Search
Sections
< All Topics
Print

14. MUSALMAANON PAR ZULM KI SHURUWAT [Persecution begins]:

GHAREEB MUSALMAANOU KA SATAYA JANA

Quraish ne jab ye dekha keh Musalmaanon ki tad’ad roz ba roz barhti jaati hai aur ye sailaab roke nahi rukta tou unho ne Zor-o-zulm karne ki thaanli. Jis ghareeb musalmaan par jis kafir ka bas chala usko tarha tarha se satane lage, dopaher ko arab ki raigistaani aur pathreli zameen behad garm hojati hai us waqt wo be yaar-o-madadgaar musalmaanon ko pakar is teez dhoop mein usi garm zameen par litate chaati par bhaari pathar rakh dete, badan par gam baaloo bichate, lohe ko aag par garm karke usse daaghte, ye wo saazaein thi jo Bilal(رضی اللہ عنہ ) aur Suhaib (رضی اللہ عنہ) do musalmaan ghulamon ko di jaati theen.

    Isse bhi taskeen na hoti tou Hazrat Bilal(رضی اللہ عنہ ) ke gale mein rassi bandhte aur loundon ke hawale karte aur wo unko galiyon me ghasitte phirte lekin unka ye haal tha keh iss halat mein bhi zuban par “Ahadun Ahadun” hota. Yani wo khuda aik hai, wo khuda aik hai.

Suhaib(رضی اللہ عنہ) bhi ghulam the jo musalmaan hogae the, unko pakar kar itna marte the keh unke hosh-o-hawas jaate rahete the.

Khabbab bin al-Arat(رضی اللہ عنہ ) bhi poorane musalmaanon mein se the, unko tarha tarha ki takleefen di gaeen yahan tak keh aik din garam koeylon par unko chit letaya gaya aur us waqt tak na chora gaya jab tak koeyle thande na hogae.

Yasir(رضی اللہ عنہ ) aur unke bete Ammar(رضی اللہ عنہ ) aur Biwi Summaiya(رضی اللہ عنہا ) ye teenon makkah ke ghareebon mein se the aur Islam laane walon mein bohat pahele hain. Yasir(رضی اللہ عنہ ) tou kafiron ke haathon se takleefen uthaate uthaate shaheed ho gae, Summaiya(رضی اللہ عنہا ) ko Abu Jahel ne aisi barchi maari keh wo jaan bahaq hogaeen. Ammar(رضی اللہ عنہ ) ko tapti hui zameen par letakar itna marte keh wo behosh hojate. Zunerah( رضی اللہ عنہا) aik musalmaan baandhi theen, Abu Jahel ne unko itna maara keh unki ankhen jaati raheen aur dusre ghareeb muslamaanon aur nou muslim ghulamon aur kaneezon ko aisi hi saazaen di jaati.

Hazrat Abu Bakr siddeeq(رضی اللہ عنہ ) ne Hazrat Bilal(رضی اللہ عنہ ), Aamir, labebah, Zunerah, Nahdiya aur Umme Abees (رضی اللہ عنہا ) wagerah musalmaan ghulamon aur bandhiyon ko unke zulm aur be rahem malikon se kharidhkar azad kardiya.

Ye tou ghareeb muslamaanon ka haal tha.

Jo izzat aur daulat wale the wo apne buzrug rishtedaaron ke panjon mein the:

Hazrat Usmaan(رضی اللہ عنہ ) jab musalmaan hue tou unke chacha ne unko rassi mein bandhkar maara.

Hazrat Sayed bin zaid(رضی اللہ عنہ ) aur unki biwi Fatima( ) ko jo Hazrat Umar(رضی اللہ عنہ ) ki bahen theen, Umar(رضی اللہ عنہ ) rassi se jakar dete the- 

Hazrat Zubair(رضی اللہ عنہ ) muslamaan hue tou unke chacha unko chataee mein lapetkar unki naak mein dhuwa dete the- 

Abdullah bin masood(رضی اللہ عنہ ) musalmaan hue tou Kaaba mein jaakar Surah Raheman parhna shuru ki kafir har tarf se unpar toot parhe aur buri tarha maara.

Musalmaan is bekaasi mein kiya karte. Aakar Hazrat Rasool Allah(ﷺ ) se kafiron ki shikayat karte aur arz karte ke Ya Rasool Allah( ) Dua kijie keh musalmaanon ko aman mile.

    Aap(ﷺ ) unko tasalli dilasa dete aur agle paighambaron ka haal sunate aur unho ne haq ki raah mein jo takleefen uthaeen unko bayan karte aur farmaate keh Haq ka aftab ziada dair badal mein chupa nahi rahesakhta- Aik zamana aega jab Khuda tumko ghalba dega, tumse phele kisi paighambar ko Aare se cheer diya gaya, kisi ka ghosht lohe ki kanghi se chil diya gaya magar unho ne haq ko nahi chora.

REFERENCE:
BOOK: “RAHEMAT-E-ALAM”
BY ALLAMAH SAYYED SULEMAN NADWI(رحمه الله)
6 :-Seerat_E_Nabi_ﷺ_ Quresh Makkah Ka Zulam Aur Rouknay Ki Tadbiray Shk Maqsood Ul Hassan Faizi Hafi

Table of Contents