05. Umamah Binte Al Aas (رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ) [Grand Daughter]
Sayyidah Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abi Al-A’as رضى الله عنه
( Nawaasi, Muhaajir-e-Madinah ) .
Sawal: Rasool-ul-Allah ﷺ ki is nawasi ka naam bataa dijiye jo aap ko be had Azeez thi?
Jawab: Sayyidah Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abi Al Aas رضى الله عنه . Apne nawaason Syyiduna Hasan رضى الله عنه aur Syyiduna Husain رضى الله عنه ki tarhan is nawaasi se bhi be had piyaar karte thay.
( Tabqaat. Usd-ul-Ghabah. Tahzeeb-ul-Asamaa Wal-Laghaat)
Sawal: Nabi-e-Rehmat ﷺ ki nwaasi Sayyidah Umamah رضى الله عنها ka waalid ki taraf se nasab kya tha?
Jawab: Aap Huzoor ﷺ ke damaad hazrat Abu Al-A’as ki beti theen. Nasb is tarhan hai Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abi Al-A’as رضى الله عنه bin Rabee’ bin Abd-ul-U`zza bin Abd-e-Shams bin Abd-e-Manaf bin Qusai. Hazrat Abu Al-A’as Umm-ul-Momineen Sayyidah Khadija al-Kubraa رضى الله عنها ke haqeeqi bhanjay thay.
(Siarat Ibn-e-Ishaq. Usd-ul-Ghabah. Siar Al-Sahabiyat. Ehd-e-Nubuwwat ki burguzeedah khawateen)
Sawal: Sayyidah Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abi Al-A’as ka walida ki taraf se nasab bataa dijiye ?
Jawab: Aap Sarkaar-e-Do A’alaam ﷺ ki sab se badi beti Sayyidah Zainab رضى الله عنها ke batan se theen. Walida ki taraf se nasb is tarhan hai: Sayyidah Umamah رضى الله عنها Bint-e-Zainab. Bint-e-Muhammad ﷺ bin Abdullah bin Abd-ul-Muttab bin Hashim.
(Ansab-ul-Ashraf. Nasab-e-Quresh. Tabqaat. Ahad-e-Nubuwwat ki burguzeedah khawateen )
Sawal: Hazrat Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abu Al-A’as رضى الله عنه ki naani ka naam bataa dijiye?
Jawab: Sayyidah Umamah رضى الله عنها ki naani Umm-ul-Momineen Sayyidah Khadija al-Kubraa aur naana Sayyid-ul-Anbiya Hazrat Muhammad ﷺ hain.
(Usd-ul-Ghabah- Tabqaat. Tahzeeb-ul-Asamaa Wal-Laghaat. Banat-ul-Nabi ﷺ)
Sawal: Sayyidah Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abu Al-A’as رضى الله عنه ki daadi kon theen?
Jawab: Aap ki Daadi Umm-ul-Momineen Sayyidah Khadija al-Kubraa رضى الله عنها ki haqeeqi behen Haala رضى الله عنها Bint-e-Khawaild hain.
(Tazkaar-e-Sahabiat. Siar-ul-Sahabiyat. Ahd-e-Nubuwwat ki burguzeedah khawateen )
Sawal: An Hazrat ﷺ ko apni nawaasi Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abu Al-A’as رضى الله عنه العاص se kis qadar mohabbat thi ?
Jawab: Aap ﷺ Sayyidah Umamah رضى الله عنها se be had piyaar karte thay. Aap un ko namaz ke auqaat mein bhi judda nah karte. Unhen kandhay par bitha letay. Apne seenah mubarak par lutaatay.
(Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib. Tabqaat – Tahazeeb-ul-Asma. Sahih Bukhaari-o-Muslim. Tazkaar-e-Sahabiat)
Sawal: Sayyidah Zainab رضى الله عنها Bint-e-Ali رضى الله عنه Bint-e-Rasool-ul-Allah ﷺ ne 8 hjri mein wafaat payi. Un ke baad Sayyidah ki beti Umamah رضى الله عنها ki sar parasti kis ne ki ?
Jawab: Huzoor-e-Aqdas ﷺ Umamah رضى الله عنها se bachpan hi se bohat mohabbat karte thay. Jab Sayyidah Zainab رضى الله عنها ne wafaat paayi to hazrat Umamah رضى الله عنها apne nana ki sar parasti aur nigraani mein aa gaien. Huzoor ﷺ ke wisaal ke waqt Sayyidah Umamah رضى الله عنها san sha’oor ko pahonch chuki theen.
( Tabqaat. Ahd-e-Nubuwwat ki burguzeedah khawateen. Tazkaar-e-Sahabiat. Siar-ul-Sahabiyat)
Sawal: Sarkaar-e-do A’alaam ﷺ ko Habsha ke Najashi ne aik anguthi tohfa bhijwayi thi. Bataaiye aap ne woh anguthi kise di thi?
Jawab: Aap ﷺ ne farmaaya: Yeh anguthi mein usay dun ga jo mujhe sab se ziyada mahboob hai. Logon ka khayaal tha keh yeh anguthi Sayyidah Aisha Sadiqa رضى الله عنها ko milay gi lekin aap ne Sayyidah Umamah رضى الله عنها ko bulaaya aur anguthi un ki ungli main pehna di. Baaz riwayaat mein zareen haar ka zikar hai jo Huzoor ﷺ ne Umamah رضى الله عنها ke galay main pehna diya.
( Tabqaat. Musand-e-Ahmed bin Hanbal. Usd-ul-Ghabah. Isaabah. Tazkaar-e-Sahabiat. Siar-ul-Sahabiyat. Ahd-e-Nubuwwat ki burguzeedah khawateen)
Sawal: Khatoon-e-Jannat Sayyidah Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها ne wafaat ke waqt hazrat Ali رضي الله عنه ko kya naseehat farmaai?
Jawab: Sayyidah Fatima Al-Zahrah رضى الله عنها ne hazrat Ali رضي الله عنه ko wasiyat ki thi keh mere baad meri bhanji Sayyidah Umamah رضى الله عنها se shaadi kar len.
(Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib. Ahd-e-Nubuwwat ki burguzeedah khawateen. Madraaj-e-Al-Nubuwwat )
Sawal: Sayyidah Umamah رضى الله عنها ke waalid hazrat Abu Al A’as رضى الله عنه 12 hjri mein intqaal kar gaye. Unhon ne Sayyidah Umamah ko kis ke sapurd kia?
Jawab: Hazrat Abu Al-A’as رضى الله عنه ne aakhri waqt apni beti Umamah رضى الله عنها ke mutaliq apne mamu zaad bhai hazrat Zubair رضي الله عنه bin Al- Awam ko wasiyat ki aur un ki nigraani mein day diya tha. Keh woh un ki shaadi waghera ka bando bast karen.
(An Hazrat ﷺ ki sahabzadyiaan. Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib. Siar-ul-Sahabiyat. Ahd-e-Nubuwwat ki burguzeedah khawateen. Madraaj-e-Al-Nubuwwat)
Sawal: Rasool-ul-Allah ﷺ ki nawaasi Sayyidah Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abu Al-A’as رضى الله عنه ka pehla nikah kis se hua tha?
Jawab: Sayyidah Fatima al-Zahrah رضى الله عنها ki wasiyat ke mutaabiq wafaat ke baad Umamah رضى الله عنها ka pehla nikah 11 hjri mein hazrat Ali رضي الله عنه se hua. Yeh taqreeb hazrat Zubair رضى الله عنه bin Al-Awam ki marzi se hui aur nikah bhi unhi se padhaya tha.
( Siar-ul-Sahabiyat. Tabqaat. Usd-ul-Ghabah. Isaabah )
Sawal: Syyiduna hazrat Ali رضي الله عنه ne 40 hjri mein shahaadat paayi. Bataaiye is ke baad Sayyidah Umamah رضى الله عنها ka nikah kis se hua?
Jawab: Syyiduna hazrat Ali رضي الله عنه ki wasiyat ke mutaabiq hazrat Mughira رضى الله عنه bin Nofal رضى الله عنه bin Haris ne hazrat Imaam Hasan رضى الله عنه se ijaazat le kar hazrat Umamah رضى الله عنها se nikah kar liya. Ameer Muawiya رضى الله عنه bhi Umamah رضى الله عنها se nikah karne ki khwahish rakhtay thay. Aur unhon ne nikah ka peghaam bhi bheja tha lekin Sayyidah Umamah رضى الله عنها ne hazrat Mughira رضى الله عنه ko ittila di.
(Ahd-e-Nubuwwat ki burguzeedah khawateen. Tabqaat. Tazkaar-e-Sahabiat. An Hazrat ﷺ ki sahabzadyiaan. Usd-ul- Al-Ghabah )
Sawal: Hazrat Ali رضي الله عنه ne wafaat se pehlay Sayyidah Umamah رضى الله عنها se kya farmaya tha?
Jawab: Syyiduna Ali رضي الله عنه ki wafaat ka waqt qareeb hua to aap ne hazrat Umamah رضى الله عنها se farmaaya, Agar aap mere baad shadi karna chahain to mein aap ke liye hazrat Mughira bin Nofal ke baaray main raazi hoon.
(Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib. Usd-ul-Ghabah. Ahd-e-Nubuwwat ki burguzeedah khawateen )
Sawal: Bataaiye hazrat Mughira رضى الله عنه bin Nofal kon thay?
Jawab: Sayyidah Umamah رضى الله عنها ke doosray shohar hazrat Mughira رضى الله عنه bin Nofal رضى الله عنه Nabi Akram ﷺ ke chacha Haris ke potay thay.
(Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib. Isaabah. Usd-ul-Ghabah. Tabqaat )
Sawal: Sayyidah Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abu Al-A’as رضى الله عنه ne kab aur kahan wafaat paayi?
Jawab: Nawaasi-e-Rasool ﷺ Sayyidah Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abu Al-A’as رضى الله عنه ne Ameer Muawiya رضى الله عنه ke dor-e-Hukumat mein hazrat Mughira رضى الله عنه bin Nofal ke ghar mein wafaat paayi aur jannat Al-Bqia mein dafan huien.
(Isti’yaab. Tazkaar-e-Sahabiat. Siar-ul-Sahabiyat. Ahd-e-Nubuwwat ki burguzeedah khawateen)
Sawal: Bataaiye Sayyidah Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abu Al-A’as رضى الله عنه العاص ki aulaad kitni thi?
Jawab: Hazrat Ali رضي الله عنه se Sayyidah Umamah رضى الله عنها ke haan koi aulaad nahi hui. Aik riwaayat hai keh hazrat Mughira رضى الله عنه bin Nofal رضى الله عنه se hazrat Umamah رضى الله عنها ka aik ladka peda hua jis ka naam Yahya tha. Baaz Siarat nigaaron ke baqol dono shoharon se koi aulaad nahi hui.
(Tazkaar-e-Sahabiat. Isaabah. Usd-ul-Ghabah. An Hazrat ﷺ ki sahabzadyiaan)
Sawal: Rasool-e-Aqdas ﷺ ki us nawasi ka naam bata dijiye jisay aap ﷺ ne kandhay par bitha kar aur goad mein le kar namaz ada ki thi?
Jawab: Sayyidah Zainab رضى الله عنها ki sahabzaadi Sayyidah Umamah رضى الله عنها Bint-e-Abi Al-A’as رضى الله عنه ko Huzoor ﷺ kandhay par utha kar Masjid-e-Nabwi mein tashreef laaye aur kabhi kandhay par bitha kar aur kabhi goad mein bitha kar namaz ada farmaai.
(Sahih Bukhaari. Muhammad Arbi ﷺ incylopedia. Siar-ul-Sahabiyat. Nabi Kareem ﷺ kay Azeez-o-Aqaarib)
REFERENCE:
Book: “Azwaaj Mutahiraat wa Sahaabiyaat Encyclopedia”
Mouleef Dr. Zulfikhaar Kaazim.