Search
Sections
< All Topics
Print

34. Hazrat Habib Bin Zaid Ansari(رضی اللہ عنہ)

Hazrat Habib Bin Zaid Ansari(رضی اللہ عنہ)

Aey Ahl-e-Bait tumhein barkat naseeb ho, Aey Ahl-e-Bait tum par rahmat ki barkha barsay.
Farmaan-e-Nabwi ﷺ

Hazrat Habib Bin Zaid Ansari رضی اللہ عنہ ne aik aisay khush naseeb ghar main nasho numa payi jis ke har zawiye main imaan ki dil aawez mahak phaily hui thi. Aur jis ke har saakin ke dil main Allah-o-Rasool-e-  ke har hukm par q\urbaan ho jaane ka jazba mojzan tha.


Hazrat Habib ke Waalid-e-Muhtaram Zaid Bin Asim رضی اللہ عنہ Madinah-e-Munawwrah ke musalmanoon main mumtaqz maqaam rakhtay thay. Aur yeh un sattar 70 khush naseeb Sahaaba-e-Kiram رضی اللہ عنہم main se hain jo Bai’t-e-Uqbah ke waqt mojood thay. Unhon ne Rasool-e–e-Aqdas ﷺ key Dast-e-Mubarak par Bai’t ka Sharf haasil kya, Un ke hamrah biwi bachay bhi thay.

Unki waalida Umm-e-Ammara Bano Mazin qabeelay se theen, Yeh woh pehli khush naseeb aur bahadur khatoon hain jis ne Deen-e-Ilaahi aur Rasool-e–e-Aqdas ﷺ ke difaa main sab se pehlay talwaar uthai. Unkay bhai Abdullah Bin Zaid Ansari رضی اللہ عنہ ne Ghazwah-e-Uhad main Rasool-e–e-Aqdas ﷺ ke difaa ki khaatir apna seenah aagay badhaya taakeh dushman ki taraf se jo teer bhi aaye woh un ke seenay main lagay aur Rasool-e–e-Akram ﷺ ko koi kharaash bhi nah aaye yeh imaan parwar manzar dekh kar aap ﷺ  ne be sakhta irshaad farmaaya:

Ahl-e-Bait! Tum par Allah Ta’alaa ki barkaten naazil hon.

Ahl-e-Bait! Tum par Allah Ta’alaa ki barkaten naazil hon.

Hazrat Habib Bin Zaid رضی اللہ عنہ ke dil main Noor-e-Imaan jalwah numa hoa aur yeh Halaawat-e-Imani se lazzat aashna hue.

Yeh apne maan baap, Khaala aur bhai ke hamrah Makkah-e-Mu’azmah ki taraf rawaana hue taakeh un sattar tareekh saaz qudsi nufoos hastiyon main shaamil ho saken, Jinhein Bai’t -e-Uqba ki S’aadat-e-Uzma naseeb hui thi. Inhon ne bhi apna nanha sa haath agay badhaya aur taron ki roshni main Rasool-e- Allah ﷺ ke Dast-e-Mubarak par Bai’t-e-Uqba ki sa’adat haasil ki. Us din se Rasool-e- Allah ﷺ inhen apne maan baap se bhi ziyada mahboob ban gaye. Aur islam inhen apni jaan se bhi ziyada aziz ho gaya.


Hazrat Habib Bin Zaid رضی اللہ عنہ Ghazwah-e-Badar main shareek nah ho sakay, Is liye keh yeh us waqt bohat choti umar ke thay. Aur nah hi inhen Ghazwah-e-Uhad main hissa lainay ka Sharf-e-Azeem haasil ho saka, Is liye keh is waqt bhi abhi talwaar uthaany ke qaabil nah hue thay, Lekin is ke ilawa tamaam ghazwaat main Rasool-e- Allah ﷺ ka bhar poor sath diya aur har Ghazway main shujaiat, Tajurbah, Majad-o-Sharf aur qurbani ki na Qaabil-e-Faramosh dastanein raqam kin.

Yeh tamaam tar ghazwaat aisay hain ke apni Azmat aur Jalaalat-e-Shaan ke bawajood un ki teh main aik azeem maqsad pinhan honay ke ilawa koi dai’ya nahi paaya jata.

Lekin aap ko aik aisi dard naak daastaan sunaana maqsood hai jo insani zameer ko jhanjhodhne ka baais banti hai. Aur us ne Ahad-e-Nubuwwat se le kar aaj tak laakhon musalmanoon ke dilon main larza taari kya.

Yaqeenan yeh daastaan sun kar aap bhi larzah brandam ho jayen gain, Jaisa keh us ki Dardnaaki-o-Asarpazeeri ne har dor ke logon ko hila kar rakh diya.

Aeiye ibtida se yeh alamnaak daastaan sunein.


9 hjri main islam apne joban par tha, Islami Shaan-o-Shokat apne urooj par pahonch chuki thi. Jazeerah numaay Arab ki har taraf se be shumaar qaafilay Rasool-e- Allah ﷺ ki ziyarat, Aap ki Bai’t karne aur Daaira-e-Islaam main daakhil honay ka Barsar-e-Aam ailaan karne ke liye joq dar joq Madinah-e-Munawara pounchanay lagay. Un qaafilon main aik wafad Banu Hanfiah ka bhi najd se aap ki Khidmat-e-Aqdas main haazir hoa.

Wafad ne apne uont Madinah-e-Tayyiba se bahar hi bitha diye aur samaan ke paas Musailimah Bin Habib Hanfi ko chod diya. Yeh wafad Nabi Akram ﷺ ki khidmat main haazir hoa aur aap ke rubaroo islam qubool karne ka ailaan kya.

Rasool-e- Allah ﷺ wafad ki aamad se bohat khush hue un ki izzat afzaai ki. Aur aap ne Wafad ke har rukan ko qeemti tahaaif se nawaza aur un ke us saathi ko bhi tahaaif diye jisay yeh apne samaan ke paas chode kar aaye thay.


Yeh wafad najad wapis pouncha hi tha keh Musailimah Bin Habib murtad ho gaya aur Barsar-e-Aam us ne yeh ailaan kar diya. Main Rasool-e- hoon mujhe Allah ne bani Hanfiah ki taraf Rasool-e- banaa kar bheja hai. Jaisa keh Muhammad ﷺ Bin Abdullah ko Quresh ki taraf Rasool-e- bana kar bheja.

Yeh ailaan sunnay ke baad qoum us ke gird jama honay lagi aur qaumi asbiyat ki bina par us ka bhar poor sath dainay lagi. Qaumi asbiyat ka yeh aalam tha keh bano Hanfiah ki aik shakhsiyat ne barmila kaha:

Main gawaahi deta hoon keh Muhammad ﷺ sachay hain aur Musailimah jhoota, Lekin Rabia qabeelay ka jhoota shakhs mujhe Muzar qabeelay ke sachay se ziyada aziz hai.


Jab Musailimah ki hasiyat mazboot ho gayi aur maan-ne waalon ki tadaad ziyada hogayi, To us ne Rasool-e- Allah ﷺ ki taraf aik khat likha jis main yeh tahreer tha.

Musailimah Rasool-e- Allah se Muhammad ﷺ Rasool-e- Allah ki taraf.

Aslam u alaika!

Mujhe Nubuwwat-o-Risalat main aap ka shareek car bana diya gaya hai. Nisf zameen hamaray liye hai aur nisf Quresh ke liye, Lekin Quresh zalim qoum hai.

Yeh khat do qasidon ke zariye nabi Akram tak pohanchaya. Jab yeh qasid khat le kar Rasool-e–e-Aqdas ﷺ ki khidmat main haazir hue aur aap ko yeh khat padh kar sunaya gaya to aap ne un qasidun se poocha: Tum dono ki kya raye hai?

Dono ne bayak zubaan kaha: Is silsilay main hamara wahi muaqqaf hai jo Musailimah ka hai.

Aap ne un ki baat sun kar irshad farmaya:

Khuda ki qisam! Agar qasidun ke tahaffuz ka Bain ul Aqwami qanoon nah hota to aaj main tumhari gardanein uda deta.

Phir aap ne Musailimah ki taraf aik khat likha jis main yeh tehreer tha:

Bismi Allah-e-Al Rahman-e-Al Raheem.

Mohammad ﷺ Rasool-e- Allah ki janib se Musailimah Kazzab ki taraf.

Salamti ho us ke liye jis ne hidaayat ki pairwi ki yeh zameen Allah ki hai aur Allah apne bundon main se jisay chahta hai, Is ka waris bana deta hai, Aur anjaam Ahl-e-Taqwa ke liye hai.

Aur inhen do qasidun ke haath yeh khat rawana kardiya.


Musailimah Kazzab ka Shar-o-Fasaad jab had se badh gaya, To Rasool-e-Akram ﷺ ne usay aik aisa khat irsaal karne ka iradah kya jis ke zariye usay gumraahi se rokain aur yeh khat le jane ke liye hamari is dastan ke hero hazrat Habib ban Zaid رضی اللہ عنہ ko muntakhab kya. Yeh un dinon Unfwan-e-Shabab main thay aur imaan un ke Ragg-o-Raishay main rach bas chuka tha.


Hazrat Habib bin Zaid رضی اللہ عنہ Mohammad Rasool Allah ﷺ ka hukum pakar rastay ke Nasheeb –o-Faraz se Shadan-o-Farhan gzrte hue najad ke balai ilaqay main Diyaar-e-Bano Hanifa main puhanche aur yeh khat Musailimah ke sapurd kia.

Jounhi Musailimah ne yeh khat suna to woh ghusse se laal peela ho gaya aur Ghuroor-o-Nukhuwwat se us ka seenah tan gaya..

Keena-o-Bughz, Zulm-o-Ta’adi aur Jor-o-Jafaa ke aasaar us ke Manhoos-o-Makrooh chehray se numaayan dikhaayi dainay lagay. Aur us ne Ghaiz-o-Gazab se be qaboo ho kar Hazrat Habib Bin Zaid رضی اللہ عنہ ko Paaband-e-Salasil karne ka hukam jaari kar diya. Aur dhaadty hue yeh kaha keh kal din chadhay isay meri adaalat main paish kya jaye.  Doosray roz Musailimah ne apni mahfil jamaai. Daayen baaen sarkash mureedon ko bithaya. Awam ul Naas ko bhi darbaar main dakhlay ki ijazat day di gayi. Darbaar jab logon se bhar gaya aur til dharnay ki jagah baaqi nah rahi to is ne hukam diya keh ab Habib Bin Zaid ko paish kya jaye. Aap bediyon main jakday hue aahista aahista chal kar wahan puhanche.


Hazrat Habib Bin Zaid رضی اللہ عنہ jo logon ke Jamm-e-Ghafeer ke darmiyan badi Shaan-o-Shokat ke sath seenah taan kar is tarhan seedhay khaday ho gaye jaisay koi umdah qisam ka seedha nezah zameen main gada hota hai.

Musailimah ne un ki taraf dekha aur kaha:

Kya tum gawaahi dete ho keh Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain?

Farmaaya: Haan main gawaahi deta hoon keh Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain.

Yeh sun kar Ghaiz-o-Gazab se Musailimah ki ragein phool gayeen aur kaha tum gawaahi dete ho keh main Allah ka Rasool hoon?

Hazrat Habib Bin Zaid رضی اللہ عنہ ne mazaaq ke andaaz main kaha: Mere kaan teri baat sunnayy se qasir hain, Yeh sun kar Musailimah ke chehray ka rang badal gaya ghusse se hont kanpnay lagay. Aur jallaad se kaha Is ke jism ka aik hissa kaat do.

Jallaad ne Hazrat Habib رضی اللہ عنہ par talwaar se zor daar waar kya aur jism ka aik hissa chasham-e-Zadan main kat kar zameen par phadphdaane laga.

Is ke baad Musailimah ne dobarah poocha.

Kya tum gawaahi dete ho keh Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain?

Farmaaya: Haan main gawaahi deta hon ke Muhammad ﷺ  Allah ke Rasool hain.

Us ne poocha: Kya tum yeh gawaahi dete ho ke main Allah ka Rasool hoon?

Aap ne ghusse se kaha: Main ne tujhe pehlay nahi bataaya tha keh teri baat sunnay se mere kaan qaasir hain. Us ne jallaad ko hukam diya keh is ke jism ka aik aur hissa kaat diya jaaye.

To is ka hukam sun kar jallaad ne aik aur waar kya aur dekhte hi dekhte hi jism ka aik aur hissa kaat daala, Ab yeh dono hissay aik doosray ke baraabar zameen par phad phdha rahay hain.

Majmaa dam bakhud tik tiki laga kar yeh alamnaak manzar dekh raha hai Musailimah sawal kar raha hai! Jallaad talwar chala raha hai aur hazrat Habib deewana waar kahe jaa rahay hain.

Main gawaahi deta hoon keh Muhammad ﷺ Allah ke Rasool hain, Jism ka nisf hissa gosht ke qatlon ki soorat main zameen par bikhra hoa hai, Aur doosra nisf zabaan haal se parwar-digaar aalam ki wahdaniyat ki gawaahi day raha hai, Bil akhir un ki pakeeza rooh parwaaz kar jati hai, Aur unkay pakeeza labon par Nabi Akram ﷺ ka naam hai jin ke Dast-e-Mubarak par Bai’t-e-Uqba ki Sa’adat haasil ki thi.

Sultan do jahan ﷺ ka pakeeza naam un ki zabaan par jaari raha.


Hazrat Habib Bin Zaid رضی اللہ عنہki shahadat ki khabar un ki Waalida-e-Majidah ko mili to irshaad farmaya: Isi liye to main ne apne betay ko tayyaar kya tha.

Allah Ta’alaa ke haan main sawab ki taalib hon.

Bachpan main mere betay ne Rasool-e–e-Aqdas ﷺ ke Dast-e-Mubarak par Bai’t-e-Uqba ki aur aaj is ka haq ada kar diya, Aur agar Allah Ta’alaa ne mujhe qudrat di to main Musailimah ko ibratnaak andaaz main mout ke ghaat utaaroon gi keh is ki betiyan seenah kobi par majboor ho jayen gi.


Hazrat Habib Bin Zaid  رضی اللہ عنہ ki Waalida-e-Maajidah ki jaanib se is dil aawez tamanna ke izhaar ko ziyada muddat nah guzri thi keh khalifa sani Hazrat Abu Bakar Siddiqu ki taraf se Musailimah Kazzab ke khilaaf jung ka ailaan kar diya gaya. Musalman Wufoor-e-Shoq se chokdiyan bhartay hue Musailimah Kazzab se nabard aazma honay ke liye rawaana hue, Lashkar-e-Islam main Bano Mazin qabeela ki Muaziz-o-Ghayyoor khatoon Hazrat Habib Bin Zaid رضی اللہ عنہ ki Walidah-e-Maajida apne betay Abdullah Bin Zaid رضی اللہ عنہ ke hamrah shaamil huien.

Yamama maqam par yeh khatar naak ladaai ladi gayi, Maidan-e-Kaar-e-Zaar main yeh Ghayyoor Jurrat-o-Shuja’at ka paikar banay hue lalkaar rahi thi.

Allah ka dushman kahan hai?

Mujhe Allah ke dushman ka pata batao.

Jab woh us tak pohanchi to woh undhay mun zameen par gira hoa tha, Aur musalmanoon ki talwaarein us ka khoon pi rahi theen, Allah ke dushman Musailimah Kazzab ka yeh injaam dekh kar is ka dil bohat khush hoa.

Aankhon ko thandak naseeb hui, Bhala dil masroor kyun nah hotaa? Aankhen thandhi kyun nah hoten?

Allah  Zuljalal Wal ikraam ki qudrat se dono apne injaam ko puhanche lekin:

Aik jannat ko rawaana hoa.

Aur doosra jahannum raseed.


Hazrat Habib Bin Zaid رضی اللہ عنہ ke mufassal Halaat-e-Zindagi maloom karne ke liye darjzail

kitaabon ka muta’ala Karen:

1: Usd ul Ghabah                                                                        1/443

2: Ansaab-ul-Ashraaf                                                           4/316

3: Al Tabaqat ul Kubraa                                                         4/316

4: Al Seerat ul Nabawiyyah Libn-e-Hisaam             Fahrist dikhiy

5: Al Isaabah                                                                                      1/306

6: Shuada-e-Islam fi Ahad-e-Al Nubuwwah

REFERENCE:
Book: Hayat-e-Sahaba kay darakh shah pahelo.
By: Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.

حضرة حبیب بن زید انصاری رضی اللہ عنہ

 

اے اهل بیت تمهيں برکت نصيب هو، اے اهل بيت تم پر رحمت کی برکھا برسے۔

(فرمان نبویﷺ)

 

حضرت حبیب بن زید انصاری رضی اللہ عنہ نے ایک ایسے خوش نصیب گھر میں نشو و نما پائی جس کے ہر زاویے میں ایمان کی دلآویز مہک پھیلی ہوئی تھی۔ اور جس کے ہر ساکن کے دل میں اللہ و رسولﷺ کے ہر حکم پر قربان ہو جانے کا جذبہ موجزن تھا۔


حضرت حبیب رضی اللہ عنہ کے والد محتر زید بن عاصم رضی اللہ عنہ مدینہ منورہ کے مسلمانوں میں ممتاز مقام رکھتے تھے۔ اور یہ ان ستر 70 خوش نصیب صحابہ رضی اللہ عنہم میں سے ہیں جو بیعت عقبہ کے وقت موجود تھے۔ انہوں نے رسول اکرمﷺ کے دست مبارک پر بیعت کا شرف حاصل کیا ان کے ہمراہ بیوی بچے بھی تھے۔

انکی والدہ ام عمارہ بنو مازن قبیلے سے تھیں، یہ وہ پہلی خوش نصیب اور بہادر خاتون ہیں جس نے دین الہی اور رسول مقدسﷺ کے دفاع میں سب سے پہلے تلوار اٹھائی۔

انکے بھائی عبداللہ بن زید انصاری رضی اللہ عنہ نے غزوہ احد میں رسول اقدسﷺ کے دفاع کی خاطر اپنا سینہ آگے بڑھایا تاکہ دشمن کی طرف سے جو تیر بھی آئے وہ ان کے سینے میں لگے اور رسول اکرمﷺ کو کوئی خراش بھی نہ آئے’ یہ ایمان پرور منظر دیکھ کر آپﷺ نے بے ساختہ ارشاد فرمایا۔

اہل بیت! تم پر اللہ تعالیٰ کی برکتیں نازل ہوں۔
اہل بیت! تم پر اللہ تعالیٰ کی برکتیں نازل ہوں۔

حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ کے دل میں نور ایمان جلوہ نما ہوا اور یہ حلاوت ایمانی سے لذت آشنا ہوئ یہ اپنے ماں باپ’ خالہ اور بھائی کے ہمراہ مکہ معظمہ کی طرف روانہ ہوئے تاکہ ان ستر تاریخ ساز قدسی نفوس ہستیوں میں شامل ہو سکیں، جنہیں بیعت عقبہ کی سعادت عظمی نصیب ہوئی تھی۔ انہوں نے بھی اپنا ننھا سا ہاتھ آگے بڑھایا اور تاروں کی روشنی میں رسول اللہﷺ کے دست مبارک پر بیعت عقبہ کی سعادت حاصل کی۔ اس دن سے رسول اللهﷺ انہیں اپنے ماں باپ سے بھی زیادہ محبوب بن گئے۔ اور اسلام انہیں اپنی جان سے بھی زیادہ عزیز ہو گیا۔


حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ غزوہ بدر میں شریک نہ ہو سکے’ اس لئے کہ یہ اس وقت بہت چھوٹی عمر کے تھے۔ اور نہ ہی انہیں غزوہ احد میں حصہ لینے کا شرف عظیم حاصل ہو سکا’ اس لئے کہ اس وقت بھی ابھی تلوار اٹھانے کے قابل نہ ہوئے تھے، لیکن اس کے علاوہ تمام غزوات میں رسول اللہﷺ کا بھر پور ساتھ دیا اور ہر غزوے میں شجاعت، تجربہ، مجدد شرف اور قربانی کی ناقابل فراموش داستانیں رقم کیں۔

یہ تمام تر غزوات ایسے ہیں کہ اپنی عظمت اور جلالت شان کے باوجود ان کی تہہ میں ایک عظیم مقصد پنہاں ہونے کے علاوہ کوئی داعیہ نہیں پایا جاتا۔

لیکن آپ کو ایک ایسی درد ناک داستان سنانا مقصود ہے جو انسانی ضمیر کو جھنجھوڑنے کا باعث بنتی ہے۔ اور اس نے عہد نبوت سے لے کر آج تک لاکھوں مسلمانوں کے دلوں میں لرزہ طاری کیا۔

یقیناً یہ داستان سن کر آپ بھی لرزہ براندام ہو جائیں گے جیسا کہ اس کی دردناکی واثر پذیری نے ہر دور کے لوگوں کو ہلا کر رکھ دیا۔

آیئے ابتداء سے یہ المناک داستان سنیں۔


9 ہجری میں اسلام اپنے جوبن پر تھا، اسلامی شان و شوکت اپنے عروج پر پہنچ چکی تھی۔ جزیرہ نمائے عرب کی ہر طرف سے بے شمار قافلے رسول اللہﷺ کی زیارت آپ

کی بیعت کرنے اور دائرہ اسلام میں داخل ہونے کا بر سر عام اعلان کرنے کے لئے جوق در جوق مدینہ منورہ پہنچنے لگے۔ ان قافلوں میں ایک وفد بنو حنفیہ کا بھی نجد سے آپکی خدمت اقدس میں حاضر ہوا۔


وفد نے اپنے اونٹ مدینہ طیبہ سے باہر ہی بٹھا دیئے اور سامان کے پاس مسیلمہ بن حبیب حنفی کو چھوڑ دیا۔ یہ وفد نبی اکرمﷺ کی خدمت میں حاضر ہوا اور آپ کے روبرو اسلام قبول کرنے کا اعلان کیا۔

رسول اللہﷺ اس وفد کی آمد سے بہت خوش ہوئے ان کی عزت افزائی کی۔ اور آپ نے وفد کے ہر رکن کو قیمتی تحائف سے نوازا اور ان کے اس ساتھی کو بھی تحائف دیئے جسے یہ اپنے سامان کے پاس چھوڑ کر آئے تھے۔


یہ وفد نجد واپس پہنچا ہی تھا کہ مسیلمہ بن حبیب مرتد ہو گیا اور برسر عام اس نے یہ اعلان کر دیا۔ میں رسول ہوں۔ مجھے اللہ نے بنی حنفیہ کی طرف رسول بنا کر بھیجا ہے۔ جیسا کہ محمدﷺ بن عبد اللہ کو قریش کی طرف رسول بنا کر بھیجا۔

یہ اعلان سننے کے بعد قوم اس کے گرد جمع ہونے لگی اور قومی عصبیت کی بنا پر اس کا بھرپور ساتھ دینے لگی۔ قومی عصبیت کا یہ عالم تھا کہ بنو حنفیہ کی ایک شخصیت نے برملا کہا۔

میں گواہی دیتا ہوں کہ محمدﷺ سچے ہیں اور مسیلمہ جھوٹا ہے، لیکن ربیعہ قبیلے کا جھوٹا شخص مجھے مضر قبیلے کے سچے سے زیادہ عزیز ہے۔


جب مسیلمہ کی حیثیت مضبوط ہو گئی اور ماننے والوں کی تعداد زیادہ ہو گئی، تو اس نے رسول اللہﷺ کی طرف ایک خط لکھا جس میں یہ تحریر تھا۔

مسیلمہ رسول اللہ سے محمدﷺ رسول اللہ کی طرف۔
السلام علیک

مجھے نبوت و رسالت میں آپ کا شریک کار بنا دیا گیا ہے۔ نصف زمین ہمارے لئے ہے اور نصف قریش کے لئے، لیکن قریش ظالم قوم ہے۔

یہ خط دو قاصدوں کے ذریعے نبی اکرمﷺ تک پہنچایا۔ جب یہ قاصد خط لے کر رسول اقدسﷺ کی خدمت میں حاضر ہوئے، اور آپ کو یہ خط پڑھ کر سنایا گیا تو آپ نے ان قاصدوں سے پوچھا: تم دونوں کی کیا رائے ہے؟

دونوں نے بیک زبان کہا: اس سلسلے میں ہمارا وہی موقف ہے جو مسیلمہ کا ہے۔
آپ نے ان کی بات سن کر ارشاد فرمایا:
خدا کی قسم! اگر قاصدوں کے تحفظ کا بین الاقوامی قانون نہ ہوتا تو آج میں تمہاری گردنیں اڑا دیتا۔
پھر آپ نے مسیلمہ کی طرف ایک خط لکھا’ جس میں یہ تحریر تھا۔

بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمِ

محمدﷺ رسول اللہ کی جانب سے مسیلمہ کذاب کی طرف۔

سلامتی ہو اس کے لئے جس نے ہدایت کی پیروی کی’ یہ زمین اللہ کی ہے اور اللہ اپنے بندوں میں سے جسے چاہتا ہے، اس کا وارث بنا دیتا ہے، اور انجام اہل تقویٰ کے لئے ہے۔

اور انہیں دو قاصدوں کے ہاتھ یہ خط روانہ کر دیا۔

مسیلمہ کذاب کا شر و فساد جب حد سے بڑھ گیا، تو رسول اکرمﷺ نے اسے ایک ایسا خط ارسال کرنے کا ارادہ کیا، جس کے ذریعے اسے گمراہی سے روکیں، اور یہ خط لے جانے کے لئے ہماری اس داستاں کے ہیرو حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ کو منتخب کیا۔ یہ ان دنوں عنفوان شباب میں تھے اور ایمان ان کے رگ و ریشے میں رچ بس چکا تھا۔

حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ رسول اللہﷺ کا حکم پا کر راستے کے نشیب و فراز سے شاداں و فرحاں گذرتے ہوئے نجد کے بالائی علاقے میں دیار بنو حنیفہ میں پہنچے اور یہ خط مسیلمہ کے سپرد کیا۔
جونہی مسیلمہ نے یہ خط سنا تو وہ غصے سے لال پیلا ہو گیا اور غرور و نخوت سے اس کا سینہ تن گیا۔

کینہ و بغض، ظلم و تعدی اور جوروجفا کے آثار اس کے منحوس و مکروہ چہرے سے نمایاں دکھائی دینے لگے۔ اور اس نے غیظ و غضب سے بے قابو ہو کر حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ کو پابند سلاسل کرنے کا حکم جاری کر دیا۔ اور دھاڑتے ہوئے یہ کہا کہ کل دن پڑھے اسے میری عدالت میں پیش کیا جائے۔ دوسرے روز مسیلمہ نے اپنی محفل جمائی۔ دائیں بائیں سرکش مریدوں کو بٹھایا۔ عوام الناس کو بھی دربار میں داخلے کی اجازت دے دی گئی۔ دربار جب لوگوں سے بھر گیا اور تل دھرنے کی جگہ باقی نہ رہی تو اس نے حکم دیا کہ اب حبیب بن زید کو پیش کیا جائے۔ آپ بیڑیوں میں جکڑے ہوئے آہستہ آہستہ چل کر وہاں پہنچے۔

حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ لوگوں کے جم غفیر کے درمیان بڑی شان و شوکت کے ساتھ سینہ تان کر اس طرح سیدھے کھڑے ہو گئے جیسے کوئی عمدہ قسم کا سیدھا نیزہ زمین میں گڑا ہوتا ہے۔

مسیلمہ نے ان کی طرف دیکھا اور کہا۔
کیا تم گواہی دیتے ہو کہ محمدﷺ اللہ کے رسول ہیں؟
فرمایا: ہاں میں گواہی دیتا ہوں کہ محمدﷺ اللہ کے رسول ہیں۔

یہ سن کر غیظ و غضب سے مسیلمہ کی رگیں پھول گئیں اور کہا تم گواہی دیتے ہو کہ میں اللہ کا رسول ہوں؟

حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ نے مذاق کے انداز میں کہا۔ میرے کان تیری بات سننے سے قاصر ہیں، یہ سن کر مسیلمہ کے چہرے کا رنگ بدل گیا غصے سے ہونٹ کانپنے لگے۔ اور جلاد سے کہا: اس کے جسم کا ایک حصہ کاٹ دو۔

جلاد نے حضرت حبیب رضی اللہ عنہ پر تلوار سے زوردار وار کیا اور جسم کا ایک حصہ چشم زدن میں کٹ کر زمین پر پھڑ پھڑانے لگ اس کے بعد مسیلمہ نے دوبارہ پوچھا کیا تم گواہی دیتے ہو کہ محمدﷺ اللہ کے رسول ہیں؟
فرمایا: ہاں میں گواہی دیتا ہوں کہ محمدﷺ اللہ کے رسول ہیں۔
اس نے پوچھا: کیا تم یہ گواہی دیتے ہو کہ میں اللہ کا رسول ہوں؟

آپ نے غصے سے کہا: میں نے تجھے پہلے نہیں بتایا تھا کہ تیری بات سننے سے میرے کان قاصر ہیں۔ اس نے جلاد کو حکم دیا کہ اس کے جسم کا ایک اور حصہ کاٹ دیا جائے۔

تو اس کا حکم سن کر جلاد نے ایک اور وار کیا اور دیکھتے ہی دیکھتے ہی جسم کا ایک اور حصہ کاٹ ڈالا’ اب یہ دونوں حصے ایک دوسرے کے برابر زمین پر پھڑ پھڑا رہے ہیں۔

مجمع دم بخود ٹکٹکی لگا کر یہ المناک منظر دیکھ رہا ہے مسیلمہ سوال کر رہا ہے! جلاد تلوار چلا رہا ہے اور حضرت حبیب رضی اللہ عنہ دیوانہ وار کہے جا رہے ہیں۔

میں گواہی دیتا ہوں کہ محمدﷺ اللہ کے رسول ہیں، جسم کا نصف حصہ گوشت کے قتلوں کی صورت میں زمین پر بکھرا ہوا ہے، اور دوسرا نصف زبان حال سے پروردگار عالم کی وحدانیت کی گواہی دے رہا ہے، بالآخر ان کی پاکیزہ روح پرواز کر جاتی ہے، اور انکے پاکیزہ لبوں پر نبی اکرم ﷺ کا نام ہے جن کے دست مبارک پر بیعت عقبہ کی سعادت حاصل کی تھی۔

سلطان دو جہاںﷺ کا پاکیزہ نام مسلسل ان کی زبان پر جاری ہے۔

حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ کی شہادت کی خبر ان کی والدہ ماجدہ کو ملی تو ارشاد فرمایا:
اسی لئے تو میں نے اپنے بیٹے کو تیار کیا تھا۔
اللہ تعالیٰ کے ہاں میں ثواب کی طالب ہوں۔

بچپن میں میرے بیٹے نے رسول اقدسﷺ کے دست مبارک پر بیعت عقبہ کی اور آج اس کا حق ادا کر دیا، اور اگر اللہ تعالیٰ نے مجھے قدرت دی تو میں مسیلمہ کو عبرتناک انداز میں موت کے گھاٹ اتاروں گی کہ اس کی بیٹیاں سینہ کوبی پر مجبور ہو جائیں گی۔

حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ کی والدہ ماجدہ کی جانب سے اس دلآویز تمنا کے اظہار کو زیادہ مدت نہ گزری تھی کہ خلیفہ ثانی حضرت ابوبکر صدیق رضی اللہ عنہ کی طرف سے مسیلمہ کذاب کے خلاف جنگ کا اعلان کر دیا گیا۔ مسلمان وفور شوق سے چوکڑیاں بھرتے ہوئے مسیلمہ کذاب سے نبرد آزما ہونے کے لئے روانہ ہوئے’ لشکر اسلام میں بنو مازن قبیلہ کی معزز و غیور خاتون حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ کی والدہ ماجدہ اپنے بیٹے عبداللہ بن زید رضی اللہ عنہ کے ہمراہ شامل ہوئیں۔

یمامہ مقام پر یہ خطرناک لڑائی لڑی گئی، میدان کار زار میں یہ غیور جرات و شجاعت کا پیکر بنے ہوئے للکار رہی تھی۔

اللہ کا دشمن کہاں ہے؟
مجھے اللہ کے دشمن کا پتہ بتاؤ۔

جب وہ اس تک پہنچی تو وہ اندھے منہ زمین پر گرا ہوا تھا، اور مسلمانوں کی تلواریں اس کا خون پی رہی تھیں، اللہ کے دشمن مسیلمہ کذاب کا یہ انجام دیکھ کر اس کا دل بہت خوش ہوا۔

آنکھوں کو ٹھنڈک نصیب ہوئی، بھلا دل مسرور کیوں نہ ہوتا آنکھیں ٹھنڈی کیوں نہ ہوتیں۔

اللہ ذوالجلال والاکرام کی قدرت سے دونوں اپنے انجام کو پہنچے لیکن:
ایک جنت کو روانہ ہوا۔
اور دوسرا جہنم رسید۔


حضرت حبیب بن زید رضی اللہ عنہ کے مفصل حالات زندگی معلوم کرنے کے لئے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کری

 

ا۔ اسد الغابة ۱/ ۴۴۳
۲۔ انساب الاشراف ۴/ ۳۱۶
۳۔ الطبقات الكبرى ۴/ ۳۱۶
۴۔ السيرة النبوية لابن هشام
فہرست دیکھئے
ه۔ الاصابة ۱/ ۳۰۶
۶۔ شهداء الاسلام في عهد النبوة

 

حوالہ جات :

“حياتِ صحابہ کے درخشاں پہلو”

تا لیف: “داکتور عبدالر حمان رافت الباشا”

 

 

Table of Contents