Fariaa binte Malik (رضی اللہ عنہا)
Hazret Fariaa binte Malik (رضی اللہ عنہا)
Jalelul qader sahabi hazret malik bin ubaid ansari khudri رضي الله عنه ki beti ke bare me Rasool Allah(ﷺ) ne irshaad farmaya
“” Jo koi kisi jannati shakhs ko dekhna chahta hai wo use dekh le””
Mufti madina hazret abu saeed khudriرضي الله عنه ki behen jo aalim fazil muhaddis mujahid genreel aur hukumrah sahabi the jinse ek hazaar ek sau satter hadeesen marwi hai, maa ki janib se genreel sahabi hazrat qatadah bin nomaan ansariرضي الله عنه ki bahen jo gazwah e bader aur gazwah e uhood me shareek hue, ladayi ke dauraan unki aankh zakhmi ho ker baher nikal gayi, Rasool Allah(ﷺ) ne ye suret e haal dekhte hi apne daste mubarek se aankh ko ander dhakela jo dobara apni asli jagah per pewast ho gayi aur binayi pahle se bhi ziyada teez ho gayi, aaiye is khatoon e jannat ke halat e zindagi ko apne liye mashale raah banaye__
Hazret fariaa(رضی اللہ عنہا) ke walid hazret malik bin sinaan bin ubaid ansari khudri ( raziallahu anhu )aur jaleelul qader azeemush shaan aur buland martaba sahabi hai jinke baare me Rasool Allah ne ye irshaad faramaya:
Jo koi kisi jannati shakhs ko dekhna chahata hai oh malik bin sinaan ko dekh le__
Ye ghazwah e bader me shareek na ho sake laikin uhood me Rasool Allah ka dafaa karte hue jame shahadat nosh kiya, ye ghazwah e uhood me shirket ke liye tashreef laaye to inke hamrah hazret saad yani abu saeed khudri رضي الله عنه bhi the oh abhi chote bachche the, isliye Rasool Allah (sallallahu alaihi wa sallam) ne jihaad me shirket ki ijazet na di
Oh ufoore gam se aansu bahane lage to unki behen fariaa binte malik (رضی اللہ عنہا)ne apne bhai ko pyaar se bagel me liya aur uske aansu apne anchal se saaf kiye, aur use mzeed intezaar karne aur saber ka daman thamne ki talqeen ki, hazret abu saeed khudri رضي الله عنهbade hoker madina ki masned per jalwa afroz hue aur maidane ilm o fazel me roshan sitare ki tarah jagmagaye_
Hazret malik bin sinaan رضي الله عنه hathiyaar thaam ker ghazwah e uhood me shareek hone ke liye nikle_ Rasool. Allah (ﷺ) se mile aur nihayet fazilana andaaz me guftagu karte hue arz kiya ki ya Rasool Allah(ﷺ) aaj ham mushrikeen se naberd aazma hone ke liye nikle hai, aaj ya to Allah hame apke madde muqabil per galba ata karega aur ya hame shahadet ka buland martaba naseeb ata karega, ye dono suraten hamare liye behter hai, her do suret kamyabi hi hamara muqadder banegi, jab ladayi pure urooj per thi her taref se teeron ki bauchaar ho rahi thi to hazret malik bin sinaan ne pure josh o jazbe se Rasool Allah(ﷺ) ke kareeb rahte hue difayi andaaz ikhtiyaar kiye rakha hatta ki us muqaddes fareeze ko sir anjaam dete hue apni jaan Allah ki raah me qurbaan ker di, is marhale per chashme falak ne ye manzer bhi dekha ki habeeb e kibriya shafa e roze jaza shamshuz zuhaa badrud duja yaani Rasool Allah(ﷺ) ka chehra mubarek zakhmi ho gaya, pakeezah khoon chehare mubarek per beh raha tha, hazrat malik bin sinaan (raziallahu anhu)ne mauqa ganimet jante hue oh khoon apne muh se choos ker nigal gaye, is tarah nabi(ﷺ) ka pakeezah khoon hazret malik bin sinaan ke khoon me shamil ho gaya, jab ghazwah e uhood se farigh hoker Rasool Allah(ﷺ) wapes madina munawwara pahunche to hazret abu saeed khudri aap ki khidmet me hazir hue unhe dekhte hi irshaad farmaya:
Tum saad bin maalik ho?
Usne kaha: ji Han ya Rasool Allah(ﷺ) mere maa baap aap per qurban ho_
Saad hazret abu saeed khudri ka naam tha yeh hounsla afzayi mohabbet o shafeqqet bhara andaaz dekh ker hazret abu saeed khudri (raziallahu anhu) our ziyada aap ke khareeb hue, nabi(ﷺ) ne dilasa dete hue saber ki talqeen ki aur irshaad farmaya tumhare baap ki shahadet tumhare liye ajer wa sawaab ka bais hogi, ghabrana nahi saber se kaam lena hazret abu saeed khudri ne ghar aakar apni behen hazret fariaa binte malik ko walid muhatarem ki shahadet ki khaber dete hue Rasool Allah (ﷺ) ke irshadaat ka tazkira kiya to azeem beti ne kamale haunsle ka andaaz ikhtiyaar karte hue Rasool Allah(ﷺ) ki irshadaate aliya per amel karne ko apne liye ba ase saadat o iftekhaar samjha aur Allah taala ke faisle per sare tasleem kham ker diya aur is baat per khushi ka izhaar kiya ki Allah subhanahu o taala ne Rasool Allah(ﷺ) ko mahfooz o mamoon rakha hai, jab hazret malik bin sinaan shaheed hue to ahle khana ke naan o nafqe ke liye gher me koi cheez nahi thi, laikin bachchon ne kamale saber ka muzahira kiya, Rasool Allah (ﷺ) ki nasihet ko palle bandha aur kisi ke aage daste sawaal daraaz na kiya chunki unhone aapka ye farmaan sun rakkha tha:
“” Jo istagna barte Allah use gani ker deta hai, jo paak damani ka khwahun ho Allah use pakeezah ker deta hai aur jo apne uper zabet kare Allah use saber ki taufeeq de deta hai””
Rasool Allah(ﷺ) ki is nasihet per amal karne ki bina per aisi barket hui ke yeh gharana khushhaal ho gaya, dault un per lehan ki tarah barasne lagi_
Hazret fariaa bint malik (رضی اللہ عنہا) ki shadi sahel bin rafe bin basheer khazraji se hui taweel muddet iski rafaqet me guzri -madeena munawwara ke khareeb eak gulam ne unka qatel ker diya, yeh saneha hazret fariaa (raziallahu anha) ke liye intehayi gam ka baas bana, khawind ke inteqaal ho jaane ke baad unho ne socha ki mai apne maike chali jaun laikin jaane se pahele Unhone Rasool Allah (sallallahu alaihi wa sallam ) se masla dariyafet kiya ki kya aise halaat me apne sasuraal ka gher chod ker walidain ke gher muntaqil ho sakti hun?
Rasool Allah (sallal lahu alaihi wa sallam)ne irshaad fermaya:
Apne gher me raho ta waqet eke iddet puri ho jaye_
Yaad rahe jis ouret ka khawind faut ho jaye uski iddet chaar mahene das din hai_
Hazret fariaa binte malik (رضی اللہ عنہا) kehti hai ki maine Rasool Allah (sallal lahu alaihi wa sallam) ka hukm sun ker chaar mah das din apne gher me guzare aur uske baad islam ki ser bulandi ke liye bher poor zindagi baser ki, hazret fariaa (رضی اللہ عنہا) ne baite rizwaan me bhi shirket ki saadet hasil ki is tarah unhe shajri sahaba me shamil hone ka ejaaz hasil hua, jin ke bare me Rasool Allah (sallal lahu alaihi wa sallam)ne irshaad fermaya:
Jinhone darakhet ke neeche bait ki unme se koi jahannum me dakhil nahi hoga””
Yaani wo sab jannati hai hazret usmaan bin affaan رضي الله عنه ke daura e khilafet me eak khatoon ka khawind faut ho gaya us khatoon ke liye iddet ka masla zere gaour aaya to unhone fariaa ko darbare khilafet me taleb karke pucha ki jab ap per ye waqet aaya to Rasool Allah (sallal lahu alaihi wa sallam) ne iddet ke bare me kya hukum sadir farmaya tha? Unhone bataya chaar maah das din iddet muqarar ki gayi hai, hazret usmanرضي الله عنه ne yhi hukum jaari kiya ki jis khatoon ka khawind faut ho jaaye 4 maah 10 din iddet guzare__
Hazret fariaa (رضی اللہ عنہا) ka hafiza bahut teez tha, Rasool Allah (sallallahu alaihi wa sallam)ka jo farman ek dafa sun leti wo usi waqet unhe yaad ho jata baaz riwayaat ke silsile me kibare sahaba e kiraam ne fariaa (رضی اللہ عنہا) ki taref ruju kiya, khas taur per bewah auret ke iddet ke silsile me hazret fariaa binte malik ko merjaye khalayeq hone ka ejaaz hasil hai, madeena, hijaaz, shaam, iraaq, misr ke ulma o fuqha ne fariaa (رضی اللہ عنہا) ke bayan ke mutabiq fatwa sadir kiya, hafiz ibne qayyim apni mashhoor o maroof kitaab zaadul miaad me rakhamtaraaz hai ki mashhoor tabayi muhammed bin sireen ka bayan hai ki ek ouret ka khawind faut ho gaya ouret beemar thi rishtedaron ne use walidain ke gher muntaqil ker diya ahle ilm. Ko jab is waqiye ka pata chala to sabne yahi kaha ki us ouret ko khawind ke ghar muntaqil kiya jaye wahi ye iddet ke din guzare lehaza ham ne use khawind ke gher muntaqil ker diya ye fatwa hazret fariaa (رضی اللہ عنہا)ke waqiye ki buniyaad per sadir kiya gaya__
Hazret fariaa (رضی اللہ عنہا)un azeemul mertabet sahabiyaat me se hai jinhe Rasool Allah (sallallahu alaihi wa sallam)ne jannat ki basharet di ye oh ezaaz hai jis per jitni bhi maserret shadmani o ifteqaar ka izhaar kiya jaaye kam hai, ye khush naseeb khatoon un eak hazaar chaar sau khudsi nufoos hai sahaba e kiraam ke qafile me shareek thi jo Rasool Allah (sallallahu alaihi wa sallam)ki qiyadet me 6 hijri ko umrah ada karne ke liye madina munawwara rawana hua tha laikin hudaibiyah ke muqaam per use rok liya gaya wahan darakht ke neeche tamaam sahaba e kiraam se hazret usmaan bin affaan (raziallahu anhu)ka baldla lene ke liye bait li gayi thi, kyuki unhe numainda bana ker Rasool Allah (sallallahu alaihi wa sallam)ne makka muazzama bheja tha unke bare me afwah phaila di gayi thi ki unhe mushrikeen e makka ne shaheed ker diya, un tamam bait karne walon Ke jazba o isaar ki ada Allah tala ko itni pasend aayi ki sabko jannati hone ka elaan ker diya, gaya bilashubah ye azeem saadet usko milti hai jiske naseeb jaag uthe, chunki hazret fariaa (رضی اللہ عنہا)us kafile me shamil thi lihaza wo khatoone jannet qaraar paayi___
“”Allah unse raazi aur oh apne Allah se razi “”
REFERENCE:
BOOK: “SAHABIYAAT MUBASHIRAAT”