45. Hazrat Feerooz Deelami (رضی اللہ عنہ)
Hazrat Feerooz Deelami (رضی اللہ عنہ)
Feerooz aik ba barkat aadmi hai aur ba barkat gharaane ka Chasham-o-Chiragh hai.
Farmaan-e-Nabwi ﷺ
Hajjat-ul-widaa’ se farigh ho kar jab Rasool Allah ﷺ Madinah-e-Munawara tashreef laaye to aap bukhaar main mubtila ho gaye, Aap ki bemaari ki khabar Jazeera-e-Arab main chaaron taraf jungal ki aag ki tarhan phail gayi, Yaman main Aswad Ansi Yamaha main Musailimah Kazzab aur Bilad-e-Bano Asad main Tulaiha Asadi murtad ho gaye, In teenu ne nubuwwat ka daa’wa karte hue yeh ailaan kya keh hamain apni apni qoum ki taraf isi tarhan Nabi bana kar bheja gaya hai jis tarhan Muhammad bin Abdullah ﷺ ko Quraish ki taraf Nabi bana kar bheja gaya.
Aswad Ansi sakht dil, Taaqat war, Dew hekal, Shar pasand nujoomi aur jaadugar tha, Is ke sath sath woh aisa fasih ul bayan muqarrir tha keh sunnay waalay Angusht-e-Badindan reh jaatay, Apni sho’bdaa baazi se logon ko Warta-e-Herat main daalna us ke baaen haath ka kaam tha. Maal-o-Doulat, Jah-o-Hasham aur Qadar-o-Manzilat ka hasool us ki kamzori ban chuka tha.
Jab bhi ghar se bahar nikalta apne chehray par khud chadha laita taakeh log usay dekh kar Haibat zada ho jaayen.
Un dinon Yaman main aisay Iranio ka Asar-o-Rusokh tha, Jo Iran ko kher bad keh kar mustaqil tor par Yaman main abaad ho chuke thay aur un ke sarkahil sahabi Rasool Hazrat Feerooz Deelami thay, Aur un main aik sab se bada Bazan naami shakhs tha jo Zuhoor-e-Islam ke waqt shehnshah-e-Iran ki taraf se Yaman ka hukmaran tha. Jab us ke saamnay Rasool-e-Aqdas ﷺ ki sadaaqat wazih ho gayi, To us ne Shah-e-Iran ki itaa’at ka phanda apne galaay se utaar phenka aur apni qoum sumait Daaira-e-Islaam main daakhil ho gaya, Nabi-e-Akram ﷺ ne usay badastoor Yaman ka haakim rehne diya aur woh is mansab par aakhir dam tak faaiz raha aur us ki wafaat ke chand roz baad Aswad Ansi ne nubuwwat ka daa’wa kar diya.
Sab se pehlay Aswad Ansi ki nubuwwat ko us ki qoum bano Madhaj ne tasleem kya. Us ne apni qoum ki madad se San’aa par hamla kar diya aur is ke hukmaran sheher bin Bazan ko qatal kar ke us ki biwi Azad se shaadi rachaa li phir yeh San’aa se doosray Gird-o-Nawah ke ilaaqon par hamla aawar hua. Us ki qayaadat main badi taizi se ilaaqay fatah honay lagay, Yahan tak keh Hazr-e-Mout se Taif tak aur Bahrain se Adan tak ka ialaqa us ki Zair-e-Hukoomat aa gaya.
Jab Aswad Ansi logon ko dhoka dainay aur apni wasee tar qayadat ki taraf maayel karne main kamyaab ho gaya to us ne apne peerokaaron ko bataaya ke is ke paas wahi le kar aik farishta aata hai, Jo ghaaib ki khabrain usay batata hai….
Aswad Ansi is sho’bdaa baazi ko apne un jaasuson ke zariye chalaata jo har jagah main phailay hue thay taakeh woh logon ki khabron ke mutaliq waqfiyat haasil karen. Unke raaz haae daroon, Mushkilaat-o-Masaaib aur dili tamannooon se aagahi haasil kar ke raaz daarana tor par usay bataaen.
Is tarhan jab bhi koi us ke roo ba roo aata to yeh dekhte hi foran pukaar uthta: Tujhe falaan zaroorat mere paas layi hai tum is waqt falaan falaan Mushkilaat-o-Masaaib main mubtala ho, Apne pairokaaron ko aisay aisay kartab dikhlaata keh un ki aqlain dang reh jaayen.
Yahan tak keh Kaarobar-e-Hukoomat chalaanay main us ke paaon jam gaye aur us ki da’wat Aafaq-e-Aalam main is tarhan phailee jaisay khushk jungal main aag phail jaati hai.
Jab Nabi-e-Akram ﷺ ko Aswad Ansi ke murtad honay aur Yaman par hamla aawar ho kar usay apne qabzay main lainay ki khabar mili to aap ne das Sahabah Kiram رضی اللہ عنہم ko Yaman main abaad sahaba kiram رضی اللہ عنہم ki taraf yeh pegham day kar bheja, keh Aswad Ansi ke pedah kardah fitne ka jis tarhan bhi ho sakay, Qala qama kar diya jaaye. Jis Sahaabi رضی اللہ عنہke paas aap ka peghaam pohnchta woh foran aap ki dawat par labbaik kehte hue aap ke hukam ko naafiz karne ke liye kamar basta ho jaata.
Aap ki dawat par labbaik kehnay waalon main sab se sabqat le jaane waalay hamaari is daastaan ke hero hazrat Feerooz Deelami hain. Ham yeh dilruba daastaan unhi ki zabani aap ko sunaate hain.
Hazrat Feerooz farmatay hain:
Mujhe aur mere saathiyon ko Deen-e-Ilaahi ahi ke barhaq honay aur Dushman-e-Khuda Aswad Ansi ke jhoota honay ke baaray main zarra baraabar bhi shak nahi tha. Ham is par hamla aawar honay aur is se gulu khulasi karanay ki hardam fikar main thay. Jab hamaaray paas aur Yaman main abaad Sahabah رضی اللہ عنہم ke paas Rasool Allah ﷺ ke khatoot aaye to hamaaray hauslay buland ho gaye ham main se har aik Aswad Ansi ko thikaane lagaanay ke liye Sargaram-e-Amal ho gaya.
Yaman main kamyaabi haasil karne ke baad Aswad Ansi bohat maghroor ho chuka tha aur apne lashkar ke sipah salaar Qais bin Abdul Yaghos ko bhi apne Kibar-o-Nukhuwwat ka nishana banaya. Jis se Qais ko apni jaan ka khatrah la-haq ho gaya, Is mauqa ko ghanimat jaantay hue main apne chacheray bhai Dazwaiah ke hamrah Qais ke paas gaya ham ne usay Rasool Allah ﷺ ka pegham sunaya aur usay is baat par amaadah kya keh pehlay is se keh woh tera kaam tamaam kar day kyun nah is manhoos shakhs ko thikaane laga diya jaaye. Is ne pooray Insharah-e-Saddar se hamaari da’wat ko qubool kya aur apne dili iraaday se hamain aagah kiya aur us ne hamaaray baaray main yeh khayaal kya keh yeh meri madad ke liye aasman se farishtay naazil hue hain.
Ham teenu ne yeh Ahd-o-Paiman kya keh ham is jhutay, Makkar, Murtad ka daakhli mahaaz par muqaabla karen gain aur doosray saathi bairooni mahaaz par is ka muqaabla karen gain. Ham ne yeh bhi tay kya keh apne is kaam main chacha zaad behen” Azad” ko shareek kya jaye jis ke sath is manhoos ne is ke shohar Shehar bin Bazan ko qatal kar ke shaadi rachaai thi.
Main Aswad Ansi ke mahel main gaya aur apni chacha zaad behen Azad se mila aur kaha meri behen! Tum jaanti ho keh yeh manhoos shakhs hamaaray liye aafat ka parkaala saabit hwa hai. Is ki zarar rasaanion se nah ham mahfooz hain aur nah hi tum, Dekhiy is ne tairay khawand ko qatal kar diya aur hamaari qoum ki deegar aurton ko ruswa kya, Bohat se mardon ko halaak kar dala aur un ke haath saltunat cheen li.
Yeh Rasool Allah ﷺ ka khat hamain masool hua hai jis main khaas tor par hamain aur aam tor tamaam Ahl-e-Yaman ko is fitnah ki sarkobi ka hukam diya hai.
kya aap hamaari madad kar sakti hain?
Us ne daryaft kya: Main aap ki kaisay madad karoon?
Main ne kaha: Is ke yahan se dais nikaala dainay par madad kijiye.
Us ne kaha: Main is ke qatal karne par aap ki madad karoon gi.
Main ne kaha: Ba Khuda! Is se to hamaari dili moraad poori ho jaye gi, Lekin mujhe khatrah hai keh kahin aap ko is ka khamyaaza nah bhughatna pad jaye.
Us ne kaha: Mujhe qasam us zaat ki! Jis ne Hazrat Muhammad ﷺ ko Basheer-o-Nazeer bana kar bheja hai, Mujhe apne deen ke barhaq honay main zarra baraabar shak nahi. Mere khayaal main Allah Ta’alaa ne is shetaan se badh kar maloon kisi ko peda hi nahi kya. Ba Khuda! Jab se mera is se waastaa pada hai, Ysay Faajir-o-Faasiq hi paaya nah is la’een ko haqooq ka khayaal hai aur nah hi kisi buraai se baz aata hai.
Main ne kaha ham usay kis tarhan qatal kar satke hain?
Us ne kaha: Yeh shetaan bara mohtaat hai. Mahal main koi aisi jagah nahi jahan is ne chokidaar khaday nah kiye hon, Albata yeh konay wala kamrah un ki dastbard se bahar hai. Is kamray ki bairooni deewar khulay maidan ki taraf hai aap raat ki tareeki main is bairooni deewar main naqab lagayen. Andar roshan chairaag aur hathyaar pade hon gain, Aur main aap ka intzaar karoon gi, Phir aap chupkay se is ki khawab gaah main daakhil ho kar usay qatal kar dena.
Main ne kaha: Mahal ke is kamray main naqb lagaana koi aasaan kaam nahi. Ho sakta hai keh koi insaan wahan se guzray aur woh chokidaaron ko chokanna kar day. Is tarhan Soorat-e-Haal bigad jaaye gi.
Behan ne meri baat sun kar kaha aap ki baat to sahih hai.
Haan mere zehen main aik tajweez aayi hai.
Main ne kaha: Woh kya ?
Us ne kaha: Aap kal aik shakhs ko mazdoor ke roop main mere paas mahal main bhejna. Main us se kamray ke androoni jaanib se deewar main itna soraakh kraaon gi keh deewar ka ma’mooli hissa baqi reh jaaye ga. Aap raat ke waqt is jagah naqab lagana aap ke haath laganay se hi deewar main soraakh ho jaaye ga aur kisi ko pata bhi nahi chalay ga.
Main ne kaha: Yeh bohat achi tajweez hai.
Yeh mansoobah bana kar main wapas aa gaya. Apne sathiyon ko ittila di.Yeh mansoobah sun kar woh bohat khush hue, Aik doosray ko mubarak bad dainay lagey aur ham ne usi waqt se tayaari shuru kar di.
Phir ham ne Ahl-e-Imaan ko khawaas ko is mansoobay ki ittila di aur inhen is raaz se aagah kiya aur ham ne inhen tayyaar aur chokas rehne ke liye kaha aur inhen yeh bhi bata diya keh kal fajar ke waqt tak ham is mansoobay ko paaya takmeel tak pouncha den ge.
Jab raat ki tareeki phail gayi aur waqt muqarara qareeb aa gaya, Main apne do sathiyon ke hamrah manzil ki taraf rawaana hua. Deewar ko naqab lagaai, Kamray main daakhil ho gaye, Andar pade hue hathyaar pakde chiraag haath main liya aur Dushman-e-Khuda ki khalwat gaah ki taraf chalay, Meri chacha zaad behen darwaazay par khadi thi. Us ne ishaara kya main dabay paaon andar daakhil hua woh gehri neend main kharraatay le raha tha. Main ne us ki gardan par takway ka waar kya to woh bail ki tarhan dhaada aur zibah kiye gaye uont ki tarhan tarpne laga. Jab chokidaron ne us ki ghaghyai hui aawazian sunen to khalwat gaah ki taraf lapke aur kehnay lagay: Andar se yeh aawaz kaisi aa rahi hai?
Mere chacha ki beti ne un se kaha:
Jao aaraam karo ghabraanay ki zaroorat nahi, Yeh Allah ka Nabi hai, Ab is ki taraf wahi ho rahi hai to woh mun latkaaye wapis lout gaye.
Ham mahl main Tulu-e-Fajar tak rahay, Tulu-e-Fajar ke baad main mahal ki deewar par chadha. Aur azaan dena shuru kar di jab main ne
اَشْھَدُ اَنْ لَّا اِلٰہَ اِلَّا اللّٰہُ وَاَشْھَدُ اَنَّ مُحَمَّدًا رَسُوْلُ اللّٰہ
kaha aur sath hi yeh bhi kaha:
اشھد ان الاسود العنسی کذاب
taakah musalman mere ishaaray ko samajh jaayen, Yeh kalimaat suntay hi musalmanoon ne chaaron taraf se mahal par hamla kar diya. Azaan ki aawaz sun kar chokidaar chokas ho gaye aur ghamsaan ki ladai shuru ho gayi.
Main ne mahal ki deewar ke uopar se Aswad Ansi ka sar neechay pheink diya, Aswad Ansi ke pirokaaron ne jab us ka sir dekha to kamzor pad gaye aur un ki taaqat zaayl ho gayi. Jab mominon ne us ka sar dekha to Naa’ra-e-Takbir buland kya aur dushman par zor daar hamla kya, Tulu-e-Aftaab se pehlay jung khatam ho gayi aur musalmanoon ne qilah par qabza kar liya.
Tulu-e-Aftaab ke baad jab chahar so roshni phail gayi to ham ne Rasool-e-Aqdas ﷺ ki taraf qaasid rawaana kiye.
Jab yeh khushkhabri dainay waalay qaasid Madinah puhanche to inhen pata chala keh sarwar-e-Aalam, Fakhr mojoodaat, Shams ul Zuha, Badar ul Daji , Nabi-e-Mukaram, Rasool-e-Muazzam , Sarkar-e-Do aalam ﷺ guzashta raat apne Allah ko piyaray ho chuke hain.
Qaasid heraani wa pareshaani ki tasweer banay hoye thay keh unhein bataaya gaya keh Nabi Akram ﷺ ko wahi kay zariye Allah Ta’alaa ne usi raat aagah kar dia tha jis raat Aswad Ansi ko qatal kia gaya.
Rasool-e-Akram ﷺ ne apne sahaaba se yeh irshaad farmaaya:
Guzashta raat Aswad Ansi ko qattal kar dia gaya hai.
Us ko aise ba barkat shakhs ne qattal kia hai jis ka t’aluq aik ba barkat gharaane se tha.
Aap se daryaaft kia gaya.
Ya Rasool Allah ﷺ! Wo Mubarak shakhs kon hai?
Aap ne farmaaya: Feerooz….
Feerooz apne mishan main kamyaab ho gaya.
Hazrat Feerooz Deelami kay mufassal Halaat-e-Zindagi ma’loom karnay kay liye darjzail kitaabon ka mutaala karain:
1: Al Isabaah Mutarjim 7012
2: Al Istiaab 3/204
3: Usd ul Ghabah 4/271
4: Tahzeeb ul Tahzeeb 8/305
5: Tabaqat Ibn-e-Saad 5/533
6: Tarikh-e-Tabari Tesri jild ki fahrsid dikhiy
7: Kamil Ibn-e-Aseer Waqiat giarhwin hijri
8: Futooh ul buldan 111-113
9: Jamharat ul Ansaab 381
10: Tarikh-ul-Khamis 2/155
11: Dairat-ul-Maarif-e-Al Islaamiyyah 2/198
12: Tarikh Khalifah bin Khayyat 83
13: Hayat ul Sahabah 2/238-240
14: Al Aaalam 5/299
REFERENCE:
Book: Hayat-e-Sahaba kay darakh shah pahelo.
By: Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
حضرت فیروز دیلمی رضی اللہ عنہ
فیروز ایک بابرکت آدمی ہے۔ اور بابرکت گھرانے کا چشم و چراغ ہے۔ (فرمان نبویﷺ)
حجتہ الوداع سے فارغ ہو کر جب رسول اللہﷺ مدینہ منورہ تشریف لائے تو آپ بخار میں مبتلا ہو گئے، آپ کی بیماری کی خبر جزیرہ عرب میں چاروں طرف جنگل کی آگ کی طرح پھیل گئی، یمن میں اسود عنسی یمامہ میں مسیلمہ کذاب اور بلاد بنو اسد میں طلیحہ اسدی مرتد ہو گئے، ان تینوں نے نبوت کا دعویٰ کرتے ہوئے یہ اعلان کیا کہ ہمیں اپنی اپنی قوم کی طرف اسی طرح نبی بنا کر بھیجا گیا ہے جس طرح محمد بن عبد اللہﷺ کو قریش کی طرف نبی بنا کر بھیجا گیا۔
اسود عنسی سخت دل، طاقت ور، دیو ہیکل، شرپسند نجومی اور جادوگر تھا، اس کے ساتھ ساتھ وہ ایسا فصیح البیان مقرر تھا کہ سننے والے انگشت بدنداں رہ جاتے اپنی شعبدہ بازی سے لوگوں کو ورطۂ حیرت میں ڈالنا اس کے بائیں ہاتھ کا کام تھا۔ مال و دولت، جاہ و حشم اور قدر و منزلت کا حصول اس کی کمزوری بن چکا تھا۔
جب بھی گھر سے باہر نکلتا اپنے چہرے پر خود چڑھا لیتا تاکہ لوگ اسے دیکھ کر ہیبت زدہ ہو جائیں۔
ان دنوں یمن میں ایسے ایرانیوں کا اثر ورسوخ تھا، جو ایران کو خیر باد کہہ کر مستقل طور پر یمن میں آباد ہو چکے تھے اور ان کے سرخیل صحابی رسول حضرت فیروز دیلمی تھے۔ اور ان میں ایک سب سے بڑا باذان نامی شخص تھا جو ظہور اسلام کے وقت شہنشاہ ایران کی طرف سے یمن کا حکمران تھا۔ جب اس کے سامنے رسول اقدسﷺ کی صداقت واضح ہو گئی، تو اس نے شاہ ایران کی اطاعت کا پھندا اپنے گلے سے اتار پھینکا اور اپنی قوم سمیت دائرہ اسلام میں داخل ہو گیا، نبی اکرمﷺ نے اسے بدستور یمن کا حاکم رہنے دیا اور وہ اس منصب پر آخر دم تک فائز رہا اور اس کی وفات کے چند روز بعد اسود عنسی نے نبوت کا دعوی کر دیا۔
سب سے پہلے اسود عنسی کی نبوت کو اس کی قوم بنو مذحج نے تسلیم کیا۔ اس نے اپنی قوم کی مدد سے صنعاء پر حملہ کر دیا اور اس کے حکمران شہر بن باذان کو قتل کر کے اس کی بیوی آزاد سے شادی رچا لی پھر یہ صنعاء سے دوسرے گرد ونواح کے علاقوں پر حملہ آور ہوا۔ اس کی قیادت میں بڑی تیزی سے علاقے فتح ہونے لگے، یہاں تک کہ حضر موت سے طائف تک اور بحرین سے عدن تک کا علاقہ اس کی زیر حکومت آ گیا۔
جب اسود عنسی لوگوں کو دھوکہ دینے اور اپنی وسیع تر قیادت کی طرف مائل کرنے میں کامیاب ہو گیا تو اس نے اپنے پیروکاروں کو بتایا کہ اس کے پاس وحی لے کر ایک فرشتہ آتا ہے جو غیب کی خبریں اسے بتاتا ہے…
اسود عنسی اس شعبدہ بازی کو اپنے ان جاسوسوں کے ذریعے چلاتا جو ہر جگہ میں پھیلے ہوئے تھے تاکہ وہ لوگوں کی خبروں کے متعلق واقفیت حاصل کریں۔ ان کے راز ہائے دروں، مشکلات و مصائب اور دلی تمناؤں سے آگاہی حاصل کر کے راز دارانہ طور پر اسے بتائیں۔
اس طرح جب بھی کوئی اس کے روبرو آتا تو یہ دیکھتے ہی فورا پکار اٹھتا: تجھے فلاں ضرورت میرے پاس لائی ہے تم اس وقت فلاں فلاں مشکلات و مصائب میں مبتلا ہو، اپنے پیروکاروں کو ایسے ایسے کرتب دکھلاتا کہ ان کی عقلیں دنگ رہ جاتیں۔
یہاں تک کہ کاروبار حکومت چلانے میں اس کے پاؤں جم گئے’ اور اس کی دعوت آفاق عالم میں اس طرح پھیلی جیسے خشک جنگل میں آگ پھیل جاتی ہے۔
جب نبی اکرمﷺ کو اسود عنسی کے مرتد ہونے اور یمن پر حملہ آور ہو کر اسے اپنے قبضے میں لینے کی خبر ملی تو آپ نے دس صحابہ کرام رضی اللہ عنہم کو یمن میں آباد صحابہ کرام رضی اللہ عنہم کی طرف یہ پیغام دے کر بھیجا کہ اسود عنسی کے پیدا کردہ فتنے کا جس طرح بھی ہو سکے، قلع قمع کر دیا جائے۔ جس صحابی رضی اللہ عنہ کے پاس آپ کا پیغام پہنچتا وہ فوراً آپ کی دعوت پر لبیک کہتے ہوئے آپ کے حکم کو نافذ کرنے کے لئے کمر بستہ ہو جاتا۔
آپ کی دعوت پر لبیک کہنے والوں میں سب سے سبقت لے جانے والے ہماری اس داستان کے ہیرو حضرت فیروز دیلمی ہیں۔ ہم یہ دلربا داستان انہی کی زبانی آپ کو سناتے ہیں۔
حضرت فیروز فرماتے ہیں :
مجھے اور میرے ساتھیوں کو دین الہی کے برحق ہونے اور دشمن خدا اسود عنسی کے جھوٹا ہونے کے بارے میں ذرہ برابر بھی شک نہیں تھا۔ ہم اس پر حملہ آور ہونے اور اس سے گلو خلاصی کرانے کی ہر دم فکر میں تھے۔ جب ہمارے پاس اور یمن میں آباد صحابہ رضی اللہ عنہم کے پاس رسول اللہﷺ کے خطوط آئے تو ہمارے حوصلے بلند ہو گئے ہم میں سے ہر ایک اسود عنسی کو ٹھکانے لگانے کے لئے سرگرم عمل ہو گیا۔
یمن میں کامیابی حاصل کرنے کے بعد اسود عنسی بہت مغرور ہو چکا تھا اور اپنے لشکر کے سپہ سالار قیس بن عبد یغوث کو بھی اپنے کبر و نخوت کا نشانہ بنایا۔ جس سے قیس کو اپنی جان کا خطرہ لاحق ہو گیا، اس موقع کو غنیمت جانتے ہوئے میں اپنے چچیرے بھائی داذویہ کے ہمراہ قیس کے پاس گیا۔ ہم نے اسے رسول اللہﷺ کا پیغام سنایا اور اسے اس بات پر آمادہ کیا کہ پہلے اس سے کہ وہ تیرا کام تمام کر دے’ کیوں نہ اس منحوس شخص کو ٹھکانے لگا دیا جائے۔ اس نے پورے انشراح صدر سے ہماری دعوت کو قبول کیا اور اپنے دلی ارادے سے ہمیں آگاہ کیا اور اس نے ہمارے بارے میں یہ خیال کیا کہ یہ میری مدد کے لئے آسمان سے فرشتے نازل ہوئے ہیں۔
ہم تینوں نے یہ عہد وپیمان کیا کہ ہم اس جھوٹے، مکار، مرتد کا داخلی محاذ پر مقابلہ کریں گے اور دوسرے ساتھی بیرونی محاذ پر اس کا مقابلہ کریں گے۔ ہم نے یہ بھی طے کیا کہ اپنے اس کام میں چچا زاد بہن “آزاد” کو شریک کیا جائے جس کے ساتھ اس منحوس نے اس کے شوہر شہر بن باذان کو قتل کر کے شادی رچائی تھی۔
میں اسود عنسی کے محل میں گیا اور اپنی چچازاد بہن آزاد سے ملا اور کہا میری بہن! تم جانتی ہو کہ یہ منحوس شخص ہمارے لئے آفت کا پرکالہ ثابت ہوا ہے۔ اس کی ضرر رسانیوں سے نہ ہم محفوظ ہیں اور نہ ہی تم’ دیکھئے اس نے تیرے خاوند کو قتل کر دیا اور ہماری قوم کی دیگر عورتوں کو رسوا کیا، بہت سے مردوں کو ہلاک کر ڈالا اور ان کے ہاتھ سے سلطنت چھین لی۔
یہ رسول اللہﷺ کا خط ہمیں موصول ہوا ہے جس میں خاص طور پر ہمیں اور عام طور تمام اہل یمن کو اس فتنہ کی سرکوبی کا حکم دیا ہے۔
کیا آپ ہماری مدد کر سکتی ہیں؟
اس نے دریافت کیا: میں آپ کی کیسے مدد کروں؟
میں نے کہا: اس کے یہاں سے دیس نکالا دینے پر مدد کیجئے۔
اس نے کہا: میں اس کے قتل کرنے پر آپ کی مدد کروں گی۔
میں نے کہا: بخدا! اس سے تو ہماری دلی مراد پوری ہو جائے گی، لیکن مجھے خطرہ ہے کہ کہیں آپ کو اس کا خمیازہ نہ بھگتنا پڑ جائے۔
اس نے کہا: مجھے قسم اس ذات کی! جس نے حضرت محمدﷺ کو بشیر و نذیر بنا کر بھیجا ہے، مجھے اپنے دین کے برحق ہونے میں ذرہ برابر شک نہیں۔ میرے خیال میں اللہ تعالٰی نے اس شیطان سے بڑھ کر ملعون کسی کو پیدا ہی نہیں کیا۔ بخدا! جب سے میرا اس سے واسطہ پڑا ہے، اسے فاجر وفاسق ہی پایا نہ اس لعین کو حقوق کا خیال ہے اور نہ ہی کسی برائی سے باز آتا ہے۔
میں نے کہا: ہم اسے کس طرح قتل کر سکتے ہیں؟
اس نے کہا: یہ شیطان بڑا محتاط ہے۔ محل میں کوئی ایسی جگہ نہیں جہاں اس نے چوکیدار کھڑے نہ کئے ہوں، البتہ یہ کونے والا کمرہ ان کی دستبرد سے باہر ہے۔ اس کمرے کی بیرونی دیوار کھلے میدان کی طرف ہے آپ رات کی تاریکی میں اس بیرونی دیوار میں نقب لگائیں۔ اندر روشن چراغ اور ہتھیار پڑے ہوں گے اور میں آپ کا انتظار کروں گی’ پھر آپ چپکے سے اس کی خواب گاہ میں داخل ہو کر اسے قتل کر دینا۔
میں نے کہا: محل کے اس کمرے میں نقب لگانا کوئی آسان کام نہیں۔ ہو سکتا ہے کہ کوئی انسان وہاں سے گزرے اور وہ چوکیداروں کو چوکنا کر دے۔ اس طرح صورت حال بگڑ جائے گی۔
بہن نے میری بات سن کر کہا: آپ کی بات تو صحیح ہے۔
ہاں میرے ذہن میں ایک تجویز آئی ہے۔
میں نے کہا: وہ کیا؟
اس نے کہا: آپ کل ایک شخص کو مزدور کے روپ میں میرے پاس محل میں بھیجنا۔ میں اس سے کمرے کے اندرونی جانب سے دیوار میں اتنا سوراخ کراؤں گی کہ دیوار کا معمولی حصہ باقی رہ جائے گا۔ آپ رات کے وقت اس جگہ نقب لگانا آپ کے ہاتھ لگانے سے ہی دیوار میں سوراخ ہو جائے گا اور کسی کو پتہ بھی نہیں چلے گا۔
میں نے کہا: یہ بہت اچھی تجویز ہے۔
یہ منصوبہ بنا کر میں واپس آ گیا۔ اپنے ساتھیوں کو اطلاع دی۔ یہ منصوبہ سن کر وہ بہت خوش ہوئے، ایک دوسرے کو مبارک باد دینے لگے اور ہم نے اسی وقت سے تیاری شروع کر دی۔
پھر ہم نے اہل ایمان کو خواص کو اس منصوبے کی اطلاع دی اور انہیں اس راز سے آگاہ کیا اور ہم نے انہیں تیار اور چوکس رہنے کے لئے کہا اور انہیں یہ بھی بتا دیا کہ کل فجر کے وقت تک ہم اس منصوبے کو پایہ تکمیل تک پہنچا دیں گے۔
جب رات کی تاریکی پھیل گئی اور وقت مقررہ قریب آ گیا، میں اپنے دو ساتھیوں کے ہمراہ منزل کی طرف روانہ ہوا۔ دیوار کو نقب لگائی، کمرے میں داخل ہو گئے، اندر پڑے ہوئے ہتھیار پکڑے چراغ ہاتھ میں لیا اور دشمن خدا کی خلوت گاہ کی طرف چلے، میری چچا زاد بہن دروازے پر کھڑی تھی۔ اس نے اشارہ کیا میں دبے پاؤں اندر داخل ہوا وہ گہری نیند میں خراٹے لے رہا تھا۔ میں نے اس کی گردن پر ٹکوے کا وار کیا تو وہ بیل طرح دھاڑا اور ذبح کئے گئے اونٹ کی طرح تڑپنے لگا۔ جب چوکیداروں نے اس کی گھگھیائی ہوئی آواز میں سنیں تو خلوت گاہ کی طرف لپکے اور کہنے لگے: اندر سے یہ آواز کیسی آ رہی ہے؟
میرے چچا کی بیٹی نے ان سے کہا:
جاؤ آرام کرو’ گھبرانے کی ضرورت نہیں، یہ اللہ کا نبی ہے، اب اس کی طرف وحی ہو رہی ہے تو وہ منہ لٹکائے واپس لوٹ گئے۔
ہم محل میں طلوع فجر تک رہے، طلوع فجر کے بعد میں محل کی دیوار پر چڑھا۔ اور اذان دینا شروع کر دی جب میں نے اَشْهَد اَنْ لَا إِله إِلَّا اللَّهَ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا رَسُولَ اللہ کہا اور ساتھ ہی یہ بھی کہا اشھد ان الاسود العنسی کذاب تاکہ مسلمان میرے اشارے کو سمجھ جائیں، یہ کلمات سنتے ہی مسلمانوں نے چاروں طرف سے محل پر حملہ کر دیا۔ اذان کی آواز سن کر چوکیدار چوکس ہو گئے اور گھمسان کی لڑائی شروع ہو گئی۔
میں نے محل کی دیوار کے اوپر سے اسود عنسی کا سر نیچے پھینک دیا‘ اسود عنسی کے پیروکاروں نے جب اس کا سر دیکھا تو کمزور پڑ گئے اور ان کی طاقت زائل ہو گئی۔ جب مومنوں نے اس کا سر دیکھا تو نعرہ تکبیر بلند کیا اور دشمن پر زور دار حملہ کیا، طلوع آفتاب سے پہلے جنگ ختم ہو گئی اور مسلمانوں نے قلعہ پر قبضہ کر لیا۔
طلوع آفتاب کے بعد جب چہار سو روشنی پھیل گئی’ تو ہم نے رسول اقدسﷺ کی طرف قاصد روانہ کئے۔
جب یہ خوشخبری دینے والے قاصد مدینہ پہنچے تو انہیں پتہ چلا کہ سرور عالم، فخر موجودات، شمس الضحی، بدر الدجی، نبی مکرم، رسول معظم، سرکار دو عالمﷺ گذشتہ رات
اپنے اللہ کو پیارے ہو چکے ہیں۔
قاصد حیرانی و پریشانی کی تصویر بنے ہوئے تھے کہ انہیں بتایا گیا کہ نبی اقدسﷺ کو وحی کے ذریعے اللہ تعالٰی نے اس رات آگاہ کر دیا تھا جس رات اسود عنسی کو قتل کیا گیا۔
رسول اکرمﷺ نے اپنے صحابہ سے یہ ارشاد فرمایا:
گذشته رات اسود عنسی کو قتل کر دیا گیا ہے۔
اس کو ایک ایسے بابرکت شخص نے قتل کیا ہے جس کا تعلق ایک بابرکت گھرانے سے تھا۔
آپ سے دریافت کیا گیا۔
یا رسول اللہ! وہ مبارک شخص کون ہے؟
آپ نے فرمایا: فیروز ..
فیروز اپنے مشن میں کامیاب ہو گیا۔
حضرت فیروز دیلمی کے مفصل حالات زندگی معلوم کرنے لے کئے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کریں۔
ا۔ الاصابه مترجم ۷٠١٢
٢- الاستيعاب ۳/ ۲۰۴
۳۔ اسد الغابه ۲۷۱/۴
۴- تذيب التذيب ۳۰۵/۸
۵۔ طبقات ابن سعد ۵/ ۵۳۳
۶- تاریخ طبری
تیسری جلد کی فہرست دیکھئے
۷۔ کامل ابن اثیر
واقعات گیارہویں ہجری
۸- فتوح البلدان ۱۱۔۱۳
٩- جمرة الانساب ۳۸۱
١٠- تاريخ الخميس ۲/ ۱۵۵
۱۱۔ دائرة المعارف الاسلاميه ۲/ ۱۹۸
۱۲۔ تاریخ خلیفه بن خیاط ۸۳
١٣- حياة الصحابه ۲۴۰-۲۳۸/۲
۴۔ الاعلام ٢٩٩/٥
حوالہ جات :
“حياتِ صحابہ کے درخشاں پہلو”
تا لیف: “داکتور عبدالر حمان رافت الباشا”