Search
Sections
< All Topics
Print

31. MUATTA KI LARAEE [ Expedition to Muta ]

MUATTA KI LARAEE

AIK NAYA DUSHMAN ..MU’TAH KI LARAEE:

Jumadi Alula 8 hijri:

Ab tak Islam ko mulk arab ke andar ke yahud aur mushrikon ke qabilon se samna tha- Ab aage Esaee Romiyon ki taqat aur saltanat ki deewar hayel thi- Esaee Romiyon ki mataheti mein aik arab khandaan Basra par hukumat kar raha tha- Is khandaan ke raees ne is musalmaan qasid ko jo unke paas Islam ki dawat ka khat lekar gaya tha, qatl kardiya tha- Aap(ﷺ ) ne is shaheed ka badla lene ke liye Teen hazar(3000) fauj medina se rawana ki- Hazrat Ja’far, Abdullah bin Rawahah aur Zaid bin haris(رضی اللہ عنہ ) isme khaas taur se bheje gae the- Fauj ki sardaari Zaid bin haris(رضی اللہ عنہ ) ko di gae- sath hi farmaaya keh ye shaheed ho tou Ja’far( رضی اللہ عنہ) aur wo bhi maare jae tou Abdullah bin Rawahah(رضی اللہ عنہ ) fauj ke afsar hon.

     Hooran ke badeshah ko khabr lag chuki thi – Usne aik lakh ke khareeb fauj tayyar ki- khud rome ke qaiser ne beshumar faujon ke sath mawaab mein aakar khaima dala. Aap(ﷺ ) ne musalmaanon ko takeed kardi thi keh laraee se pehle dushman ko sulah ka mouqa dena aur Islam ka paiyaam pohancha lena- Islam ki fauj jab qareeb pohanchi tou dekha ke teen hazar musalmaanon ko lakhon ke dal badal ka samna hai magar muslamaan tou Allah ki raah mein apni jaan hatheliyon par liye hue phirte the- Wo shahadat ke shouq mein dare nahi- Abdullah bin Rawahah(رضی اللہ عنہ ) ne kaha ham tada’ad ki kami beshi aur taqat ke bharose par nahi larte ham tou mazhab ki taqat se larte hain- ispar teen hazar ke chote giroh ne aik lakh ki fauj par hamla kardiya. Hazrat Zaid bin haris(رضی اللہ عنہ ) Barchiyan khakar shaheed hue- Unki jagah Hazrat Ja’far(رضی اللہ عنہ ) ne aage barhkar Islam ka jhanda apne hath mein liya aur is tarha bahaduri se lare keh aik haath katgaya tou dusre hath se jhande ko pakar liya aur dusra hath bhi katgaya tou seene se chimtaliya- Akhir talwaaron aur barchiyon ke nawe zakhm khane ke ba’ad gire aur Shahadat pae- Unke ba’ad Abdullah bin Rawahah(رضی اللہ عنہ ) ne jhanda hath mein liya aur wo bhi shaheed hogae- Ab Khaled bin Walid(رضی اللہ عنہ ) aage barhe aur muslamaanon ki kamaan apne hath mein li aur us bahaduri se lare keh dushman ko go zair na karsake magar musalmaanon ko unki zad se nikal lae.

REFERENCE:
BOOK: “RAHEMAT-E-ALAM”
BY ALLAMAH SAYYED SULEMAN NADWI(رحمه الله)
27 ;- Seerat E Nabwee Sallallahu’alaihi’wasallam – Ghazwa e Muta – By Shk maqsood Ul hassan Faizi Hafidhahullah.
Table of Contents