se faarigh hua to us waqt meri umar taqriban 10 baras thi. Maine Quran-e-Majeed hifz kar liya tha, aur kuch ibtedayi kitaaben bhi padhli thi. Uske baad maine mukhtalif asaatza ke paas aana-jaana shuru kar diya.

 

Imam Bukhari Ki Zahaanat:

 

Allah Ta’ala ne Imam Bukhari Rahimahullah ko zehen rasaa aur quwwi hafiza ataa farmaya tha. Aapne isnaad samet laakhon ahadees yaad kar rakhi thi. Aapka apna bayan hai: “Mujhe lakh (100,000) Saheeh ahadees aur do (2) lakh (200,000) ghair Saheeh ahadees yaad hain”. Balkeh aap farmate hain ke sanad mein koi taaba’i ho ya sahabi, main unki waldiyat, jaaye paidaish, aur san wafaat, algharz sab kuch jaanta hoon. aik dafa Imam Bukhari  ke saamne kisi ne unke Shaikh Imam Ishaq bin Raahwiya ka ye qaul pesh kiya: “Maine apni kitab mein 70,000 ahadees ko dekhta hoon”. Ye sun kar Imam Bukhari Rahimahullah ne farmaya: “Shayad us zamaane mein koi aisa shakhs bhi ho jo do (2) lakh ahadees apni kitabon mein dekhta ho”. Imam Bukhari ne agarche apna naam nahi liya, lekin unki muraad apni zaat thi.

Aik martaba Imam Bukhari Baghdad tashreef le gaye to Baghdad ke mashayekh ne jamaa ho kar Imam Bukhari ka imtehan lene ka program banaya. Imtehan ka tareeqa ye tay  huya ke 10 Ulama ko muqarrar kiya gaya, aur har aalim ko 10-10 ahadees di gayi, phir unhon ne sanad aur matan mein tabdeeli ki, is tarah aik hadees ki sanad doosri hadees ke matan ke saath mila diya, doosri hadees ka matan kisi aur hadees ki sanad ke saath mila diya. Is tarah unhon ne 100 ki taadaad mein maqloob ahadees taiyyaar ki.

Har aik aalim ki duty lagaai gai ke jab majlis khoob jam jaae to baari baari un ahadees ko Imam Bukhari   par pesh kiya jaae. Jab Baghdad mein majlis hadees qaaem hui, jis mein muqaami aur baeooni be-shumaar log maujood they, aur ahle majlis mutmaeen ho kar baith gaye, jo tae-shuda program ke mutaabiq un das (10) Ulama mein se aik aalim Imam Bukhari  Rahimahullah aur ahle majlis mutamayin ho kar baith gaye to tay shuda program ke mutaabiq un das (10) Ulama mein se aik aalim Imam Bukhari Rahimahullah  ke saamne aaya aur aik maqloob hadees pesh ki. Imam Bukhari Rahimahullah  ne farmaya: “Main usey nahi pehchaanta”. Jab usne doosri hadees pesh ki to Imam Bukhari  Rahimahullah ne wahi jawab diya ke main usey nahi jaanta, is tarah usne apni 10 ahadees poori kar li.

Imam Bukhari Rahimahullah har hadees ke mutalliq yehi kehte they, main usey nahi pehchaanta. Pehle shakhs ke baad doosra shakhs khada hua, usne bhi tay-shuda mansoobe ke mutaabiq 10 maqloob ahadees pesh ki. Is tarah baaqi Ulama ne bhi baari-baari ahadees ko ulat palat kar paish kiya. Imam Bukhari har aik ko yahi jawab dete they: “Main is hadees ko nahi pehchaanta”. Ahle majlis mein se kuch hazraat to mansube ki teh tak pohonch gaye, aur kuch tazabzub ka shikar hone lagey, aur Imam Bukhari   ke haafze aur zahaanat mein shak-o-shubha karne lagey.

Imam Bukhari Rahimahullah ne pehle shakhs ko bulaya aur usey kaha: “Toone pehle ye hadees is tarah padhi, jabke saheeh hadees apne matan aur sanad ke saath aise hai”. Phir uski pesh-karda doosri hadees padhi aur asal matan aur sanad ki nishaan-dahi farmayi. Isi tarah baaqi 8 ahadees durust karke bataayi. Phir aapne doosre shakhs ko bulaya aur uski pesh kardah maqloob ahadees, saheeh matan aur sanad ke saath batayi. Usi tarah har admi ko bulaate rahe, aur har aik ki 10 maqloob ahadees ko saheeh sanad aur matan ke saath bataate rahe.

Is waqiyah ko Haafiz Ibn-e-Hajar Rahimahullah ne apni sanad ke saath bayan kiya hai, aur uske baad bayen alfaaz us par tabsarah kiya hai: “Is waqiyah ko sunne ke baad insan Imam Bukhari Rahimahullah ke haafize ka sikka tasleem kar lene par majboor ho jaata hai. Lekin us majlis mein 100 saheeh ahadees ka bayan kar dena koi taajjub angez baat nahi, balke taajjub-o-hairat is baat par hai ke aapne maqloob shudah 100 ahadees ko sirf 1 dafa sun lene ke baad unhein usi tarteeb ke saath yaad kar liya, aur usi majlis mein unhein dohra diya”. Haafiz Ibn-e-Hajar Rahimahullah ne bhi isse milta-julta waqiyah bayan kiya hai.

Baharhaal, Imam Bukhari Rahimahullah  Hifz-e-ahadees, Tezi-e-zehen, Diqqat-e-nazar, Kasrat-e-faqaahat, ‘ilal hadees ki Wase’e maarfat, Maarfat-e-asaneed, Quwwat-e-hafiza aur Mallika-e-ijtehaad-o-istembaat mein apni misaal aap they.

 

Rehlaat-e-Bukhari:

 

Muhaddiseen ki istelaah mein “رحله” Rehla us safar ko kaha jaata hai, jo hadees ya uski sanad-e-‘aali haasil karne ke liye kiya jata hai. Imam Bukhari   Rahimahullah apni Umar ke solahwein (16) baras tak apne hi mulk ke asaatza se tehseel-e-ilm karte rahe, kyun ke ilmi safar ke liye muhaddiseen ke yahan ye shart hai ke jab ilmi safar ka qasad ho, to apne watan ke shuyookh se jis qadar ahadees mil sake, unhein haasil kar liya jaye, agarche wo qaleel taadaad mein ho.

  • Imam Bukhari Rahimahullah ne sabse pehel Ilaaqa-e-hijaaz ka iraada kiya, jo keh Uloom-e-shariat ka maawa aur Rasool Allah   ka maskan aur nuzool-e-wahee ka muqaam tha. Nez wo Markaz-e-Islam aur Jumla-e-Sahaba Ikraam ki jaaye sukoonat tha, lehaza aap 210h mein apni waaldah maajda ke hamraah Makkah Mukarrama pohche. Us waqt Makkah Mukarrama mein jin shuyookh ki dars gaahein mumtaaz thi, aur jo log Imam-e-fan-o-marja’a-e-khalaaeq they, wo hasb-e-zail hain: Abu al Waleed Ahmad bin Al Azraqi, Abdullah bin Yazid, Ismail bin Saali Saaegh, Abu Bakar Abdullah bin Zubair, Allama Humaidi. Unke ilawa doosre shuyookh se bhi kasb-e-faiz kiya, jinka Makkah Mukarrama mein qiyam tha.
  • Makkah Mukarrama mein husool-e-ilm se faraaghat ke baad Imam Bukhari Rahimahullah ne Madina Taiyyaba ka rukh kiya, aur 212h mein Madina Taiyyaba pohche. Wahan jin ahle ilm ka charcha tha, aur jo log dars-e-hadees dete they, un mein sar-e-fehrist hasb-e-zail shuyookh hain, jinse Imam Bukhari Rahimahullah ne ilm-e-hadees haasil kiya: Ibhraim bin Munzir, Matraf bin Abdullah, Ibrahim bin Hamza, Abu Saabit Muhammad bin Obaidullah, aur Abdul Aziz bin Abdullah al Owaisi. Wazeh rahey keh Imam Bukhari Rahimahullah ne Madina Taiyyaba mein dauraan-e-Iqaamat apni kitab Tareekh Kabeer ka maswadah chandni raaton mein likha.
  • Madina Taiyyaba mein tehseel-e-ilm se faraghat ke baad Imam Bukhari Rahimahullah ne Basra ka qasad kiya, jo un dino wus’at Ilm aur Isha’at-e-hadees ke aitebaar se bohot taraqqi par tha. Aapne Basra ka safar chaar martaba kiya, aur hasb-e-zail shuyookh se ilm haasil kiya: Imam Abu Aasim an Nabeel, Safwan bin Isa, Badal bin Mahbar, Harmi bin Ammarah, Afwan bin Muslim, Muhammad bin Al-Arah, Sulaiman bin Harb, Abul Waleed al Tayaalsi aur Muhammad bin Sanaan.
  • Basra ke baad aapne Kufa ka rukh kiya, jo un dino Ilm-o-irfaan ka gehwara tha. Wahan ke chand mashahir shuyookh hasb-e-zail hain: Abdullah bin Musa, Abu Nayeem, Ahmad bin Yaqoob, Ismail bin Abaan, Al Hasan bin Ar Rabea, Khalid bin Mukhlad, Saeed bin Hafs, Talq bin Ghanaam, Umar bin Hafs, Qubaisa bin Uqba aur Abu Ghassaan. Imam Bukhari Rahimahullah ne Kufa mein in hazraat se rawayaat li.
  • Baghdad, Saltanat-e-Abbasiya ka daar-ul-hukumat tha. Sarkaari taur par Ulama-o-mashayekh ki qadar afzaai ne Baghdad ko marj’a-e-uloom bana diya tha. Wahan har taraf se ahle kamaal jamaa ho gaye they. Imam Bukhari Rahimahullah  ne husool-e-ilm ke liye Baghdad ka kayi martaba safar kiya. Baghdad ke shuyookh mandarja zel hain: Imam Ahmad bin Hambal, Muhammad bin Isa Al Sabaagh, Muhmmad bin Saaeq aur Sareej bin Noman. Imam Bukhari Rahimahullah jab akhri martaba Baghdad se wapas aane lagey aur Imam Ahmad bin Hambal   se mulaqaat karne ke liye gaye to Imam Mausoof ne unhein bade dardnaak lehje mein farmaya: “Aap logon, ahle zamana, aur ilm ko chhod kar khurasaan jaa rahe hain”. Jab Haakim-e-Bukhaara Abu Tahir ne Imam Bukhari  Rahimahullah par buhtaan lagakar Bukhara badar karne ka mansooba banaya, to Aap Ahmad bin Hambal keh mazkura maqole ko yaad karke bohot afsos karte they. Farmate they: “Ab mujhe unki baat yaad aati hai”.
  • Imam Bukhari Rahimahullah Shaam bhi gaye, wahan hasb-e-zel mashayekh  se Ilm haasil kiya: Imam Yusuf Faryaabi, Abu Nasar Ishaq bin Ibrahim, Aadam bin Abi Iyaas, Al Hakam bin Naaf’e aur Heewah bin Shareeh. Unke alawa doosre ahle ilm ma’asireen se bhi takmeel-e-ilm ki.
  • Imam Bukhari Rahimahullah husool-e-ilm ke liye Misr bhi gaye, aur wahan Usman bin Saeed Saaegh, Saeed bin Abi Mariyam, Abdullah bin Saaleh, Ahmad bin Saaleh, Ahmad bin Shabeeb, Asbagh bin Farj, Saeed bin Abi Isa, Saeed bin Kaseer, aur Yahya bin Abdullah se ahadees haasil ki.
  • Isi tarah aapne Jazirah ka safar kiya. Wahan Ahmad bin Abdul Malik al Harrani, Ahmad bin Yazid al Harrani, Amr bin Khalaf, aur Ismail bin Abdullah ar Raqi se khoob-khoob istefada kiya.
  • Aap ne Muru mein Ali bin Hasan, Abdaan, Muhammad bin Maqaatil.
  • Balkh mein Makki bin Ibrahim, Yahya bin Bashar, Muhammad bin Abaan, Hasan bin Shuja, Yahya bin Musa, Imam Qutaiba.
  • Heraat mein Ahmad bin Abu al Waleed al Hanafi.
  • Nishapur mein Yahya bin Yahya, Bashar bin Hakam, Ishaq bin Raahwiya, Muhammad bin Raafe.
  • Ree mein Ibrahim bin Musa.
  • Waasit mein Hassan bin Hassan, Hassan bin Abdullah aur Saeed bin Abdullah se ahadees haasil kee’n.
“رحمة الله عليهم أجمعين”

Imam Bukhari Rahimahullah  farmaya karte they keh: “Maine sirf unhi shuyookh se ahadees li hai, jo imaan mein kami-beshi ke qayel they, aur ‘amaal ko juzz-o-Imaan khayaal karte they, jaisa keh Sahaba-e-Ikraam aur taba’een-e-‘azzaam ka mauqif tha”.

  • Tabqaat-e-Shuyookh-e-Imam Bukhari Rahimahullah: Imam Bukhari Rahimahullah ne be-shumaar mashayekh se kasb-e-faiz kiya, wo khud farmate hain: “Maine 1080 shuyookh se ahadees likhi hai, aur wo sab ke sab mohaddis they”. Haafiz Ibn-e-Hajar ne Imam Bukhari ke asaatza ko 5 tabaqaat mein taqseem kiya hai, wo hasb-e-zel hain:
  • Pehla Tabqa: Is tabqe mein wo shuyookh shaamil hain, jinhon ne aapko taba’een ke waaste se ahadees sunayi, jaisa keh Imam Bukhari Rahimahullah ke ustad Muhammad bin Abdullah Ansari hain. Imam Bukhari Rahimahullah ke bohot se asaatza aise hain, jo taaba’een se ahadees bayan karte hain. Mashayekh-e-Bukhari mein ye ‘aala tabqa hai.
  • Doosra Tabqa: Is tabqe mein Imam Bukhari Rahimahullah keh wo shuyookh shamil hain jo Tabqa-e-Oola ke ham-asr to hain, lekin siqqaat-e-taaba’een se unka samaa’ (سَماع) sabit nahi hai. Masalan: Aadam bin Ayaas, Abu Mashar Abdul A’ala bin Mashar, Saeed bin Abi Mariyam, aur Ayyub bin Sulaiman waghaira. Ye tamam hazraat tabaqa-e-saniya se hain, jinse Imam Bukhari Rahimahullah  ne ahadees bayan ki hain.
  • Teesra Tabqa: Is tabqe mein Imam Bukhari Rahimahullah ke wo asaatza hain, jinki kisi taaba’i se mulaqat sabit nahi. Masalan: Sulaiman bin Harb, Qutaiba bin Saeed, Naeem bin Hammad, Ali bin Madeeni, Yahya bin Muyeen, Ahmad bin Hambal, Ishaq bin Raahwiya, Abu Bakar bin Abi Shaiba aur Usman bin Abi Shaiba waghaira. Is tabqe se riwayat karne mein Imam Muslim  bhi Imam Bukhari  ke saath shareek hain.
  • ChauthaTabqa: Is tabqe mein Imam Bukhari ke wo mashayekh shamil hain, jo talab-e-hadees mein Imam Bukhari Rahimahullah ke saathi they, ya unhon ne unse kuch arsa qabl ilm-e-hadees padha. Masalan: Muhammad bin Yahya Zahli, Abu Haatim Raazi, Abd bin Humaid, Ahmad bin Nasar, aur Muhammad bin Abdur Raheem waghaira. In asaatza se Imam Bukhari  Rahimahullah ne wo ahadees riwayat ki hain, jo pehle teen (3) tabqaat se naa mil saki.
  • Paachwan Tabqa: Is tabqe mein wo asaatza shamil hain, jo umar aur ustad ke aitebaar se Imam Bukhari Rahimahullah ke shaagirdon mein se hain. Masalan: Abdullah bin hammad al Aamli, Abdullah bin Abil Aas Khwarzami aur Hussain bin Muhammad Qabbani waghaira.

Imam Bukhari Rahimahullah ne khaas fayede ke tahat unse ahadees bayan ki hain. Masalan: Aik hadees apne asaatza aur saathiyon se na mil saki, to wo apne shagirdon se bayan karenge. Aisa karne mein Imam Bukhari  Rahimahullah ne Imam Wake’e ki baat par amal kiya hai. Wo farmate hain: “Admi us waqt tak aalim nahi ho sakta, jab tak wo apne se ‘aala, apne se ham-umar, aur apne se neeche wale se ahadees bayan nahi karta”. Imam Bukhari  Rahimahullah khud farmate hain ke insaan muhaddis-e-kaamil us waqt tak nahi ban sakta, jab tak wo apne se ‘aala, apne ham-umar aur apne se kam-darja waale se ahadees bayan na kare.

 

Talamazah Bukhari:

 

Imam Bukhari Rahimahullah ke talamazah hazaaron ki tadaad mein hain. Imam Bukhari Rahimahullah ke shaagird Farbari kehte hain ke jin logo’n ne aapse Saheeh Bukhari ka samaa’ (سَماع) kiya hai, unki taadaad 90,000 hai.[2] Imam Bukhari  Rahimahullah se riwayat karne walon ko ham 3 tabqaat mein taqseem kar sakte hain:

  • Pehla Tabqa: Is tabqe mein wo mashayekh hain, jinse Imam Bukhari Rahimahullah ne kasb-e-faiz kiya. Un mein se chand aik ye hain: Abdullah bin Muhammad Musandi, Abdullah bin Muneer, Ishaq bin Ahmad Sarmaari, Muhammad bin Khalf bin Qutaiba.
  • Doosra Tabqa: Ye tabqa Imam Bukhari ke ham asr mashayekh par mushtamil hai, jo aapse ahadees bayan karte hain. Is tabqe mein mash-hoor mash-hoor talamazah ye hain: Abu Zar’aa Raazi, Abu Haatim Raazi, Ibrahim Harbi, Abu Bakar bin Abi Aasim, Moosa bin Haroon, Muhammad bin Abdullah bin Mateen, Ishaq bin Ahmad bin Zeerak Faarsi, Muhammad bin Qutaiba Bukhari, Abu Bakar ‘Ayn.
  • Teesra Tabqa: Is tabqe mein wo talamazah shamil hain, jinka shumaar bade bade huffaz mein hota hai. Chand aik ke naam ye hain: Saaleh bin Muhammad Jazra, Abul Hussain Muslim bin Hajjaaj Qashiri, Abul Fazal Ahmad bin Salma, Abu Bakar bin Ishaq bin Khuzaimah, Muhammad bin Nasar Maroozi, Abu Bakar bin Abi ad Duniya, Abu Bakar al Bazzaar, Hashid bin Ismail, Abul Qasim Baghwi, Hussain bin Ismail al Mahaamli.

Ye wo talamazah hain jinhon ne ba-raah-e-raast Imam Bukhari Rahimahullah ke saamne zaawiye talmaz tay kiye hain, bil waasta talamazah ki taadaad mein qayamat tak izaafa aur aapke liye sadqa-e-jariya ka saamaan paida hota rahega.

ذلك فضل الله يؤتيه من يشاء.

 

Imam Bukhari Ka Maslak:

 

Imam Bukhari fiqhi, furooi, aur ijtehaadi masail mein murawwaja masaalik se bilkul azaad hain. Mazahib-e-‘Arba mein se kisi ki mukhalifat yaa mawaafqat ka inhesaar ta’assub yaa aqeedat ki bina par nahi balkeh daleel par hai. Jaisa keh Saheeh Bukhari ka mutaal’a karne se maloom hota hai. Hamare paas aapka maslak maloom karne ka waahid zariya aap ki taleef Saheeh Bukhari hai. Usse maloom hota hai ke aapka maslak darj-e-zel aayat-e-karima ka ‘ayina daar hai.

 

اتَّبِعُوا مَا أُنزِلَ إِلَيْكُم مِّن رَّبِّكُمْ وَلَا تَتَّبِعُوا مِن دُونِهِ أَوْلِيَاءَ.

 

“Jo kuch tumhare parwardigaar ki taraf se tumhari taraf naazil kiya gaya hai, uski pairvi karo, uske siwa aur doston ki pairvi naa karo”.

 

Agarche kuch hazraat ne Imam Bukhari   ko Shafa’i, yaa Hanbali likha hai, lekin ye haqeeqat ke khilaaf hai. Aap mujtahid-e-mutlaq, Imam-ul-fiqh, aur Tehreek-e-azadi-e-fikr ke alam bardaar hain. Jaisa ke darj-e-zel misaalon se maloom hota hai:

  • Shawaaf’e ke nazdeek Juma ki adaigi ke liye kam az kam 40 admiyon ka hona zaroori hai. Imam Bukhari Rahimahullah ne unki tardeed karte huye baa’een taur unwaan qayem kiya hai: “Jab log Namaz-e-Juma ke waqt Imam ko chhod kar chale jayein to Imam aur baaqi maanda admiyon Ki Namaz Saheeh hai”. Phir uske tahat hadees zikr farmayi, ke Rasool Allah  Sallallahu alaihi wasallam ne 12 admiyo’n ke saath namaz-e-juma ada farmayi, jabki tijaarati qafila aane ki wajah se log dauran-e-juma chale gaye they.
  • Ahnaaf ke yahan juma ki adayegi ki mutaddid sharayat hain. Unke yahaan aam dehaaton mein juma jayez nahi. Imam Bukhari Rahimahullah ne us mauqif ki tardeed mein baa’een alfaaz unwaan qayem kiya: “Dehaton aur Shehron mein Juma ki Adaigi”. Phir aik hadees ka hawala diya keh Masjid-e-Nabawi keh baad pehla Juma Abdul Qais ki aik basti Jawasii mein shuru hua, jo Bahrain mein thi.
  • Hanabala ka mash-hoor maslak hai ke zawaal-e-aftaab se pehle Juma jayez hai. Imam Bukhari Rahimahullah ne saraahat farmayi ke ye mauqif saheeh nahi hai, aur tardeed mein aik unwaan qayem kiya: “Jab suraj dhal Jaye to Juma ka waqt hota hai”. Phir aapne uske tahat Hazrat Anas Radhiallahu anhu se marwi aik hadees bayan ki, ke Rasool Allah   Sallallahu alaihi wasallam zawaal-e-aaftaab ke baad juma padhte they.
  • Maaliki hazraat ke nazdeek barish ki wajah se Juma chhod dena jayez nahi. Imam Bukhari Rahimahullah ne us mauqif se ittefaq nahi kiya, balkeh unki tardeed mein aik unwaan baa’een alfaaz qayem kiya: “Baarish ki wajah se Juma mein haazir naa hone ki rukhsat hai”. Uske tahat Hazrat Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhu ka qaul zikr kiya, ke agarche juma ki adayegi bohot zaroori hai, taaham barish ki wajah se main nahi chahta ke tumhein mashaqqat mein daaloon, aur tum mitti aur keechad mein luthde huye masjid mein aao.

Maulana Anwar Shah Kashmiri ne Imam Bukhari  Rahimahullah ke maslak ki wazaahat karte  huye likha hai: “Mere nazdeek haq baat ye hai ke Imam Bukhari  Rahimahullah ne apni saheeh mein kisi maslak ki taqleed nahi ki, balkeh ijtehaad ka raasta ikhteyar kiya hai. Unki faham-o-baseerat ne jo faisla kiya, unhon ne usey aazaadi ke saath apnaaya hai”. Masayel mein aik mujtahid ka doosre mujtahid ke saath muwaafiq hona cheeze deegar ast, ye baat mujtahid ke muqallid hone ki daleel nahi hai.

 

Taalifaat-e-Imam Bukhari:

 

Imam Bukhari Rahimahullah ne mutaddid taalifaat ki soorat mein apna ilmi tarka ummat ke supurd kiya hai. Un tasaneef ki do (2) aqsaam hain.

① Jo aaj dastiyaab hain.

② Jinka zikr sirf muarrikheen ne kiya hai.

Dastiyaab taalifaat ki tafseel hasb-e-zel hai: Al Jaame as Saheeh: Jiska tafseeli tazkirah ham ayinda auraaq mein karenge.

Al Adab al Mufrad, Juzz Raful Yadain, Juzz al Qirat, Kitab ul Zoafa, Khalq Afaal al Ibaad, Baraa-ul-Waledain, At Taareekh-ul-Kabeer, At Taareekh-ul-Ausat, At Taareekh ul Sagheer.

Unke alaawa kuch taalifaat ka muarrikheen ne zikr kiya hai, jo hasb-e-zel hain:

Al Jaam’e-ul-Kabeer, Al Musnad-ul-Kabeer, Al Tafseer-ul-Kabeer, Kitab-ul-Hiba, Kitab-ul-Ashrabah, Kitab-ul-Wahdaan, Kitab Asaami as Sahaaba, Kitab-ul-Mabsoot, Kitab-ul-Ulal, Kitab-ul-Kunaa, Kitab-ul-Fawaaed.

Abu Haatim Waraaq kehte hain ke maine Imam Bukhari  Rahimahullah se arz kiya: “Aap ne apni tamam tasaneef mein jo kuch zikr kiya hai, wo aapko yaad hai?” To Imam Bukhari   ne jawab diya: “Un tasaneef mein jo kuch hai, un mein se koi cheez mujh par makhfi nahi hai, nez maine tamam kitabon ko 3-3 martaba tasneef kiya hai”. Imam Bukhari   khud farmate hain ke: “Maine un tasaneef mein 2 (do) lakh (200,000) se zyada ahadees jamaa ki hain”. Apni taalifaat ke mutaalliq farmate they: “Mujhe ummeed hai ke Allah Ta’ala musalmano ke liye in tasaneef mein barkat ataa farmayega”. In tamam tasaneef mein jo qubooliyat aur shohrat-e-dawaam Saheeh Bukhari ko Allah Ta’ala ne ataa farmaai, wo doosri kisi kitab ke hisse mein nahi aayi. Dua hai ke Allah Ta’ala Imam Bukhari  Rahimahullah ko itni azeem mehnat ka apne yahaan ajar-e-jazeel ataa farmae, aur hame’n qiyamat ke din khuddam-e-hadees mein uthaaye. آمين يا رب العالمين

 

Wafat:

 

Aap ne 30 Ramzan-ul-Mubarak 256h ba-mutaaibq 31st Aug, 870CE eid-ul-fitr ki raat, ba-waqt namaz-e-isha 62 saal ki umar mein wafat paayi, aur eid ke roz baad-az namaz-e-Zohar basti-e-khartang mein dafan  huye, jo Samarqand se 6 meel ke faasle par hai. Choonke aapke janaaze par log ba-kasrat aaye, jiski binaa par sawari ki tangi pesh aayi, usi din se us basti ka naam Khartang mash-hoor ho gaya.

Imam Bukhari Rahimahullah  ko dafan karne ke liye jab qabar mein rakha gaya to mitti se kastoori ki tarah khushboo aane lagi, ye khushboo kai din tak aati rahi. Log aap ki qabar se khushboo waali mitti uthakar le jaate, hatta ke qabar ke ird-gird lakdi ka jangls laga diya gaya, taake wo mehfooz rahe. Abdul Wahid bin Aadam Tawawaisi kehte hain ke maine Nabi sallallahu alaihi wasallam  ko khwaab mein dekha, aap apne Sahaba Ikraam ke hamraah aik muqam par khade hain, goya aap kisi ka intezar kar rahe hain. Maine salaam kiya, aur arz kiya: “Aye Allah ke Rasool! Aap yahan kiske intezar mein hain?” Aap ne farmaya: “Main Muhammad bin Ismail Bukhari Rahimahullah ka intezar kar raha hoon”. Mujhe chand dinon ke baad Imam Bukhari  Rahimahullah ki wafaat ka pata chala, to maine dekha ke unki wafaat ka wohi waqt tha, jis waqt maine Nabi Sallallahu alaihi wasallam ko khwaab mein kisi ka intezar karte dekha tha.

 

REFERENCE:
BOOK: “SAHIH BUKHARI” (Urdu)
Tarjumah: ‘Fazilatus Shaykh ul Hadees Hafiz Abdul Sattar Hammad(حفظه الله تعالى)’
Taseeh: ‘Hafiz Salah Uddin Yusuf(حفظه الله تعالى)’

 

 

Imam Bukhari and his Book Sahih Al-Bukhari

It has been unanimously agreed that Imam Bukhari’s work is the most authentic of all the other works in Hadith literature put together. The authenticity of Al-Bukhari’s work is such that the religious learned scholars of Islam said concerning him: “The most authentic book after the Book of Allah (i.e. Al-Qur’an) is Sahih Al-Bukhari.”

Imam Bukhari was born on 13th Shawwal in the year 194 A.H. in Bukhara in the territory of Khurâsân (West Turkistan). His real name is Muhammad bin Ismail bin Al-Mughirah Al-Bukhari.

His father died when he was still a young child and he was looked after by his mother. At the age of ten he started acquiring the knowledge of Hadith. He travelled to Makkah when he was sixteen years old accompanied by his mother and elder brother. It seemed as though Imam Bukhari loved Makkah and its learned religious scholars for he remained in Makkah after bidding farewell to his mother and brother. He spent two years in Makkah and then went to Al-Madina. After spending a total of six years in Al-Hijaz which comprises Makkah and Al-Madina, he left for Basrah, Kufa and Baghdad and visited many other places including Egypt and Syria. He came to Baghdad on many occasions. He met many religious learned scholars including Imam Ahmad bin Hanbal.

Owing to his honesty and kindness and the fact that he was trustworthy he used to keep away from the princes and rulers for fear that he may incline to say things to please them.

Many a story has been told about Imam Bukhârî regarding his struggles in collecting Hadith literature. He travelled to many different places gathering the precious gems that fell from the lips of the noble Prophet Muhammad ﷺ. It is said that Imam Bukhari collected over 300,000 Ahadith and he himself memorized 200,000 of which some were unreliable. He was born at a time when Hadith was being forged either to please rulers or kings or to corrupt the religion of Islâm.

It is said that Imam Bukhari (before compiling Sahih Al- Bukhari) saw in a dream, standing in front of Prophet Muhammad ﷺ having a fan in his hand and driving away the flies from the Prophet ﷺ . Imam Bukhari asked some of those who interpret dreams, and they interpreted his dream that he will drive away the falsehood asserted against the Prophet صلى الله عليه وسلم

So it was a great task for him to sift the forged Ahadith from the authentic ones. He laboured day and night and although he had memorised such a large number he only chose approximately 7,275 with repetition and about 2,230 without repetition of which there is no doubt about their authenticity.

Before he recorded each Hadith, he would make ablution and offer a two Rak’at prayer and supplicate his Lord (Allah). Many religious scholars of Islâm tried to find fault in the great remarkable collection- Sahih Al-Bukhari, but without success. It is for this reason, they unanimously agreed that the most authentic book after the Book of Allah is Sahih Al-Bukhari.

Imam Bukhari died on first Shawwal in the year 256 A.H., and was buried in Khartank, a village near Samarkand. May Allah have mercy on his soul.

Dr. Muhammad Muhsin
Islamic University, Al-Madina Al-Munawwara(Saudi Arabia)
Book: Sahih Al Bukhari
Translated by: Dr. Muhammad Muhsin Khan

امام بخاری(رحمه الله)

 

حالات امام بخاری(رحمه الله)

 

سیدنا ابو ہریرہ نے بیان کرتے ہیں کہ جب سورۂ جمعہ نازل ہوئی تو ہم رسول اللہ ﷺ کے پاس بیٹھے ہوئے تھے۔ میں نے سوال کیا: اللہ کے رسول! سورۂ جمعہ کی اس آیت: ” اور انھی میں سے کچھ دوسرے لوگ ہیں جو ان سے نہیں ملے.“ کا مصداق کون لوگ ہیں؟ حضرت سلمان فارسی بی وہ بھی وہاں بیٹھے ہوئے تھے۔ رسول اللہ سلیم نے اپنا دست مبارک ان (کی ران پر رکھ کر فرمایا: “اگر ایمان ثریا ستارے کی بلندی پر ہوتا تو ان لوگوں میں سے کئی لوگ وہاں تک پہنچ جاتے اور ایمان کو وہاں سے حاصل کرتے ۔

رسول اللہ سایہ نے اس آیت کریمہ کا مصداق اہل فارس کو ٹھہرایا ہے کہ یہ لوگ دوسروں سے بڑھ کر دین اسلام کی خدمت کریں گے، چنانچہ ایسا ہی ہوا۔ صحابہ کرام بھی کام کے دور کے بعد اسلام کی نشر و اشاعت کا جتنا کام اہل فارس نے سرانجام دیا، یہ سعادت دوسرے لوگوں کو نصیب نہ ہوسکی۔ بڑے بڑے محدثین اور فقہائے عظام کی اکثریت اسی علاقے سے تعلق رکھتی ہے۔ امام بخاری نے بھی اسی علاقے سے تعلق رکھتے تھے کیونکہ اس وقت بخارا شہر ملک فارس کا حصہ تھا۔ امام بخاری جتنے نے دین اسلام کی سربلندی کے لیے جو خدمات سرانجام دی ہیں ان کا سلسلہ بہت وسیع ہے۔ اللہ تعالیٰ انھیں اپنے ہاں اجر عظیم عطا فرمائے۔ آمین.

 

 نام و نسب :

 

ابوعبد الله محمد بن اسماعیل بن ابراہیم بن مغیرہ بن بردز به بعضی بخاری۔ بردزبہ، فارسی زبان کا لفظ ہے جسکے معنی کا شتکار اور زراعت پیشہ کے ہیں، چونکہ امام بخاری بنانے کے جد اعلی کھیتی باڑی کرتے تھے، اس لیے بردز بہ کے نام سے مشہور ہوئے۔ یہ بزرگ اپنے آبائی مذہب کے مطابق مجوسی آتش پرست تھے۔ ان کے بیٹے اور ابراہیم کے والد مغیرہ، یمان جعفی کے ہاتھ پر مسلمان ہوئے۔ اس زمانے کے دستور کے مطابق جو شخص کسی کے ہاتھ پر مسلمان ہوتا وہ اس کے قبیلے کی طرف منسوب ہوتا تھا، اس بنا پر آپ بعضی کہلائے۔ کیونکہ عرب قبول اسلام کے رابط خاص کو ولائے اسلام سے تعبیر کرتے تھے اور پھر اس ولا کی شاخیں دور دور تک پھیلتی جاتی تھیں، اس کے ساتھ وہ اپنی نسبتیں قائم کر لیتے تھے۔ امام بخاری رحمت اللہ علیہ کو بھی ان کے جد اعلیٰ کی نسبت والا کی وجہ سے جعفی کہا جاتا ہے۔ چونکہ آپ بخارا میں پیدا ہوئے تھے، اس بنا پر آپبخاری کہلائے۔ گویا آپ کی دو نسبتیں ہیں: ایک وطن بخارا کی وجہ سے بخاری اور دوسری ولائے اسلام کی بنا پر جعفی ہے۔

 

ولادت:

 

آپ 13 شوال 194 ہجری بمطابق 21 جولائی 810 ، بعد از نماز جمعہ بخارا شہر میں پیدا ہوئے ۔ بخارا، روس کے علاقے ازبکستان میں ماوراء النہر کے بڑے شہروں میں سے ایک ہے جو چین، ایران اور افغانستان کی سرحدوں کی شاہراہ پر واقع ہے۔ اس شہر میں ان تینوں ملکوں کے راستے آ کر آپس میں ملتے ہیں۔

 

بچپن کے حالات :

 

امام بخاری رحمت اللہ علیہ ابھی چھوٹے تھے کہ ان کے والد اسماعیل بن ابراہیم کا سایہ سر سے اٹھ گیا۔ پھر ان کی والدہ نے ان تربیت کی جو بہت صابرہ حلیم الطبع تھیں، بہت عبادت گزار اور مستجاب الدعوات تھیں۔ امام بخاری نے بچپن میں کسی مرض کی وجہ سے دونوں آنکھوں کی بینائی سے محروم ہو گئے تو ان کی والدہ کو بہت صدمہ ہوا۔ اللہ کی بارگاہ میں رو رو کر دعائیں کیں کہ لخت جگر کی بینائی واپس آ جائے۔ بالآ خر اللہ تعالیٰ نے شب خیزی کی دعاؤں کو شرف قبولیت سے نوازا۔ آپ نے ابراہیم خلیل اللہ علیہ کو خواب میں دیکھا، انھوں نے آپ کو بشارت دی کہ اللہ تعالیٰ نے آپ کے لخت جگر کی بصارت واپس کر دی ہے، چنانچہ جب نیند سے بیدار ہو ئیں تو دیکھا کہ بیٹے کی آنکھیں روشن ہیں۔ امام بخاری رحمت اللہ علیہ فرماتے ہیں کہ میں ابھی قرآن مجید حفظ کر رہا تھا کہ مجھے احادیث حفظ کرنے کا الہام ہوا۔ جب میں مکتب سے فارغ ہوا تو اس وقت میری عمر تقریبا دس برس تھی۔ میں نے قرآن مجید حفظ کر لیا تھا اور کچھ ابتدائی کتابیں بھی پڑھ لی تھیں۔ اس کے بعد میں نے مختلف اساتذہ کے پاس آنا جانا شروع کر دیا۔

 

 امام بخاری رحمت اللہ علیہ کی ذہانت:

 

اللہ تعالیٰ نے امام بخاری رحمت اللہ علیہ کو ذہن رسا اور قوی حافظہ عطا فرمایا تھا۔ آپ نے اسنادسمیت لاکھوں احادیث یاد کر رکھی تھیں۔ آپ کا اپنا بیان ہے: ” مجھے ایک لاکھ صحیح احادیث اور دو لاکھ غیر صحیح احادیث یاد ہیں۔ بلکہ آپ فرماتے ہیں کہ سند میں کوئی تابعی ہو یا صحابی، میں ان کی ولدیت، جائے پیدائش اور سن وفات الغرض سب کچھ جانتا ہوں۔ ایک دفعہ امام بخاری جاننے کے سامنے کسی نے ان کے شیخ امام اسحاق بن راہویہ کا یہ قول پیش کیا: میں اپنی کتاب میں ستر ہزار احادیث کو دیکھتا ہوں۔ یہ سن کر امام بخاری رحمت اللہ علیہ نے فرمایا: شاید اس زمانے میں کوئی ایسا شخص بھی ہو جو دو لاکھ احادیث اپنی کتابوں میں دیکھتا ہو۔ امام بخاری نے اگر چہ اپنا نام نہیں لیا لیکن ان کی مراد اپنی ذات تھی ۔ ایک مرتبہ امام بخاری ہے، بغداد تشریف لے گئے تو بغداد کے مشائخ نے جمع ہو کر امام بخاری کا امتحان لینے کا پروگرام بنایا۔ امتحان کا طریقہ یہ طے ہوا کہ دس علماء کو مقرر کیا گیا اور ہر عالم کو دس، دس احادیث دی گئیں، پھر انھوں نے سند اور متن میں تبدیلی کی ، اس طرح کہ ایک حدیث کی سند کو دوسری حدیث کے متن کے ساتھ ملا دیا، دوسری حدیث کا متن کسی اور حدیث کی سند کے ساتھ ملا دیا، اس طرح انھوں نے سو کی تعداد میں مقلوب احادیث تیار کیں ۔ ہر ایک عالم کی ڈیوٹی لگائی گئی کہ جب مجلس خوب جم جائے تو باری باری ان احادیث کو امام بخاری رحمت اللہ علیہ پر پیش کیا جائے۔ جب بغداد میں مجلس حدیث قائم ہوئی، جس میں مقامی اور بیرونی بے شمار لوگ موجود تھے، اور اہل مجلس مطمئن ہو کر بیٹھ گئے تو طے شدہ پروگرام کے مطابق ان دس علماء میں سے ایک عالم امام بخاری رحمت اللہ علیہ کے سامنے آیا اور ایک مقلوب حدیث پیش کی۔ امام بخاری رحمت اللہ علیہ نے فرمایا: میں اسے نہیں پہچانتا۔ جب اس نے دوسری حدیث پیش کی تو امام بخاری نے نے وہی جواب دیا کہ میں اسے نہیں جانتا، اس طرح اس نے اپنی دس احادیث پوری کر لیں۔ امام بخاری رحمت اللہ علیہ ہر حدیث کے متعلق یہی کہتے تھے: میں اسے نہیں پہچانتا۔ پہلے شخص کے بعد دوسرا شخص کھڑا ہوا، اس نے بھی طے شدہ منصوبے کے مطابق دس مقلوب احادیث پیش کیں۔ اس طرح باقی علماء نے بھی باری باری احادیث کو الٹ پلٹ کر پیش کیا۔ امام بخاری رحمت اللہ علیہ ہر ایک کو یہی جواب دیتے تھے:میں اس حدیث کو نہیں پہچانتا۔ اہل مجلس میں سے کچھ حضرات تو منصوبے کی تہہ تک پہنچ گئے اور کچھ تذبذب کا شکار ہونے لگے اور امام بخاری بنانے کے حافظے اور ذہانت میں شک وشبہ کرنے لگے۔

امام بخاری رحمت اللہ علیہ نے پہلے شخص کو بلایا اور اسے کہا: تو نے پہلے یہ حدیث اس طرح پڑھی جبکہ صحیح حدیث اپنے متن اور سند کے ساتھ ایسے ہے، پھر اس کی پیش کردہ دوسری حدیث پڑھی اور اصل متن اور سند کی نشاندہی فرمائی۔ اسی طرح باقی آٹھ احادیث درست کر کے بتائیں۔ پھر آپ نے دوسرے شخص کو بلایا اور اس کی پیش کردہ مقلوب احادیث صحیح متن اور سند کے ساتھ بتائیں۔ اسی طرح ہر آدمی کو بلاتے رہے اور ہر ایک کی دس مقلوب احادیث کو صحیح سند اور متن کے ساتھ بتاتے رہے۔ اس واقعے کو حافظ ابن حجر نے اپنی سند کے ساتھ بیان کیا ہے، اس کے بعد بایں الفاظ اس پر تبصرہ کیا ہے: “اس واقعے کو سننے کے بعد انسان امام بخاری نشہ کے حافظے کا سکہ تسلیم کر لینے پر مجبور ہو جاتا ہے لیکن اس مجلس میں ایک سو صحیح احادیث کا بیان کر دینا کوئی تعجب انگیز بات نہیں بلکہ تعجب و حیرت اس بات پر ہے کہ آپ نے مقلوب شدہ سو احادیث کو صرف ایک دفعہ سن لینے کے بعد انھیں اسی ترتیب کے ساتھ یاد کر لیا اور اسی مجلس میں انھیں دہرا دیا ۔ حافظ ابن حجر رحمت اللہ علیہ نے بھی اس سے ملتا جلتا واقعہ بیان کیا ہے۔

بہر حال امام بخاری حفظ احادیث، تیزئی ذہن، دقت نظر، کثرت فقاہت علل حدیث کی وسیع معرفت ، معرفت اسانید، قوت حافظہ اور ملکہ اجتہاد و استنباط میں اپنی مثال آپ تھے۔

 

رحلات بخاری:

 

محدثین کی اصطلاح میں رحلہ اس سفر کو کہا جاتا ہے جو حدیث یا اس کی سند عالی حاصل کرنے کے لیے کیا جاتا ہے۔ امام بخاری نے اپنی عمر کے سولہویں برس تک اپنے ہی ملک کے اساتذہ سے تحصیل علم کرتے رہے کیونکہ علمی سفر کے لیے محدثین کے ہاں یہ شرط ہے کہ جب علمی سفر کا قصد ہو تو اپنے وطن کے شیوخ سے جس قدرا حادیث مل سکیں انھیں حاصل کر لیا جائے اگر چہ وہ قلیل تعداد میں ہوں۔

✯ امام بخاری رحمت اللہ علیہ نے سب سے پہلے علاقہ حجاز کا ارادہ کیا جو کہ علوم شریعت کا ماوی اور رسول اللہ ﷺ کا مسکن اور نزول وحی کا مقام تھا، نیز وہ مرکز اسلام اور جملہ صحابہ کرام کی جائے سکونت تھا، لہذا آپ 210 ہجری میں اپنیوالدہ ماجدہ کے ہمراہ مکہ مکرمہ پہنچے۔ اس وقت مکہ مکرمہ میں جن شیوخ کی درس گاہیں ممتاز تھیں اور جو لوگ امام فن و مرجع خلائق تھے وہ حسب ذیل ہیں: ابوالولید احمد بن الازرقی، عبداللہ بن یزید، اسماعیل بن سالم صائغ ، ابوبکر عبد اللہ بن زبیر، علامہ حمیدی۔ ان کے علاوہ دوسرے شیوخ سے بھی کسب فیض کیا جن کا مکہ مکرمہ میں قیام تھا۔

✯ مکہ مکرمہ میں حصول علم سے فراغت کے بعد امام بخاری رحمت اللہ علیہ نے مدینہ طیبہ کا رخ کیا اور 212 ہجری میں مدینہ طیبہ پہنچے۔ وہاں جن اہل علم کا چرچا تھا اور جو لوگ درس حدیث دیتے تھے ان میں سرفہرست حسب ذیل شیوخ ہیں جن سے امام بخاری رحمت اللہ علیہ نے علم حدیث حاصل کیا: ابراہیم بن منذر، مطرف بن عبداللہ، ابراہیم بن حمزہ، ابو ثابت محمد بن عبید اللہ اور عبدالعزیز بن عبداللہ الا ویسی ۔ واضح رہے کہ امام بخاری رحمت اللہ علیہ نے مدینہ طیبہ میں دوران اقامت اپنیکتاب تاریخ کبیر کا مسودہ چاندنی راتوں میں لکھا۔

✯ مدینہ طیبہ میں تحصیل علم سے فراغت کے بعد امام بخاری رحمت اللہ علیہ نے بصرہ کا قصد کیا جو ان دنوں وسعت علم اور اشاعت حدیث کے اعتبار سے بہت ترقی پر تھا۔ آپ نے بصرہ کا سفر چار مرتبہ کیا اور حسب ذیل شیوخ سے علم حاصل کیا: امام ابو عاصم النبیل ، صفوان بن عیسی، بدل بن محمر ، حرمی بن عمارہ ، عفان بن مسلم، محمد بن عرعرہ، سلیمان بن حرب، ابوالولید الطیالسی اور محمد بن سنان۔

✯ بصرہ کے بعد آپ نے کوفہ کا رخ کیا جو ان دنوں علم و عرفان کا گہوارہ تھا۔ وہاں کے چند مشاہیر شیوخ حسب ذیل ہیں: عبد اللہ بن موسیٰ، ابونعیم احمد بن یعقوب، اسماعیل بن ابان، الحسن بن الربيع، خالد بن مخلد، سعید بن حفص طلق بنغنام، عمر بن حفص، قبیصہ بن عقبہ اور ابو غسان۔ امام بخاری بڑے نے کوفہ میں ان حضرات سے روایات لیں۔

✯ بغداد، سلطنت عباسیہ کا دارالحکومت تھا۔ سرکاری طور پر علماء و مشائخ کی قدر افزائی نے بغداد کو مرجع علوم بنا دیا تھا۔ وہاں ہر طرف سے اہل کمال جمع ہو گئے تھے۔ امام بخاری رحمت اللہ علیہ نے حصول علم کے لیے بغداد کا کئی مرتبہ سفر کیا۔ بغداد کے شیوخ مندرجہ ذیل ہیں: امام احمد بن حنبل، محمد بن عیسی الصباغ، محمد بن سائق اور سریج بن نعمان ۔ امام بخاری رحمت اللہ علیہ جب آخری مرتبہ بغداد سے واپس آنے لگے اور امام احمد بن فضیل بلے سے ملاقات کرنے کے لیے گئے تو امام موصوف نے انھیں بڑے درد ناک لہجے میں فرمایا: آپ لوگوں، اہل زمانہ اور علم کو چھوڑ کر خراسان جا رہے ہیں۔ جب حاکم بخارا ابو طاہر نے امام بخاری بات پر بہتان لگا کر یبخارا بدر کرنے کا منصوبہ بنایا تو آپ امام احمد بن حنبل رحمۃ اللہ علیہ کے مذکورہ مقولے کو یاد کر کے بہت افسوس کرتے تھے ، فرماتے تھے: اب مجھے ان کی بات یاد آتی ہے۔

✯ امام بخاری رحمت اللہ علیہ شام بھی گئے، وہاں حسب ذیل مشائخ سے علم حاصل کیا: امام یوسف فریابی، ابونصر اسحاق بن ابراہیم،
آدم بن ابی ایاس ، الحکم بن نافع اور حیوہ بن شریح ۔ ان کے علاوہ دوسرے اہل علم معاصرین سے بھی تحمیل علم کی۔

✯امام بخاری رحمت اللہ علیہ حصول علم کے لیے مصر بھی گئے اور وہاں عثمان بن سعید صائغ، سعید بن ابی مریم، عبداللہ بن صالح ، احمدبن صالح ، احمد بن شعیب ، اصبغ بن فرج ، سعید بن ابی عیسی، سعید بن کثیر اور یخنی بن عبداللہ سے احادیث حاصل کیں.

✯ اسی طرح آپ نے جزیرہ کا سفر کیا۔ وہاں احمد بن عبد الملک الحرانی، احمد بن یزید الحرانی، عمرو بن خلف اور اسماعیل بن عبد اللہ الرقی سے خوب خوب استفادہ کیا۔

❁ آپ نے مرد میں علی بن حسن، عبدان، محمد بن مقاتل ۔❁ بلخ میں مکی بن ابراہیم، بیچی بن بشر محمد بن ابان حسن بن شجاع، یکی بن موسی ، امام قنیہ ۔❁ ہراۃ میں احمد بن ابوالولید المحفی ۔❁ نیشاپور میں یحی بن یحیی، بشر بن حکم، اسحاقبن راہویہ محمد بن رافع -❁ ری میں ابراہیم بن موسٰی
❁ واسط میں حسان بن حسان، حسان بن عبداللہ اور سعید بن عبداللہ سے احادیث حاصل کیں …

“رحمة الله عليهم أجمعين”

امام بخاری نے فرمایا کرتے تھے کہ میں نے صرف انھی شیوخ سے احایث لیں ہیں جو ایمان میں کمی بیشی کے قائل تھے اور اعمال کو جزو ایمان خیال کرتے تھے جیسا کہ صحابہ کرام میان یم اور تابعین عظام کا موقف تھا۔ ‘

 

❀ طبقات شیوخ امام بخاری ہے :

 

امام بخاری نے بے شمار مشائخ سے کسب فیض کیا، وہ خود فرماتے ہیں: ” میں نے ایک ہزار استی شیوخ سے احادیث لکھی ہیں اور وہ سب کے سب محدث تھے۔ حافظ ابن حجر رحمۃ اللہ علیہ نے امام بخاریکے اساتذہ کو پانچ طبقات میں تقسیم کیا ہے، وہ حسب ذیل ہیں:

 

❀ پہلا طبقہ :

 

اس طبقے میں وہ شیوخ شامل ہیں جنہوں نے آپ کو تابعین کے واسطے سے احادیث سنائیں جیسا کہ امام بخاری کے استاد محمد بن عبداللہ انصاری ہیں۔ امام بخاری بڑھنے کے بہت سے اساتذہ ایسے ہیں جو تابعین سےاحادیث بیان کرتے ہیں ، مشائخ بخاری میں یہ اعلیٰ طبقہ ہے۔

 

❀ دوسرا طبقہ :

 

اس طبقے میں امام بخاری جملہ کے وہ شیوخ شامل ہیں جو طبقہ اوٹی کے ہم عصر تو ہیں لیکن ثقات تابعین سے ان کا سماع ثابت نہیں ہے، مثلاً: آدم بن ایاس، ابو مسہر عبدالاعلیٰ بن مسہر، سعید بن ابی مریم اور ایوب بن سلیمان وغیرہ، یہ تمام حضرات طبقہ ثانیہ سے ہیں جن سے امام بخاری بنانے نے احادیث بیان کی ہیں۔

 

❀ تیسرا طبقہ:

 

اس طبقے میں امام بخاری بڑھنے کے وہ اساتذہ شامل ہیں جن کی کسی تابعی سے ملاقات ثابت نہیں ، مثلاً : سلیمان بن حرب ، قتیبہ بن سعید، نعیم بن حماد علی بن مدینی، یحیی بن معین احمد بن حنبل، اسحاق بن راہویہ، ابوبکر بن ابی شیبہ اور عثمان بن ابی شیبہ وغیرہ۔ اس طبقے سے روایت کرنے میں امام مسلم بنانے بھی امام بخاری کے ساتھ شریک ہیں۔

 

❀ چوتھا طبقہ:

 

اس طبقے میں امام بخاری بنانے کے وہ مشائخ شامل ہیں جو طلب حدیث میں امام بخاری کے ساتھی تھے یا انھوں نے ان سے کچھ عرصہ قبل علم حدیث پڑھا، مثلاً: محمد بن یحی ذہلی، ابو حاتم رازی، عبد بن حمید، احمد بن نصر اور محمد بن عبدالرحیم وغیرہ۔ ان اساتذہ سے امام بخاری بنانے نے وہ احادیث روایت کی ہیں جو پہلے تین طبقات سے نہ مل سکیں۔

 

❀ پانچواں طبقہ :

 

اس طبقے میں وہ اساتذہ شامل ہیں جو عمر اور استاد کے اعتبار سے امام بخاری ان کے شاگردوں میں سے ہیں، مثلاً : عبد الله بن حماد الآملی، عبداللہ بن ابی العاص خوارزمی اور حسین بن محمد قبانی وغیرہ۔

امام بخاری نے نے خاص فائدے کے تحت ان سے احادیث بیان کی ہیں، مثلاً: ایک حدیث اپنے اساتذہ اورساتھیوں سے نہ مل سکی تو وہ اپنے شاگردوں سے بیان کریں گے۔ ایسا کرنے میں امام بخاری بنالے نے امام وکیع کی بات پر عمل کیا ہے۔ وہ فرماتے ہیں: آدمی اس وقت تک عالم نہیں ہو سکتا جب تک وہ اپنے سے اعلیٰ ، اپنے ہم عمر اور اپنے سے نیچے والے سے احادیث بیان نہیں کرتا۔ بلکہ امام بخاری نے خود فرماتے ہیں کہ انسان محدث کامل اس وقت تک نہیں بن سکتا جب تک وہ اپنے سے اعلیٰ ، اپنے ہم عمر اور اپنے سے کم درجہ والے سے احادیث بیان نہ کرے۔“

 

❁ تلامذہ بخاری:

 

امام بخاری بنانے کے تلامذہ ہزاروں کی تعداد میں ہیں۔ امام بخاری کے شاگرد فر بری کہتے ہیں کہ جن لوگوں نے آپ سے صحیح بخاری کا سماع کیا ہے، ان کی تعداد نوے ہزار ہے۔ امام بخاری بڑھنے سے روایت کرنے والوںکو ہم تین طبقات میں تقسیم کر سکتے ہیں:

 

❁ پہلا طبقہ :

 

اس طبقے میں وہ مشائخ شامل ہیں جن سے امام بخاری بنانے نے کسب فیض کیا۔ ان میں سے چند ایک یہ ہیں: عبد اللہ بن محمد مسندی، عبداللہ بن منیر، اسحاق بن احمد سرماری، محمد بن خلف بن قتیبہ ۔

 

❁ دوسرا طبقہ:

 

یہ طبقہ امام بخاری بڑھنے کے ہم عصر مشائخ پر مشتمل ہے جو آپ سے احادیث بیان کرتے ہیں۔ اس طبقے میں مشہور مشہور تلامذہ یہ ہیں: ابوزرعہ رازی، ابو حاتم رازی، ابراهیم تربی، ابوبکر بن ابی عاصم، موسیٰ بن ہارون محمد بن عبداللہ بن مطین، اسحاق بن احمد بن زیرک فارسی ، محمد بن قتیبہ بخاری، ابوبکر امین۔

 

❁ تیسرا طبقہ:

 

اس طبقے میں وہ تلامذہ شامل ہیں جن کا شمار بڑے بڑے حفاظ میں ہوتا ہے۔ چند ایک کے نام یہ ہیں:

صالح بن محمد جزرہ، ابوالحسین مسلم بن حجاج قشیری، ابوالفضل احمد بن سلمہ، ابوبکر بن اسحاق بن خزیمہ، محمد بن نصر مروزی، ابوبکر بن ابی الدنیا، ابوبکر البزار، حاشد بن اسماعیل، ابوالقاسم بغوی، حسین بن اسماعیل المحامی ۔ یہ وہ تلاندہ ہیں جنھوں نے براہ راست امام بخاری بڑھنے کے سامنے زانوئے تلمذ طے کیے، بالواسطہ تلامذہ کی تعداد میں قیامت تک اضافہ اور آپ کے لیے صدقہ جاریہ کا سامان پیدا ہوتا رہے گا۔ ذلك فضل الله يؤتيه من يشاء .

 

امام بخاری نشہ کا مسلک :

 

امام بخاری فقہی فروع اور اجتہادی مسائل میں مروجہ مسالک سے بالکل آزاد ہیں۔ مذاہب اربعہ میں سے کسی کی مخالفت یا موافقت کا انحصار تعصب یا عقیدت کی بنا پر نہیں بلکہ دلیل پر ہے جیسا کہ صحیح بخاری کا مطالعہ کرنے سے معلوم ہوتا ہے۔ ہمارے پاس آپ کا مسلک معلوم کرنے کا واحد ذریعہ آپ کی تالیف صحیح بخاری ہے۔ اس سے معلوم ہوتا ہے کہ آپ کا مسلک درج ذیل آیت کریمہ کا آئینہ دار ہے: ﴿َاتَّبِعُوا مَا أُنْزِلَ إِلَيْكُمْ مِنْ رَّبِّكُمْ وَلَاتبِعُوا مِنْ دُونِةٍ أَوْلِيَاء ) جو کچھ تمھارے پروردگار کی طرف سے تمھاری طرف نازل کیا گیا ہے اس کی پیروی کرو، اس کے سوا اور دوستوں کی پیروی نہ کرو۔ اگر چہ کچھ حضرات نے امام بخاری رشتہ کو شافعی یا خیلی لکھا ہے لیکن یہ حقیقت کے خلاف ہے۔ آپ مجتہد مطلق، امام الفقہ اور تحریک آزادی فکر کے علمبردار ہیں جیسا کہ درج ذیل مثالوں سے معلوم ہوتا ہے:

✿ شوافع کے نزدیک جمعہ کی ادائیگی کے لیے کم از کم چالیس آدمیوں کا ہونا ضروری ہے۔ امام بخاری بڑھنے نے ان کی تردید کرتے ہوئے بایں طور عنوان قائم کیا ہے : ” جب لوگ نماز جمعہ کے وقت امام کو چھوڑ کر چلے جائیں تو امام اور باقی ماندہ آدمیوں کی نماز صحیح ہے ۔ پھر اس کے تحت حدیث ذکر فرمائی کہ رسول اللہ علی نے بارہ آدمیوں کے ساتھ نماز جمعہ ادا فرمائی جبکہ تجارتی قافلہ آنے کی وجہ سے لوگ دوران جمعہ چلے گئے تھے۔

✿ احناف کے ہاں جمعہ کی ادائیگی کی متعدد شرائط ہیں۔ ان کے ہاں عام دیہاتوں میں جمعہ جائز نہیں۔ امام بخاری ناشتہ نے اس موقف کی تردید میں بایں الفاظ عنوان قائم کیا: “دیہاتوں اور شہروں میں جمعہ کی ادائیگی ۔ پھر ایک حدیث کا حوالہ دیا کہ مسجد نبوی کے بعد پہلا جمعہ عبد القیس کی ایک بستی جوانی میں شروع ہوا جو بحرین میں تھی۔

✿ حنابلہ کا مشہور مسلک ہے کہ زوال آفتاب سے پہلے جمعہ جائز ہے۔ امام بخاری نہ نے صراحت فرمائی کہ یہ موقف صحیح نہیں ہے اور تردید میں ایک عنوان قائم کیا : ” جب سورج ڈھل جائے تو جمعہ کا وقت ہوتا ہے ۔ پھر آپ نے اس کے تحت حضرت انس بھی ٹھوڑا سے مروی ایک حدیث بیان کی کہ رسول اللہ اللہ زوال آفتاب کے بعد جمعہ پڑھتے تھے ۔ “

✿ مالکی حضرات کے نزدیک بارش کی وجہ سے جمعہ چھوڑ دینا جائز نہیں۔ امام بخاری بھٹہ نے اس موقف سے اتفاق نہیں کیا بلکہ ان کی تردید میں ایک عنوان بایں الفاظ قائم کیا : ”بارش کی وجہ سے جمعہ میں حاضر نہ ہونے کی رخصت ہے۔ اس کے تحت حضرت ابن عباس مہینہ کا قول ذکر کیا کہ اگرچہ جمعہ کی ادائیگی بہت ضروری ہے، تاہم بارش کی وجہ سے میں نہیں چاہتا کہ تمھیں مشقت میں ڈالوں اور تم مٹی اور کیچڑ میں لتھڑے ہوئے مسجد میں آؤ۔”

مولانا انور شاہ کاشمیری نے امام بخاری بڑھنے کے مسلک کی وضاحت کرتے ہوئے لکھا ہے: میرے نزدیک حق بات یہ ہے کہ امام بخاری بڑھنے نے اپنی صحیح میں کسی مسلک کی تقلید نہیں کی بلکہ اجتہاد کا راستہ اختیار کیا ہے، ان کی فہم و بصیرت نے جو فیصلہ کیا ، انھوں نے اسے آزادی کے ساتھ اپنایا ہے۔ ” مسائل میں ایک مجتہد کا دوسرے مجتہد کے ساتھ موافق ہوناچیزے دیگر است، یہ بات مجتہد کے مقلد ہونے کی دلیل نہیں ہے۔

 

✿ تالیفات :

 

امام بخاری نے امام بخاری نے متعدد تالیفات کی صورت میں اپنا علمی ترکہ امت کے سپرد کیا ہے ۔

انتصانیف کی دو اقسام ہیں : جو آج دستیاب ہیں۔ جن کا ذکر صرف مؤرخین نے کیا ہے۔ دستیاب تالیفات کی تفصیل حسب ذیل ہے: الجامع الصحيح : جس کا تفصیلی تذکرہ ہم آئندہ اوراق میں کریں گے۔ الأدب المفرد جزء رفع اليدين جزء القراءة كتاب الضعفاء خلق أفعال العباد بر الوالدين التاريخ الكبير التاريخ الأوسط التاريخ الصغير.

ان کے علاوہ کچھ تالیفات کا مؤرخین نے ذکر کیا ہے جو حسب ذیل ہیں:

✧ الجامع الكبير  ✧المسند الكبير  ✧ التفسير الكبير  ✧ كتاب الهبة  ✧ كتاب الأشربة   ✧ كتاب الوحدان  ✧ كتاب أسامي الصحابة  ✧كتاب لمبسوط  ✧کتاب العلل  ✧کتاب الکسی  ✧ کتاب الفوائد

ابو حاتم وراق کہتے ہیں کہ میں نے امام بخاری بننے سے عرض کیا: آپ نے اپنی تمام تصانیف میں جو کچھ ذکر کیا ہے وہ آپ کو یاد ہے؟ تو امام بخاری نے جواب دیا: ان تصانیف میں جو کچھ ہے، ان میں سے کوئی چیز مجھ پر مخفی نہیں ہے، نیز میں نے تمام کتابوں کو تین تین مرتبہ تصنیف کیا ہے۔ امام بخاری جتنے خود فرماتے ہیں کہ میں نے ان تصانیف میں دو لاکھ سے زیادہ احایث جمع کی ہیں۔ آپ اپنی تالیفات کے متعلق فرماتے تھے: مجھے امید ہے کہ اللہ تعالیٰ مسلمانوں کے لیے ان تصانیف میں برکت عطا فرمائے گا۔ ان تمام تصانیف میں جو قبولیت اور شہرت دوام صحیح بخاری کو اللہ تعالی نے عطا فرمائی وہ دوسری کسی کتاب کے حصے میں نہیں آئی۔ دعا ہے کہ اللہ تعالیٰ امام بخاری جانے کو اتنی تعظیم محنت کا اپنے ہاں اجر جزیل عطا فرمائے اور ہمیں قیامت کے دن خدام حدیث میں اٹھائے ۔ آمین یا رب العالمین.

 

وفات:

 

آپ نے 30 رمضان المبارک 256 ہجری بمطابق 31 اگست 870 ، عیدالفطر کی رات بوقت نماز عشاء 62 سال کی عمر میں وفات پائی اور عید کے روز ہی بعد از نماز ظہر بستی خرینگ میں دفن ہوئے جو سمر قند سے چھ میل کے فاصلے پر ہے۔ چونکہ آپ کے جنازے پر لوگ بکثرت آئے جس کی بنا پر سواری کی تنگی پیش آئی، اسی دن سے اس بستی کا نام خرینگ مشہور ہو گیا۔

امام بخاری کو دفن کرنے کے لیے جب قبر میں رکھا گیا تو مٹی سے کستوری کی طرح خوشبو آنے لگی، یہ خوشبو کئی دن تک آتی رہی۔ لوگ آپ کی قبر سے خوشبو والی مٹی اٹھا کر لے جاتے تھے حتی کہ قبر کے اردگر دلکڑی کا جنگلا لگا دیا گیا تا کہ وہ محفوظ رہے۔ عبد الواحد بن آدم طوا ویسی کہتے ہیں کہ میں نے نبی می ٹیم کو خواب میں دیکھا، آپ اپنے صحابہ کرام مانیہ کے ہمراہ ایک مقام پر کھڑے ہیں گویا آپ کسی کا انتظار کر رہے ہیں۔ میں نے سلام کیا اور عرض کیا: اے اللہ کے رسول! آپ یہاں کس کے انتظار میں ہیں؟ آپ نے فرمایا: ” میں محمد بن اسماعیل بخاری کا انتظار کر رہا ہوں۔“ مجھے چند دنوں کے بعد امام بخاری رحمت اللہ علیہ کی وفات کا پتہ چلا تو میں نے دیکھا کہ ان کی وفات کا وہی وقت تھا جس وقت میں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم کو خواب میں کسی کا انتظار کرتے دیکھا تھا۔

 

حوالہ :
نام كتاب : “صیح بُخاری ”  اردو
ترجمه : ‘ شیخ الحدیث حافظ عبدالستارحَماد  (حفظه الله تعالى) ’

 

 

Table of Contents