21. Hazrat Noumaan Bin Muqarrin Al Muzani رضی اللہ عنہ
Hazrat Noumaan Bin Muqarrin Al Muzani رضی اللہ عنہ
Baaz gharaane imaan ka gehwaara hote hain aur baaz khandan nifaq ki aamajgaah, Bila-shubaa Banno Muqrrin ka gharaana imaan ka gehwaara hai
Irshaad: Abdullah Bin Maso’od
Qabeela Muzaina ne apni qiyaam gaahein Madinah Tayyiba ke qareeb hi is sadak par bana rakhi theen jo Madinah Tayyiba se Makkah Muazzama ki taraf jati thi, Rasool-e- Akram (ﷺ) hijrat kar kay Madinah Munawwara tashreef le aaye thay, Qabeela Muzaina ke paas anay jane walon ki wasaatat se Rasool-e-Akram (ﷺ) ke muta’aliq khush aaind khabrain pounchanay lagein.
Aik shaam qoum ke sardaar Hazrat Nouman Bin Muqarrin Muzani apne bhaaiyon aur qabeeley ke buzurgon ke paas baithey aur sab ko mukhatib kar ke irshaad farmaya:
“Meri qoum! ba-khudaa hamein Hazrat Mohammad (ﷺ) ke muta’aliq umdah aur behtar khabrain hi ma’aloom huien, Aap ki daawat rahmat, Ahsaan aur Adal-o-Insaaf par mushtamil hai, Kitney ta’ajjub ki baat hai ke hum peechay rehtay jaa rahay hain aur log Aap ki daawat qubool karne ke liye Aap ki taraf sarpat doday jaa rahay hain aur sath hi farmanay lagey:
Mein to pukhtaa iraadah kar chuka hon ke subah Huzoor (ﷺ) ki Khidmat-e- Aqdas mein haazri ke liye rawaana ho jaoon ga, Aap mein se jo shakhs mere sath jana chahay woh taiyaar ho jaye, “Nouman ki baatein Ahal-e-Majlis ke dilon mein utar gaien.
Subah hui to aap kiya dekhte hain ke aap ke das(10) bhai aur qabeela Muzaina ke chaar so (400) shehsawaar aap ke hamrah Madinah Tayyiba jane ke liye tayyaar hain taa’kay Nabbi Akram (ﷺ) ki ziyaarat aur Deen-e-Ilaahi ko qubool karne ki Sa’adat haasil kar sakein.
Hazrat Nouman رضی اللہ عنہ ke dil mein khaiyaal aaya ke khaali haath jana munaasib nahi, Nabi-e- Akram (ﷺ) aur Muslmaan bhaiyon ke liye kuch tahaaif zaroor sath le jane chahien, Lekin qaht saali ki bina par gharon mein farawaani nah rahi thi.
Hazrat Noman رضی اللہ عنہ apne aur tamaam bhaiyon ke ghar chakkar lagaya aur jo kuch haath laga apne sath le liya aur khandan ke jumla ahbaab ko apne sath le kar sooye Madinah rawanaa ho gaye.
Huzoor (ﷺ) ki bargaah mein pahonch kar tamaam tahaaif aap ki khidmat mein paish kar diye, Aap aur aap ke tamaam rufqaa Huzoor (ﷺ) ke roo-baroo Halqaa-e- Bagosh-e-Islaam ho gaye.
Un ke imaan laane se Madinah Tayyiba ke aik konay se le kar dosray konay tak musalmanoon ke gharon mein khushi ki lehar daur gayi, Kiyun keh is se pehlay koi aisi misaal nahi millti ke aik gharaane se das (10) haqeeqi bhaiyon aur chaar so (400) shehsawaaron ne baik waqat islaam qubool kiya ho.
Hazrat Noman رضی اللہ عنہ ke Halqa-e-Bagosh-e-Islaam honay se Rasool-e-Akram (ﷺ) ko bhi be intahaa musarrat hui.
Allah Subhana wa Ta’alaa ne is wafad ke tahaaif ko bhi Sharf-e-Qabooliyat bakhshaa aur Qura’ani aayaat naazil farmaein:
وَمِنَ الْاَعْرَابِ مَنْ يُّؤْمِنُ بِاللّٰهِ وَالْيَوْمِ الْاٰخِرِ وَيَتَّخِذُ مَا يُنْفِقُ قُرُبٰتٍ عِنْدَ اللّٰهِ وَصَلَوٰتِ الرَّسُوْلِ ۭ اَلَآ اِنَّهَا قُرْبَةٌ لَّھُمْ ۭ سَـيُدْخِلُھُمُ اللّٰهُ فِيْ رَحْمَتِهٖ ۭ اِنَّ اللّٰهَ غَفُوْرٌ رَّحِيْمٌ
(Al-toubaa 99)
“Aur baddoiyon mein kuch log aisay bhi hain jo Allah aur Roz-e-Akhirat par imaan rakhtay hain aur jo kuch kharch karte hain usay Allah ke haan taqarub ka aur Rasool (ﷺ) ki taraf se rahmat ki dua’aien lainay ka zar’iya banatay hain haan! woh zaroor un ke liye taqarrub ka zari’ya hai aur Allah zaroor un ko apni rahmat mein daakhil kere ga yaqeenan Allah dar guzar karne wala aur raham farmanay wala hai .”
Hazrat No’uman Bin Muqarrin رضی اللہ عنہ ne Rasool Allah (ﷺ) ke jhanday talay aa kar tamaam ghazwaat mein poori bahaduri aur jawaanmardi se hissa liya.
Siddiq-e-Akbar رضی اللہ عنہ ke daur khilaafat mein Hazrat Nou’man رضی اللہ عنہ aur un ki poori qoum bano Muzaina ne Fitnah-e-Irtidaad ko dabanay ke liye bhar poor kirdaar adaa kiya.
Hazrat Farooq-e-Azam رضی اللہ عنہ ke Daur-e-Khilaafat mein to Hazrat No’uman رضی اللہ عنہ ne woh Kaar-haa-e-Numaiyaan sir injaam diye ke Tareekh-e-Islaam mein jinhein qabil sataish haisiyat haasil rahay gi.
Jung-e-Qadsiyah se pehlay sipahsalaar Lashkar-e-Islam Hazrat Sa’ad Bin Abbi Waqas رضی اللہ عنہ ne Hazrat No’uman Bin Muqarrin رضی اللہ عنہ ki qayaadat mein Shah-e-Iran ki taraf aik wafad bheja taakeh woh is ke samnay islaam ki da’awat paish kere, Jab yeh wafad Iran ke Dar-ul-Hukoomat pouncha aur Shah-e-Iran se milnay ki ei’jaazat talabb ki to usay ijazat day di gayi. Aur aik tarjumaan ko bhi bulaaya gaya.
Shah-e-Iran ne tarjumaan ko hukum diya: In se poocho keh yahaan kiyun aaye ho? Ham se kiyun jung karna chahtay ho? Tumhen kisi lalach ne ghair rakha hai? Ya hamari be parwaahi ki bina par tumhen yeh jurrat hui?
Yeh baat sun kar Hazrat Nou’man Bin Muqarrin ne apne saathiyon se mukhaatib ho kar farmaaya: Shah-e-Iran ki baat ka jawaab mein doun ya tum mein se koi jawaab dainay ka iradaah rakhta hai?
Sab ne kaha: Aap hi is se baat kijiye, Phir sab ne yak zubaan ho kar Shah-e-Iran se kaha: Yahi hamaari tarjumaani karein ge, In ki baatein zarraa ghor se suno!
Hazrat Nou’man رضی اللہ عنہ ne Hamd-o-Salaat ke ba’ad irshaad farmaaya: Allah Subhana Wa Ta’ala ne hum par bohat bada karam kiya ke hamaari taraf apna Rasool (ﷺ) bheja jo hamein naiki ka hukum detaa hai aur har qisam ke shar se baaz rehne ki talqeen karta hai, Aur unhon ne hum se yeh waada kiya hai ke agar hum un ki da’awat qubool kar letay hain to Allah Ta’alaa Duniyaa-o-Aakhirat ki bhalai se sarfraaz farmaaye ga.
Thoday hi arsay mein Allah Ta’ala ne hamaari tangi ko faraakhi mein, Hamaari zillat ko izzat mein aur hamaari adaawat ko ukhuwwat mein badal diya, Unhon ne hamein yeh hukum diya hai ke hum logon ko is Khair-o-Barkat ki taraf da’awat den aur apne hamsaaiyon se is ka aaghaz karein.
Hum tumhen Daaira-e-Islaam mein daakhil honay ki da’awat dete hain, Yeh aik aisa nazriya haiyaat hai jis ne har naiki ke kaam ko Ba-nazar-e-Istehsaan dekha aur is ki targheeb dilaai aur har qisam ki buraai ko bura girdaana aur is se bachney ki talqeen ki aur yeh apne maanny walon ko kufar ki athaah gehraaiyon se nikaal kar Noor-e-Imaan ki bulandiyon tak pounchaa detaa hai.
Agar tum islaam qubool kar lo ge to hum tumahray paas Allah ki kitaab chod jayein ge, Tum us ke ahkaam ke mutaabiq Nizaam-e-Hukoomat ko ustawaar karna. Ham tumahray kisi mua’mlay mein mudakhlat nahi karein ge.
Agar tum ne Deen-e-Ilaahi ko qubool karne se inkaar kar diya to phir hum tum se jaziya wusool karein ge aur tumhari hifaazat ki zimma daari hum par hogi lekin agar tum ne jaziya dainay se inkaar kar diya to hamari tum se jung hogi.
Shah-e-Iran Hazrat No’man رضی اللہ عنہ ki yeh baatein sun kar mushta’il ho gaya aur kehnay laga: Meri nazar mein rooye zameen par tum se ziyadaa bad bakhat, Puragandah Haal-o-Kamtar koi aur qoum nah hogi.
Hum tumhara ma’amla sarhadi hukmaraanon ke supurd kar dein ge, Woh tumhe hamara mute’e banaein ge.
Phir gussa zara naram huwa to kehnay laga:
Agar kisi zaroorat ne tumhen hamaray paas anay par majboor kiya hai to hum tumhen itna ghalla dein ge jis se tumahray gharon mein khush-haali aa jaye gi, Is ke i’lawa tumhen aur tumahray sardaaron ko umdaah libaas bhi muhaiyya karein ge, Aur apni taraf se tum par aik aisa hukmaraan bhi muqarrar karein ge jo tumahray sath Husan-e-Sulook se paish aaye ga.
Yeh baatein sun kar wafad ke aik rukan ne Shah-e-Iran ko khoob khoob sunaain jis se ghusse ki aag phir bhadak uthi aur ghazab-naak andaaz mein kehnay laga: Agar qasidon ke tahaffuz ka bain-ul-Aqwami muhaaida nah hota to aaj mein tumhe qatal kar deta.
Meri aankhon se door ho jao mere paas tumahray liye kuch nahi. Apne salaar ko jaa kar bataa dena ke mein tumhari taraf Rustam ko bhejoon ga, Woh tumahray sardaar aur tumhen aik sath qadsiyah ki khundaq mein dafan kar day ga, Phir is ne matti ka aik thailaa mangwaya, Aur apne kaarindon ko hukum diya ke yeh thailaa in mein se is shakhs ke sir par rakhna jo ziyada mu’azaz samjhaa jata hai, Aur tamaam logon ke samnay usay haank kar Daar-ul-Hukoomat se nikaal do.
Darbaariyon ne wafad se poocha: Tum mein sab se ziyada Muazaz kon hai?
Hazrat Asim Bin Umiar agay badhay aur farmaaya: “Mein.”
To unhon ne us par matti ka thailaa laad diya , Aur woh isi haalat mein Daar-ul-Hukoomt Madaayin se niklay. Shehar se bahir aa kar woh matti ka thailaa unhon ne apni uontni par laad diya aur usay Hazrat Sa’ad Bin Abbi Waqas رضی اللہ عنہ ke paas le aaye aur yeh khush-khabri di ke Allah Ta’alaa musalmanoon ke liye Iran ko fatah kar day ga aur inhen Sarzameen-e-Faris ka maalik bana de ga, Kuch arsay ba’ad jung qaadsiyah ka waqi’yaa paish aaya aur qaadsiyah ki khandaq hazaaron laashon se bhar gayi, Lekin yeh lashain musalmanoon ki nahi thein, Balkeh yeh Irani lashkar ki thein.
Iraaniyon ne qaadsiyah ki shikast se hoslaa nah haara balkeh az sir nou afraad ko jama kiya aur lashkar ko tarteeb diya yahan tak ke aik laakh pachaas hazaar (1,50,000) tajurbah kaar jangju ikathay ho gaye, Jab Farooq-e-A’azam رضی اللہ عنہ ko is Jamm-e-Ghafeer ke muta’aliq ilam huwa to is baday khatray ka muqaabla karne ke liye khud taiyyaar hue, Lekin Lashkar-e-Islaam ki ba’az aham shakhsiyaton ne Aap ko is se rokk diya aur yeh tajweez paish ki ke aik aisay sipaah salaar ko yeh muhim sir karne ke liye rawaana karein jo Qabil-e-Ai’tmaad ho .
Hazrat Umar ne farmaaya:
Mujhe aisay shakhs ki nishaan-dahi karo jisay Qaaid banaa kar is muhim ko sir karne ke liye rawaana karon.
Sab ne a’raz ki:
Ameer-ul-Momineen! aap apne lashkar ke muta’aliq khoob achi tarhaan jantay hain.
Aap ne irshaad farmaya:
“Allah ki qasam! Main musalmanoon ke lashkar ka salaar aik aisay shakhs ko banaaon ga ke jis mein yeh khoobi ho keh jab dono foujon mein ghamsaan ki jung chihdti hai to woh tairay se bhi ziyada taiz saabit hota hai aur woh hai N’oman Bin Muqarrin Muzani رضی اللہ عنہ”
Sab ne kaha:
Waqa’i woh is mansab ke laaiq hai.
To Hazrat Umar رضی اللہ عنہ ne is ki taraf yeh khat likha.
Umar Bin khataab رضی اللہ عنہ ki jaanib se No’man Bin Muqarrin رضی اللہ عنہ ki taraf.
Ba’ad az tasleemaat:
Mujhe yeh ittila mili hai ke Iraniyon ne Nahwand shehar mein kaseer ta’daad mein fouj jama kar li hai, Jab Aap ko mera yeh khatt milay, Allah ka naam le kar aur is ko Shaamil-e-Haal samajte hue dushman ke muqablay ke liye rawana ho jayen…. Yaad rakhna. Aik musalman mere nazdeek aik laakh dinaar se ziyada qeemti aur mehboob hai.
Wa-al-salaam
Hazrat No’man رضی اللہ عنہ ne dushman se muqablay ke liye apne lashkar ko tayyaar kiya aur tajurbah kaar shehsawaar Soorat-e-Haal ma’aloom karne ke liye rawana kiye jab yeh shehsawaar shehar ke qareeb puhanche to un ke ghoday achanak ruk gaye, Shehsawaaron ne unhein dodaanay ki koshish ki lekin woh isi jagah jamay rahay. Aik qadam bhi agay nah badhay. Shehsawaar ghodon ki peeth say neechay utar aaye, Taakeh sahih Soorat-e-Haal ma’aloom kar sakein, Woh yeh dekh kar hairaan reh gaye ke ghodon ke paaon mein keel paivast ho chuke hain, Unhon ne jab ird gird ka ba-ghor jaaizah liya to kiya dekhte hain keh Iraniyon ne Nahawand ki taraf jane walay tamaam raaston mein lohay ke nok-daar keel bikhair diye hain taakay shehsawaaron aur piyadah fouj ka rastaa roka jaa sakay aur woh Nahawand shehar tak pahonch nah sakein.
Shehsawaaron ne is Soorat-e-Haal se Hazrat No’uman رضی اللہ عنہ ko mutal’aa kiya aur un se raye talabb ki unhon ne hukum diya ke sab apni jagah khaday rahein, Jab raat ki tareeki chaa jaye to be- tahaasha aag jalaaein taakay dushman is roshni mein tumhen dekh le, Jab roshni chahaar soo phaili hui ho to Khauf-o-Haraas aur Hazeemat-o-Paspaai ka muzaahiraa karein, Is se dushman fouj ke dil mein tumahray paas pounchanay ki shadeed dili khawahish paidaa ho gi jis ki takmeel ke liye woh az khood raaston mein bikhray hue kaantay aur keel chunnay par majboor hon ge. Is tarhaan tumahray tamaam rastay saaf ho jaein ge Iraniyon ke khilaaf yeh tadbeer kargar saabit hui. Jab unhon ne aag ke alaao ki roshni mein dekhaa ke musalmaan lashkar pispaa ho kar bhaagna chahta hai to unhon ne jaldi se apne karinde bhaij kar tamam rastay saaf karwaa diye, Jab rastay saaf ho gaye to musalmanoon ne yak-dam peechay mud kar achanak dushman par zor daar hamlaa kar diya.
Hazrat No’man Bin Muqarrin رضی اللہ عنہ ne apne lashkar ke sath Nahawand shehar ke balaai jaanib paraao daal diya aur dushman par hamla karne ke liye mansoobah bandi ki, Aap ne lashkar ko mukhaatib karte hue farmaaya:
“Mein teen martaba na’ara takbeer buland karoon ga, jab pehli martaba na’ara takbeer karoon to sab log chokas ho jaaein, Jab doosri martaba na’ara takbeer kahoon to apne hathiyaar sambhaal lein aur jab teesri martaba na’ara takbeer kahoon to mere sath mil kar dushman par zor daar hamla kar dein.”
Hazrat No’man Bin Maqrran رضی اللہ عنہ ne teen dafa’a Allah-o-Akbar kahaa aur sher ki si dilairi ke sath dushman ki safon mein jaa ghusay aur Aap ke peechay Lashkar-e-Islaam Sail-e-Rawaan ki tarhaan dushman ke Khas-o-Khashaak ko bahaata huwa musalsal agay bhadne laga aur dono foujon ke darmiyan aisaa ghamsaan ka run padaa keh jungi tareekh mein kam hi kisi aisi ladaai ki misaal millti hogi, Irani fouj gaajar mooli ki tarhaan katne lagi laashon ke ambaar lag gaye, Maidaan aur pahaad jis taraf nigaah uthti laashon ke kashton ke pashte lagey hue thay guzar gaahon aur raaston mein khoon pani ki tarhaan beh rahaa tha, Isi aalam mein sipah salaar Hazrat N’oman Bin Muqarrin رضی اللہ عنہ ka ghoda phislaa aur girtay hi dam tor gaya aur Hazrat N’oman رضی اللہ عنہ bhi girtay hi shaheed ho gaye.
Foran Aap ke bhaai ne agay badh kar jhandaa apne haath mein thaam liya aur Aap ke Jasad-e-Khaaki par apni chaadar daal di taakay Aap ki shahaadat ki khabar musalmaan fouj ko nah honay paye.
Jab Lashkar-e-Islaam ko aisi mukammal fatah naseeb hui, Jisay Fatah-e-Mubeen ka naam diya gaya to fatah-yaab lashkar ne apne qaaid ke muta’aliq dariyaaft kiya ke woh kahan hain?
Un ke bhai ne un ke Jasad-e-Khaaki se chaadar uthaai aur farmaaya:
yeh hain aap ke Ameer.
Bilaa-shubaa fatah se in ki aankhein thandhi ho chuki hain, Aur Allah Subhanaa wa Ta’alaa ne inhen shahaadat ka azeem martaba bhi naseeb farmaa diya.
Hazrat No’man Bin Maqrran رضی اللہ عنہ ke mufassal Halaat-e Zindagi ma’aloom karne ke liye darj zail kitaabon ka muta’liya karein:
1: Al Isaabah Mutarjim 8745
2: Ibn ul Aseer 2/211-7/3
3: Tahzeeb ul Tahzeeb 10/456
4: Futooh ul Buldan 311
5: Sarah Alfiat ul Iraqi 3/76
6: Al Aaalam 9/9
7: Al Qadsiyyah 66-73
REFERENCE:
Book: Hayat-e-Sahaba kay darakh shah pahelo.
By: Dr. Abdur Rahman Rafat Al- Pasha.
حضرة نعمان بن مقرن المزنى رضی اللہ عنہ
بعض گھرانے ایمان کا گہوارہ ہوتے ہیں اور بعض خاندان نفاق کی آماجگاه، بلاشبہ بنو مقرن کا گھرانہ ایمان کا گہوارہ ہے۔
(ارشاد عبد الله بن مسعود رضی اللہ عنہ)
قبیلہ مزینہ نے اپنی قیام گاہیں مدینہ طیبہ کے قریب ہی اس سڑک پر بنا رکھی تھیں جو مدینہ طیبہ سے مکہ معظمہ کی طرف جاتی تھی، رسول اکرمﷺ ہجرت کر کے مدینہ منورہ تشریف لے آئے تھے’ قبیلہ مزینہ کے پاس آنے جانے والوں کی وساطت سے رسول اکرمﷺ کے متعلق خوش آئند خبریں پہنچنے لگیں۔
ایک شام قوم کے سردار حضرت نعمان بن مقرن مزنی اپنے بھائیوں اور قبیلے کے بزرگوں کے پاس بیٹھے اور سب کو مخاطب کر کے ارشاد فرمایا:
میری قوم! بخدا ہمیں حضرت محمدﷺ کے متعلق عمدہ اور بہتر خبریں ہی معلوم ہوئیں، آپ کی دعوت رحمت، احسان اور عدل و انصاف پر مشتمل ہے، کتنے تعجب کی بات ہے کہ ہم پیچھے رہتے جا رہے ہیں اور لوگ آپ کی دعوت قبول کرنے کے لئے آپ کی طرف سرپٹ دوڑے جا رہے ہیں اور ساتھ ہی فرمانے لگے:
میں تو پختہ ارادہ کر چکا ہوں کہ صبح حضورﷺ کی خدمت اقدس میں حاضری کے لئے روانہ ہو جاؤں گا’ آپ میں سے جو شخص میرے ساتھ جانا چاہے وہ تیار ہو جائے’ نعمان کی باتیں اہل مجلس کے دلوں میں اتر گئیں۔
صبح ہوئی تو آپ کیا دیکھتے ہیں کہ آپ کے دس بھائی اور قبیلہ مزینہ کے چار سو شہسوار آپ کے ہمراہ مدینہ طیبہ جانے کے لئے تیار ہیں تاکہ نبی اکرمﷺ کی زیارت اور دین الہی کو قبول کرنے کی سعادت حاصل کر سکیں۔
حضرت نعمان رضی اللہ عنہ کے دل میں خیال آیا کہ خالی ہاتھ جانا مناسب نہیں، نبی اکرم ﷺ اور مسلمان بھائیوں کے لئے کچھ تحائف ضرور ساتھ لے جانے چاہئیں، لیکن قحط سالی کی بنا پر گھروں میں فراوانی نہ رہی تھی۔
حضرت نعمان رضی اللہ عنہ نے اپنے اور تمام بھائیوں کے گھر چکر لگایا اور جو کچھ ہاتھ لگا اپنے ساتھ لے لیا اور خاندان کے جملہ احباب کو اپنے ساتھ لے کر سوئے مدینہ روانہ ہو گئے۔
حضورﷺ کی بارگاہ میں پہنچ کر تمام تحائف آپ کی خدمت میں پیش کر دیئے’ آپ اور آپ کے تمام رفقاء حضورﷺ کے روبرو حلقہ بگوش اسلام ہو گئے۔
ان کے ایمان لانے سے مدینہ طیبہ کے ایک کونے سے لے کر دوسرے کونے تک مسلمانوں کے گھروں میں خوشی کی لہر دوڑ گئی’ کیونکہ اس سے پہلے کوئی ایسی مثال نہیں ملتی کہ ایک گھرانے سے دس حقیقی بھائیوں اور چار سو شہسواروں نے بیک وقت اسلام قبول کیا ہو۔
حضرت نعمان رضی اللہ عنہ کے حلقہ بگوش اسلام ہونے سے رسول اکرمﷺ کو بھی بے انتہا
مسرت ہوئی۔
اللہ سبحانہ و تعالیٰ نے اس وفد کے تحائف کو بھی شرف قبولیت بخشا اور قرآنی آیات نازل فرمائیں۔
*وَمِنَ الْأَعْرَابِ مَنْ يُؤْمِنُ بِاللَّهِ وَالْيَوْمِ الْآخِرِ وَيَتَّخِذُ مَا يُنْفِقُ قُربَاتٍ عِنْدَ اللَّهِ وَصَلَواتِ الرَّسُوْلِ أَلَا إِنَّهَا قُرْبَةٌ لَّهُمْ سَيُدْخِلُهُمْ اللَّهُ فِي رَحْمَتِهِ إِنَّ اللَّهَ غَفُوْرٌ رَّحِيمُ*
(التوبہ: 99)
*ترجمہ:*
“اور بددویوں میں کچھ لوگ ایسے بھی ہیں جو اللہ اور روز آخرت پر ایمان رکھتے ہیں اور جو کچھ خرچ کرتے ہیں اسے اللہ کے ہاں تقرب کا اور رسولﷺ کی طرف سے رحمت کی دعائیں لینے کا ذریعہ بناتے ہیں ہاں! وہ ضرور ان کے لئے تقرب کا ذریعہ ہے اور اللہ ضرور ان کو اپنی رحمت میں داخل کرے گا یقیناً اللہ درگزر کرنے والا اور رحم فرمانے والا ہے۔”
حضرت نعمان بن مقرن رضی اللہ عنہ نے رسول اللہﷺ کے جھنڈے تلے آ کر تمام غزوات میں پوری بہادری و جوانمردی سے حصہ لیا۔
صدیق اکبر رضی اللہ عنہ کے دور خلافت میں حضرت نعمان رضی اللہ عنہ اور ان کی پوری قوم بنو مزینہ نے فتنہ ارتداد کو دبانے کے لئے بھر پور کردار ادا کیا۔
حضرت فاروق اعظم رضی اللہ عنہ کے دور خلافت میں تو حضرت نعمان رضی اللہ عنہ نے وہ کارہائے نمایاں سر انجام دیئے کہ تاریخ اسلام میں جنہیں قابل ستائش حیثیت حاصل رہے گی۔
جنگ قادسیہ سے پہلے سپہ سالار لشکر اسلام حضرت سعد بن ابی وقاص رضی اللہ عنہ نے
حضرت نعمان بن مقرن رضی اللہ عنہ کی قیادت میں شاہ ایران کی طرف ایک وفد بھیجا تاکہ وہ اس کے سامنے اسلام کی دعوت پیش کرے، جب یہ وفد ایران کے دارالحکومت پہنچا اور شاہ ایران سے ملنے کی اجازت طلب کی تو اسے اجازت دے دی گئی۔
اور ایک ترجمان کو بھی بلایا گیا۔
شاہ ایران نے ترجمان کو حکم دیا ان سے پوچھو کہ یہاں کیوں آئے ہو؟ ہم سے کیوں جنگ کرنا چاہتے ہو؟ تمہیں کسی لالچ نے گھیر رکھا ہے! یا ہماری بےپروائی کی بنا پر تمہیں یہ جرات ہوئی۔
یہ بات سن کر حضرت نعمان بن مقرن رضی اللہ عنہ نے اپنے ساتھیوں سے مخاطب ہو کر فرمایا: شاہ ایران کی بات کا جواب میں دوں یا تم میں سے کوئی جواب دینے کا ارادہ رکھتا
ہے۔
سب نے کہا: آپ ہی اس سے بات کیجئے، پھر سب نے یک زبان ہو کر شاہ ایران سے کہا: یہی ہماری ترجمانی کریں گے’ ان کی باتیں ذرا غور سے سنو!
حضرت نعمان رضی اللہ عنہ نے حمد و صلاۃ کے بعد ارشاد فرمایا: اللہ سبحانہ و تعالیٰ نے ہم پر بہت بڑا کرم کیا کہ ہماری طرف اپنا رسولﷺ بھیجا جو ہمیں نیکی کا حکم دیتا ہے اور ہر قسم کے شر سے باز رہنے کی تلقین کرتا ہے، اور انہوں نے ہم سے یہ وعدہ کیا ہے کہ اگر ہم ان کی دعوت قبول کر لیتے ہیں تو اللہ تعالیٰ دنیا و آخرت کی بھلائی سے سرفراز فرمائے گا۔
تھوڑے ہی عرصے میں اللہ تعالیٰ نے ہماری تنگی کو فراخی میں، ہماری ذلت کو عزت میں اور ہماری عداوت کو اخوت میں بدل دیا، انہوں نے ہمیں یہ حکم دیا ہے کہ ہم لوگوں کو اس خیر و برکت کی طرف دعوت دیں اور اپنے ہمسایوں سے اس کا آغاز کریں۔
ہم تمہیں دائرہ اسلام میں داخل ہونے کی دعوت دیتے ہیں، یہ ایک ایسا نظریہ حیات ہے جس نے ہر نیکی کے کام کو بنظر استحسان دیکھا اور اس کی ترغیب دلائی اور ہر قسم کی برائی کو برا گردانا اور اس سے بچنے کی تلقین کی اور یہ اپنے ماننے والوں کو کفر کی اتھاہ گہرائیوں سے نکال کر نور ایمان کی بلندیوں تک پہنچا دیتا ہے۔
اگر تم اسلام قبول کر لو گے تو ہم تمہارے پاس اللہ کی کتاب چھوڑ جائیں گے، تم اس کے احکام کے مطابق نظام حکومت کو استوار کرنا! ہم تمہارے کسی معاملے میں مداخلت نہیں کریں گے۔
اگر تم نے دین الہی کو قبول کرنے سے انکار کر دیا تو پھر ہم تم سے جزیہ وصول کریں گے اور تمہاری حفاظت کی ذمہ داری ہم پر ہو گی لیکن اگر تم نے جزیہ دینے سے انکار کر دیا تو ہماری تم سے جنگ ہوگی۔
شاه ایران حضرت نعمان رضی اللہ عنہ کی یہ باتیں سن کر مشتعل ہو گیا اور کہنے لگا: میری نظر میں روئے زمین پر تم سے زیادہ بدبخت پراگندہ حال و کمتر کوئی اور قوم نہ ہو گی۔
ہم تمہارا معاملہ سرحدی حکمرانوں کے سپرد کر دیں گے، وہ تمہیں ہمارا مطیع بنائیں گے۔
پھر غصہ ذرا نرم ہوا تو کہنے لگا:
اگر کسی ضرورت نے تمہیں ہمارے پاس آنے پر مجبور کیا ہے تو ہم تمہیں اتنا غلہ دیں گے جس سے تمہارے گھروں میں خوشحالی آ جائے گی، اس کے علاوہ تمہیں اور تمہارے سرداروں کو عمدہ لباس بھی مہیا کریں گے اور اپنی طرف سے تم پر ایک ایسا حکمران بھی مقرر کریں گے جو تمہارے ساتھ حسن سلوک سے پیش آئے گا۔ یہ باتیں سن کر وفد کے ایک رکن نے شاہ ایران کو خوب خوب سنائیں جس سے اس کے غصے کی آگ پھر بھڑک اٹھی اور غضبناک انداز میں کہنے لگا: اگر قاصدوں کے تحفظ کا بین الاقوامی معاہدہ نہ ہوتا تو آج میں تمہیں قتل کر دیتا۔
میری آنکھوں سے دور ہو جاؤ’ میرے پاس تمہارے لئے کچھ نہیں! اپنے سالار کو جا کر بتا دینا کہ میں تمہاری طرف رستم کو بھیجوں گا’ وہ تمہارے سردار اور تمہیں ایک ساتھ قادسیہ کی خندق میں دفن کر دے گا، پھر اس نے مٹی کا ایک تھیلا منگوایا اور اپنے کارندوں کو حکم دیا کہ یہ تھیلا ان میں سے اس شخص کے سر پر رکھنا جو زیادہ معزز سمجھا جاتا ہے اور تمام لوگوں کے سامنے اسے ہانک کر دارالحکومت سے نکال دو۔
درباریوں نے وفد سے پوچھا: تم میں سب سے زیادہ معزز کون ہے؟
حضرت عاصم بن عمر آگے بڑھے اور فرمایا: میں۔
تو انہوں نے اس پر مٹی کا تھیلا لاد دیا اور وہ اسی حالت میں دارالحکومت مدائن سے نکلے۔ شہر سے باہر آ کر وہ مٹی کا تھیلا انہوں نے اپنی اونٹنی پر لاد دیا اور اسے حضرت سعد بن ابی وقاص رضی اللہ عنہ کے پاس لے آئے اور یہ خوشخبری دی کہ اللہ تعالی مسلمانوں کے لئے ایران کو فتح کر دے گا اور انہیں سرزمین فارس کا مالک بنا دے گا، کچھ عرصے بعد جنگ قادسیہ کا واقعہ پیش آیا اور قادسیہ کی خندق ہزاروں لاشوں سے بھر گئی، لیکن یہ لاشیں مسلمانوں کی نہیں تھیں، بلکہ یہ ایرانی لشکر کی تھیں۔
ایرانیوں نے قادسیہ کی شکست سے حوصلہ نہ ہارا بلکہ ازسر نو افراد کو جمع کیا اور لشکر کو ترتیب دیا، یہاں تک کہ ایک لاکھ پچاس ہزار تجربہ کار جنگجو اکٹھے ہو گئے، جب فاروق اعظم رضی اللہ عنہ کو اس جم غفیر کے متعلق علم ہوا تو اس بڑے خطرے کا مقابلہ کرنے کے لئے خود تیار ہوئے، لیکن لشکر اسلام کی بعض اہم شخصیتوں نے آپ کو اس سے روک دیا اور یہ تجویز پیش کی کہ ایک ایسے سپہ سالار کو یہ مہم سر کرنے کے لئے روانہ کریں جو قابل اعتماد ہو۔
حضرت عمر نے فرمایا:
مجھے ایسے شخص کی نشاندہی کرو جسے قائد بنا کر اس مہم کو سر کرنے کے لئے روانہ کروں۔
سب نے عرض کی:
امیر المؤمنین! آپ اپنے لشکر کے متعلق خوب اچھی طرح جانتے ہیں۔
آپ نے ارشاد فرمایا:
اللہ کی قسم! میں مسلمانوں کے لشکر کا سالار ایک ایسے شخص کو بناؤں گا کہ جس میں یہ خوبی ہو کہ جب دونوں فوجوں میں گھمسان کی جنگ چھڑتی ہے تو وہ تیرے سے بھی زیادہ تیز ثابت ہوتا ہے اور وہ ہے نعمان بن مقرن مزنی رضی اللہ عنہ۔
سب نے کہا:
واقعی وہ اس منصب کے لائق ہے۔
تو حضرت عمر رضی اللہ عنہ نے اس کی طرف یہ خط لکھا۔
عمر بن خطاب رضی اللہ عنہ کی جانب سے نعمان بن مقرن رضی اللہ عنہ کی طرف۔
بعد از تسلیمات
مجھے یہ اطلاع ملی ہے کہ ایرانیوں نے نہاوند شہر میں کثیر تعداد میں فوج جمع کر لی ہے، جب آپ کو میرا یہ خط ملے’ اللہ کا نام لے کر اور اس کو شامل حال سمجھتے ہوئے دشمن کے مقابلے کے لئے روانہ ہو جائیں۔۔۔۔ یادرکھنا’ ایک مسلمان میرے نزدیک ایک لاکھ دینار سے زیادہ قیمتی اور محبوب ہے۔
والسلام
حضرت نعمان رضی اللہ عنہ نے دشمن سے مقابلے کے لئے اپنے لشکر کو تیار کیا اور تجربہ کار شہسوار صورت حال معلوم کرنے کے لئے روانہ کئے جب یہ شہسوار نهاوند شہر کے قریب پہنچے تو ان کے گھوڑے اچانک رک گئے، شہسواروں نے انہیں دوڑانے کی کوشش کی لیکن وہ اسی جگہ جمے رہے۔ ایک قدم بھی آگے نہ بڑھے۔ شہسوار گھوڑوں کی پیٹھ سے نیچے اتر آئے، تاکہ صحیح صورت حال معلوم کر سکیں، وہ یہ دیکھ کر حیران رہ گئے کہ گھوڑوں کے پاؤں میں کیل پیوست ہو چکے ہیں، انہوں نے جب اردگرد کا بغور جائزہ لیا تو کیا دیکھتے ہیں کہ ایرانیوں نے نہاوند کی طرف جانے والے تمام راستوں میں لوہے کے نوکدار کیل بکھیر دیئے ہیں تاکہ شہسواروں اور پیادہ فوج کا راستہ روکا جا سکے اور وہ نہاوند شہر تک پہنچ نہ سکیں۔
شہسواروں نے اس صورت حال سے حضرت نعمان رضی اللہ عنہ کو مطلع کیا اور ان سے رائے طلب کی، انہوں نے حکم دیا کہ سب اپنی جگہ کھڑے رہیں، جب رات کی تاریکی چھا جائے تو بےتحاشا آگ جلائیں تاکہ دشمن اس روشنی میں تمہیں دیکھ لے، جب روشنی چہار سو پھیلی ہوئی ہو تو خوف و ہراس اور ہزیمت و پسپائی کا مظاہرہ کریں، اس سے دشمن فوج کے دل میں تمہارے پاس پہنچنے کی شدید دلی خواہش پیدا ہو گی جس کی تکمیل کے لئے وه ازخود راستوں میں بکھرے ہوئے کانٹے اور کیل چننے پر مجبور ہونگے۔ اس طرح تمہارے تمام راستے صاف ہو جائیں گے، ایرانیوں کے خلاف یہ تدبیر کارگر ثابت ہوئی۔ جب انہوں نے آگ کے الاؤ کی روشنی میں دیکھا کہ مسلمان لشکر پسپا ہو کر بھاگنا چاہتا ہے تو انہوں نے جلدی سے اپنے کارندے بھیج کر تمام راستے صاف کروا دیئے جب راستے صاف ہو گئے تو مسلمانوں نے یکدم پیچھے مڑ کر اچانک دشمن پر زور دار حملہ کر دیا۔
حضرت نعمان بن مقرن رضی اللہ عنہ نے اپنے لشکر کے ساتھ نہاوند شہر کے بالائی جانب پڑاؤ ڈال دیا اور دشمن پر حملہ کرنے کے لئے منصوبہ بندی کی، آپ نے لشکر کو مخاطب کرتے ہوئے فرمایا:
میں تین مرتبہ نعرہ تکبیر بلند کروں گا’ جب پہلی مرتبہ نعرہ تکبیر کروں تو سب لوگ چوکس ہو جائیں، جب دوسری مرتبہ نعرہ تکبیر کہوں تو اپنے ہتھیار سنبھال لیں اور جب تیسری مرتبہ نعرہ تکبیر کہوں تو میرے ساتھ مل کر دشمن پر زوردار حملہ کر دیں۔
حضرت نعمان بن مقرن رضی اللہ عنہ نے تین دفعہ اللہ اکبر کہا اور شیر کی سی دلیری کے ساتھ دشمن کی صفوں میں جا گھسے اور آپ کے پیچھے لشکر اسلام سیل رواں کی طرح دشمن کے خس و خاشاک کو بہاتا ہوا مسلسل آگے بڑھنے لگا اور دونوں فوجوں کے درمیان ایسا گھمسان کا رن پڑا کہ جنگی تاریخ میں کم ہی کسی ایسی لڑائی کی مثال ملتی ہو گی، ایرانی فوج گاجر مولی کی طرح کٹنے لگی، لاشوں کے انبار لگ گئے، میدان اور پہاڑ جس طرف نگاہ اٹھتی لاشوں کے کشتوں کے پشتے لگے ہوئے تھے، گزرگاہوں اور راستوں میں خون پانی کی طرح بہہ رہا تھا، اسی عالم میں سپہ سالار حضرت نعمان بن مقرن رضی اللہ عنہ کا گھوڑا پھسلا اور گرتے ہی دم توڑ گیا اور حضرت نعمان رضی اللہ عنہ بھی گرتے ہی شہید ہو گئے فوراً آپ کے بھائی نے آگے بڑھ کر جھنڈا اپنے ہاتھ میں تھام لیا اور آپ کے جسد خاکی پر اپنی چادر ڈال دی تاکہ آپ کی شہادت کی خبر مسلمان فوج کو نہ ہونے پائے۔
جب لشکر اسلام کو ایسی مکمل فتح نصیب ہوئی، جسے فتح مبین کا نام دیا گیا تو فتحیاب لشکر نے اپنے قائد کے متعلق دریافت کیا کہ وہ کہاں ہیں؟
ان کے بھائی نے ان کے جسد خاکی سے چادر اٹھائی اور فرمایا: یہ ہیں آپ کے امیر۔ بلاشبہ فتح سے ان کی آنکھیں ٹھنڈی ہو چکی ہیں، اور اللہ سبحانہ وتعالی نے انہیں شہادت کا عظیم مرتبہ بھی نصیب فرما دیا۔
حضرت نعمان بن مقرن رضی اللہ عنہ کے مفصل حالات زندگی معلوم کرنے کے لئے درج ذیل کتابوں کا مطالعہ کریں۔
ا۔ الاصابه مترجم ۸۷۴۵
۲۔ ابن الاثير ۲/ ۲۱۱’ ۳/ ۷
٣- تهذيب التهذيب ۱۰/ ۴۵۶
۴- فتوح البلدان ۳۱۱
ه- شرح الفيته العراقي ۳/ ۷۶
۶- الاعلام ۹/۹
۷- القادسية ۶۶۔۷۳
حوالہ جات :
“حياتِ صحابہ کے درخشاں پہلو”
تا لیف: “داکتور عبدالر حمان رافت الباشا”