Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ
( Muhaajir-e-Madinah)
Sawal: Rasool-e-Rahmat ﷺ ki teesri sahabzaadi ka naam Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها thaa. Bataaiye aap ki waalida kon theen?
Jawab: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ki waalida Umm-ul-Momineen Sayyidah Khadija al-Kubraa رضى الله عنها theen. Jo Hazoor ﷺ ki pehli zaoja mohtarma theen.
( Tazkaar-e-Sahabiat. Tareekh-e-Tabri. Tahzeeb Al-Tahzeeb. Madraaj-ull-Nubuwwat)
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ka waalid ki taraf se nasab kya tha?
Jawab: Aap An Hazrat ﷺ ki sahabzaadi theen. Un ka nasab ye hai: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ bin Abdullah bin Abd-ul-Muttalib bin Hashim.
( Ansaab-ul-Ashraf. Siar Al-Sahabiyat. A’alaam-ul-Nisaa. Usd-ul-Ghabah)
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ka nasab waalida ki taraf se bata dijiye?
Jawab: Waalida ki taraf se Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ka nasab is tarhan hai: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Khadija al-Kubraa رضى الله عنها Bint-e-Khawaild bin Asad bin Abd-ul-‘Uzza bin Qusai.
( Ansaab-ul-Ashraf. Siarat Al-Nabi ﷺ. Tabqaat. Isaabah. Siarat-e-Sarwar-e-aalam ﷺ)
Sawal: Bataaiye Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ kab aur kahan peda hoyeen?
Jawab: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ Bai’sat-e-Nabwi se chay ( 6 ) saal qabal Makkah Mukarrma mein peda hoyeen.
( Isaabah. Isti’yaab. Usd-ul-Ghabah. Daaira Ma’arif-e-Islamiyah)
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها apne shafeeq baap se be had mohabbat Karti theen. Bataaiye aap ko sab se pehlay kis imtihaan se guzarna pada?
Jawab: Kuffaar-e-Makkah ne An Hazrat ﷺ aur deegar musalmanon par Zulm-o-Sitam shuru kar diya. Hatta keh Khandaan-e-Nubuwwat ko Shi’b-e-Abi Taalib mein mahsoor kar dia gaya. Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ne sab se pehlay apne walidain aur khandaan ke deegar afraad ke sath dhai teen saal tak Shi’b-e-Abi Taalib ki mushkilaat ka saamna kya.
( Roaz-ul-Unuf. Uswah-e-Sahaabitat. Siarat-e-Kubraa. Siarat Al-Sahabiyat )
Sawal: Betaye Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ ka pehla nikah kab aur kis se hua?
Jawab: Aap ka pehla nikah Nubuwwat se qabal Abu Lahab ke betay Utaibah se hua tha. Abu Lahab ke aik aur betay U’tbah ka nikah Sayyidah Ruqqia se hua tha. Is tarhan do behnain do bhaiyon ke nikah mein theen. Lekin rukhsati nahi hui.
( Usd-ul-Ghabah. Isaabah. An Hazrat ﷺ ki sahabzadyiaan )
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ka pehla nikah Utaibah bin Abu Lahab se hua tha. Us ne Sayyidah ko talaaq kyun day di thi?
Jawab: Rasool-ul-Allah ﷺ ne Nubuwwat ka e’laan farmaya to tamaam Mushrikeen-e-Makkah ki tarhan Abu Lahab aur us ki biwi Umm-e-Jameel bhi An Hazrat ﷺ ke dushman ho gaye. Maa baap ke kehnay se Utaibah ne Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ko talaaq day di. U’tbah bin Abu Lahab ne Sayyidah Ruqqia رضى الله عنها ko talaaq day di. Is tarhan dono behnon ko aik hi waqt mein talaaq di gayi.
( Sahaba. Usd-ul-Ghabah. Siar Al-Sahabiyat. An Hazrat ﷺ ki sahabzadyiaan )
Sawal: Abu Lahab ne apne dono beton se kya kaha tha?
Jawab: Abu Lahab ne Bai’sat-e-Nabwi aur aap ke Ai’laan-e-Nubuwwat ke baad apne dono bayton ko bulaaya aur kaha: ” Mera uthna baithna tumaahray sath haraam hai agar tum ne is Muhammad (ﷺ) ki baityon ko talaaq nah di. Chunancha dono bayton ne apne waalid ka hukam maana. Is tarhan inhen aik aur mushkil se guzarna pada.
( Tazkaar-e-Sahabiat. Siar Al-Sahabiyat.. Nabi Kareem ﷺ ke Azeez-o-Aqarib )
Sawal: Rasool-ul-Allah ﷺ ki sahabzaadi Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ko doosra kon sa sadma bardaasht karna pada?
Jawab: Shi’b-e-Abi Taalib ki mushaqqat aur talaaq ki aziyat ke baad Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ko apni waalida ki judaai ka sadma bardasht karna pada. Ramadan Al-Mubaarak 10 nabwi mein Umm-ul-Momineen Sayyidah Khadija al-Kubraa رضى الله عنها ne wafaat payi aur Hujon ke qabristaan mein dafan hoyin.
( Mominaat ka qaafla. Muhammad ﷺ Arabi. Umahaat-ul-Momineen )
Sawal: Hazoor-e-Aqdas ﷺ ne Madinah Tayiba hijrat farmaai to apni baityon ko Makkah mein chod gaye. Bataaiye aap ki sahabzadiyon ne kab Madinah hijrat ki?
Jawab: Aap ke hijrat karne ke thoday hi dinon baad aap ne hazrat Zaid رضى الله عنه bin Harisa ko Makkah bheja taakeh Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها, Sayyidah Fatima Al-Zahrah aur Hazrat Abu Bakar Seddique رضى الله عنه ke Ahl-e-Khana ko Madinah le aayen. Chunancha aisa hi hua.
( Tabqaat. Usd-ul-Ghabah. Isaabah. Siarat Ibn-e-Hisham )
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ ka doosra nikah kis se aur kab hua?
Jawab: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ ka doosra nikah Hazrat Usman Ghani رضى الله عنه se 3 hjri mein hua. Is se pehlay Sayyidah Ruqayyah رضى الله عنها un ke nikah mein theen jo 2 hjri mein Madinah Tayiba mein wafaat paa gai teen.
(Tabqaat. Isaabah. Siar Al-Sahabiyat. Isti’yaab. Sahaaba-e-Kiraam )
Sawal: Hazrat Usman Ghani رضى الله عنه ko sab se pehlay nikah karne ke liye kis ne kaha aur aap ne kya jawab diya?
Jawab: Jab hazrat Usman Ghani رضى الله عنه ki pehli zoaja Sayyidah Ruqayyah رضى الله عنها ka intqaal hua to unhi dinon hazrat Umar Farooq رضى الله عنه ki beti Sayyidah Hafsa رضى الله عنها bhi bewa ho gayeen. Hazrat Umar Farooq رضى الله عنه ne kuch arsa baad hazrat Usman رضى الله عنه se is khwahish ka izhaar kiya keh woh hazrat Hafsa رضى الله عنها se shaadi kar lein. Magar Hazrat Usman رضى الله عنه ne khamoshi ikhtiyar ki.
( Tabqaat. Sahaba-e-kiraam. Usd-ul-Ghabah )
Sawal: Rasool-e-Kareem ﷺ ne hazrat Umar رضى الله عنه se Sayyidah Hafsa رضى الله عنها ke baaray main kya farmaaya?
Jawab: Aap ne hazrat Umar Farooq رضى الله عنه se farmaya: “Mein tum ko Hafsa رضى الله عنها ke liye Usman رضى الله عنه se behtar shakhs ka pata deta hoon aur Usman رضى الله عنه ke liye Hafsa se behtar rishta btataa hoon.”
( Tazkaar-e-Sahabiat. Siarat-e-Sarwar-e-Aalam ﷺ Siarat Al-Nabi ﷺ a=Azwaaj-e-Mutahharat)
Sawal: Rasool-ul-Allah ﷺ ne Sayyidah Hafsa رضى الله عنها aur Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ke nikah ka kya behtar hal bataya tha?
Jawab: Aap ne hazrat Umar Farooq رضى الله عنه se farmaya: “Tum Hafsa رضى الله عنها ki shaadi mujh se kar do. Aur main Usman رضى الله عنه ki shaadi apni beti Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها se kar deta hoon jo Ruqayyah رضى الله عنها ke faut honay par ghamgeen hain.” Chunancha Hazrat Umar رضى الله عنه raazi hogaye aur Sayyidah Hafsa رضى الله عنها ka nikah Sawar-e-Kainaat ﷺ se ho gaya aur Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ka nikah Hazoor ﷺ ne Hazrat Usman Ghani رضى الله عنه se kar diya.
( Azwaaj-e-Mutahhrat. Umahaat-ul-Momineen. Siar Al-Sahabiyat. Tazkaar-e-Sahabiat )
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها se nikah ke waqt Hazoor-e-Aqdas ﷺ ne hazrat Usman Ghani رضى الله عنه se kya farmaya tha?
Jawab: Aap ﷺ ne nikah ke waqt hazrat Usman se farmaya: “Khuda wand Ta’alaa ne Jibraaiel ameen عليه السلام ke zariye mujhe hukam diya hai keh main apni beti Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ko usi haq mehar par jo Ruqayyah رضى الله عنها ka tha tumhaaray Aqad mein day dun.”
(An Hazrat ﷺ ki sahabzadyiaan. Isaabah. Tabqaat. Usd-ul-Ghabah. Siar Al-Sahabiyat. Mominaat ka qaafla )
Sawal: Hazrat Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها aur hazrat Usman رضى الله عنه ka kitna arsa saath raha aur aap ne kab wafaat paayi?
Jawab: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها aur Hazrat Usman رضى الله عنه ne chay ( 6 ) saal tak miyan biwi ki hesiyat se khushgawaar zindagi guzaari aur aakhir Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها bhi Sha’baan 9 hjri mein intiqaal farma gayeen.
( Tazkaar-e-Sahabiat. Siar Al-Sahabiyat. Isti’yaab. Mominaat ka qaafla. Tabqaat)
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ki maiyat ko kis ne ghusal diya?
Jawab: hazrat Safia رضى الله عنها Bint-e-Abdul Muttalib, Hazrat Umm-e-Atiyah رضى الله عنها aur hazrat Asama رضى الله عنها Bint-e-‘Umais ne Rasool-ul-Allah ﷺ ki hidaayat ke mutaabiq Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ki maiyat ko ghusal diya. Hazoor ﷺ ne kafan ke liye apni chaadar di.
( Siar Al-Sahabiyat. Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqarib. Isaabah. Usd-ul-Ghabah)
Sawal: Bataaiye Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ dobarah kab Makkay gayi theen?
Jawab: Fatah-e-Makkah ke mauqa par Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها aur un ki choti behan Sayyidah Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها Makkah mein theen aur dono ne apni waalida Umm-ul-Momineen Sayyidah Khadija al-Kubraa رضى الله عنها ki qabar par haazri di. Phir yeh Madinah loat aayeen.
( Mominaat ka qaafla. Hilyat-ul-Awliyah. A’laam-ul-Nisaa. Isaabah )
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ki Namaz-e-Janaza kis ne padhai aur aap ko kahan dafan kia gaya?
Jawab: Rasool-ul-Allah ﷺ ne Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ki Namaz-e-Janaza padhai. Aur Hazrat Ali رضي الله عنه, Hazrat Abu Talah رضى الله عنه, Hazrat Usama رضى الله عنه bin Zaid aur Hazrat Fazal bin A’bbas ne Jannat-ul-Baqee ke qabristaan mein qabar mein utaara. Us waqt Hazoor ﷺ ki aankhon se ashk rawaan thay.
( Daaira Ma’arif-e-Islamiyah. Tabqaat. Isti’yaab. Isaabah. Siar Al-Sahabiyat. An Hazrat ﷺ ki sahabzadyiaan)
Sawal: Hazoor-e-Aqdas ﷺ ki Sahabzadi Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها ki aulaad ke naam bata dijiye?
Jawab: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Muhammad ﷺ ke koi aulaad nahi hui. Sayyidah Ruqayyah رضى الله عنها se hazrat Usman رضى الله عنه ke sahabzaaday hazrat Abdullah رضى الله عنه bachpan mein intiqaal kar gaye thay. Is liye Hazrat Usman Ghani رضى الله عنه ki nasal aagay nahi chali.
( Tazkaar-e-Sahabiat. Isti’yaab. Isaabah. Siarat Ibn-e-Hisham)
Sawal: Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها aur Sayyidah Ruqayyah رضى الله عنها Bint-e-Rasool ﷺ ka Pegham-e-Nikah aik sath hi aaya aur dono ko aik sath hi talaaqain di gayeen. Bataaiye un ke susar aur saas ka Quran mein kis tarhan zikar aaya hai?
Jawab: Dono behnain bachpan hi se hamesha aik sath raheen aur judwa behno ki tarhan theen. Abu Lahab ke beton ne dono behnon ko aik sath talaaqain deen. Quran ne un ke susar Abu Lahab ke haath totnay aur buri mout marnay ki pashan goi ki aur us ki biwi ( Banat-e-Rasool ki saas ) Umm-e-Jameel ko eendhan uthaany wali kaha hai aur usay jahannum ki aag mein jalne ki paish goi ki hai. Yeh dono paish goyaan surah Lahab mein ki gayeen aur dono miyan biwi zillat ki mout maray thay.
( Al Quran. Tafeer Ibn-e-Kaseer. Tafseer-e-Mahzari. Tafsee-e-Azeezi)
Sawal: Betaaye Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها Bint-e-Rasool ﷺ ko konsi Fatah-e-Azeem dekhnay ka mauqa mila tha?
Jawab: Makkah aap ki zindagi mein fatah hua tha aur is moqay par Sayyidah Umm-e-Kulsoom رضى الله عنها aur Sayyidah Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها bhi Rasool-ul-Allah ﷺ ke sath thi. Is tarhan un dono behnon ko is Fatah-e-Azeem ko dekhnay ka mauqa mila.
( Siarat Ibn-e-Hisham . Mominaat ka qaafla. Siar A’laam-ul-Nisaa )
REFERENCE:
Book: “Azwaaj Mutahiraat wa Sahaabiyaat Encyclopedia”
Mouleef Dr. Zulfikhaar Kaazim.