Search
Sections
< All Topics
Print

11. HAMZAH BIN ABDUL MUTTALIB (رضی اللہ عنہ ) KA MUSALMAAN HONA[Hamzah bin Abdul Muttalib embraces Islam]

HAZRAT HAMZAH( رضی اللہ عنہ ) KA MUSLMAAN HONA

Hazrat Hamzah( رضی اللہ عنہ) Aap(ﷺ) ke chacha the- Umr mein kuch hi barhe the, aik rishte se apke khala ke bete the aur doodh shareek bhai bhi the isliye wo apse barhi mohabbat karte the, admi barhe pehelwan the, ziada waqt saiyr aur shikar mein kharch karte the, Abu jahel ka haal tou malum hai keh wo Aap(ﷺ ) ko kis tarha satata tha, aik din ka waqiya’ hai keh Abu jahel ne apne mamool ke mutabiq Aap ko bohat bura bhala kaha. Aik laundi khari ye baten sunrahi thi, sham ko jab Hamza(رضی اللہ عنہ ) shikar se wapis aarahe the, us laundi ne jo kuch dekha aur suna tha unse dohradiya- Hamza(رضی اللہ عنہ ) ye sunkar ghusse se lal hogae aur isi halat mein Kaaba ke sahain mein jahan quraish ke barhe barhe log apne jalsey jamakar baithte the, Aae aur Abu Jahel ke paas aakar kaman uske sar par maari aur kaha “lo! Mein musalmaan hogaya hoon, tumhara jo jee chahe mere sath karlo” ye kahekar ghar chale ae, ab wo din aya keh Islam ke Jargay mein quraish ka aik barha pehelwan sharik hogaya.

REFERENCE:
BOOK: “RAHEMAT-E-ALAM”
BY ALLAMAH SAYYED SULEMAN NADWI(رحمه الله)
Table of Contents