46. Sayyidah Nawar Bint-e-Malik رضى الله عنها
Sayyidah Nawar Bint-e-Malik رضى الله عنها
Sayyidah Nawar ka ghar:
Nam Nawar, Walid ka nam Malik Bin Harma aur khawand ka nam Sabit Bin Zahhak Bin Zaid tha. Shadi kay bad do betay peda huaye, Aik ka nam Zaid Bin Sabit aur dusray ka nam Yazeed Bin Sabit tha. Jab un ka pehla khawand foat ho gaya to un ki shadi Ammara Bin Hazam kay sath hui jis say aik beta peda huwa, Us ka nam Malik tha. Sayyidah Nawar رضى الله عنه ka ghar Masjid-e-Nabwi kay sath tha. Allama Ibn-e-Saad apni kitab “Tabqat” mein likhtay hain keh Sayyidah Nawar رضى الله عنها farmati hain:
“کان بيتى أطول بيت حول مسجد”
“Mera ghar Masjid kay irad girad kay gharon mein sab say ooncha tha.”
Jab tak Masjid-e-Nabwi ki tameer nahin hui thi to Sayyiduna Bilal رضى الله عنه is ghar ki chat par azan diya kartay thay. Jab Masjid tameer ho gai to us ki chat par azan di janay lagi. Phir masjid ki chat par azan kay liye oonchi jaga bana di gai.
(Tabqaat Ibn-e-Saad (8/420) من طريق الواقدى)
Sayyidah Nawar رضى الله عنها kay liye mubarak ho keh un kay ghar ko Islam ka behtareen minar honay ka sharaf hasil huwa. Jab Sayyiduna Bilal رضى الله عنه ghar ki chat par azan ki sada buland kartay hon gay aur anwar ki kirnein charon taraf phelati hon gi to kitna dilkash manzar hota hoga. Azan kay alfaaz sooraj ki kirnon ki manind chahar-soo pheltay huaye logon ko Allah T’aala kay hazoor jhuknay ki dawat detay hain, Yeh pur’bahar manzar kaisa lagta hoga. Us ghar ki azmat aur sharaf kay kya kehnay jis say logon ko Allah T’aala kay zikar ki khatir bulaya jata hai. Jis ghar say rozana panch martaba logon ko Allah T’aala kay sh’aair ko yad karnay ki talqeen ki jati hai. Us ghar ki Azmat-o-Rif’at aur Sar’bulandi-o-Sarfarazi kay kya kehnay!!?
Quraan ko jama karnay walay aalim ki walida:
Sayyidah Nawar Bint-e-Malik رضى الله عنها ka yeh Fazal-o-Sharaf kya kam hai keh unhein us Jaleel-ul-qadar Sahabi ki walida honay ka aezaz hasil hai jisay Rasoolullah صلى الله عليه وسلم nay Katib-e-Wahi honay ka aezaz bakhsha. Woh buland martaba Jaleel-ul-Qadar Sahabi Zaid Bin Sabit رضى الله عنه thay. Unhein Khalifat-ul-Rasool Sayyiduna Abu Bakar Siddiq رضى الله عنه kay nazdeek bhi bada buland Maqam-o-Martaba hasil tha, Kiun’keh unhon nay Sayyiduna Zaid رضى الله عنه ko Quraan jama karnay ki zimma dari soonpi thi. Tasbaat-Ibn-e-Saad mein Sayyiduna Nawar رضى الله عنها say aik riwayat manqool hai, Farmati hain keh Zaid Bin Sabit ki pedaish say pehlay mein nay Ka’aba ko is haalat mein dekha keh us par sabaz, Zarad, Dabbi daar balon ki bani hui taakiyon par mushtamil ghilaf chadha huwa tha jisay Badwi log bun kar tayar kartay thay.
(Tabqaat Ibn-e-Saad (8/420), وفيه الواقدى وهو متروك الحديث.)
Sayyiduna Zaid Bin Sabit رضى الله عنه par Allah T’aala ka yeh Fazal-o-Karam tha keh un char Shaba Karaam رضى الله عنهم mein say aik thay jinhein Quraan-e-Kareem jama karnay ki zimmadari soonpi gai thi. Yeh aik aisa aezaz hai keh jis ki chamak zamana bhar aashkaar rahay gi. Imam Muslim nay Sayyiduna Qatada رضى الله عنه say riwayat naqal ki hai, Woh kehtay hain keh mein nay Anas Bin Malik رضى الله عنه say suna, Woh farmatay hain:
“جمع القرآن على عهد رسول الله صلى الله عليه وسلم، اربعة کلهم من الانصار معاذ بن جبل و ٱبى بن کعب و زيد بن ثابت و ابو زيد”
“Rasoolullah صلى الله عليه وسلم kay zamanay mein char logon nay Quraan ko jama kiya, Yeh sab Ansari thay, Muaz Bin Jabal, Ubai Bin Ka’ab, Zaid Bin Sabit aur Abu Zaid رضى الله عنهم”
Qatada farmatay hain keh mein nay Anas Bin Malik رضى الله عنه say poocha keh Abu Zaid رضى الله عنه kon hai? To us nay bataya keh meray chacha thay.
(Sahih Bukhari, Kitab Manaqib-ul-Ansaar, باب: مناقب زيد بن ثابت: 3810, Sahih Muslim, Kitab Fazaail-ul-Sahabah, باب: من فضائل ابى بن کعب: 2465)
Sayyiduna Zaid Bin Sabit رضى الله عنه Nabi Kareem صلى الله عليه وسلم kay sath apni pehli mulaqat ki roodad bayan kartay huaye farmatay hain. Isay Imam Ahmad nay Kharja Bin Zaid kay hawalay say naqal kiya, Woh kehtay hain keh mujhay meray abba jan Zaid Bin Sabit رضى الله عنه nay bataya keh jab Nabi Kareem صلى الله عليه وسلم Madinah Munawwarah tashreef laaye to mujhay Aap صلى الله عليه وسلم ki khidmat mein pesh kiya gaya, Mujhay Aap صلى الله عليه وسلم nay pasand kiya. Logon nay kaha: Aye Allah kay Rasool صلى الله عليه وسلم! Yeh Banu Najjar qabeelay ka ladka hai. Isay das say zayada soortein zubani yad hain, Jo Aap صلى الله عليه وسلم par nazil huien. Nabi Kareem صلى الله عليه وسلم ko meray baray mein yeh sun kar bhot khushi hui. Aap صلى الله عليه وسلم nay farmaya: Aye Zaid! Yahoodiyon ki zuban likhana seekh lo, Allah ki qasam! Mujhay yahoodiyon kay baray mein itminan nahin. Dar hai keh kahin woh meray khat mein koi gad bad na kar sakein. Sayyiduna Zaid Bin Sabit رضى الله عنه farmatay hain keh mein nay un ki zuban ko seekh liya. Pandra dinon mein mein nay un ki zuban mein maharat hasil kar li. Jab yahoodi Nabi Kareem صلى الله عليه وسلم ki taraf koi khat likhtay to mein Aap صلى الله عليه وسلم ko padh kar sunata aur Aap صلى الله عليه وسلم ki janib say mein hi jawabi khat un ko likhta.
(Musnad-e-Ahmad (5/186) واللفظ له, Sahih Bukhari, Kitab-ul-Ahkaam, باب: ترجمة الاحکام: 7195, تعليقا مختصرا. Sunan Abi Dawood, Kitab-ul-Ilm, باب: رواية حديث اھل الکتاب: 3645, Sunan Tirmazi, Kitab-ul-Istizaan, باب: ما جاء فى تعليم السريانية: 2715 مختصرا)
Sayyiduna Zaid Bin Sabit رضى الله عنه nay Khalifa-e-Awwal Sayyiduna Abu Bakar Siddiq رضى الله عنه kay Daur-e-Khilafat mein Quraan Majeed jama karnay mein hissa liya. Imam Bukhari nay Ubaid Bin siyaq kay hawalay say bayan kiya hai keh Sayyiduna Zaid Bin Sabit رضى الله عنه kehtay hain keh mujhay Jang-e-Yamama kay moqa par Sayyiduna Abu Bakar Siddiq رضى الله عنه nay pegham bhej kar apnay pas bulaya, Mein hazir huwa to aap kay pas Sayyiduna Umar Bin Khattab رضى الله عنه bhi mojood thay.
Zaid Bin Sabit رضى الله عنه kehtay hain keh Sayyiduna Abu Bakar Siddiq رضى الره عنه nay mujh say kaha: Zaid! Yeh Umar Bin Khattab رضى الله عنه meray pas aaye hain, In ka kehna hai keh Jang-e-Yamama mein bhot say Quraan kay hafiz shaheed ho gaye hain, Mujhay andeesha hai keh agar mukhtalif mawaqe par Quraan Majeed kay huffaaz shaheed honay lagay to Quraan ka aksar hissa zaya ho jaaye ga, Meri raaye yeh hai keh tum Quraan Majeed jama karnay ki zimmadari poori karo. Mein nay Umar Bin Khattab رضى الله عنه say kaha keh ham woh kam kiun karein jo Rasoolullah صلى الله عليه وسلم nay nahin kiya? Umar رضى الله عنه nay mujh say kaha: Allah ki qasam! Yeh kam bhot behtar hai. Umar رضى الله عنه mujh say bar bar apna mutalaba dohratay rahay, Yahan tak keh Allah T’aala nay mujhay Sharah-e-Sadar say nawaz diya. Ab meri bhi wahi raaye ho gai jo Umar رضى الله عنه ki thi. Zaid bin Sabit رضى الله عنه kehtay hain keh phir Sayyiduna Abu Bakar Siddiq رضى الله عنه nay kaha: Dekho Zaid! Tum aik aqalmand nojawan ho, Hamari nazar mein aap kay andar koi kami nahin paai jati aur aap Rasoolullah صلی الله عليه وسلم ki Wahi bhi likhtay rahay hain. Aap Quraan Majeed ko mukhtalif maqamaat say talash kar kay aik jagah jama kar dein. Zaid Bin Sabit رضى الله عنه kehtay hain: Allah ki qasam! Agar woh mujhay pahad ko aik jagah say doosari jagah muntaqil karnay ka kam sonpatay to woh mujhay Quraan Majeed jama karnay say aasan dikhaai deta.
Sayyiduna Zaid Bin Sabit رضى الله عنه kehtay hain keh mein nay Sayyiduna Abu Bakar Siddiq رضى الله عنه say poocha: Aap woh kam kiun karna chahtay hain jisay Rasoolullah صلی الله عليه وسلم nay nahin kiya? Unhon nay jawab mein farmaya: Allah ki qasam! Yeh kam bhot behtar hai. Zaid Bin Sabit رضى الله عنه kehtay hain keh Sayyiduna Abu Bskar رضى الله عنه bar bar mujh say apna mutalaba dohratay rahay, Yahan tak keh Allah T’aala nay mera seena khol diya, Jis nay mujh say pehlay Abu Bakar aur Umar رضى الله عنهما ka seenay mein Insharah peda kiya tha. Mein nay Quraan Majeed ko khajoor ki tehniyon, Safeed rang kay pathron aur logon kay seenon say jama kiya. Mujhay Soorah-e-Taubah ki aakhiri aayaat Sayyiduna Abu Khuzaima Ansari رضى الله عنه say hasil huien, Un kay ilawa mujhay yeh aayaat kisi aur say nahin milein, Aur woh aayaat yeh thein:
“لَـقَدۡ جَآءَكُمۡ رَسُوۡلٌ مِّنۡ اَنۡفُسِكُمۡ عَزِيۡزٌ عَلَيۡهِ مَا عَنِتُّمۡ حَرِيۡصٌ عَلَيۡكُمۡ بِالۡمُؤۡمِنِيۡنَ رَءُوۡفٌ رَّحِيۡمٌ ۞فَاِنۡ تَوَلَّوۡا فَقُلۡ حَسۡبِىَ اللّٰهُ ۖ لَاۤ اِلٰهَ اِلَّا هُوَ ؕ عَلَيۡهِ تَوَكَّلۡتُ ؕ وَهُوَ رَبُّ الۡعَرۡشِ الۡعَظِيۡمِ ۞”
(Al-Taubah: 9/128-129)
“Tum logon kay paas aik rasool aaya hai jo khud tum hi mein say hai, Tumhara nuqsan men padna us par shaq hai aur tumhari falah ka woh harees hai, Imaan lanay walon kay liye woh shafeeq aur raheem hai. Ab yeh log agar tum say munh pheratay hain to Aye Nabi! In say keh do keh meray liye Allah kafi hai, Koi Mabood-e-Haqiqi nahin magar wahi, Us par mein nay bharosa kiya aur Woh Malik hai Arash-e-Azeem ka.”
Quraan-e-Majeed ka jo nuskha mein nay tayar kiya tha woh pehlay Sayyiduna Abu Bakar Siddiq رضى الله عنه ki tahweel mein raha phir Sayyiduna Umar Bin Khattab رضى الله عنه kay pas raha aur phir Sayyidah Hafsa Bint-e-Umar رضى الله عنها ki hifazat mein raha. (Sahih Bukhari, Kitab Fazaail-ul-Quraan, باب: جمع القرآن: 4986) Yad rahay keh Sayyiduna Abu Khuzaima Ansari رضى الله عنه woh Jaleel-ul-Qadar Sahabi hain jin ki gawahi ko Rasoolullah صلى الله عليه وسلم nay do gawahon kay barabar qarar diya. Inhi say Sayyiduna Zaid Bin Sabit رضى الله عنه ko Soorah-e-Taubah ki aakhiri aayaat milein.
Sayyiduna Zaid Bin Sabit رضى الله عنه kay Quraan Majeed ko jama karnay kay kam mein Allah T’aala nay barkat peda ki. Sayyiduna Zaid Bin Sabit رضى الله عنه bhi Najeeb thay aur un ki walida Sayyidah Nawar رضى الله عنها bhi Najeeb thein. Un donon ki najabat, Sharafat aur azmat kay kya kehnay!!
Allah T’aala un par Apni rahmat ka saya daraz karay aur unhein Apnay Fazal-o-Karam say nawazay. Aameen Ya Rabbul-Aalameen!
Reference:
Book: Hayat-e-Sahaabiyaat kay Darakhshah pahelo.
Taleef: Mahmood T’ama Halbi
Mutarjim: Abu Ziya Mehmood Ahmad Ghaznofar Hafizahullah.